async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Mazar par jana sunnat hai

Friday, March 4, 2016

Mazar par jana sunnat hai

mazar par jana sunnat hai
Har Sal awlia Allah ke parda farmane(urs)ke din unki mazarat ki ziyarat karna sunnat hai:

Hazrat Abu huraira radi Allahu anhu hazrat saad bin abi waqas radi Allahu anhu
Hazrat mohammed bin ibrahim radi Allahu anhu hazrat ukhb a bin omer radi Allahu anhu
se riwayat hai ke

huzoor(SALLALLA HI ALIHI WASALLAM)har saal shohda e uhad ki mazar par tashrif le jate aur unhe farmate tum par salam ho kyun ke tumne sabar kiya. Aur akhirat ka ghar kaisa achha hai.

Aur isi tarha hazrat abubakar radi Allahu anhu hazrat omer radi Allahu anhu
Hazrat Usman radi Allahu anhu
Hazrat ali radi Allahu anhu
bhi har sal shohda-e-uhad ke mazar-e-mubarak ki ziyarat karte the
>Sharah al sudoor pg210, >tafsir jamia al biyan13/ 96, >ibne kasir2/ 791, >tafsire kabir19/ 45, >qurtabi pg313 jild5 jaz9, musanif abdul razaak hadiss6814,baih aqi, umdatul qari sahi bukhari,tafsir ibne jurair)

Tabligijamat deobandar ahle hadis  log kehte hai har sal AwliaAllah ki mazarat ki ziyarat karna shirk  biddat hai (maazAllah)

Jab tumme se kisi ki koi shai gum ho jaye, ya tumme se koi Madad chaahe aur woh aisi jagah ho jaha uska koi madadgaar bhi na ho, to use chaahiye ke yu'n pukaare,aye ALLAH ke bando meri madad karo, aye ALLAH ke bando meri madad karo, yakinan ALLAH ke aise bhi bande hai jinhe hum dekh nahi, sakte aur ye aazmudah baat hai.

(tabara ni,f il muajjam ul kabir , jild 17, page 117, hadees 290)

Allah ke nek bandon ki jagah par jakar duwa mangna nabion ki sunnat hai:

hazrat Zakaria(Alaihis salaam)ko barso se tamanna thi ke unhe beta ho aur unhone kai bar Allah se duwa mangi yaha tak ke aap zahif ho chuke the.

jab unhone hazrat e maryam( radi Allahu anhu)ki ibadat ki jagah dekhi ke waha be mausam phal ate hai to us waqt unhone waha duwa mangi aur aap ki duwa qubol hogayi (para 3 al imran 37,39)

Ahle hadis, wahabi, deobandi, tabligi jamat ke log kehte hai Allah kr nek bandon ki jagah par jakar duwa mangna shirk hai. Ma'azallah

Azmat e awlia: Jab Allah kisi bande se mohabbat farmata hai.to hazrat e jibrail alaihissalam se farmata main falaan se mohabbat karta hun. tum bhi usse mohabbat karo.
phir jibrail alaihissalam asman me elan karte hai ke Allah falaan se mohabbat karta hai tum bi usse mohabbat karo phir asman wale bhi usse mohabbat karte hai phir uske liye zamin me maqboliyat rakh di jati hai (sahin muslim jild2 pg331)

is hadis se malum huwa ke awlia Allah se mohabbat karna Allah ki sunnat hai aur inse mohabbat karne walo se Allah khush hota hai. Aur shaitan Allah ke nek bando se nafrat karta hai jaise tabligi jamat aur ahle hadis ke log karte hain. Aur dekho ye wahabi deobandar kya kehte hai: Inke paas iskaa koi soboot hai kya???? : - >

Jis Urs main sirf QURA'AN parha jae , us main Shareek hona bhi durust nahin hain . (Fatawa E Rasheediya, PAGE#147, MOLVI RASHEED AHMED GANGOOHI)

Ab ap khud hi faisla karen kon Allah aur uske habib wala aur kon shaitan wala

Note, mazar shareef par jaya karen lekin bilkul adab ke saath dil aur dimag ko paak kar ke jaye karen mazar shareef par jakar koi aisi galati na kare jisse sahibe mazar par ungi uthe (matlab jitna ho sake utna adab baja layen

9 comments:

  1. Besak ALLAH Rabbul Alameen inke wasile se duo ko qubool ata farmae ta hai

    ReplyDelete
  2. Masha Allah. Very nice explanation. Allah aap ki hifazat kare.

    ReplyDelete
  3. Ek shakhs ne Facebook me awliya ke bare post kiya hai, ki unki mazaar me jana shirk hai, maazAllah,
    Ab ye post se uski bolti band karta hun,
    Sahi time pe ye post allah ka shukr hai

    ReplyDelete
  4. Nazar par jana koi shirk nhi hi but nazar par ja kar pir se mang ya pir meri takleef dur kr mujhe yeh dedo yh sab shirk hi

    ReplyDelete
    Replies
    1. Ye to Sahaba ka Aqeeda hai Hazrat Bilal bin Haris aur aik baddu ka waqiya bhool gaye aap pehle tahqeeq karo aap

      Delete