async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Tableeghi Jamaat ka Mission
Showing posts with label Tableeghi Jamaat ka Mission. Show all posts
Showing posts with label Tableeghi Jamaat ka Mission. Show all posts

Saturday, November 21, 2015

Tableeghi Jamaat ka Mission

Tableeghi Jamaat ka Mission

ALLAH taala qaumo’n ki hidayat kay liye Ambiya ko duniya me maboos farmaya.

Ambiya qaumo’n ko batate rahe ki jisne tumhe paida kiya hai uski taraf tumhe jhukna chahiye usi ki ibadat karna chahiye , usi ki bargah me sajdah karna chahiye , un baatil maabudo’n kay saamne mat jhuko , unki parastisht mat karo, unhe mat pujo, jinko tum apne hato’n se banate ho, pattahro’n ko tarashte ho, tum apne maabudo’n ko tarahste ho, mitti ko gila kar kay ek shakal dhal dete ho, fir apne dimag se use sukha kar apna maabud tasleem kar lete ho, yeh maabud nahi ho sakte kyuke yeh khud tumhare mohtaj hai, hum inhe banate ho, tum inhe sawarte ho, fir inki bebasi ka yeh aalam hai kay agar inki naak per ek makkhi bhi bait jaye toh yeh ek makkhi bhi nahi hata sakte , inki bebasi ka yeh aalam hai ki puja kay liye inke saamne jo saaman rakhte ho, agar ek makkhi aajaye aur use kuch lekar udd jaye toh yeh itne bebas hai ki us makkhi se apna hissa bhi chin nahi sakte.
Ambiya e kram aate rahe Qaumo’n ki hidayat hoti rahi, 124000 kamobesh Ambiya e kram duniya me jalwagar hue, Pehle NABI Hazrat Adam Alaihissalam aur Aakhri NABI Sallallaho Alaihi Wa Sallam. NABI e Paak kay baad Nabuwat ko Khatam farmadiya. Yaha per nabuwat ka silsila khatam hogaya aur naahi koi kitab naazil ki jayegi, ab qayamat tak koi Rasool aur Nabi na aayega, magar HAADI aate rahege.
Haadi kaun jo Rasool Sallallaho Alaihi Wa Sallam ki ummat kay ullema hogi, wali honge, saleheen honge, jo ummat ki hidayat kay liye aate rahege, lekin NABI nahi aayege.
Lihaza NABI ne farmaya mere baad koi NABI nahi hai magar yeh kay mere baad meri ummat kay waris mere ullema hai, meri ummat kay aalim e deen mere waris hai jo mere ilm ki wirasat ko logo tak muttakin karege, logo me felayege, toh yeh baate RAsul ALLAH Sallallaho Alaihi Wa Sallam ki is taraf ishara karti hai meri ummat kay logo me kuch khamiiya rahegi jiske liye haadi ki zarurat padegi, hidayat karne walo ki zarurat padhte rahegi
Chunanche yehi wajah hai ki qaum ki islah kay liye ek Jamaat tayar ki jaaye, humne dekha kay Qaumo’n me burai hai Namaz nahi padh rahe hai, Namaz se gafil hai halake Namaz azim shaan chiz hai ki Quran me ALLAH taala ne farmaya “ wa aki mussalat” aur 72 jagah “wa aki mussalat” kehkar ALLAH ne farmaya ki Namaz ko qayam karo. Namaz kay taluq se chand aayat

Quran se :
Para no. 5 Surah Nisa aayat no.103 & Para no. 21 Surah Ankaboot aayat no.45
NABI Sallallaho Alaihi Wa Sallam ne farmaya “Namaz meri aankhon ki thandak hai” “Namaz Momin ke meraj hai”
Humne dekha ki Qaum dawedaar hai ALLAH se mohabbat ki, NABI se Mohabbat ki, buzurog’n se Mohabbat ki lekin Namaz se gaafil hai, Log Biddat me padgaye , log Shirk me mubtila hogaye hai, halake NABI Sallallaho Alaihi Wa Sallam ne harbar kaha Shirk na karna mubtila na hona, shirk aisi chiz hai jo tumhe tabah kardegi, shirk aisi chiz hai jo tumhe barbaad kardegi, ALLAH taala har chiz maaf kardega lekin shirk ko maaf nahi karega, magar humne dekha log qabro ko sajda karte hai shirk karte hai, log niyaz or urs kay naam per shirk me mubtila hogaye hai , log biddto’n ko karrahe hai, woh kaam kar rahe hai jo NABI Sallallaho Alaihi Wa Sallam ne kaha nahi tha, NABI Sallallaho Alaihi Wa Sallam ne mana kiya, jin kaamo se mana kiya ummat usi me mubtila hogai, ab hua yeh ki ummat ki hidayat kaun kare ? is qaum ko kaun samjhaye ? is qaum ko kaun raah per laaye , toh zarurat hui ki ek Jamaat banai jaaye, ek aisi tehreek shuru ki jaaye kay jo logo ko Namaz ki taraf bulaye , kalme ki taraf bulaye lihaza hua yeh ki qaum kay jab is haal ko dekha toh unke dil bade udne lage, badi taklif hui inke dilko kay qaum gumrahiyat ki taraf kyu jaa rahi hai.toh is qaum ko hidayat per laane kay liye ek Jamaat tayar ki jaaye aur us Jamaat ka maqsad yeh hoga ki unhe hidayat ki taraf laaye , deen ki taraf laaye, Ambiya ki taalimat ki taraf laaye, chunanche yeh hua ki MOLVI ILYAS KANDHELVI ek aalim e deen guzre jo delhi kay rehne wale the, Maulana Ashraf Ali thanvi kay rishte me bhi hote the, Darul uloom Deoband se padha bhi tha inhone, unka dil bada udne laga qaum ki is halat ko dekhkar , woh tadap gaye, bechain hogaye, unhone ek Jamaat qayam ki aur isi ka naam unhone rakha “Tabligi Jamaat” Delhi ki nizamuddin new basti me unhone buniyad rakhi aur Jamaat ko jab unhone qayam kiya toh mohalle mohalle woh gaye, gasht kiya unhone, Gasht karke samjhaya maulana Ilyas kandhelvi ne logo ki dekho shirk ki taraf mat jao, dekho biddat na karo, dekho namaz ko na chodo, aao me tumhe Quran ki sahi taalim sikhata hu, kalma sikhata hu, namaz padhna sikhata hu, is tarah logo ko apni taraf bulaya, benamazi ko namazi banaya aur yehi nahi inhone itna bade kaam anjam diya maulana Ilyas kandhelvi ne ki sharabiyo ki sharab chudadi fir inhe ALLAH ki taraf ruju karwa diya, masjid bhargai, woh masjid jaha 2-3 saff mushkil se banti thi aaj halat yeh hai ki un ilaako me jaaker dekhe masjide khachakhach bhari hai, kai mulko me Tabligi Jamaat ka kaam chal raha hai.Sab jagah Tabligi Jamaat ki bahare hai, har koi jagah Tabligi Jamaat ka faiz aam hai aur Tabligi Jamaat NABI Sallallaho Alaihi Wa Sallam ki is hadees per mukammal amal kar rahi hai “pahuchado meri jaanib se ki agar tum ek baat bhi jaante ho”toh sunnato’n ko aam kiya jaa raha hai, Jo pant shirt kay aadi the, Tabligi Jamaat waha gai unhe samjhaya bhai yeh Islami libas nahi , yeh Sunnati Libas nahi, logo ki samaj me aaya, logo ne daadiya rakhna shuru kardi, logo ne meswak rakhna shuru kardiya, logo ne kurta payjama pahenna shuru kardiya, woh log jo kal tak angrezi culture ko zyada pasand karte the , Tabligi Jamaat kay kaam itna urooj per aaya ki bahut se faiz ummat tak pahucha, jaha yeh Jamaat gai waha log namazi hogaye, sunnato’n kay paband hogaye.

