💥” TAZIYAH-DAAR AQEEDATAAN HUM MEIN SE HAIN “💥
Fatawa-e-Aala Hazrath{Radi Allahu Tala Anhu} Ka Mulahiza Karen..👇👇👇
“ Jabke Jama’at Ka Intezaam Sunni Hanafi As-haab Ne Kiya Aur Imaam Sunni Hanafi Jaami’ Sharaa-it Imaamat Hoga To Us Mein Bila-Shubhah Jamaa’at-e-Kaseer Ka Sawaab Milne Ki Umeed Waasiq (Pakki) Hai, Taaziyah-daari Ek Bid’at-e-Amali Hai Woh Is Had Tak Ke Uske Murtakib MazAllah Raafzi, Wahabi Waghairahum Khubsaa’Ki Misl Hon Ya MazAllah Unki Jama’at Jama’at Na Ho Ya Unse Ijtinaab(Parhez Karna) Aisa Hi Farz Ho Jaisa Un Khabeeson Se, Zaroriyaat-e-Deen Baalaa-e-Sar, Woh Aqaayid-e-Zarooriyah AhleSunnat Ke Bhi Munkir Nahin, Na Mehboobaan-e-Khuda Ki MazAllah Tauheen Karte Hain, Na Kisi Mehboob Bargah se MazAllah Dushmani Rakhte Hain, Phir Un Khabeeson Ko Inse Kya Nisbat, “Yeh Aqeedatan Hum Mein Se Hain” Or Jo Kuch Karte Hain Pesh-e-Nisat “YEH AQEEDATAAN HUM MEIN SE HAIN” Aur Jo Kuch Karte Hain Pesh-e-Khud Muhabbat-e Mehboobaan-e-Khuda Ki Niyaat Se Karte Hain, Baraah-e-Jahaalat-O-Nadaani Usmein Lahv-O-La’ib (Khel Kood) Wa Af’aal-e-Naa-Jayez Shaamil Karte Hain Lihaaza Unki Jama’at Par Hukm-e-Jama’at Na Maan-na Mahez Zulm Hai Aur Jab Uski Niyat Tamaashaa Dekhne Ki Nahin, Namaaz Baa-Jama’at-e-Kaseer Ki Niyaat Hai To Raastey Mein Un Cheezon Par Nigaah Padhne Ka Uspar Ilzaam Nahin Jaisa Ke Zamana-e Urs Mein AajKal Mazaaraat-e Tayyibah Ki Haazri…”
WALLAHU TA’ALA A’LAM
📚Hawala:-
{Fatawa-e-Razwiyah Shareef Mutarjam, Jild;Hashtum, Safah-455}