Sahaba ke Dushman
بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم
"SAHABA KE DUSHMAN"
~☆Musannif☆~
Mufti Sufi Kaleem Razvi Sahab Qibla.
بسم اللہ الرحمٰن الرحیم.
الحمد للہ رب العالمین والعاقبة للمتقين، والصلوة والسلام على خاتم الأنبياء والمرسلين سيدنا ومولانا محمد، وعلى آله وصحبه اجمعين بارك وسلم تسليماً كثيراً كثيرا.... اما بعد
Agar Bande Allah Pak Ke Inamaat Ehsanaat Nawazishaat Ka Shumar Karna Chahen To Nahi Kar Sakte.
Us Pak Parwardigar Ka Sab Se Bada Inaam Aur Ehsan Is Kainaate Rango Bu Par Ye Hai Ki Usne Yahan Apna Sab Se Mehboob Pyara Dulara Ladla Rasool ( صلى الله عليه وسلم) Bheja.
Tamam Nasle Insani Ke Liye Subhe Qayamat Tak Haadi O Mehdi Ban Kar Tashreef Lane Wale Aamina Ke Laal Abdullah Ke Durre Yateem Ko Allah Ne Jumla Awsafe Hamidah Wa Akhlaqe Kasirah Wa Jamee Kalamat O Khubi Ka Mamba Wa Makhzan Banaya.
"Tere To Wasf Ayebe Tanahi Se Hain Bari,
Haira'n Hun Mere Shaha Mein Kya Kya Kahun Tujhe!!!!
(حضور اعلحضرت امام احمد رضا خان بریلوی رحمہ اللہ)
Aap صلى الله عليه وسلم Ke Sinaye AQDAS Par Eik Aisi Kitab Ka Nuzool Hua Jo Roze Qaymat Tak Tamam Insano Ke Liye Falah Wa Behbood Ki Zamin Hai.
Rasoole Pak صلى الله عليه وسلم Ne Apne AQWAL (Baat) AFAAL (Kaam) Se Qurane Majeed Ki Tafseer Wa Tauzeeh Ka Farizah Sar Anjaam Diya.
Wahi Ka Nazil Hona Ahkam Ka Utarna Deen Ke Qanoon Ka Banna Ye Sab Apne Mathe Ki Ankhon Se Dekhne Wali SAHABA KI MUQADDAS JAMAT Jo Noore Nubuwwat Ki Kirno Se Apne Dilo Ko Roshan Kar Rahi Thi, Is MUQADDAS JAMAT Ne Deen Ki Tamam Amanaten Rasoole Pak صلى الله عليه وسلم Se Le Kar TAQWA Aur ADALAT Ke Aala Meyaar Par Utarte Huye Ise Aage MUNTAQIL Kiya.
Sahaba E Kiram رضوان الله تعالى عليهم أجمعين Se Is Baare Amanat Ko Taba'een Ne Uthaya Aur Unse Tabe Taba'een Ne Aur Apni Asl Shakal Me Badi Hifazato Siyanat Ke Sath Hum Tak Paohchaya.
In TEENO Zamane Ko Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Apni Zubane Aqdas Se BEHTAREEN ZAMANA Khair Ka Zamana Farmaya.
Aur Ye Aimma E Deen Khususan Imame Azam Abu Hanifah Noman Bin Sabit رضى الله عنه Usi Daur Ke Hain Taba'ee Hain Zamanae Risalat Se Qareeb Hain.
Quroone Oola Ke Buzurgon Ki Nek Niyyati Par Shak Karna Unki TEHQIQAAT Me Keede Nikalna Unhe Halke Lafzo Se Yaad Karna Sanad Aur TEHQEEQ Ke Naam Par Awam Ko Unse Bad'zan Karna Ye Saari Harkaten FIRQAYE JADEED Naam Nihaad Ahlehadees Ki Hain.
Salf (Buzrugane Deen) Se Bad Kalami Bad'Zani Bad'Gumani Is Angrezi Firqe Ka Khas Mashgala Hai TEHQIQAAT Ke Naam Par Awam Ke Dilon Se Auliya E Kiram Ulamae Kiram Hatta Ki Ab Sahaba E Kiram رضوان الله تعالى عليهم أجمعين Ko Bhi Mashqe Sitam Bana Rahe Hain.
Kitni Ajeeb Baat Hai Jinhe Theek Se Urdu Bolni Nahi Aati Hai Aise Log Quran Fehmai Hadees Daani Ke Dawedar Hain Aur Awam Ko Bajaye Aslaf Ke Apni Itteba Ki Dawat De Rahe Hain.
Waise To Gair Muqallideen Kehte Hain Ki Hum Allah Wa Rasool صلى الله عليه وسلم Ke Irshadat Ke Bad Sahaba E Kiram رضوان الله تعالى عليهم أجمعين Ke Ijma Wa Amal Ko Bhi Mante Hain Magar Ye Sad Fee Sad Jhoot Hai.
Jaise Rafzi (Shia) Sahaba Ke Gustkah Hain Waise Hi Gair Muqallideen Bhi Azmate SAHABA Ke Qayel Nahi Aur Darpardah Sahaba Ke Dushman Hain Jiski Bahot See Naziren (Misalen) Is Kitab SAHABA KE DUSHMAN Me Pesh Ho Rahi Hai.
"Na Tum SADME Hame Dete, Na Hum Faryad Yun Karte,
Na Khulte Ye Raze Sar Batsah, Na Yun Ruswaiyan Hoti.!!!!!
Allah Rabbul Izzat Apni KITABE MUQADDAS Me Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Sachche Sathi Yani Sahaba Ka Zikr Karte Huye Yun Farmata Hai,
AL QURAN-
"Muhammad Allah Ke Rasool Hain, Aur Unke Sath Wale (Sahaba) Kafiron Par Sakht Hain, Aur Apas Me Narm Dil, Tu Unhe Dekhega Ruku Karte Sajde Me Girte Huye, Allah Ka Fazl Aur Riza Chahte Huye, Unki Alamat Unke Chehron Me Hai Sajdon Ke Nishan Se, Ye Unki Sifat Tauret Me Hai Aur Unki Sifat Injeel Me"
{القرآن الكريم، ترجمہ، از- اعلی حضرت امام احمد رضا خان بریلوی رحمہ اللہ تعالیٰ}
Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Aur Tamam Ambiya عليهم السلام Ke Baad Dunya Me Agar Koi TAQADDUS Ma'aab JAMAT Hai To Wo Sirf Sahaba E Kiram رضوان الله تعالى عليهم أجمعين Ki Jamat Hai.
Jisne ISHQ O IRFAN Ki Tamam Manzilen Taye Ki Thi, Jinki Aala Tarbiyat Wahi E ILAHI Ki Roshni Me Hui Thi, Jinke QALB O NAFS Ka Tazkiya Rasoole Pak صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Tha, Jinho Ne Mathe Ki Aankhon Se Jamale Nabuwwat Ka Musha'hedah Kiya Rasoole Pak صلى الله عليه وسلم Ke Labhaye Naaz Se Unke MUQADDAS Kalam Ko Sama'at Farmaya.
Allah Pak Ne Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Sohbat Aur Shariat E Muhammadi Ko Aam Karne Aur Is Charage MUSTAFAWI Ki Roshni Ko Aalam Me Phailane Ke Liye Jis Jamat Ka Intekhab Kiya Wo Sahaba Ki Azeem Jamat Thi.
In Qudsi Sifaat Hastiyon Ka Deen Me Kya MAQAM Hai ?
Aur is Pak Giroh Ke Hawale Se Gair Muqallideen Ka Maoqaf Kya Hai Iska Khulasa Aage In'sha'Allah Quran O Sunnat Ke Nusoos Aur Ulamae Ummat Ki Tasrihaat Ki Roshni Me Kiya Jayega Neez Gair Muqallideen Ka Mauqaf Bhi Washgaf Karna Hai (انشاء الله تعالى)
Aaiye Pehle Hum MAQAME SAHABIYAT Kya Hai Aur Sahabi Kya Hai Unke MAQAME Baland Aur Unki Minare E Azmat Ki Balandi Par Nigah Dalen.
Munasib Maloom Hota Hai Ki Akabir Ke Farameen Ki Roshni Me Sahaba Ka Ta'aruf Karaya Jaye.
Allama IBNE HAJAR ASQALANI SHAFAI رحمه الله تعالى Farmate Hain,
أصح ما وفقت عليه من ذلك أن اصحابى من لقى النبى صلى الله عليه وسلم مومنابه ومات على الإسلام فيدخل فيمن لقيه من طالت مجالسة أو قصرت ومن روى عنه أولم يرو ومن غزامعه أولم يغز ومن رآه روية ولولم يجالسه ومن لم يره لعارض
Tarjamah-
Sahabi Ki Tareef Me Sahi Tar Baat Jisse Mein WAQIF Hun Wo Ye Hai Ki Sahabi Use Kahenge Jisne Ba'Haalate Imaan Huzoor صلى الله عليه وسلم Se MULAQAAT Ki Aur Islam Par Uska Khatma Hua Ho, Aapse MULAQAAT Karne Walon Me Wo Bhi Hain Jinko Lambe WAQT Tak Sohbat Mili Aur Wo Bhi Hain Jinhe Kam MAUQA Mila, Aur Wo Bhi Jo Aapse Riwayat Karne Wala Ho Aur Wo Bhi Jisne Koi Riwayat Na Ki Ho, Aur Wo Bhi Jisne Aapke Sath Jihad Kiya Ho Aur Wo Bhi Jisne Jihad Na Kiya Ho, Aur Wo Bhi Sahabi Hai Jise Eik Hi Nazar Dekhne Ka Mauqa Mila Aur Wo Bhi Sahabi Hai Jo Aapki Sohbat Ne Baitha Magar Andha Hone Ki Bina Par Aapka Chehra E Mubarak Na Dekh Saka.
{الاصابہ فی حکایات الصحابہ، جلد-1،،،، صفحہ-7}
Imam Muhammad Bin Ismaeel Bukhari رحمه الله تعالى Farmate Hain,
من صحب النبى صلى الله عليه وسلم أو راه من المسلمين فهو صحابى
Jis Musalman Ne Aap (صلى الله عليه وسلم) Ki Sohbat Ka Sharf Paya Ya Aapko Usne Dekha Wo Sahabi Ho Gaya.
{الكفاية فى علم الرواية،،،، صفحہ-52}
Imam Ahmad Bin Hambal رحمہ اللہ تعالیٰ Farmate Hain,
كل من صحبه سنة أو شهرا أويوما أو ساعة أو راه فهو من اصحابه
Har Wo Shakhs Jisne Iman Ki Halat Me 1 Saal Ya 1 Maah Ya 1 Ghari Aapki Sohbat Paai Ya FAQAT Ziyarat Ki Wo Sahabi Hai.