YEH WOH DAAWAA HAI JO TABLIGI JAMAAT KARTE HAI, YEH JO BHI MAINE UPAR LIKHA YEH SAARI GUFTUGU AAPKO TABLIGI JAMAAT KAY AFRAAD SUNATE FIREGE.
Tabligi Jamaat ka jo Daawa hai aaye unhi ki kitaab se dekhte hai, kabhi kisi ne suna hai kay koi Jamaat apne aap ko baatil kehti ho ?? har Jamaat daawa karti hai ki woh Haq per hai aur jabbhi koi Jamaat banti hai toh woh apna maqsad batati hai, aaye hum dekhte hai Tabligi Jamaat ka daawa Haq hai ya Baatil.

Yeh Kitab Hazrat Maulana Mohammad Ilyas kandhlevi aur unke deeni daawat, Likhne wala Maulana Sayed Abul Hasan Nadvi, idaara ishyat e deeniyat pvt. Ltd. Delhi se kitab chapi hai, isme Maulana ilyas ki ek majlis ka haal bayan karte hai.
“Ek martaba apne aziz Maulvi zahirul hasan sahab (M.A. ALIG) se farmate hai jo ek wasiunnazar aalim hai.”zahirulhasan mera muddaa koi paata nahi , log samajte hai kay yeh Tehreek e Salat hai, me Qasam se kehta hu kay yeh Hargiz Tahreek e salat nahi” Ek roz Badi Hasrat se farmaya kay “Miya Zahirulhasan ek Nai(new) Qaum paida karni hai.
Jo bichare aam log Tabligi Jamaat kay jaal me fas jaate hai aur sochte hai ki yeh tehreek e salat hai jo Namaz ki taraf bulate hai, jo ikhtilaf se qauso’n dooor hai yeh itni acchi tehreek jise log samajte hai asal me yeh koi tehreek e salat nahi.log samajte hai Tabligi Jamaat bada accha kaam karti hai lekin khud Maulvi ilyas kandhelvi kehta hai “zahirulhasan mera muddaa yaani mera asal maqsad koi paata nahi” , asal maqsad toh ek new qaum paida karni hai.ab is new qaum, firqa, Jamaat ka mission , khayalat kya honge, hum inhi ki kitaab se dikhate hai.
Qasam uski jiske Haatho’n me meri jaan hai koi Tabligi Jamaat aakar kehde ki yeh kitaabein humari nahi aur saabit karde, Hum unki ghulami karege ta umar.

Malfoozat ka maana toh sabko pata hi hoga, Iska maana hai jo bhi mehfil me taqreer wagaira hoti hai use kitab ki shakal dena.aur is kitab me Maulana Ilyas ki tamam taqreer isme darj hai.
Ab yaha dekhe aur scan page kay barobar baju me mene likha hai ki Maulana ilyas kandhelvi ne kaha “Hazrat Maulana thanvi rehmutulla alaih ne bahut bada kaam kiya hai, bas mera dil yeh chahta hai kay taalim inki ho aur tarika mera ho kay is tarah inki taalim aam hojayegi.”

Ab Maulana kandhlevi ki kitaabo se 2 Maqsad saamne aagaye
1) Ek New Qaum paida karni hai
2) Ashraf Ali Thanvi ki taaleem ko aam karna hai.
Ab aaye hum Ashraf Ali thanvi ki kitaabo’n ki taraf ruju karte hai woh Taleem dekhte hai jise Maulana ilyas kandhelvi jise aam karna chahte hai.inhi kay ghar ki kitaabein hai.

