Al Quran:
Har jaan ko Mout ka maza chakna hai {Surah aale imraan ayath 185}
Janaza ke maani: mayyit ke liye jo chize tayyar hoti hai use janaza kehte hai.. kafan waghayra..
Mayyit ke maani: mara hua, jis ke upar Mout taari ho gayi.
Mout ke maani: zindagi ka baraks.
Mout ko kasrat se yaad karna chahiye:
Hadees Shareef me hai: Lazzate khatam kar dene waali cheez yaani Mout ko kasrat se yaad karte raho {Sahi Ibn Maja Hadees No.3434}.
Hadees Shareef: Nabi e paak Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya aqal mand wo shaqs hai jo Mout ko kasrat se yaad kare aur Mout ke baadh aane waale waqt ke liye Khoob acchi tarah tayyaari kare {Sahih ibn maja Hadees No. 3435}.
Sarkar Sallallahu alaihi wasallam ke ummat ki Umr (Age Life):
Hadees Shareef: Aaqa Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya meri ummat ki Umar 60 se 70 saal tak hai, aur un me se bahut kam aise honge jo us had se tajawaz karenge {Sahih ibn maja Hadees No.2969}.
Maut se momin raahat haasil karta hai aur kaafir se dunya raahat haasil karti hai.
Hadees Shareef: Sarkar e do jahan Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya momin aadmi dunyaavi thakaawato se chutkaara haasil kar ke Allah ki rahmat me araam haasil paata hai aur faajir wa gunehgaar aadmi se log, abaadiya, darakht aur chaupaaye araam paate hai {Sahih Bukhari Hadees No. 6512}.
Mout ki sakhti na-qaabil bardaasht hai: {Surah Qaaf Ayaath-19}
Hadees Shareef: Mustafa jaane Rahmat Sallallahu alaihi wasallam ki wafaat ka waqt jab qareeb aya to Aap Sallallahu alaihi wasallam ke saamne paani ka ek pyaala rakha hua tha jis mein paani tha, Nabi e paak Alaihissalam us pyaale me apne haath ko daalte aur us se apne chehre par pherte aur farmaate, La ilaha illallah inna lil Mouti sakraath – Allah ta’ala ke siva koi mabood barhaq nahi, yaqinan Mout ke waqt sakht takleef hoti hai {Sahi Bukhari Hadees No. 6510}.
Hadees Shareef: Nabi e paak Sallallahu alaihi wasallam ne Hazrat Fatima RadiAllahutaAlaAnha se farmaya ke tumhaare waalid ko wafaat ke waqt aisi takleef pahonchi hai jo qayaamat tak kisi ko nahi pahonchegi {Sahih ibn maja Hadees No. 1320}.
Shaheed ko Mout ke waqt chunti kaatne ke baraabar takleef hoti hai:
Hadees Shareef: Nabi e Kareem ne farmaya shaheed ko qatal ke waqt utni takleef hoti hai jitni tum me se kisi ko chunti kaatne ki takleef hoti hai {Tirmizi Hadees No.1668}.
Khud khushi haraam hai:
Hadees Shareef: Nabi e Rahmat Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jis ne khud ko pahaad se gira kar khud khushi kar li wo jahannam ki aag me hoga aur hamesha hamesha usi me pada rahega, jis ne zeher pi kar khud khushi ki to wo zeher us ke haath me rahega aur jahannam ki aag mein wo zeher pita hee rahega aur jis ne lohe ke kisi hathyar se khud khushi ki, to wo hathyar us ke haath me hoga aur jahannam ki aag me hamesha hamesha us hathyar ko apne pet me maarta rahega {Sahi Bukhari Hadees No. 5778}.
Mout ki tamanna karna jaayez nahi:
Hadees Shareef: Nabiyon ke sardar Alaihissalam ne farmaya tum me se koi bhi koi darpesh musibat ya takleef ke sabab hargiz Mout ki tamanna na kare,
aur agar zaroorhi tamanna karna chahte ho to is tarah keh le, aye Allah mujhe us waqt tak zindah rakh jab tak mere liye zindagi behtar hai, aur us waqt mujhe faut kar dena jab mere liye wafaath behtar hogi {Sahi Bukhari Hadees No. 2351}.
Shahaadath ki tamanna ki ja sakti hai {Sahi Bukhari Hadees No.2797}
Buri mout se panaah maangna jaayez hai:
Nabi e paak Sallallahu alaihi wasallam ye dua maanga karte the Aye Allah beshak main budhaape ki mout se, bulandi se gir kar marne se, kisi malbe waghayra ke niche gir kar marne se, gham se aane waali muut se, jal kar marne se aur doob kar marne se teri panaah maangta hoon, aur wafaath ke waqt shaitaan ke hamle se panaah maangta hoon, teri raah me Jihaad me peeth pher kar bhaagte huye marne se panaah maangta hoon aur kisi zehrile jaanwar ke dasne se aane waali muut se bhi teri panaah maangta hoon. {Sahih nasai Hadees No. 5105}.