{ايضا}
Ulamae Islam Ki In Tasrihaat Se Ye Baat Wazeh Ho Gai Ki Rasule Pak صلى الله عليه وسلم Ki Sohbat Ya Ziyarat Se Behrawar Hone Wali Shakhsiyat Ko Sahabi Kaha Jata Hai.
Sohbat Ke Ye Lamhaat Chahe Kuch Hi Pal Ke Liye Naseeb Ho Magar Ye Aisa Sharf Hai Ki Puri Ummat Ke Aamale Hasanah Bhi Mil Kar Uska MUQABLA Nahi Kar Sakte.
●● AZMATE SAHABA QURAN KE AINE ME ●●
Rasool E Pak صلى الله عليه وسلم Ke In Sachche Shaidaiyon Ke Maqame Azmat Ka Andazah Isse Lagayen Ki HAQ TALA Jallah Shanahu Ne Inhe Apni Riza Ka Parwana Ata Farmaya.
Unke Saron Par Taje Azmat Sajaya Unki Zaat HAQ O BATIL Ka Meyaar Qarar Pai, Unki Itteba Karne Wala Jannat Ka Mustahiq Hua.
Quran Me Kai Jaghon Par Unki Azmaton Ke Nishan Maujood Hai Chand Jhalkiyan Mulahazah Farmayen.
AL QURAN-
"Usne Tum Ko (SAHABA Ko) Pasand Kiya, Aur Tum Par Deen Me Kuch Tangi Na Rakhi, Ki Tumhare Baap Ibraheem Ka Deen Hai, Allah Ne Tumhara Naam Musalman Rakha Hai Agli Kitabon Me Aur Is QURAN Me Bhi, Taki Rasool Tum Par Gawah Ho Aur Tum Aur Logon Ki Gawahi Do.
{پارہ-17، رکوع-17، سورةالحج. ترجمہ، از- اعلی حضرت امام احمد رضا خان بریلوی رحمہ اللہ تعالیٰ)
Ye Ayate Karimah Saaf Saaf Bata Rahi Hai Ki Allah Pak Ne Apne Rasool صلى الله عليه وسلم Ke Sath Aur Sohbat Ke Liye Sahaba Ko Khud Chuna Tha Ab Jinka Intekhab Khud HAQ TABARAKA WA TALA Ne Farmaye Phir Unki Azmat Ka Andazah Kaun Kar Sakta Hai.?
Sahaba E Kiram رضوان الله تعالى عليهم أجمعين Indallah (Allah Ke Pas) ITNE MAQBOOL Huye Jiski Ba'Daulat Unhe Allah Pak Ki Raza Hasil Hui Aur Wo Allah Pak Se Razi Huye.
Sahaba Nujume Hidayat (Hidayat Ke Tare) Hain, Aasmane Rushd Ke Mehro Maah (Chand Aur Suraj) Hain.
Falaah Wa Kaamrani Ka Taj Unke Saron Par Hai, Unki Itteba Karne Wala Jannati Hai, Rab Ta'la Apni Kitabe Mubeen Me Yun Farmata Hai,
☆☆AL QURAN☆☆
Aur Sab Me Agle Pehle Muhajir Aur Ansar Aur Jo Bhalai Ke Sath Unki Itteba Kiye, Allah Unse Raazi Wo Allah Se Razi, Aur Unke Liye Taiyyar Kar Rakhe Hain Baag Jinke Niche Nehren Rawan Hain, Hamesha Hamesha Unme Rahen, Yahi Badi Kamyabi Hai.
{پارہ-10، رکوع-2، سورہ توبہ آیت-100، ترجمہ، از- اعلی حضرت امام احمد رضا خان بریلوی رحمہ اللہ تعالیٰ}
Ye Ayat Jumla Muhajireen Aur Ansaar Sahaba Ke Imaan Aamale Saleha Ki Qubuliyat Wa Fazilat Par Nass (Daleel) Hai Aur Tamam Ummat Ka Unke MUQTADA WA PESHWA Hona Bata Rahi Hai, Aur Wo Log Jo Sahaba Ki Pairwi Karenge Wo Bhi Hamesha Jannat Me Rahenge.
☆☆AL QURAN☆☆
Lekin Rasool Aur Jo Unke Sath Iman Laye Unho Ne Apne Malon Aur Jano Se Jihad Kiya Aur Unhi Ke Liye Bhalaiyan Hain, Aur Yahi Log (Sahaba) Murad Ko Paohche.
{ پارہ-10، رکوع-17،، سورہ توبہ-88،، ترجمہ، از- اعلی حضرت امام احمد رضا خان بریلوی رحمہ اللہ تعالیٰ}
Is Ayate Karimah Se Sabit Hua Ki Huzoor صلى الله عليه وسلم Aur Aapke Zamane Ke Momineen Yani Sahaba E Kiram رضوان الله تعالى عليهم أجمعين Ne Jo Apni Jano Aur Malon Ke Sath Allah Ke Raste Me Koshishen Ki Jihad Kiye Tableeg Ki Un Sab Ke Liye Bhalai Aur Kamyabi Rabbe Kareem Ki Janib Se Hai.
Sahaba E Kiram رضوان الله تعالى عليهم أجمعين Ki Shan Subhan'Allah Kya Kehna, Quran Ki Ayaten Unki Azmaton Aur Rif'aton Ka Pata De Rahi Hai.
Afsos Shi'a Aur Gair Muqallideen Par Jinke QULOOB Bughze Sahaba Me Siyah Ho Chuke Hain.
"Hubbe Sahaba RahmaTullah RahmaTullah,
Bughze Sahaba LanaTullah LanaTullah..!!!!!!!!
☆☆AL QURAN☆☆
Aur Jo Rasool Ke Khilaf Kare Bad Iske Ki HAQ Rasta Uspe Khul Chuka, Aur Musalmano Ki Raah Se Juda Rah Chale, Hum Use Uske Haal Par Chhodenge, Aur Use Dozakh Me Dakhil Karenge Aur Kya Hi Buri Jagah Palatne Ki.
{پارہ-5، رکوع-14، سورہ نساء آیت نمبر-115، ترجمہ، از- اعلی حضرت امام احمد رضا خان بریلوی رحمہ اللہ تعالیٰ}
Is Ayat Me Jahannam Ki Saza 2 Baton Par Sunai Gai, 1 Rasool صلى الله عليه وسلم Ki Mukhalifat Aur Dusre Momineen Ke Raste Ki Mukhalifat Par, Aur Momino Ki Sab Se Pehli Aur Afzal Jamat Sahaba Ki Jamat Hai Lihaza Is Ayat Ke Pehle MISDAQ SAHABA E KIRAM رضوان الله تعالى عليهم أجمعين Hi Hain, Aur Is Ayat Se Sahaba Ki Itteba Waise Hi Zaroori Qarar Dee Hai Jaise Rasool صلى الله عليه وسلم Ki Itteba, Aur Is Ayate Karimah Se Sahaba E Kiram رضوان الله تعالى عليهم أجمعين Ke MAQAME Baland Ka Pata Chala.
☆☆ AL QURAN ☆☆
Beshak Allah Ki Rehmaten Mutawajjeh Hui'n Us Gaib Ki Kharbren Dene Wale Aur Un Muhajireen O Ansaar Par Jinho Ne Mushkil Ki Ghari Me Unka (Huzoor Ka) Saath Diya.
{پارہ-11، رکوع-3، سورہ توبہ آیت نمبر-117، ترجمہ کنزالایمان شریف}
Is Ayate Karimah Se Makki Madani Aur Kul Sahaba Muahjireen O Ansar Ki Fazilat Sabit Hui, Aur Maloom Hua Allah Ki Khas Rehmat Un Par Hai Aur Wo Sab Bakhshe Bakhshaye Jannati Hain Chunki Unho Ne Huzoor صلى الله تبارك وتعالى عليه وسلم Ka Saath Har Mushkil Ghari Me Diya.
☆☆ AL QURAN ☆☆
Aur Wo Jo Unke Baad Aaye Arz Karte Hain Aye Hamare Rab Hame Bakhs De, Aur Hamare Bhaiyon Ko (Sahaba Ko) Jo Hum Se Pehle Iman Laye Aur Hamare Dil Me Iman Walo Ke Liye (Sahaba Ke Liye) Keena Na Rakh Aye Hamare Rab Beshak Tu Hi Nihayat Maherban Rahem Wala Hai.
{پارہ-28، رکوع-4، سورة الحشر، آیت نمبر-10، ترجمہ كنزالايمان شریف}
Is Ayat Se Ye Masla Saaf Ho Gaya Ki Tamam Sahaba Se Muhabbat Karna Wajib Aur Zaruriyate Ahlesunnat Me Se Hai Unka Zikr Khair Se Karna Iman Ka TAQAZA Hai Unse Keena (Bughz) Rakhana NIFAAQ Ki Alamat Hai.
Hazrat Allama Imam Fakhruddin Raazi رحمه الله تعالى Apni Mash'hoore Zamana Kitab Tafsire Kabeer Me Isi Ayat Ke Tahet Likhte Hain,
بين أن من شأن من جاء بعدالمهاجرين والانصار أن يذكروالسابقين هم المهاجرون والانصار بالدعاء والرحمة فمن لم يكن كذالك بل ذكرهم بالسوء كان خارجامن جملة أقسام المومنين بنص هذه الاية
Tarjamah-
Allah Pak Ne Bata Diya Ki Muhajireen O Ansaar Se Baad Aane Walon Ka Ye Kaam Hai Ki Wo SABIQEEN (Guzre Huye) Yani Muhajireen O Ansaar Ko Dua Wa Rehmat Se Yaad Karen Aur Jo Aisa Nahi Karega Balki Unka Zikr Burai Se Karega To Wo Is Ayat Ki Roo Se Ahle Iman Ki Har Qism Se Kharij Hai.
{التفسير الكبير،،،، جلد-8،،،، الصفحة-129}
Gair Muqallideen Aur Shia Nasihat Pakden Aur Jab Tak Aankhen Khuli Hain Jagen Aur Taubah Kar Len.
Aur Wo Sab Jo Kisi Sahabi Ko Burai Se Yaad Karte Hain Hosh Ke Nakhul Len, Khususan Jo Hazrat Ameer Mu'awiyah Wa Sufyan رضى الله عنهما Ko Halke Lafzo Se Yaad Karte Hain Apni Khair Manayen.
"Ahlesunnat Ka Hai Beda Paar As'haabe Huzoor,
NAJM Hai Aur Naao itrat Rasulullah Ki.!!!!!!!
(Huzoor Alahazrat Barelvi)
صلى الله عليه وسلم، ورضوان الله عليهم أجمعين.