Hifzul Imaan iska matlab hai Imaan ki hifazat karne wali kitaab bahut choti si kitaab hai lekin bada bawaal macha rakha hai isne, Kisi ne Ashraf Ali thanvi se Kisi ne sawaal pucha

Sawaal:

Ek shaks hai woh daawa karta hai kay ilm e Ghaib 2 qism ka hota hai 1) Ghaib jo Qul hai woh ALLAH hi ki zaat hai aur kuch baaz baato’n ka ilm hona yeh rasul ALLAH Sallallaho Alaihi Wa Sallam kay liye hai, aisa aqeedah sahi hai ya galat???
Jawaab Maulana Ashraf Ali thanvi dete hai safa no. 15 per: Aapki zaate muqaddasa per ilm e Ghaib ka hukum kiya jaana agar baqaul zaid sahi ho toh daryaft talab yeh amr hai kay is Ghaib se murad baaz Ghaib hai ya Qul Ghaib hai.Agar baaz uloom ghaibiya se muraad hai toh isme Huzur Sallallaho Alaihi Wa Sallam ki kya takhsees hai, aisa ilm e Ghaib toh zaid wa amr wa balki har sabee (bacho) wa majnoon (paagal) balke jamiee haivanat wa bahaiem kay liye bhi haasil hai.
MAAZ ALLAH isi kitab per Imam Ahmed raza ne kufr ka fatwa bhi diya hai.fir yeh hum se kehte hai ki hum inhe kafir kyu kehte hai??? aur yehi Taleem Maulana Ilyas kandhelvi aam karna chahte hai. Waise aage aur bhi taalem dekhne milegi.
Chaliye jo Jawaab maulana Ashraf Ali thanvi ne diya aur yeh Jawaab Tabligi Jamaat kay nazdeek haq hai toh me is Jawaab ko thoda sa change karduga, sirf NABI Sallallaho Alaihi Wa Sallam ki jagah me ashraf Ali ka naam daal deta hu.
“Aapki zaate muqaddasa per aalim e deen ka hukum kiya jaana agar baqaul zaid sahi ho toh daryaft talab yeh amr hai kay is Aalim e deen se murad baaz Ilm hai ya Qul ilm hai.Agar baaz Ilm se muraad hai toh isme Ashraf Ali thanvi ki kya takhsees hai, aisa ilm toh zaid wa amr wa balki har sabee (bacho) wa majnoon (paagal) balke jamiee haivanat wa bahaiem wa kutta wa suwar har janwar kay liye bhi haasil hai”.
Mujhe yaqeen yeh Jawaab Tabligi Jamaat ko haq nahi lagega kyuke yeh inke hakimul ummat hai lekin NABI Sallallaho Alaihi Wa Sallam kay liye sab thik MAZ ALLAH.aur yeh hai Maulana Ashraf Ali thanvi ki taaleem jise Maulana Ilyas kandhelvi aam karna chahte hai.
Ab aaye hum Quran shareef me dekhte hai ki ALLAH taala ne NABI Sallallaho Alaihi Wa Sallam ko kaisa ilm diya.
Para no. 30 SurahTaqveer aayat no.24: Tarjuma: “aur yeh Nabi Ghaib batane me Bakheel nahi”
Aur yeh Ashraf Ali kehta hai jitna janwaro, paglo ko ilm hai utna NABI Sallallaho Alaihi Wa Sallam ko hai MAZ ALLAH.compare karle sab yeh taleem hai deoband ki.
Para no. 27 Surah e rehman aayat no. 1-4 :

Tarjuma :

Rehman, jisne Quran naazil kiya, Insaniyat ki jaan mohammed ko paida kiya, aur apne mehboob ko bayan karna sikhaya(makaan wa mayakoon ka ilm sikhaya)
Ab yaha ALLAH taala ne khud RAsul ALLAH ko sikhaya aur Ashraf Ali thanvi kehta hai aisa ilm toh janwaro ko bhi hai MAZ ALLAH.Kis ki tauheen hui yeh ab?? Ab tauheen ki baat badkar ALLAH tak pahuch gai. NAUZBILLAH.
Para no. 5 Surah e Nisa aayat no. 113:

Tarjuma:

“Aur tum ko Sikha diya jo kuch tum na jaante the, aur ALLAH ka tum par bara fazal hai".
Ab ALLAH taala ne sab batadiya jo kuch aap na jaante the toh kya ALLAH taala ne jaanwaro kay barabar batadiya?? MAZ ALLAH NAUZBILLAH aisi Taaleem hai Ashraf Ali thanvi ki jise aam karna tha MAulana ilyas kandhelvi ko.
Toh is kitaab me Imaan ki Hifazat nahi balke Tauheen hai NABI Sallallaho Alaihi Wa Sallam ki.
Ab dekhte hai inke Nazdeek Imaan kya hai.

Maulana Gaus ali shah sahab deoband ek bade aalim hai, Maulana Ashraf Ali thanvi k akabir me yeh aate the, aur inki badi taazeem karte the.