Achaanak mout
Hadees Shareef: Nabi e paak Alaihissalam ne farmaya achaanak Mout Allah ta’ala ki naraazgi ki pakad hai kaafir ke liye aur Allah ta’ala ki rahmat hai momin ke liye {Abu dawood Hadees No. 3110}.
Marne ke baad kya hoga:
Nabi e Kareem Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: bila shuba jab momin bande ka dunya se rukhsat hone ka aur aakhirat ki taraf safar karne ka waqt ata hai, to asmaan se roushan chehro waale farishte us ki taraf utarte hai, goya ke un ke chehre suraj ki manind chamakdaar hai, un ke paas jannat ke libaas ka kafan hota hai aur jannat ki khushbu bhi hoti hai, wo us ke qareeb baith jaate hai, phir Mout ka farishta momin ke paas aata hai aur us ke qareeb baith jaata hai, aur kehta hai aye pakiza Ruh Allah ta’ala ki maghfirat aur raza mandi ki taraf nikal. Phir wo ruh aise asaani se nikal padti hai jaise mashqize se paani ka qatra nikal padta hai, wo farishta use pakadta hai aur us ke haath me ruh ko ek lamha bhi nahi guzarta ke dosre farishte use pakad lete hai aur use jannat ke libas aur khushbu me lappet lete hai, phir wo farishte use le kar asmaan ki taraf chadte hai, aur farishto ke jis giroh ke paas se bhi guzarte hai wo kehte hai ye paakiza ruh kaun hai? To wo kehte hai ye falah ka beta falah hai aur us ka wo behetreen naam zikr karte hai jis ke saath use dunya me pukara jaata tha yaha tak ke asmaani dunya mein pahonchte hai aur darwaza khola jata hai, aur har asmaan ke muqarrab farishte us ke saath dosre asmaan tak pahonchte hai yaha tak ke wo saatwe asmaan tak pahonchta hai, yaha tak ke Allah ta’ala farmaata hai ke mere bande ka amaal nama iliyyin me rakh do aur use zameen ki taraf us ke jism me lauta do, phir us ke paas qabar ke farishte aa kar sawaal karte hai .
Aur jab kaafir ki ruh qabz karne ka waqt ata hai to us ke paas siyah chehre waale farishte utarte hai, badbudaar taat ka kafan hota hai, us ke qareeb baith jaate hai, phir Mout ka farishta us ke sar ke qareeb baith jaata hai, aur kehta hai aye Khabees ruh, nikal ke tera rab tujh se bada naraaz hai, us ki ruh us ke jism se nikalna nahi chahti lekin wo farishta use khinch kar nikaal leta hai, aur ek malha bhi ruh us ke haath me nahi rehti ke dosre farishte use taat me lappet kar asaman ki taraf chadte hai aur jab bhi farishto ki kisi jamaat ki taraf se guzarte hai, to ye daryaaft karte hai ke ye kaun khabees ruh hai, wo jawaab dete hai ke ye falan beta fala hai, aur us ka wo sab se bura naam bataate hai jis ke saath use dunya me pukara jaata tha, yaha tak ke use le kar asmaani dunya me pahunchte hai aur darwaza kholwaate hai, us ke liye darwaza nahi khola jaata… phir Allah ta’ala farmaata hai is ka amaal nama zameen ke nichle hisse sijjiyeen me daal do phir us ki ruh ko phek diya jaata hai aur us ke jism mein lauta diya jaata hai aur farishte us se sawaal karte hai. {Musnad ahmad 287/4}.
Jise apni Mout ka yaqeen ho jaaye wo kya kare:
1. Maghfirath ki dua karni chahiye
Hadees Shareef: Nabi e paak apni wafaat ke waqt ye dua pad rahe the aye Allah mujhe baqsh de, mujh par rahem farma{ Sahi Bukhari Hadees No. 4440}.
Kalima shahaadath ki talqeen karni chahiye
Hadees Shareef Nabi E paak Alaihissalam ne farmaya aise shakhs ko la ilaha illallah ki talqeen karo {Sahi Muslim 916}.
qareeb Mout waale kaafir ke paas ja kar daawate Islam pesh karna jaayez hai
Hadees Shareef: ek yahodi baccha Nabi e Kareem Sallallahu alaihi wasallam ki khidmat kiya karta tha, to Nabi e paak Alaihissalam us ki iyaadat ke liye gaye aur us ke sar ke paas baith gaye, Aap Sallallahu alaihi wasallam ne us se farmaya tu muslmaan ho ja, us ladke ne apne waalid ki taraf dekha to us ne us se kaha ke Nabi paak Alaihissalam ki baat maan le, phir wo baccha musalmaan ho gaya, phir Nabi Kareem ye kehte hote baaher nikle ke tamaam tareef Allah ke liye hai jis ne use aag se bacha liya. Phir jab wo baccha faut ho gaya to Sarkar Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya apne saathi salaatul janaza padho {Ahmad 175/3}.
