Ladki/Beti Paida Hone Ki Fazilat Hadees Ki Roshni Me
Hazrat Abdullah ibne Abbas Radiallaho Anhu Se Riwayat He Ki
Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam Ne irshad Farmaya
"Jise Ladaki Ho Fir Wo Use Zinda Dafan Na Kare,
Na Usko Zalil Samze Aur Na Ladke Ko Us Par Ahmiyat De To ALLAH Ta'ala Usko Jannat Me Dakhil Karega."
(Abu Dawood, Jild 3, Bab 548, Hadees 1705, Safa 616)
Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam Ne irshad Farmaya
Jisne Apni 1 Bhi Ladaki Ya Behen Ki Parwarish Ki Aur Use Sharai Aadab Sikhaya,
Unse Pyar Wa Muhabbat Se Pesh Aaya Aur Unki Shadi Kardi To ALLAH Ta'ala Use Jarur Jannat Me Dakhil Karega.
(Abu Dawood, Jild 3, Bab 578, Hadees 1706, Safa 617)
Madine Ke Tajdar Sallalaho Alayhi Wasallam Ne irshad Farmaya
"Jo Log Apni Bachchiyo Ko Pyar Wa Muhabbat Se Parwarish Karenge To Woh Bachchiya Unke Liye Jahannam Se Aad Ban Jayengi.
(Tirmizi sharif, Jild 1, Bab 1279, Hadees 1980, Safa 901)
Rehmate Aalam, Shafi-E-Mehshar Hamare Pyare Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam Ne irshad Farmaya
"Jisne 2 Ladkiyo Ki Parwarish Kiya Yaha Tak Ke Wo Balig Ho Gayi To
Me Aur Wo Qayamat Ke Din is Tarah Karib Honge.
Fir Aapne Apne 2 Ungliyo Ko Mila Kar Bataya.
(Muslim sharif)
Khatamun Nabiyyin Sayyadil Ambiyaiyl Mursalin Sallalaho Alayhi Wasallam Ne irshad Farmaya
"Subse Bada Gunah Ye He Ki ALLAH Ka Kisi Ko Sharik Thehraye.
Fir Uske Bad Ka Gunah Ye He Ki Apni Aulad Ko Khane,Pine Ke Khauf Se Katla Kiya Jaye.
(Bukhari sharif, Jild 3, Bab 576, Hadees 939, Safa 345)
SubhanALLAH..
Kya Fazilate Aayi Hai Hadees-E-Paak Me Betiyo Ke Talluq Se.
Magar Afsos! Aaj Ke Zamane Me Log Ladki Ki Paidaish Par Gamzada Ho Jate Hai.
Ladkiyo Ko Ladko Jaisa Darja, Izzat Aur Haq Nahi Dete.
Log Ladko Ko Nasl Ka Chirag Jante Hai Magar Betiya To Na Sirf Duniya Me Unki Khidmat Karti Hai Waldain Ke Wisal Ke Baad Bhi Unke Jannat Ka Sabab Banti Hai.
"Jab Wo BETI Hoti Hai, Apne Walid Ke Liye Jannat Ke Darwaje Khol Deti Hai
Jab Wo BIWI Banti Hai, Shohar Ka Aadha(Half) Deen Muqammal Kar Deti Hai
Jab Wo Maa Banti Hai, Jannat Uske Qadmo Me Hoti Hai."
Aye Nadaan Insan Sunle,
"Betiya Sabke Muqaddar Me Kaha Hoti Hai
Ghar Khuda Ko Jo Pasand Aaye Waha Hoti Hai."