■SAHABA AHADEES KI ROSHNI ME■
Bila Shubah Ambiya عليهم السلام Ke Baad Sab Se Pakizah Jamat SAHABA E KIRAM رضوان الله تعالى عليهم أجمعين Ki Jamat Hai.
Chunki Inki Tarbiyat Khud Rasoole Pak صلى الله عليه وسلم Ne Farmai, Qurane Azeem Se Unki Azmaton Ka Haal Pata Karne Ke Baad Nabi E Kareem صلى الله عليه وسلم Ke Kuch Irshadaat Bhi Mulahazah Farmayen Sahaba Ke Hawale Se.
HADEES-
Hazrat Jabir رضى الله عنه Se Riwayat Hai Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya,
لا تمس النار مسلما رآنى او رآى من رآنى
Aag (Jahannam Ki) Us Musalman Ko Na Chuyegi Jisne Mujhe Dekha Ya Mere Dekhne Walo (Sahaba E Kiram) Ko Dekha.
{جامع الترمذي،،،،، جلد-2،،،، الصفحة-225}
Rasoole Pak صلى الله عليه وسلم Ke Dekhne Wale Ko Kitni Azeem Sa'adat Mil Rahi Hai Ki Wo Dozakh Ki Aag Se Mehfooz Kiya Ja Raha Hai, Isse Sahaba Ki Qadro Manzilat Aur Azmato Fazilat Sabit Hui.
HADEES-
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم الله الله فى اصحابى لا تتخذوهم غرضا من بعدى، فمن احبهم فحبى أحبهم ومن أبغضهم فببغضى أبغضهم ومن اذا هم فقد آذانى ومن آذانى فقد اذى الله ومن اذالله فيوشك أن ياخذه
ALLAH Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Ki Mere Sahaba Ke Bare Me Allah Se Daro Aur Mere Baad Unhe Nishana Na Banao, Jisne Unse Mohabbat Ki Usne Mujh Se Mohabbat Ki, Aur Jisne Unse Bughz Rakha Usne Mujh Se Bughz Rakha, Aur Jisne Unhe Takleef Dee Usne Mujhe Takleef Dee Aur Jisne Mujhe Takleef Dee Usne Allah Ko Takleef Dee Aur Jo Allah Ko Takleef Dega Qareeb Hai Ki Allah Pak Use Apni Girift (Azab) Me Le Le.
{مشكوة المصابيح،،،،، الصفحة-554}
Is Hadees Se Maloom Hua SAHABA E KIRAM رضوان الله تعالى عليهم أجمعين Ko Tano Tashnee Ka Nishana Banana Haram Hai Aur Unse Mohabbat Karna Allah Aur Rasool صلى الله عليه وسلم Se Mohbbat Karna Hai. Shia Jo Tamam Sahaba Bil Khusus Hazrat Abu Bakar Aur Hazrat Umar رضى الله عنهما Par Lanat Karte Hain Apna Anjaam Soch Len Gair Muqallideen Jo Hazraate Sahaba Ki Itteba Aur Unka IJMA Pasand Nahi Karte Aur Unhe Deen Me Hujjat Nahi Samajhte Wo Apna Thikana Jaan Len.
HADEES-
عن ابى سعيد الخدرى رضى الله عنه قال قال رسول الله صلى الله عليه وسلم لا تسبو أحدا من أصحابى فإن احدكم لو انفق مثل احد ذهبا ما ادرك مدأحدهم ولا نصيفه
Tarjamah-
Hazrat Abu Sa'eed Khudri Farmate Hain Ki Rasulullah صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya, Mere Sahaba Ko Bura Na Kaho, Kyu Ki Tum Me Ka Koi Agar Uhad Pahaad Ke Barabar Sona Allah Ki Raah Me Kharch Kar De To Wo Sawab Me Sahaba Ke Eik Balki Aadha Mud (Madine Ka Eik Wazan) Jo Ke Kharch Ka Sawab Nahi Payega.
{متفق عليه والفظ للمسلم،،،،، جلد-2،،،، الصفحة-310}
Is Riwayat Ki Roshni Me Pata Chala Sahaba Ko Burai Se Yaad Karna Haram Sakht Haram Hai, Aur Baad Ke Log Bhale Kitna Hi Kharch Kar De'n Wo Sahaba Ke Adna Kharch Ke Sawab Ko Nahi Paa Sakte Chunki Un Hazraat Ne Islam Par Us WAQT JAAN MAAL Qurban Kiya Jab Islam Har'Chahaar Janib Se Ibtela Wa Azma'ish Me Tha, Aur Ye Unhi Ki Azeem Qurbaniyan Hain Ki Aaj Islam Dunya Ke Kone Kone Goshe Goshe Aur Shoshe Shoshe Me Phaila.
"Jis Musalma'n Ne Dekha Unhe Eik Nazar,
Us Nazar Ki Basarat Pe Lakhon Salam.!!!!!!!!!
HADEES-
Hazrat Umar Farooq رضى الله عنه Riwayat Karte Hain Ki Allah Ke Rasool ﷺ Ne Farmaya,
سألت ربى عن اختلاف أصحابى من بعدى فاوحى إلى يا محمد إن اصحابك عندى بمنزلة النجوم فى السماء بعضها أقوى من بعض ولكل نور فمن أخذ بشى مما هم عليه من اختلافهم فهو عندى على هدى
Tarjamah-
Mein Ne Apne Rab Se Apne Baad Sahaba Ke IKHTELAF Ke Bare Me Pucha, To Mujhe Wahi Hui Ki Aye Muhammad Tumhare Saare As'haab Mere Nazdeek Aasman Ke Taron Ki Tarah Hai, Roshni Me Agarcheh Kam Ziydah Hon Magar Noor Aur Hidayat Har Eik Me Hai, Pas Jisne Sahaba Ke Darmiyan Ke Ikhtelaf Me Jiske Masle Ko Ikhteyar Ki Wo Mere Nazdeek Hidayat Par Hai.
{مشكوة المصابيح،،،،،، الصفحة-554}
YANI SAHABA Ke IKHTELAF Ka TA'ALLUQ HAQ Se Hai, Is Liye Unme Se Kisi Ki Bhi IQTEDA Hidayat Hi Hai.
Aur Is Hadees Se Sabit Hua Allah Ke Nazdeek Tamam Ke Tamam Sahaba MAQBOOL O MEHBOOB Hain.
HADEES-
عن ابن عمر قال رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا رأيتم الذين يسبون أصحابى فقولوا لعنة الله على شركم
TARJAMAH-
Hazrat IBNE UMAR Kehte Hain Huzoor ﷺ Ne Farmaya, Jab Tum Un Logon Ko Dekho Jo Mere Sahaba Ke Bare Me Bura Bhala Keh Rahe Hain To (Unse) Kaho Tum Par Allah Ki Lanat.
{الجامع الترمذي،،،، جلد-2،،،،، الصفحة-225}
Tamam Dushmanane Sahaba Bilkhusus Shia Wa Gair Muqallideen Par Allah Ki Lanat.
HADEES-
HAZRAT ANAS Se Riwayat Hai Ki Huzoor E Pak ﷺ Sahibe Laulak صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya,
أصحابى فى امتى كالملح فى الطعام لا يصلح الطعام إلا بالملح.
Meri Ummat Me Mere Sahaba Ka Darjah Khane Me NAMAK Ki Tarah Hai Aur Namak Se Hi Khana Sahi Hota Hai.
{مشكوة المصابيح،،،، الصفحة-554}
Aap 80 Hazar Ka Khassi Khariden Pure Ehtemam Se Dawat Karen Aur Usme Namak Hi Na Ho To Sara Ke Sara Bad'mazah Hoga, Khane Me Namak Se Muh Nahi Phera Ja Sakta, Isi Tarah Deen Me Sahaba Se Nazar Pherne Ke Baad Deen Ki Bunyaden Hi Khokhli Ho Jati Hai Chunki Huzoor ﷺ Aur Ummat Ke Beech Eik Mazboot Kadi Sahaba Ki Jamat Hai.
Bhala Sahaba Ko Chhod Kar Koi Kaise Hidayat Yaftah Ho Sakta Hai?
Deen Ki Tamam NAQL O RIWAYAAT Ka Daro Madar Hi Sahaba Par Hai.
In Tamam Ahadees Se Tamam Sahaba Ki Buzrugi Unki Azmat Maloom Hui.
●IKHTELAFATE SAHABA●
Sahaba E Kiram رضوان الله تعالى عليهم أجمعين Me Jo Baham Ladaiyan Jangen Hu'in Unhe Le Kar Ye Shubah Nahi Hona Chahiye Ki Unme Eik FAREEQ HAQ Par Hai Aur Dusra Galti Par, Dono Ki Tazim O Takreem Zaroori Hai Chunki Akabire Ahlesunnat Wa Jamat Ka Muttafaqah Faisla Hai Ki Sahaba Ki Baham Ladaiyon Aur Ikhtelfaat Me TAAVEEL Ki Jayegi Taki Ummat Unke Bare Me Shukook O Shubhaat Se Mehfooz Rahe, Aur Jin Riwayaat Me Taaveel Ki Gunja'ish Nahi Hogi Unhe Mardood Samjha Jayega Chunki Un Sab Ka Aadil Aur Pakbaz Hona Nasse Qattai Se Sabit Hai.
Sayyedna Imam Hasan Basri رضى الله عنه Se Sahaba Ki Ladaiyon Ke Bare Me Pucha Gaya To Farmate Hain,
Ye Aisi Ladaiyan The Jinme Sahaba Maujood The Aur Hum Gayeb, Wo Pure Halaat Ko Jante The Hum Nahi, Jis Mamle Me Tamam Sahaba Eik Hain Usme Hum Unki Pairwi Karte Hain Aur jis Mamle Me Unke Beech Ladai Hai Usme Hum Chup Rehte Hain, Hazrat Muhasbi رحمه الله تعالى Kehte Hain Ki Hum Bhi Wahi Baat Kehte Hain Jo Hasan Basri Ne Kahi, Hum Jante Hain Sahaba Ne Jis Mamle Me Dakhal Diya Wo Hum Se Kah"in Behtar WAQIF The, Lihaza Hamara Kaam Ye Hai Ki Jisme Sab Sahaba Eik Hon Usme Unki Pariwi Karen Jis masle Me Unka Ikhtelaf Ho Usme Chup Rahen, Aur Apni Taraf Se Koi Nai (New) Raye Paida Na Kare, Hame Yaqeen Hai Ki Un Sab Ne Ijtehad Se Kaam Liya Aur Allah Pak Ki Khushi Chahi, Is Liye Deen Ke Mamle Me Wo Sab Shakko Shubah Se Balaa Tar Hain
{تفسير قرطبى،،،، جلد-16،،، الصفحة-322}
SAHABA E KIRAM رضوان الله تعالى عليهم أجمعين Mujtahid The Unme Jo Ikhtelaf Hua Agar Usme Kisi Ne Galti Bhi Ki Tab Bhi Unhe Eik Neki Zaroor Mili.