Yeh Maulana Ashraf Ali thanvi ki Malfozaat hai jo 5 jildo’n me chapi hai. Iska safa no. 526 per gaur kare kya likha hai, mene use scan page kay bilkul niche roman englih me bhi likha hai.Yeh hai inke nazdeek Imaan ki taarif hai ki pait bhar kay roti miljaye.
Lekin Hum Ahle Sunnat wal Jamaat kay nazdeek Imaan ka matlab kya hai??
Padhe Sahi Bukhari jild 1 Kitabul Imaan Hadees no. 14.
حدثنا أبو اليمان،‏‏‏‏ قال أخبرنا شعيب،‏‏‏‏ قال حدثنا أبو الزناد،‏‏‏‏ عن الأعرج،‏‏‏‏ عن أبي هريرة ـ رضى الله عنه ـ أن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال ‏"‏ فوالذي نفسي بيده لا يؤمن أحدكم حتى أكون أحب إليه من والده وولده ‏"‏‏.
ہم سے ابوالیمان نے حدیث بیان کی ، ان کو شعیب نے ، ان کو ابولزناد نے اعرج سے ، انھوں نے حضرت ابوہریرہ رضی اللہ عنہ سے نقل کی کہ بیشک رسول کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، قسم ہے اس ذات کی جس کے ہاتھ میں میری جان ہے۔ تم میں سے کوئی بھی ایماندار نہ ہو گا جب تک میں اس کے والد اور اولاد سے بھی زیادہ اس کا محبوب نہ بن جاؤں۔

Hazrat Abu huraira radialla taala anhu se riwayat hai kay Beshak Rasool e akram Sallallaho Alaihi Wa Sallam ne farmaya, Qasam hai us zaat ki jiskay haatho’n me meri jaan hai, tumme se koi bhi Imaandar na hoga jab tak me uske walid o aulaad se bhi zyada uska mehboob na banjao.

Toh aapne padha ki Imaan Nabi se mohabbat ko kehte hai lekin Deoband ki Taleem dekh rahe hai. Imaan pait bhar kay roti miljaye ise kehte hai aur aakhirat kya hai toh Khul kar paakhana hojaye.jabke Humare Ahle Sunnat kay nazdeek akhirat me NABI Sallallaho Alaihi Wa Sallam ki shafat mayassar hojaye yeh hai aur hum hamesha yehi dua karte hai jaisa ki Quran me bhi aaya hai

Para no. 5 Surah e Nisa Aayat no.64 padhe.
Lekin deoband ki taleem dekhle Jise Maulana Kandhelvi ko felana tha apne tarike se.
Ab Dekhte hai Maulana Ashraf Ali thanvi ki dusri Malfoozat Qamalate Ashrafiya.
NOTE:
Ashrafiya isliye kyukay yeh Ashraf Ali hai isliye warna aap samjhoge ki yeh Ashrafi silsile se mureed hai.Na iski itni acchi naseeb nahi.
Kamalate Ashrafiya chapi hai Daare talifate ashrafiya muzaffar nagar U.P se.

Safa no. 416 per likhte hai
Log toh kefiyaat kay piche padhe hue hai aur Lazzat ki taalib hai, Hai toh fahesh baat magar me toh is lazzat ki talab per yeh kaha karta hu agar mazi ki khwaish hai toh miya maza toh mazi me hai.
Safa no. 417 jo cont. ibarat hai
Biwi ko Bagal me lekar bait jao chumo chaato, mazi niklegi bahut maza aayega.
Yeh kiski Tauheen horahi hai??? Yeh Zikre Ilahi ki tauheen hai.Log zikr karte hai kefiyaat aur lazzat milti hai lekin Ashraf Ali thanvi sahab ko lazzat mazi me milti hai.
Ek hoti hai Mazi aur Dusri Hoti hai Mani, aur dono ka taaluk ek hi jagah se hota hai.baaki sab samajdaar hai me ise zyada explain na karuga.
Aur Quran me ALLAH taala ne farmaya
Para no. 13 Surah e Raad aayat no.28
Tarjuma :
Khabardaar hojao ALLAH kay zikr me Dil ka chain hai.
Toh saabit hua ki yaha Tauheen zikrullah ki horahi hai aur yeh hai Taaleemate Maulana Ashraf Ali thanvi.
Chalo aaiye Inhe zikrullah me maza nahi aata, Inhe Zikrullah se kuch nahi milta toh aage dekhte hai.
Yeh Deoband hamesha Hum Ahle Sunnat ko pakad pakad kar puchte hai ki tum Niyaz karte ho sawaab, tum dargah gaye sawab, qabristan gaye sawaab, ful chadar chadaye sawaab etc etc yeh sab Hadees me kaha hai?? lekin yeh log apne ghar ki kitaab kabhi nahi padhte.

Ashraf us sawaneh Jild 2 Hazrat Khwaja Azizul hasan gauri majzub az akabir khulfaye hakimul ummat Hazrat Thanvi.
Yaani yeh khulfa me sabse bade khalifa the aur yeh kitab mustanad kitab hai, kya likhte hai isme.
Ek baar Ishq o Mohabbat kay josh me Hazrat e wala se bahut jijhakte aur sharmate hue dabi zaban se arz kiya kay Hazrat ek bahut hi behuda khayal dil me baar baar aata hai, jisko zaahir karte hue bhi nihayati sharam daamangir hoti hai aur jurrat nahi padhti, Hazrat e wala us waqt namaz kay liye apne saidari se uthkar masjid kay andar tashreef le jaa rahe the, farmaya kahiye kahiye, haqeer ne gaayat sharam se sir jhukaye hue arz kiya kay mere dil me baar baar khayal aata hai kay kash me aurat hota, huzur kay nikah me hota, Is ishare mohabbat per Hazrat e wala gaayat darje masrur hokar be ikhtiyar hasne lage aur yeh farmate hue masjid kay andar tashreef le gaye “Yeh aapki mohabbat hai sawab milega sawab milega, Insha ALLAH taala”.
Inke yaha sawaab milta haiThanvi sahab ki dulhan banne per.Thanvi sahab ki taalem hai jo yeh khayal karega usko sawaab milega.
Chaliye aage dekhte hai inki aur bhi kitaabo’n me inki taaleeem kay bare kya kya likha hai.