Allah ke faisle par raazi rahe
Hadees: Nabi e Aakhiruzzama Sallallahu alaihi wasallam ne faramaya tum me se hargiz koi faut na ho magar sirf is haal me ke wo Allah ke saath accha gumaan rakhta ho .{Sahi Muslim Hadees No.2877}.
yaani jaisi bhi haal me Mout ho, Allah par ghalat gumaan nahi karna chahiye, tawakkal Allah hee par rakhna chahiye ke khaatema qair ke saath ho.
Allah ta’ala se mulaqaat ki aarzo rakhe:
Hadees: Sarkar E do jahan Alaihissalam ne farmaya jab momin ki Mout ka waqt ata hai to use Allah ki khushnudi aur us ke paas izzat ki khushkhabri di jaati hai, us waqt momin Allah se mulaqaat ka khahishmand ho jaata hai aur Allah bhi us ki mulaqaat ko pasand karta hai.{Sahi Bukhari Hadees No. 6507}.
wasiyat kar dena chahiye
Hadees: Aaqa Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya kisi bhi musalmaan ke liye jis ke paas qaabil wasiyat koi maal ho, durust nahi ke do raate bhi wasiyat ko likh kar apne paas mehfooz kiye bagayr guzare {Sahi Bukhari Hadees No. 2738}.
wasiyat 1/3 se zyaada nahi karni chahiye
Hadees: Hazrat Saad bin abi waqqas RadiAllahutaAlaAnhu ke puchhne par Nabi e paak Alaihissalam ne farmaya ke tihaayi maal ki wasiyat kar sakte ho aur ye bhi zyaada hai {Sahi Bukhari Hadees No.2742}.
wirsaa ke liye wasiyat karna jaayez nahi hai:
Hadees: Mohammad Mustafa Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah ta’ala ne har haq waale ko us ka haq ata kar diya hai, lehaza kisi waaris ke liye wasiyat karna jaayez nahi hai {Sahih abu dawood Hadees no. 2494}.
#Rishtedaar jo waaris nahi hote, un ke haq me wasiyat karna jaayez hai.
wasiyat karte waqt insaaf karna chahiye {Surah Baqra Ayaat 180}
wirsa ko apni tajheez wa takfeen me sunnat apnaane ki wasiyat karni chahiye
Hadees: Hazrat Saad bin abi waqqaas RadiAllahutaAlaAnhu ne apni wafaat se pehle wasiyat ki thi ke mere liye bagli qabar banana aur mujh par kachchi eente nasb karna jaisa ke Nabi Sallallahu alaihi wasallam ke saath kiya gaya tha { Sahih ibn maja hadees No.1263}
Husn Khaatame ki alaamat:
Inteqal ke waqt Kalma Shahadat padhna
Abu dawood Hadees No.2673}
# Wafaat ke waqt peshaani par pasina namudaar hona { Tirmizi Hadees No. 982}
# Juma ki raat ya din me inteqaal hona { Tirmizi Hadees No.1074}.
# Maidaane qitaal me shahaadat ki Mout haasil hona,
aur doob kar marne wala, aur Jo Allah ke raaste me tibi Mout se mar gaya wo bhi Shaheed hai,(Sahi Muslim Hadees No.1915}.
# 7 qism ki shahaadate hai, Abu Dawood Hadees No.3111 and Musnad Ahmad, al-Hakim and Ibn Hibban, Sahih..}
Ta’on(plague) me halaak hone wala,
2.pet ki bimaari se halaak hone wala,
3.doob kar marne wala,
4.malbe waghayra ke niche dab kar marna wala,
5.Allah ki raah mein shahaadat paane waala,
6.pahlo ke dard se, jal kar
7. aur aisi aurat jo dauraane hamal faut ho jaaye.
# Apni jaan maal izzat , ahal wa ayaal ki dafa me Mout ana,
# Kisi bhi nek amal par Mout ana (jaise roza, salaah.),
# Loga ka mayyit ki tareef karna
{Sahi Bukhari, Sahi Muslim & Al-Tabarani}
Inteqaal karne waale ke mutaalliq ehkaam ka bayaan:
Mayyith ki aankhe bandh karna
Hadees: Nabi Kareem Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jab tum murdo ke paas haazir ho to un ki aankhe band kar diya karo kyo ke nazar ruh ka picha karti hai aur achchi baat kaho kyo ke mayyit ke ghar waalo ki baat par ameen kahi jaati hai { Sahi Muslim Hadees No. 920 & Sahi ibn maja Hadees No.1190}