Huzoor ﷺ Farmate Hain,
وإذا حكم فاجتهد ثم أخطأ فله اجر
Aur Jab Faisla Karne Aur Ijtehad Karne Me Unse Galti Ho Tab Bhi Wo Sawab Payenge.
{صحيح البخاري،،، جلد-2،،، الصفحة-92}
Aap Ne Farmane Khudawandi Aur Ahadees E Rasool ﷺ Ki Roshni Me Ye Andaza Laga Liya Hoga Ki Allah Aur Rasool ﷺ Ne Sahaba Ki Kya Haisiyat Hamare Samne Bayan Ki.
Allah Pak Ne Quran Me Jagah Jagah Apni Ita'at Ke Sath Huzoor ﷺ Ki Ita'at Ka Hukm Diya Kyu Ki Aap TARJUMANE WAHI Hai To Jis Tarah Huzoor ﷺ Ki Ita'at Ke Bina Wahi Ka Samajhna Mumkin Nahi Usi Tarah Sahaba Huzoor ﷺ Ki Talimaat Aur Sunnaton Ke Tarjuman Hain Unki Ita'at Ke Bina Bhi Huzoor ﷺ Tak Rasai Mumkin Nahi, Is Liye Sahaba Ki Ita'at Ke Bina Chara Hi Nahi.
Neez Huzoor ﷺ Ne Tamam Sahaba Ki itteba Lazmi Qarar De Kar Ye Wazeh Farma Diya Ki Wahi Meyare HAQ Hain, Wo Khud Hidayat Yaftah Aur HAQ Par Hain Aur Dusron Ko Bhi HAQ Par Chalate Hain, Unke Ikhtelaf Me Bhi Hidayat aur Rehmat Hi Hai.
Gair Muqallideen Ka SAHABA E KIRAM رضوان الله تعالى عليهم أجمعين Ke Bare Me Ajeeb Mamla Hai Wo Sahaba Ka Ehtaram Zaroori Nahi Samajhte Na unko Wo MAQAM Dete Hain Jo Allah Wa Rasool ﷺ Ne Unhe Diya Huzoor ﷺ Ne unki itteba Zaroori Qarar Dee Magar Gair Muqallideen Ki Nazar Me Sahaba Ki Koi Azmat Nahi,,,, Ajeeb Baat Hai Apne Ko Ahlehadees Kehlane Walon Ko Yahi Pata Nahi Ki Sahaba Hi Madare Sanad Hain unhi Se Quran O Sunnat Dusron Tak Paohcha, To Bajaye Sahaba Ki itteba Ke ulta unhi Par TANQEED Karte Hain Unki Adalat Aur Paki Ko Dagdar Karte Hain Baz Sahaba Ke Apsi ikhtelafat Aur Khataye Ijtehadi Ko Le Kar Bandaron Ki Tarah Khoob Uchalte Hain Ab Aaiye Gair Muqallideen Ka SAHI MAOQAF SAHABA Ke Bare Me Kya Hai Janiye.
Isse Pehle Hazrat Ibne Abbas رضى الله عنهما Ka Eik Qaul Tamam Sahaba Ke Bare Me Padhen.
ولا تسبوا اصحاب محمد ﷺ فلمقام أحدهم ساعة يعنى مع النبى ﷺ خير من عمل أحدكم اربعين سنة
Tarjamah-
Tum Muhammad ﷺ Ke Sath Walon Ko Bura Na Kaho Unka Kuch Der Huzoor ﷺ Ke Sath Rehna Tumhare 40 Saal Ke Amal Se Behtar Hai.
{شرح العقيدة الطحاوية،،،، الصفحة-398}
Kahan Sahaba رضوان الله تعالى عليهم أجمعين Ka MAQAME BALAND Aur Kahan Ye Zameen Ki Pastiyan?
Rukhe Mustafa Par Unki Eik Nazar Padi To Suraiyya Ki Balandiyon Par Unhe Paohcha Diya, Jo Hamare Wehmo Guman Se Bhi Wara Hai.
●Gair Muqallid Ulama Ki Sahaba Se Dushmani●
Gair Muqallideen Firqa La Mazhab Yani Naam Nihad Ahle'Hadees HAQIQATAN Victorian AhleHugees Ki Tareekh Hindustan Me Angrezi Daur Se Shiru Hoti Hai Is Na'murad Kharji Firqe Ke Shaikul Kul Miya Nazeer Husain Dahelvi Jinho Ne Apne Khas Shagird Mirza Gulam Qadynai Kazzab Ka Nikah Padhaya Tha Apni Kitab Me Likhte Hain.
اگر تسلیم کردہ شود کہ سند ایں فتوی صحیح است تاہم ازو احتجاج صحیح نیست زیرا کہ قول صحابی حجت نیست.
TARJAMAH-
Agar Maan Bhi Liya Jaye Ki Is FATWE Ki Sanad Sahi Hai Tab Bhi Isse Daleel Lana Theek Nahi Hai, is Wajah Se Ki (Deen Me) Sahabi Ka Qaul Hujjat Nahi.
{فتاوى نذيريہ،،، جلد-1،،،، الصفحة-340}
Ummat Muslemah Ka Har Fad Janta Hai Ki Quran E Pak Huzoor Nabi E Kareem ﷺ Ki Sirat Hai Aur Sahaba E Kiram رضوان الله تعالى عليهم أجمعين Uske Sachche Tarjuman Hain, Sahaba Pe Bharosa Quran Aur Nabi E Akram ﷺ Par Bharosa Karna Hai, Ye Deene Mubeen Ke Sutoon (Khambe) Hain Agar Inki Shakhsiyaat Ko Mazboot Aur Qabile Bharosa Na Samjha Jaye To Deen Ka Saara Qila Hi Mismaar Ho Jata Hai.
Lihaza ULAME HAQ Ne Unhe Wahi Martaba Diya Hai Jo Quran O HADEES Me Unka Marataba Hai, Isi Azmate Shan Aur MAQAME Baland Ki Wajah Se Unki Hujjiyat Aur Imamat Ulame Ummat Ne Tasleem Ki Hai, Unke Farameen Ko Khas Haisiyat Dee Gai, Neez Unki Ijtemai Aur Inferadi Dono Raaye Ko Ahmiyat Dee Gai Hai, Magae Afsos Sad Afsos Azaad Khayal Shariat Bezar Angrezi Paidawar Yani Gair Muqallideen Ne Unke MAQAME Baland Ko Na Samjha Inke Aalim O Jahil Shehri Wa Dihati Sab Ka Ye Haal Hai Ki Jab Inke Samne Sahaba E Kiram رضوان الله تعالى عليهم أجمعين Ke AQWAL Pesh Kiye Jate Hain To Kehte Hain Hum Nabi ﷺ Par Iman Laye Sahabi Par Nahi.
Ye Sab Bhayanak Nata'ij Hain TAQLEED Ka Patta Gale Se Utar Kar Quran O Hadees Ko Apni NAQIS AQLON Se Samajhne Ke.
Jahil To Jahil Jo Inme 4 Kitab Padhe Huye Molvi Hain Wahi Apne Chahne Walon Ko Ye Zahen De Rahe Hain Ki SAHABA Ke AQWAL AFAAL Deen Me Koi Haisiyat Nahi Rakhten.
20 Rakat Taraveeh Ko Bid'ate Farooqi Juma Ki Pehli Azan Ko Bid'ate Usmani Hazrat Abdullah Bin Masood Par Tarke Rafa Yadain Ki Hadise NAQL Karne Par Ilzamaat, Garaz Ki Is Khabees Maloon Firqe Ke Nazdeek SAHABA Ke Ijtehadaat FATAWE TAFAASEER Na'Qabile Amal Hain, Balki Joshe Khabasat Me Hazraate Sahaba E Kiram رضوان الله تعالى عليهم أجمعين Ki Shan Me Inke Ullu'ma Ne Aise Aise Alfaz Kahe Ki Pak Parwardigar Ki Panah (Aage Padhiye Inhi Ki Kitabon Se) Phir Hum Inhe Kyun Na Kahen "SAHABA KE DUSHMAN"
Ijama E Sahaba AQWALE SAHABA Aur Afaale Sahaba Tafsirate Sahaba Ki Hujjiyat Ka Sab Se Pehle Inkar Shiyon Ne Kiya, NAMOOSE Sahaba Par Sab Se Pehle Hamle Rafziyon Ne Kiye SAHABA Par Sabb O Shatam (Gali/Galoch) Inka Mehboob Mashgala Hai.
Shia Alim Mulla Baqar Majlisi Apni Kitab Me Likhta Hai,
"Hazrat Ali Bin Husain Ke Azad Kardah Gulam Ne Unse Pucha Mujhe Abu Bakar Aur Umar Ke Bare Me Bataiye, Aapne Farmaya Wo Dono Kafir Hain, Jo Unhe Kafir Na Jane Wo Bhi Kafir Hai"
{حق اليقين، الصفحة-525،، لملا باقر مجلسى، مطبوعه تهران ايران}
Maaz'Allah Ye Un Ke Bare Me Kaha Jinko Nabi ﷺ Ne Zameen Par Apna Wazeer Kaha Aur Jo Qayame Qayamat Tak Nabi ﷺ Ke Pehlu Me Dafn Huye.
Phir Ummul Momineen SAYYEDAH SIDDIQAH AFEEFAH AISHAH رضى الله عنها Ke Hawale Se Likhta Hai,
"Imam Muhammad Baqar Alaihissalam Se Riwayat Hai Ki Jab Imam Mehdi Zahir Honge (Qayamat Ke Qareeb) To Wo Aishah Ko Uski Qabr Se Nikal Kar Uspe Hadd Jari Farmayenge (Kode Se Marenge) Aur Usse Fatimah Zehra Salamulla Alaiha Ka Badla Lenge"
{حق اليقين، الصفحة-522،، لملا باقر مجلسى، مطبوعه تهران ايران}
Wo Ummul Momineen Jinki Pakdamani Par Quran Me 18 Aayaten Sure Noor Me Utri Unke Hawale Se Rafzi Khabison Ke Ye Gande Aur Napak AQIDE Hain.
Shiyon Ko Tamam Ahle Islam Ne Reject Kiya Unka Islam Se Koi Lena Dena Nahi, Unhi Ki Raah Chalte Unke Chote Bhai Yani Gair Muqallideen Azad Khayal Angrezi Fitne Ne Bhi Azmate Sahaba Par Bharpur War Kiye.