Ek hi kitaab se do hawale mene ek saath rakh diye hai jiska mene color bhi hara aur badami rakha hai, pehla hara wala waqya dekhte hai.
Al ifazatul yaumiya min al ifazatul qaumiya Jild 5 safa no. 108, qist no.1 Malfooz no. 108
Rampur me Hazrat Maulana Gangohi ne ek waqaa per talaq kay muta’lik koi fatwa diya tha, kisi aurat ne Quran shareef ka tarjuma padhkar is kay khilaf yeh fatwa dediya kay Quran me yeh likha hai, Hakim ziyauddin sahab rehmutullah alaih se kisi ne bayan kiya farmaya kehdo kiya jaane masla chaddo kahi ki , kehdo use kay agar zaban darazi karegi toh naak choti kaat di jayegi
Yeh Taaleeem hai Deoband ki aur yeh tareeka hai ek aurat se baat karne ka aur aisi taalem ka daawa karte hai deoband jise yeh ummat me failana chahte hai.
Ab dusri Ibarat jo Badami color se highlight ki hai mene.
Maulana Ashraf Ali thanvi sahab kehte hai
ek waqya unhi mamu sahab ka aur yaad aaya.
Waqya : awwal baar kaanpur me tashrif laaye toh chunke kay jale bhune bahut the, unke baato se log mutassir hue hai, Abdul Rehman khan sahab malik e matbae nizami bhi inse milne aaye aur unki hiqayat wa marifat sunkar bahut muttakid hue, arz kiya Hazrat waaz farmaiyye taake sab musalman munaffaye ho, mamu sahab ne iska Jawaab ajeeb azaa daana rin daana diya, kaha kay khan sahab me aur waaz, sulahkar kuja wa mann kharab kuja, fir bahut zyada israr kiya toh kaha kay haa estarah se keh sakta hu iska intezaam kar lijiyega.Abdul rehman khan sahab bechare matin buzurg the, samjhe aisa tareeka kya hoga jiska intezaam na ho sake, yeh sunkar bahut istiyak kay saath pucha kay Hazrat tarika e khas kya hai, mamu sahab bole me bilkul nanga hokar bazaar niklu, is tarah kay ek shaks toh aage se mera uzwa e tanasul pakad kar khinche aur dusra piche se ungli kare saath me ladko ki fauj ho aur woh yeh shor machete jaaye bhadwa hai re bhadwa bhadwa hai re bhadwa bhadwa hai re bhadwa.
Kya taalem hai, taqreer waaz kya hota hai  ALLAH Rasul ki baate logo me batana aur inke mamu sahab ALLAH taala ki baato ko logo tak pahuchane kay liye Nanga jauga, kya taaleem hai jise awaam me felana hai.Astagfirullah.
Ek bhi Hawala Galat saabit kardo Deobandiyo’n Ghulami karuga warna khula challenge hai aajaye.
Yehi taaleem chahiye deoband aalim kay log bole bhadwa hai re bhadwa bhadwa hai re bhadwa aur toh woh waaz karega.Aisi taaleem aam karege deoband.
Ab chaliye thanvi sahab kay khud jumle sunlijiye kay unka ilmi aalam kya tha.

Jab Deoband me bada jalsa hua tha usme mujhse Hazrat maulana deobandi rehmutullah alaih ne farmaya tha kay is jalse me Huzur Sallallaho Alaihi Wa Sallam kay fazail bayan karna munasib hai yeh Hazrat maulana ka farman is khayal se tha kay bada majma hai har qisam kay aqaid kay log aitraaf se aaye hue hai jin me baaz woh bhi hai kay hum logo kay mutalik yeh khayal kiye hue hai kay in kay dil me huzur Sallallaho Alaihi Wa Sallam ki azmat nahi.NAuzbillah.toh aise log rasul ALLAH Sallallaho Alaihi Wa Sallam kay fazail sunkar yeh samaj jayege kay huzyr Sallallaho Alaihi Wa Sallam kay mutalik in kay yeh khayalat hai, mene arz kiya kay aise bayan me riwayaat kay yaad hone ki zarurat hai aur riwayaat mujko mehfooz nahi, meri riwayaat per nazar bahut kam hai.
Yeh Thanvi sahab ka ilmi level hai ki NABI Sallallaho Alaihi Wa Sallam ki fazilat me inko riwayat nahi maalum, riwayat per inki nazar kam hai toh jis shaks ko NABI Sallallaho Alaihi Wa Sallam ki fazilat ki hadees nahi maalum, riwayat nahi malum uski taaleem ko maulana kandhelvi kya khaak aam karege.Haathi kay daant dikhane kay kuch aur khane kay kuch aur.Inhe fazilat yaad nahi aur maulana kandhelvi kehte hai bahut bada kaam kiya hai, wah kya kaam kiya hai Hakim ul ummat ne riwayaat hi bhul gaye.
Ab aage dekhte hai.