1-Shion Ne Ramzan Me Ki Taraveeh Ki Namaz Se Saaf Inkar Kiya Aur Gair Muqallideen Ne Taraveeh Ko Aadhe Se Kam Kiya.
2-Shia Muta (Zina/ agreement Married) Ko Jayez Kehte Hain Aur Gair Muqallideen Bhi.
3-Shia Eik Majils Ki 3 TALAQ Ko Eik Maan Kar Zina Me Mubtela Hain Aur Gair Muqallideen Bhi.
4-Shia Ijma Aur Qayas Ko Haram Kehte Hain Gair Muqallideen Bhi.
5- Shia Juma Ki Pehli Azan Ko Nahi Mante Gair Muqallideen Bhi.
6- Shia Tamam Sahaba Ke Bad'tareen Gustakh Hain Unke Nazdeek Sahaba E Kiram رضوان الله تعالى عليهم أجمعين Ka Qaul Fel Deen Me Koi Haisiyat Nahi Rakhta Gair Muqallideen Ka Bhi Yahi Hai.
"Eik Sitam Subh Eik Sitam Shaam Karo Ho,
Wo Dost Ho Jo Dushman Ko Bhi Maat Karo Ho.!!!!
"Daman Pe Koi Daag Na Khanjar Pe Koi Chheent,
Tum Qatl Karo Ho Ki Karamaat Karo Ho.?????
Malikah Victoria Ke Gulame Tan Man Yani Gair Muqallideen Ke Shaikul Kul Miya Nazeer Husain Dahelvi Likhte Hain.
افعل الصحابة رضى الله عنهم لا تنهض للاحتجاج بها
Yani Sahaba Ke Kamo Se Hujjate Shar'iee Qaim Nahi Hoti
{فتاوى نذيريہ،،، جلد-1،،، الصفحة-196}
Wafadare Angrez Imame Ahlehadees Nawab Siddiq Hasan Khan Bhopali Ke Bete Nawab Noor Hasan Khan Likhte Hain,
"Sahaba Ka Ijtehad Ummat Ke Kisi Fard Par Hujjat Nahi"
{Urful Jadi, Page-207}
Nawab Sahab Ne Qayase Shari Ke Sath Ijma Ka Bhi Khula Inkar Kiya Jo Khuli Hui Gumrahi Hai Aur Aage Chal Kar Yun Gul Khilate Hain.
"Ijma Aur Qayas Ki Koi Haisiyat Nahi"
{Urful Jadi, Page-4}
Inke Walid Yani Nawab Siddiq Hasan Khan Bhopali Likhte Hain,
علامه شوكانی در مؤلفات خود هزار مى نويسد كه در موقوفات صحابه حجت نيست
Allama Shukani Apni Talifaat Me Hazar Martaba Likh Chuke Hain Ki Sahaba Ki BATEN HUJJAT (Daleel) Nahi.
{Dalilut Talib, Page-617}
Ye Allama Shukani Iran Ka Badtareen Zaidi Shia Tha Aur Gair Muqallideen Ke Nazdeek Iske Qaul Ki Ahmiyat To Dekhiye, Kya In Tamam Baton Ke Peshe Nazar Gair Muqallideen Ko Nahi Kaha Jayega?
"SAHABA KE DUSHMAN"
Gair Muqallideen Quran O Hadees Ki Aad Me Qayase Shari Ka To Inkar Karte Hi Hain Sath Me Wo Ijmae Ummat Ke Bhi Munkir Hain Jabki Ijma Ki Hujjiyat Quran Se Sabit Hai,
Sahaba E Kiram رضوان الله تعالى عليهم أجمعين Ke Fatawe Unki Tafaseer Unke AQWAL Ko Be'maana Tehrate Hain, Isse Badh Kar Hairat Ye Ki Gair Muqallideen HAZRAATE KHULAFAE RASHIDEEN (Hazrat Abu Bakar, Hazrat Umar, Hazrat Usman, Hazrat Ali) Ki Baton Ko Bhi Ahmiyat Nahi Dete.
Halanki Allah ﷻ Ne Khulafae Rashideen Ke Qaul O Amal Dono Ko HAQ Ki Kasoti Aur Meyar O Hujjat Qarar Diya Hai.
••AL QURAN••
فَإِنْ ءَامَنُوا۟ بِمِثْلِ مَآ ءَامَنتُم بِهِۦ فَقَدِ ٱهْتَدَوا۟ ۖ وَّإِن تَوَلَّوْا۟ فَإِنَّمَا هُمْ فِى شِقَاقٍ ۖ فَسَيَكْفِيكَهُمُ ٱللَّهُ ۚ وَهُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلْعَلِيمُ
Tarjamah-
Phir Agar Wo Yun Hi Iman Layen (Yahud O Nasara) Jaisa Tum (Khulafae Rashideen) Laye Jab To Wo Hidayat Paa Gaye, Aur Agar Muh Pheren To Niri Zidd Me Hain, To Aye Mehboob! ANQAREEB Allah Unki Taraf Se Tume Kifayat Karega Aur Wahi Hai Sunta Jaanta
{سورة البقرة،،،، الآية-137}
Aur Dusri Jagah Hamara Rabb Irshad Farmata Hai,
••AL QURAN••
وَمَن يُشَاقِقِ ٱلرَّسُولَ مِنۢ بَعْدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُ ٱلْهُدَىٰ وَيَتَّبِعْ غَيْرَ سَبِيلِ ٱلْمُؤْمِنِينَ نُوَلِّهِۦ مَا تَوَلَّىٰ وَنُصْلِهِۦ جَهَنَّمَ ۖ وَسَآءَتْ مَصِيرًا
Tarjamah-
Aur Jo Rasool Ka Khilaf Kare Baad Iske Ke Uspe HAQ Rasta Khul Chuka, Aur Musalmano (Sahaba E Kiram) Ki Raah Se Juda Raah Chale Hum Use Uske Haal Par Chhodenge Aur Use Dozakh Me Dakhil Karenge Aur Kya Hi Buri Jagah Palatne Ki.
{سورة النساء،،،،، الآية-115}
Mazkurah Dono Ayton Se Maloom Hua Deen Me Sahaba Ka Amal Aur Qaul Hujjat Hai, Unke Raste Ko Chhod Dena Allah Ki Narazgi Aur Jahanmam Me Jane Ka Sabab Hai.
Ahlesunnat Wa Jamat Ke Nazdeek 4 Chizen Deen Me Hujjat Hain Aur 4ron Ka Hujjat Hona Quran Se Sabit Hai.
1-Quran,
2- Hadees
3-ijma E Ummat
4-Qayase Shari
Har Cheez Ka Hujjat (Daleel) Hona Apni Jagah Hai Hadees Ka Darjah Quran Ki Tarah Nahi Ijma Ka Darjah Hadees Ke Barabar Nahi Aur Qayas Ka Darja Un 3no Ki Tarah Nahi.
Ye 4ron Chizen Tamam Ummate Muslemah Ke Nazdeek Hujjate Shari Hai Aur Gair Muqallideen Sirf Quran O Hadees Hi Ko Hujjat Mante Hain Is Liye Gair Muqallideen Ahlesunnat Wa Jamat Se Kharij Hain Aur Eik Gumrah Firqah Hai.
Sab Jante Hain Ki Huzoor ﷺ Ki Wafate Zaheri Ke Bad 4ron Khulafa Ki Khilafat Ijmai Hai, Aur Tamam Sahaba Me Ye 4 Sab Se Afzal O Aala Hain Hazrat Abu Bakar & Hazrat Umar Hazrat Usman & Hazrat Ali, Aur Hazrat Usman & Hazrat Ali رضى الله عنهما Se Afzal Hain Hazrat Abu Bakar & Hazrat Umar رضى الله عنهما..
Magar Gair Muqallideen Ke Mash'hoor Alim Nawab Wahiduz'zama'n Hazrat Abu Bakar & Hazrat Umar رضى الله عنهما Ko Shi'on Ki Tarah Hazrat Ali Se Afzal Manne Ko Tayyar Nahi, Likhte Hain,
لا يقال إن تفضيل الشيخين مجمع عليه حيث جعلوه من أمارات أهل السنة لأنانقول دعوى الإجماع غير مسلم
Ye Na Kaha Jaye Ki Shaikhain (Hazrat Abu Bakar & Hazrat Umar) Ki Tafzeel (Bada Hona) Ijmai Masla Hai Aur Ahlesunnat Ki Nishani Hai Is Liye Ki Hame IJMA Ka Dawa Qabool Hi Nahi.
{Hadyatul Menhdi, Volume-1, Page-96}
Eik Jagah Aur Apni Zehni Gandagi Ka Izhar Yun Karte Hain,
"Shaikhain (Hazrat Abu Bakar & Hazrat Umar) Ko Aksar Ahlesunnat Hazrat Ali Se Afzal Kehte Hain Aur Mujh Ko Is Dawe Ki Koi Daleel Nahi Milti, Aur Na Ye Masla Kuch Usool Aur Arkaane Deen Me Se Hai Isko Zabardasti AQIDE Me Dakhil Kiya Gaya.
{Hayate Wahiduz'zama'n Page-103}
Tamam Ambiya عليهم السلام Ke Baad Puri Ummat Me Sab Se Afzal O Aala Hazrat Abu Bakar Hain Phir Hazrat Umar Farooq Phir Hazrat Usman Gani Phir Hazrat Maula Ali رضوان الله تعالى عليهم أجمعين Aur Is Par Aksar Ahlesunnat Nahi Balki Sab Ahlesunnat Ka Ittefaq Hai.
Isse Kisi Ko Inkar Hai To Rafziyon (Shi'on) Ko Ab Unhi Ke NAQSHE QADAM Par Chalte Huye Gair Muqallideen Ne ikhtelaf Kiya, Ab Maan Liya Jaye Ki Gair Muqallideen Chhote Rafzi Aur Bade Kharji Hain Aur Apne AQA'ID Ke Lihaz Se Gair Muqallideen Hain."SAHABA KE DUSHMAN"
Sunnat Ko Tark Kar Ke Khalis Amal Bil Hadees Ka Dawa Aur Ijmae Ummat Wa Qayase Shari Ke Inkar Ne Naam Nihad Ahle'Hadees Ko Ahlesunnat Wa Jamat Se Kharij Kar Diya.
Ahlehadees Aur Deobandiyon Ke Shaikhul Islam ibne Taimiyah Hambali Ahlesunnat Wa Jamat Ki Tareef Karte Huye Likhte Hain,
فأهل السنة والجماعة هم المتبعون للنص والإجماع
Lihaza Ahlesunnat Wa Jamat Wahi Log Honge Jo Nass Aur Ijma Ka Itteba Karte Hain.
{منهاج السنة،،،، جلد-3،،، الصفحة-272}
Is Wazahat Se Maloom Hua Ahlesunnat Wahi Hain Jo Kitabullah O Sunnat Ke Sath Sath Ijma E Ummat Ko Bhi Mante Hain Aur Gair Muqallideen Ijma E Ummat Ke Qayel Nahi, Mash'hoor Gair Muqallid Aalim Maulana Siddiq Apne Maslake Ahlehadees Ka Ta'ruf Karte Huye Likhte Hain,
"Ahlehadees Ka Maslak Kitab O Sunnat Hai, Huzoor ﷺ Ke Baad Har Shakhs Ki Baat Me Sahi Wa Galat ka Ehtemal Hai.
{مسلک اھل حدیث کے امتیازی مسائل، صفحہ-11}
Gair Muqallideen Sahaba E Kiram رضوان الله تعالى عليهم أجمعين Ki Baten To Kya Mante Unme Kamiyan Aur Keede Nikalte Hain.
Gair Muqallideen Ko Hum Is Liye Bhi Chote Rafzi (Shia) Kahenge Chunki Wo Tafzile Shaikhain (Hazrat Abu Bakar & Hazrat Umar Ki Azmat O Fazilat ) Ke Qa'il Nahi.
Imame Ahlesunnat Muajaddide Azame Deen O Millat Huzoor Alahazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi رحمت اللہ تعالٰی عليه Farmate Hain,
Ahlesunnat Wa Jamat Ka Ijma Hai Ki Mursaline Malaikah (Farishton Ke Rasool) Aur Wa Rusul Wa Ambiya E Bashar Ke Baad Hazraat E Khulafa E Arbah رضوان الله تعالى عليهم Tamam Makhluqe Ilahi Se Afzal Hain, Tamam Umame Awwaleen Wa Aakhireen (Pehli Aur Baad Ki Ummat) Me Koi Shakh Unki Buzurgi Wa Azmat Wa izzat Wa Wajahat Wa Qubool O Karamat Wa Qurbo Wilayat Ko Nahi Paoch Sakta. Phir Unme Baham Tarteeb Yun Hai Ki Sab Se Afzal SIDDIQE AKBAR Phir FAROOQE AZAM Phir USMANE GANI Phir MAULA ALI صلى الله على سيدهم ومولاهم وآله وعليهم و بارك وسلم
{الفتاوى الرضوية،،، جلد-28،،، الصفحة-478}
Jo Shakhs Hazrat Abu Bakar Siddiq رضى الله تعالٰی عنہ Ko Tamam Ambiya Ke Baad Ruye Zameen Pe Sab Afzal O Aala Na Maane Wo Ahlesunnat Se Kharij Hai, Phir Hazrat Umar Ko Phir Hazrat Usman Gani Ko Phir Hazrat Maula Ali Ko.
Hazrat Abu Bakar Aur Hazrat Umar رضى الله عنهما Ka Afzal Hona To Khud Hadees Se Sabit Hai, Chunanche Hazrat ABDULLAH BIN UMAR رضى الله عنه Farmate Hain,
كنا فى زمن النبى ﷺ لا نعدل بأبى بكر أحدا ثم عمر ثم عثمان ثم نترك أصحاب النبى ﷺ لا نفاضل بينهم
Tarjamah-
Hum (Sahaba) Huzoor ﷺ Ke Zamane Me (Hayate Zaheri Me) Hazrat Abu Bakar Ke Barabar Kisi Ko Nahi Samjhte The, Phir Hazrat Umar Ke Barabar Phir Hazrat Usman Me Barabar Kisi Ko Nahi Samajhte The, Unke Bad Hum Tamam As'habe Rasool ﷺ Ke Beech Kisi Ko Kisi Par Fazilat Nahi Dete.
{مشكوة المصابيح، الصفحة-555}
●●HADEES●●
Hazrat Imame Hasan رضى الله تعالى عنه Hazrat Ali رضى الله تعالى عنه Se Riwayat Karte Hain Wo Farmate Hain Ki Main Eik Din Huzoor ﷺ Ki Khidmat Ne Baitha Tha Ki Abu Bakar Wa Umar Haazir Aaye Huzoor ﷺ Ne Farmaya Aye Ali, Abu Bakar Aur Umar Ye Dono Sardar Hain Ahlejannat Ke Sab Budhon Aur Jawano Ke Ambiya Wa Mursaleen Ke Baad.
{سنن ابن ماجه،،، جلد-1، الصفحة 75}
●●HADEES●●
Hazrat Abu Hurairah رضى الله عنه Ne Huzoor ﷺ Ka Ye Irshad NAQL Kiya,
أبوبكر وعمر خيرالاولين والآخرين وخير اهل السموات وخير أهل الأرضين الاالنبيين والمرسلين
Abu Bakar Aur Umar Behtar Hain Sab Aglon Pichlo Se Aur Behtar Hain Sab Aasman Walon Aur Zameen Walon Se SIWAYE Ambiya Wa Mursaleen Ke.
{كنز العمال،،، جلد-11،،، الحديث-32642}
Hazrat Ali Ka Eik Irshad Is Silsile Me LAYEQE IBRAT Hai, Maula Farmate Hain,
لا اجد أحدا فضلني على ابى بكر وعمر إلا جلدته حد المفتري
Jo Mujhe Hazrat Abu Bakar Aur Hazrat Umar Se Afzal Kahe Mai Us Bohtan Baz Ko 80 Kode Marunga.
{الصواعق المحرقة،،،، الصفحة-60}
Tafzile Shaikhain Par Ba Kasrat Ahadees Wa AQWALE Sahaba Wa Tasrihaate Ulama Wa Fuqha Maujood Hai.
In Sab Ke Ba'wajood Ahle Tashee (Shia) Aur Gair Muqallideen Tafzeele Shaikhain Ke Qa'il Nahi, Aur Na Hi Tamam Sahaba Ke AQWAL O AFAAL Ko Hujjat (Daleel) Mante Hain Shaikhain Ki Khuli Dushmani Ka Saboot Gair MUQALLIDON Ke Imam O Peshwa Nawab Wahiduz'zama'n Ki Is ibarat Me Dekhiye,
"Shaikhain (Hazrat Abu Bakar Aur Hazrat Umar) Ko Aksar Ahlesunnat Hazrat Ali Se Afzal Kehte Hain Aur Mujh Ko Is Dawe Ki Koi Daleel Nahi Milti"
{Hayate Wahiduz'zama'n, Page-103}
Kya is Makrooh Aur Khabees Ibarat Se Sabit Nahi Hua Ki Gair Muqallideen Hain.
"SAHABA KE DUSHMAN"
AZMATE SAHABA Aur Bilkhusus Hazrate Khulafa E Rashideen (4 Bade Sahaba) Par Kitne Hi Mazboot Dalayel Diye Jayen Magar Gair Muqallideen Manne Ko Taiyyat Nahi Shi'on Ki Tarah Gair Muqallideen Bhi Sahaba Dushmani Me Andhe Ho Gaye.
Gair Muqallidon Ke Imam O Peshwa Nawab Wahi'duzzama'n (نوب وحید الزماں) Likhte Hain,
ولا يلتزمون ذكرالخلفاء ولا ذكر سلطان الوقت لكونه بدعة
Juma Ke Khutbe Me Khulafa E Rashideen Aur Sultane WAQT Ke Zikr Ka ILTEZAM (Ahlehadees) Nahi Karte Kyu Ki Ye Bid'at Hai.
(هدية المهدى،،، جلد-1،،، الصفحة-110}
Eik Jagah Aur Apni Qalbi Khabasat Ka Izhar Yun Karte Hain,
وذكرالخلفاء فيهالم ينقل عن السلف الصالحين فتركه اولى
Aur Khutbe Me Khulafa E Rashideen Ka Zikr Chunki Salf Saliheen Se Manqool Nahi Is Liye Uska Chhod Dena Hi Behtar Hai.
{نزل ابرار،، جلد-1،، الصفحة-153}
Maloom Hona Chahiye Ki Khulafa E Rashideen Ka Zikre Mubarak Khutba E Juma Me Me Ahlesunnat Wa Jamat Ka Shi'aar (Pehchan) Aur Zamane Qadeem Se Chala Aaraha Hai.
Hazrat Mujaddide Alf Sani Shaikh Ahmad Sarhindi Farooqi رضى الله تعالى عنه Ke Zamane Me Kisi Gaon Ke Khateeb Ne Eidul Azha Ke Khutbe Me 4ro Khulafa Ka Naam Khutbe Me Nahi Liya Jab Aapko Pata Chala To Aap Sakht Naraz Huye Aur Gaon Ke Zimmedaron Ke Naam Eik Taveel Khat Likha Jiska Kuch Hissa Ye Hai,
"Khulafa E Rashideen Ka Zikr Agarche Shara'ite Khutba Me Se Nahi Magar Ahlesunnat Wa Jamat Ki Pehchan Hai, Aur Khutbe Me Unka Naam Wahi Nahi Lega Jiska Dil Mareez Aur Batin Khabees Ho"
{مکتوبات امام ربانی،، خط نمبر-15}
Hazrat Shaikh رحمه الله تعالى Ke Is Maktoob Se Maloom Hua Ki Jo Cheez Ahlesunnat Wa Jamat Ki Pehchan Ho Aur Khususan Batil Firqe Se Haq Walon Ki Pehchan Alag Banati Ho Uska Jari Rakhna Zaroori Hai Aur Uska Chhod Dena Galat Hai.
Aur Gair Muqallideen Ke Peshwa Ka Ye Kehna Ki Khutbe Me Unka Naam Lena Bid'at Hai Aslaaf Se MANQOOL Nahi Uska Chhod Dena Behtar Hai Kya Ye Saari Baten Shia Zahen Ki Pedawar Nahi Maloom Hoti?
Aur Kya Isse Gair Muqallideen Ke Bare Me Hamare Khayal Ki Ta'eed Nahi Hoti Ki Gair Muqallideen Hain.
"SAHABA KE DUSHMAN"
Gair Muqallideen Kya Keh Jayen Aur Kya Kar Jayen Is ka Hum Andaza Bhi Nahi Laga Sakte.
Shi'on Ki Sahaba Dushmani To Jag Zahir Hai Magar Gair Muqallideen Ke Hawale Se Bahot Kam Log Jante Honge Ki Ye Tauhine Sahaba Me Shi'on Se Aage Nikal Gaye.