Barahinu qatata kitaab ka naam is naam ka matlab hai woh daleel jiski koi kaat nahi koi radd nahi kar sakta, jise hum Nass e qatai kehte.
Likhte hai
Madarsa e deoband ki azmat Haq taala ki dargah e paak me bahut hai kay sadha aali yaha se padhkar gaye aur khalk e kasir ko zulmat zalalat se nikala yehi sabab hai kay ek saleh fakhar e aalam Alaihissalam ki ziyarat se khwaab me musharraf hua toh aapko urdu me kalaam karte dekha aur pucha kay aap Sallallaho Alaihi Wa Sallam ko yeh kalaam kaha se aagai, aap toh arbi hai, farmaya kay jab se ulma e madarsa deoband se humara muamla hua humko yeh zaban aagai, Subhan ALLAH, isse rutba is madarse ka malum hua.
Yeh yaha kya batana chahte hai?? yeh batana chahte hai ki Madarsa e deoband ka maqaam itna ucha hai ki Urdu zabaan sikhne kay liye NABI Sallallaho Alaihi Wa Sallam Madarsa e deoband me aaya karte the, MAz ALLAH.kaha se I Urdu NABI Sallallaho Alaihi Wa Sallam ko toh kehte hai jabse humara muamla ullema e madarsa deoband se hua yaani jab se NABI Sallallaho Alaihi Wa Sallam ullema e deoband kay saath uthne baithne lage unse urdu zaban sikhli.
Lekin Quran kehta hai
Para no. 27 Surah e rehman aayat no. 1-4
Tarjuma :
Rehman, jisne Quran naazil kiya, Insaniyat ki jaan mohammed ko paida kiya, aur apne mehboob ko bayan karna sikhaya(makaan wa mayakoon ka ilm sikhaya)
Para no. 5 Surah e Nisa aayat no. 113
Tarjuma :
“Aur tum ko Sikha diya jo kuch tum na jaante the, aur ALLAH ka tum par bara fazal hai".
Toh is aayat ko lekar deoband shayad yeh kehna chahte hai ki KHUDA NABI Sallallaho Alaihi Wa Sallam ko urdu sikhana bhul gaya tha isliye madarsa e deoband aana padha.
NAUZBILLAH min zaalik.
Aage dekhe in deoband ki ek kitab taqviyatul imaan me kehte hai ki NABI Sallallaho Alaihi Wa Sallam marker mitti mil Gaye aur dusri kitab kehti hai Urdu sikhne deoband aagaye iska bhi scan niche hai.

Aur yeh apna statement har editon me changes karte hai taake kisi ko maalum na padhe. yeh dekhe iska sabut.

Jab hum Sunni NABI Sallallaho Alaihi Wa Sallam ko madad kay liye pukare Imdad kay liye pukare Hazir Naazir mane toh shirk ki machine chal jaati hai lekin madarsa e deoband ka rutba badana ho toh Nabi Sallallaho Alaihi Wa Sallam ko urdu sikhane madarsa hi bula liya.yeh hai aqeede ka dogla pann.
Inka Aqeeda inhe hi Mubarak ho humara aqeedah kya hai.
Qasasul ambiya jise ALLAMA Ibn Kaseer ne likha hai jo in wahbiyon kay nazdeek moatbaar hai. Safa no. 553 per likhte hai.
Hazrat Suleman Alaihissalam apne lashkar kay saath nikle dekha ki ek chidiya aur chida(yaani ladki aur ladka) dono aapas me guftugu kar rahe hai, tab Hazrat Suleman Alaihissalam dekhte hai aur muskura dete hai , aapke sathiyo’n ne kaha a ALLAH kay nabi Suleman, aap kis baat per muskura rahe ho, kaha inki baat ko jaante ho kya kehrahe hai, unhone kaha hum nahi jaante hai, ALLAH behter jaane, aap behter jaane, Hum nahi jaante, farmate hai me is baat per hasa ki yeh chida is chidiya se kehta hai ki tu mujhse shaadi karle, tu meri hoja me misr e hairaan me teri liye ghosla bana duga.
Toh pata chala ki Hazrat Suleman Alaihissalam parindo ki basha bhi samajte hai aur humare NABI Sallallaho Alaihi Wa Sallam jinka martaba Hazrat Suleman Alaihissalam se uche me ucha hai unhe Urdu nahi aati thi, deoband ne humare NABI ko itna mohtaj banadiya kay urdu nahi aati thi.MAZ ALLAH.
Aur in deoband ki Urdu ka aalam dekho ibarat me likha hai: YA RASUL ALLAH yeh kalam aapko kaha se aagai. “Aagai” yeh mua’nnas hai aur kalam muzakkar hai.sahi lafz “aagaya” hona chahiye tha lekin inki jahalat aur aisi laanat padhi kay inki Urdu hi kharab hogai aur yeh dusre ko sikhayege.
Aur fir yeh daawah kiye karte hai aur yehi taaleem ko aam karne ki baat karte hai.
Aur yeh toh kuch bhi nahi, Deoband apna aqeedah saabit karne kay liye buzurgon per tohmat bhi baandhte hai, aaiye hum daleel dekhte hai.

Kya likhte hai Khalee Ambhetvi kay
“aur shah Abdul Haq riwayat karte hai ki Mujhko deewar kay piche ka bhi ilm nahi”.
Yaani yeh Khaleel janab kehte hai Shah Abdul Haq ne riwayat likhi hai ki NABI Sallallaho Alaihi Wa Sallam ne farmaya mujhe deewar kay piche ka bhi ilm nahi.aur yeh kiske khate me daaldiya
Hazrat Shah Abdul Haq muhaddis dehlvi kay khate me daaldiya.
Challenge hai
Shah Abdul Haq Muhaddis Dehlvi ne kis kitab me yeh riwayat likhi hai woh kitaab hume dikhado laakar, zindagi bhar tumhari ghulami karuga.
Itne bekar log hai yeh ki apna jhuta aqeedah saabit karne kay liye buzurgo’n ka Sahara lete hai.
Ab dekhte hai ki Shah Abdul Haq muhaddis dehlvi ki kitaab madarajin nabuwat me kya likhte hai :

Farsi zaban me hai 2 jildo me aati hai iska safa no. 7 hai.

Tarjuma:
Baaz log yeh ashkal paida karte hai kay baaz riwayato’n me yeh aaya kay ALLAH kay NABI Sallallaho Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya, me ALLAH ka ek banda hu, me nahi jaanta kay is deewar kay piche kya hai, iske Jawaab me hum yeh kehna chahte hai ki is riwayat, hadees ki koi asal hai hi nahi.
Isse saabit hua ki is Jamaat ka buzurog’n per bohtan baandhna aur apne aapko haq saabit karne kay liye dusre buzurgon per bohtan baandhti hai aur aaj tak yeh apni kitabo’n me chaapte aarahe hai.
Ab Humara Aqeeda dekhte Hadees se.

Aur deoband kehta hai Deewar kay piche ka nahi dikhta lekin Sarkar khud farmate hai ki Qaynat me aise dekhta hu jaise apni hatheli ko.ab kiski manne ka Deoband ki ya moatbaar Hadeeso’n ki???
Ek aur Hadees dekhte jise Imam Qastalani ne apni kitab me likha hai.

Aur deoband kehte hai Deewar kay piche ka nahi dikhta.ab kiski manne ka ?? yeh deoband aisi taaleem ko felayge jo Hadees kay khilaf hai.
Ab aaye aage padhte hai Deoband me ek aur bade aalim guzre hai jiski taareef hum maulana Ilyas kandhelvi ki zubani sunte hai.

Ab aaye dekhte hai Gangohi ka Aqeeda kya hai usi ki kitaab Tazkiratur rasheed me. Is kitaab kay likhne wale Maulana aashiq ilahi mitthiwale jinhone maulana rasheed gangohi ki halat e zindagi ko is kitab me utaara hai.

Tazkiratur rasheed Jild 1 safa no. 46 per likhte hai

Aala Hazrat(Haji Imdadullah) ki bhavaj ka husn aitikad aur mukhlisana bartav tha kay mehmano ka khana khud pakati thi aur kisi mehman kay na waqt aane se bhi kabhi tang dil nahi thi, ek din aala Hazrat ne khwab dekha kay apni bhavaj aapke mehmano ka khana paka rahi hai kay Janab Rasul Maqbul Sallallaho Alaihi Wa Sallam tashreef laye aur aapki bhavaj se farmaya “uth tu is qaabil nahi kay Imadadullah kay mehmano ka khana pakaye, uske mehmaan ullema hai uske mehmano ka khana me pakauga”

Kya yeh Tauheen nahi??

Ab aage aur dekhte hai same isi kitaab ki jild 2 me waqt kay qutub o mujadid Maulana Rasheed Gangohi sahab.

Ek roz Maulana khalil Ahmed sahab zaid majdahu ne daryaft kiya kay Hazrat yeh Hafiz latafat ali urf Hafiz mendu shaikh puri kaise shaks the, Hazrat ne Farmaya”Pukhta Kafir tha” aur uske baad muskurakar irshad farmaya kay “zamin ali jalal aabadi toh tauheed me gark the”
Note:
toh pata chala ki Zamin ali jalal aabadi tauheedi me gark the, ALLAH ALLAH kay zikr me dube hue the, ab aage ki ibarat padhte hai..kya likhte hai.
Ek baar irshad farmaya kay zamin ali jalal aabadi ki sarangpur me bahut randiya murid thi, ek baar sarangpur me kisi kay makaan per tehre hue the sab muridiniya apne miyan sahab ki ziyarat kay liye haazir hui magar ek randi nahi aai miya sahab bole kay Fulani kyu nahi aai ? randiyo’n ne Jawaab diya
“miya sahab humne use bahutra kaha kay chal miya sahab ki ziyarat ko, usne kaha me bahut gunahgaar hu aur bahut rusiya hu miya sahab ko kya muh dikhau me ziyarat kay qaabil nahi”
miya sahab ne kaha nahi ji tum use humare paas zarur laana chunanche randiya use lekar aai jab woh saamne aai toh miya sahab ne pucha, Bi tum kyu nahi aai thi?? Usne kaha Hazrat rusiya ki wajah se ziyarat ko aati hui sharmati hu, miya sahab bole
“Bi tum sharmati kyu ho KARNE WALA KAUN AUR KARANE WALA KAUN WOH TOH WAHI HAI”
randi yeh sunkar aag hogai aur khafa hokar kaha lahaula wala kuwat agarche me rusiya wa gunahgaar hu magar aise peer kay muh per peshab bhi nahi karti, miya sahab toh sharminda hokar sarmagoon rehgaye aur woh uthkar chaldi.
Ab toh Yeh Tauheen e ilahi hai aur kaun kar raha hai jo Tauheed me gark hai wohi kar raha hai, inka khud ka Imaan ka thikana nahi aur yeh dusre ko apni taaleem sikhayege.
Isme humne padha ki Randi ka aqeedah is aalim se behter hai kyuke woh manti hai ki woh gunahgaar hai lekin jo tauheed me gark woh kehta hai “karne waala kaun karane wala kaun”
Chalo ab aur aage badhte hai...
Deoband ka madarsa kisne banaya????
Maulana Qasim Nanotvi sahab ne banaya aur syedna al Imam ul Kabir kehte hai yaani sabse bade Imam ab hum Imam Ahmed raza kehde toh inke muh tede hojate hai ki yeh paanchwa Imam kaha se aagaya lekin inke apne Qasim sahab ko Imam ul Kabir kehte hai.
Janaab Maulvi sahab (Qasim Nanotvee) ne aayam tafni (bachpan) me yeh khwaab dekha tha kay goya me ALLAH jalle shaanu ki godd me baitha hu.
Isko chaap kar yeh batana chahte hai ki ALLAH taala kay bhi haath pair hai jaise insaan kay aur yeh godd me baithe hue hai aur humara rabb toh jism o jismaniyaat se paak hai woh baithne se paak uthne se paak chalne se paak firne se paak chadne se paak utarne se paak woh Hayyul Qayyum hai aur yeh Deoband ka rabb hai jo jism rakhta hai uski godd bhi hai.
Maulana Qasim Nanotvee ki ek aur kitaab dekhte hai.