Jaisa Ki Imame Ahlehadees Nawab Wahiduz'zaman Sahab Ki Is Ibarat Se Maloom Ho Raha Hai,
"is Ummat Ke Bahot Se Ulama Aur Awam SAHABA Se Afzal The, Jiska Koi Bhi AQALMAND INKAR Nahi Kar Sakta, Auliya E Kiram Ko Chand Wajhon Se Aisi Fazilat Hasil Hai Jo Sahabi Ko Bhi Hasil Nahi Jaisa Ki Imam IBNE SIREEN Se Sahi Sanad Ke Sath Marwi Hai Ki Hamare Imam Mehdi Hazrat Abu Bakar Wa Umar Se Afzal Hain.
{هديةالمهدى،،،، جلد-١،،، الصفحة-٩٠}
Hazrat Abu Bakar Aur Hazrat Umar رضى الله تعالى عنهما Ka Kya MAQAM Hai Aap Padh Chuke, Ye Kis Qadar Tauheen Hai Kya Koi Shakhs SAHABA E KIRAM رضوان الله عليهم أجمعين Se Badh Kar Arif Billah Aur Aamil Bis'sunnah Ho Sakta Hai?
Aur Phir Ye Kehna Ki Ye Baat Sahi Sanad Se Sabit Hai SAD FEE SAD JHOOT Hai Kyun Ki Ahlesunnat Ki Kisi KITAB Me Ye Baat Nahi.
Haan Shia Khabison Ke Yahan Hai Aur Wo Hamare Liye QABILE ISTEDLAL Nahi Chunki Ye Ijma Ke Khilaf Hai Jab Puri Ummat Muslemah Ka Ijma Ho Chuka Ki Ambiya E Kiram عليهم السلام Ke Baad Tamam Insano Me Hazrat Abu Bakar Aur Hazrat Umar Afzal Hain To Phir Imam Mehdi Jo Ki NABI Nahi Hain Wo Shaikhain (Hazrat Abu Bakar O Umar) Se Kaise Afzal Ho Sakte Hain?
Aur Is Ijma'ie Masle Ke Khilaf Keh Kar Gair Muqallideen Ne Sabit Nahi Kiya Ki Wo Munkir Ijma Hain Aur Shiyat Ki Raah Chalte Wo Bhi Hain.
"SAHABA KE DUSHMAN"
Aisa Nahi Hai Ki Gair Muqallideen Sirf Khulafa E Rashideen Hi Ke Gustakh Hain Balki Har Bade Sahabi Wa Sahabiyaat Wa Aksar O Beshtar Sahaba Ke Ye Log Gustakh Wa Be'adab Hain.
Ummul Momoneen Saiyyidatuna Aisha Siddiqah رضى الله عنها Jinki Pakdamani Par Allah Ne Sure Noor Me 18 Aayaten Nazil Farmai Hai Ye Wo Muqaddas Khatoon Hain Jinke Good Me Sarware Alam صلى الله عليه وسلم Ka Sare Mubarak Hai Aur Aap Is Dunya Se Tashreef Le Ja Rahe Hain, Aur Aapki Aaramgah (Qabre Anwar) Bhi Hujra E Aishah Hi Bani.
Hazrat Aisha Ki Shan Ghatane Wale Unki Aali Martabat Baland O Bala Bargah Me Galiyan Bakne Wale Madine Ke MUNAFIQ The Aur Phir Shia Huye Aur Ab Gair Muqallideen Bhi Unhi Ki Raah Chal Rahe Hain.
Fitna Gair Muqallidiyat Ke Baani (Founder) Molvi Abdul HAQ Banarsi Ke Bare Me Qari Abdur Rehman Pani Pati Likhte Hain,
Molvi Abdul HAQ Banarsi Ne Hazaron Aadmi Ko Amal Bil Hadees (Ahlehadees) Banane Ke Parde Me Qaide Mazhab Se Nikala,
Aur Molvi Sahab Ne Hamare Samne Kaha AISHAH Hazrat Ali Se Lad Kar Murtad (Islam Se Phir Jana) Hui, Agar Be Taubah Mari To Kafir Mari, Aur Sahaba Ko 5-5 Hadisen Yaad Thi Aur Hum Ko Sabki Hadisen Yaad Hain, Sahaba Se Hamara ILM Bada Hai Sahaba Ko Hum Se Kam Ilm Tha. {Kashful Hijab, Page-21}
Kaleje Par Hath Rakh Kar Khudara Insaaf Se Bataiye Kya Ye Gair Muqallideen Ke Jadde Amjad Molvi ABDUL HAQ BANARSI Ki Hazrat Aishah Aur Tamam Sahaba Ki Shan Me Khuli Hui Gustakhi Nahi, Aur Kya Aisa Bakne Ke Baad Ye Musalman Bhi Rahe ?
Munasib Maloom Hota Hai Ki Yahan Hum Muhaddise Jaleel Hazrat Abu Zar'a Raazi رحمه الله تعالى Ka Wo Farman Pesh Karen Jo Azmate Sahaba Ke Hawale Se Hai.
"Jab Kisi Ko Dekho Ki Wo Kisi Sahabi E Rasool صلى الله عليه وسلم Ki Kami Bayan Kar Raha Hai To Samajh Lo Ki Wo Zindeeq Hai, Aur Ye Is Liye Ki Rasool HAQ Hai, Quran HAQ Hai Aur Jo Quran Ki Taleem Aur Shariat Le Kar Aaya Hai Wo HAQ Hai, Aur In Sab Ko Hum Tak Paohchane Wale SAHABA Hain Aur Ye (Sahaba Ke Dushman) Chahte Hain Ki Hamare GAWAHON (Iman Ke Gawah Sahaba) Ko Majrooh Karen Taki Is Tarah Wo Kitab O Sunnat Ko Batil Karen, Yahi Log Majrooh Qarar Pane Ke Qabil Hain Aur Yahi Zindeeq Hain.
{الاصابه،،، جلد-1،،، الصفحة-11}
In Tamam Hawala Jaat Ki Bina Par Hum Yaqeen Se Kehte Hain Ki Naam Nihad Ahlehadees Chupe Huye Rafzi Hain Aur Khule Rafziyon Ki Tarah Hi Gair Muqallideen Bhi Hain,
"SAHABA KE DUSHMAN"
Hazrat Maula Ali رضى الله عنه Damade Rasool Hain, Bil"ijma Musalmano Ke 4the Khalifah Hain, Unki Azmat O Fazilat Ki Shahadat Khud Rasool E Pak صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Dee, Shia (Khatmal) Hazrat Ali Ke Bare Me Guloo (Had Se Badhana) Se Halak Huye Aur Kharji (Wahabi Gair Muqallideen) Unhe Musalmano Ka 4tha Khalifah Na Maan Kar Aur Unki Shan Me Sakht O Susut Afaz Keh Kar Halak Huye.
Huzoor عليه السلام Ne Farmaya Mai Jiska Maula Hum Ali Uske Maula Hain, Mai Ilm Ka Shaher Hun Ali Uske Darwaza Hain, Ali Mere Liye Aise Hain Jaise Musa Ke Liye Haroon Bas Mere Baad Koi Nabi Nahi, Aur Eik MAQAM Par Sarkar 2 Alam صلى الله عليه وسلم Irshad Farmate Hain,
عن على قال قال رسول الله صلى الله عليه وسلم رحم الله ابا بكر زوجنى ابنته وحملنى إلى دارالهجرة وأعتق بلالا من ماله، رحم الله عمر يقول الحق وإن كان مرأ تركه الحق وماله صديق رحم الله عثمان تستحييه الملئكة، رحم الله عليا اللهم أدر الحق معه حيث دار
Tarjamah-
Hazrat Ali Kehte Hain Huzoor Ne Farmaya, Allah Abu Bakar Par Rahem Farmaye, Ki Usne Apni Beti Ka Mujh Se Nikah Kiya Aur Apne Oont Par Sawar Kar Ke Mujhe Daare Hijrat (Madinah) Le Aaya, Aur Apne Maal Se Bilal Ko Azaad Kiya, ALLAH Umar Par Rahem Farmaye Jo Kehta Hai HAQ Kehta Hai Agarche Wo Baat Kadwi Hoti Hai HAQ Kehne Ne Use is Haal Par Paohchaya Ki Uska Koi Dost Nahi, Aur ALLAH Usman Par Rahem Farmaye, Jisse Farishte Bhi Haya Karte Hain, Aur ALLAH Ali Par Rahem Farmaye, Aye ALLAH Haq Ko Ali Ke Sath Kar De Jidhar Ali Rahe Haq Bhi Udhar Hi Rahe.
{Tirmizi Sharif, Volume-2, Page-212}
Hazrat Ali Ka Shumar Akabir Sahaba Me Hai Aur Aap Ashrah E Mubeshsherah (Wo 10 Sahaba Jinko Dunya Me Hi Jannat Ki Basharat Mili) Shamil Hain.
Gair Muqallideen Ke Mayah Naaz MUHAQQIQ Aur Bade Aalim Hakeem Faiz Alam Siddiqi Jinhe Ahle Baite Pak Aur Khususan Hazrat Ali Se Qalbi Kadurat Hai Apni Khabaston Ka Izhar Yun Karte Hain,
"Agar Ali Masalmano Ke Zarye Khalifah Muntakhab Hote To Zaroor Khilafat Ko WAQAR Milta Magar Ali Ne Khilafat Ke Zarye Apni Zaat Ko Uchna Karna Chaha, Jiska Natijah Ye Nikla Ki Kamo Besh 1 Lakh Musalman Khak O Khoon Me Tadap Kar Thande Ho Gaye.
{Khilafate Rashedah, Page-51}
Isme Na Sirf Hazrat Ali Ki Ijmai Khilafat Ka Inkar Hai Balki Aap Par Ye Tohmat Bhi Hai Ki Aap Lakhon Musalmano Ke Qatil Bhi Hain. العياذ بالله
Kya Iske Bawajood Hum Kahen Ki Gair Muqallideen Ahlesunnat Wa Jamat Me Dakhil Hain ? Kya Ye Kharjiyat Ki Boli Nahi Aur Kya Is Tehreer Se Maloom Nahi Hoa Ki Gair Muqallideen Hain.
"SAHABA KE DUSHMAN"
Eik Taraf To Gair Muqallideen Ke Ra'isul Munazireen Molvi Sana'ullah Amritsari Ahle Hadees Ka Mazhab Bayan Karte Huye "TAUHINE SALF" Ke Unwan Ke Tahet Likhte Hain,
"AhleHadees Ka Mazhab Hai Ki Ambiya عليهم السلام Ki Tauheen Karne Wala Kafir Hai, Aur Auliya Ki Tauheen Karne Wala Ya Unki Nisbat Bad'zani Ya TEHQEER Karne Wala FASIQ Hai.