Maz ALLAH Nauzbillah. Yeh haal hai Deoband ka ki Ummat ka amal Ambiya se zyada hojaata hai.
Ab sune NABI Sallallaho Alaihi Wa Sallam ne farmaya “jab me namaz me hota hu toh apne rabb ki bargah me hota hu”
Kya yeh salahiyat Deoband me hai?? Duniya kay kisi bhi shaks me hai??
Hazrat Abu hurayrah radialla taala anhu se riwayat hai “NABI Sallallaho Alaihi Wa Sallam ek dafa Hazrat Jibrael Alaihissalam se pucha, tumhari umar kitni hai ? Hazrat Jibrael Alaihissalam ne Jawaab arz kiya “mujhe yaad nahi lekin itna pata hai ki sar e arsh per ek sitara hota tha jo 70000 saal baad dobara dikhai deta aur mene use 72000 martaba dekha, Sarkar ne farmaya agar woh sitara dekhloge toh pehchanoge? Hazrat Jibrael Alaihissalam ne haa kaha aur sarkar ne jab apna amama utara toh peshani me woh sitara nazar aaya aur sarkar ne farmaya woh sitara me hu, Me ALLAH ki bargah me jab sajda karta toh 70000 saal kay baad hi apne sir ko utha jise tumne dekha fir me dobara sajda karta.
Imam Bukhari in Tarikh-ul-Kabir, Imam an-Nubhani in Jawahirul-Nihar, Imam Ismail al-Haqqi in Tafsir ruhul-Bayan
Siratul halbiya (Imam Burhanuddin Halbi) jild 1 page no. 30
Nashrut teeb (Maulvi Ashraf Ali thanvi) page no. 917.
Toh pata chala ki sarkar ka ek sajda puri qaynat kay ummati kay sajde kay barabar nahi hosakta lekin deoband kay nazdik ummati kay amal badh jaate hai.
Ab in deoband ko NABi se kitni nafrat hai dekhte hai.
Seerate mustaqeem safa no. 167 likhne wala Maulana Ismail Dehlvi sahab hai.

Likhte hai
Zina kay waswase apni BIBI ki majamat(sohbat) ka khayal behter hai aur shaikh(peer) ya isi jaisi aur buzurgo’n ki taraf khwa janab e risalat (Sallallaho Alaihi Wa Sallam ) ma’ab hi ho apni himmat ko laga dena apne bail aur gadhe ki soorat me mustagrak hone se bura hai.
Maz ALLAH. Bail ka khayal lalena gadhe ka khayal lalena magar NABI ka na laana.
Yeh Tauheen hai ya nahi???
Ab Maulana Ismail Dehlvi ki ek aur mashoor kitab dekhte hai.

In Deobandi kay nazdeek ALLAH taala Makkari karta hai safa 76 MAz ALLAH NAUZBILLAH. Aaye Firozul lughat dekhte hai.

Astagfirullah ek bhi maana makr ka accha nahi aur yeh deobandi aqeedah hai.
Toh pata chala ki Deoband kay nazdeek ALLAH makkari karta hai aur jo log gairullah se mangte hai unki haajat puri karta hai.
Ab ek mashur hadees padhte hai jis per koi ikhtilaf nahi aur us hadees ko sab maante hai :
Hadees e Paak ka mehfum hai NABI e Karim Sallallaho Alaihi Wa Sallam ne farmaya meri ummat 73 firqe me batt jayegi jin me se sirf ek firqa jannati hoga baaki sab jahannam me, jannati firqa woh hoga jo meri aur mere sahaba ke tarike per chalne wala hoga.
Abu Dawood Hadees 4596 aur tirmizi shareef jild 2 (abwabul iman) hadees 538 aur sunan nisai jild 2 , mishkat shareef , shoyebul imaan etc etc Hadees me maujud hai.
Conclusion

Humne Dekha Sarkar ne farma diya ki jannati woh hoga jo mere aur mere sahaba kay tareeke per hoga, toh bataye yeh Tabligi Jamaat urf Deoband kay Aqeede kya sahaba kay tareeke hai ????
kya Tauheedi hai ?? Aap logo ne padha ki
1) Imaan ka maana : Pait bhar kay roti mil jaana,
2) Akibat ka maana: Khul kar pakhana hojana.
3) Taalem: yeh hai ki Zikr me koi maza nahi, maza toh mazi me hai.
4) Nabi se badkar ummati kay amal.
5) Randiya mureed aur bohtan khuda per.
Etc etc etc.

Kya yeh sab aqeede Sahaba e kraam kay hai?? Kya yeh tareeka hai Sahaba e kram ka???
Tujhse aur Jannat se kya wahbi deobandi doooor ho, Hum Rasul ALLAH kay Jannat Rasul ALLAH ki Sallallaho Alaihi Wa Sallam .
Toh ab bataye ki Maulana Ilyas kandhelvi sahab apne tareeke se Maulana Ashraf Ali Thanvi ki taalem ko aam karna chahte hai aur yehi inka asal maqsad hai awaam ko bewakuf banana unhe Haq kay raste se hata kar behkana aur baaki aapne padhliya inka tareeka, inki taaleem etc etc.

Mujhe yaqeen hai ise padhkar log gumrahiyat se nikal kar Haq per aajayege. Aur jo NABI Sallallaho Alaihi Wa Sallam aur sahaba e kiram kay tareeke per chalne wali Jamaat AHLE SUNNAT WAL JAMAAT me aajayege.