Hadise Qudsi (Allah Ka Farman) Me Hai Jo Mere Kisi Wali Se Dushmani Rakhta Hai Mera Usse Jang Ka Elaan Hai, Balki Aam Musalmano Ki Tauheen Wa Tazleel Karna Bhi Gunahe Kabirah Hai Khas Kar Wo Log Jo Hum Se Pehle Iman Par Guzre Unki Nisbat To Nek Dua Ka Hukm Hai.
{اہل حدیث کا مذہب،،، صفحہ-11}
Ye Eik Haseen Jaal Hai Jo Bholi Bhali Sunni Awam Ko Phansne Ke Liye Bichaya Gaya Hai, Warna Har Shakhs Janta Hai Ki Gair Muqallideen Kis Tarah Aimmah E Deen Auliya E Kamileen Par Awara Kutton Ki Tarah Din Raat Bhonkte Hain.
Mash'hoor Gair Muqallid Aalim Hakeem Faiz Alam Siddiqi Amirul Momineen Hazrat Sayyedna Ali كرم الله وجهه الكريم Ki Khilafat O Imamat Se Inkar Karte huye Gustakhi Ki Tamam Hadon Ko Yun Paar Karte Hain.
"Hame Is Maqam Par Ye Mukar'rar (Dobara) Kehne Ki Ijazat Dijiye Ki ALI Ki Naam Nihad Khilafat Na Qurani Meyaar Par Puri Utarti Hai Naa Hi Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ne Aap Ki Khilafat Ke Bare Me Koi Ishara Diya, To Aaj Ke Maolana'o Ko Ye HAQ Kisne Diya Ki Wo Ali Ko Khilafate Rashedah Me Shumar Kar Ke Allah Ke Irshad Ko Jhutlaye.
{Khilafate Rashedah, Page-78}
In Dil Kharash Jumlon Ko Padh Kar Yaqeen Ho Gaya Ki Hakeem Sahab Ne Kisi Kharji Ka Qalam Chhen Kar Apni Zehni Gandagi Ko Safhaat Par Bikher Diya.
Hakeem Sahab Hazrat Ali Ko Amirul Momineen Aur Khalifah E Bar'HAQ Manne Ko Taiyyar Hi Nahi.
Hazrat IBNE Umar رضى الله عنه Se Riwayat Hai,
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا رأيتم الذين يسبون أصحابى فقولوا لعنة الله على شركم.
Tarjamah-
Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Jab Tum Un Logon Ko Dekho Jo Mere Sahaba Ko Bura Bhala Keh Rahe Hain To Kaho ALLAH Tumhare Sharr Par Lanat Kare.
{Tirmizi Sharif, Volume-2, Page-225}
Is Hadees Par Amal Karte Huye Hum Tamam Dushmanane Sahaba Shia aur Gair Muqallideen Par Lanat Karte Hain.
Aur Hakeem Sahab Ki Tehreer Se Hum Is Natije Par Paohche Ki Tamam Gair Muqallideen Hain.
"SAHABA KE DUSHMAN"
Imame Rabbani Mujaddid Alf Saani Shaikh Ahmad Farooqi NAQSHBANDI Sarhindi رضى الله تعالى عنه Apne Eik Maktoob (Khat) Me Hazrat Ameer Mua'wiyah Ke Hawale Se Likhte Hain,
"Koi Wali Kisi Sahabi Ke Martabe Ko Nahi Pahohch Sakta, Hazrat Awes Qarni Apni Tamam Tar Balandiye Shaan Ke Bawajood Chunki Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Ziyarat Na Kar Sake Aur Sharfe Sohbat Se Musharraf Na Ho Sake Is Liye Wo Kisi Adna (Chote) Sahabi Ke Martabe Ko Bhi Na Pahoch Sake, Kisi Shakhs Ne Abdullah Bin Mubarak Se Pucha Hazrat Ameer Mua'wiyah Afzal Hain Ya Umar Bin Abdul Azeez? Jawab Me Farmaya Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Sath Jihad Me Ameer Mua'wiyah Ke Ghore Ki Naak Me Jo Gubaar (Dhool) Dakhil Hua Wo UMAR BIN ABDUL AZEEZ Se Kai Guna Behtar Hai.
{Maktoobate Imame Rabbani, Jild-1, Safah-326, Khat No-207}
Ahlesunnat Wa Jamat Ke Nazdeek Tamam Sahaba Kiram رضوان الله تعالى عليهم أجمعين Ahle Khair Hain, Aadil Hain FASIQ Nahi Jab Bhi Kisi Ka Zikr Kiya Jaye To Khair Ke Sath Hi Hona Farz Hai, Kisi Sahabi Se SUYE AQIDAT Bad Mazhabi Wa Gumrahi Hai, Unse Bughz Huzoor صلى الله عليه وسلم Se Bughz Hai Aisa Shakhs Rafzi Hai AgarChe Phir 4ro Khulfa Ko Maane Aur Apne Aap Ko Sunni Kahe Masalan Hazrat Amir Mua'wiyah Unke Walid Sufyan Aur Unki Walidah Isi Tarah Hazrat Amro Bin Aas Wa Mugirah Bin Shaba, Hazrat Abu Musa Ash'ari Hatta Ki Hazrat Wahshi Bin Harab (Jinho Ne Huzoor Ke Chacha Hazrat Amir Hamzah Ko Shaheed Kiya) Inme Se Kisi Ki Shan Me Gustakhi Tabarra Hai Aur Iska Qa'il Rafzi Hai, Koi Wali Kitna Hi Azimul Martabah Ho Kisi Adna Sahabi Ke Martabe Ko Nahi Pahohch Sakta.
Ye To Ahlesunnat Wa Jamat Ka Mutaffaqah AQIDAH Hai Iske Khilaf Gair Muqallideen Ke Peshwa Ki Tehreeren Padhen,
Imame Ahle Hadees Nawab Wahi'duzzama'n Likhte Hain,
ومنه يعلم أن من الصحابة من هو فاسق كالوليد ومثله يقال فى حق معاوية وعمرو ومغيرة وسمرة
TARJAMAH-
Isse Maloom Hua Kuch Sahaba Fasiq Hain, Jaisa Ki Waleed Aur Isi Tarah Mua'wiyah Bin Sufyan Amro Bin Aas Mughirah Wa Sumrah
{Nuzulul Abrar, Volume-2, Page-94}
Hum Allah Ki Panah Mangte Hain Is Lanati Firqe Se Jinke Dilon Me Bughze Sahaba Koot Koot Kar Bhara Hai.
Eik Aur MAQAM Par Yahi Imame AhleHadees Likhte Hain,
"Bhala in Pak Nufoos Par Mua'wiyah Ka Qayas Kyun Kar Ho Sakta Hai?
Jo Na Muhajireen Me Se Hain Na Ansar Me Se Na Unho Ne Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Koi Khidmat Ki Balki Huzoor Se Ladte Rahe Aur Darr Ke Mare Fathe Makka Ke Din Musalman Ho Gaye, Phir Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Wafat Ke Baad Hazrat Usman Ko Ye Raaye Di Ki ALI Aur Zubair Ko Qatl Karo.
{Hayate Wahi'duzzama'n, Page-107}
Nawab Sahab Ki Ibarat Se Andaza Ho Raha Hai Ki Unho Ne Rafziyat Ka Ainak Laga Kar TAREEKH Ko Maskh Karna Chaha, Aur Ab Ye Baat Kisi Par Poshidah Na Rahi Ki Gair Muqallideen Ke Imam O Peshwa Sameet Sabhi Gair Muqallideen Hain.
"SAHABA KE DUSHMAN"
Hazrat Ameer Mua'wiyah Bin Sufyan رضي الله عنهما Jalilul Qadr Sahabi Hain Aap Sahabi Aapke Walid Sahabi Aur Walidah Sahabiyah Hai, Aap Pehle Shakhs Hain Jinho Ne Islam Me Bad'shahat Qa'im Ki, Nawasa E Rasool صلى الله عليه وسلم Sayyedna Imame Hasane Mujtabah رضى الله تعالى عنه Ne 6 Maah Khilafat Ke Fara'iz Anjaam De Kar Apni Khushi Se Hazrat Ameer Mua'wiyah Ki Bai'at Ki Aur Baare Khilafat Hazrat Ameer Mua'wiyah Ko Sonpa.
Imame Hasan Ki Is Sulah Ko Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Pasand Farmaya Aur Pehle Hi Iski Basharat Di Thi,
ان ابنى هذا سيد لعل الله ان يصلح به بين فئتين عظيمتين من المسلمين
Mera Ye Beta Sayyed (Sardar) Hai Mujhe Ummid Hai Ki Allah Pak Iske Zarye 2 Bade Girohe Islam Me Sulah Karaa De.
{Sahi Bukhari, Volume-2, Page-214, Hadees No-2704}
To Ab Hazrat Ameer Mua'wiyah Par FISQ Wagerah Ka Ta'an Karne Wala HAQIQATAN Hazrat Imame Hasan Balki Huzoor صلى الله عليه وسلم Balki Allah Jalla Shanahu Pe Ta'an Karta Hai.
Sab Jante Hain Hazrat Ameer Mua'wiyah Unke Walid O Walidah Se Bughz O Inaad Sirf Rafziyon Ko Hai Ab Unke NAQSHE QADAM Pe Chalte Huye Chote Rafzi Yani Bade Kharji Gair MUQALLIDEEN Bhi Hubbe Ali Aur Bughze Mua'wiyah Me Apni Rafziyat Ka Izhar Yun Karte Hain,
Mash'hoor Gair Muqallid Alim Nawab Wahi'duzzama'n Likhte Hain,
"Sachchi Baat Ye Hai Ki Mua'wiyah Par Dunya Ki Lalach Galib Aa Gai Thi, Wo Hazrat Ali Ko Ailaniyah Bura Kehte The Aur Mimbar Pe Un Par Lanat Kiya Karte The, Aur Hazrat Ali Kya Mua'wiyah Ko To Tamam Khandane Risalat Se Dushmani Thi.
{Ta'aruf Ulmae AhleHadees, Page-150}
Hazrat Ameer Mua'wiyah رضى الله عنه Ki Wo Azmaten Fazilaten Jo Ahadees Me Mazkoor Hain Un Sab Ko Bhula Kar Aur Unki Sahabiyat (Sahabi Hona) Faramosh Kar Ke Nawab Sahab Ne Shi'on Ka HAQ Namak Ada Kiya.
Hazrat Ameer Mua'wiyah Azeem Sahabi Hain Aur Katibeene Wahi (Wahi Ke Likhne Wale 13 Sahaba Me Se Eik) Hain Allama Ibne Kaseer Likhte Hain,
وكتب الوحى بين يديه مع الكتاب
Hazrat Ameer Mua'wiyah Khutoot Ki Kitabat Ke Sath Wahi Ki Kitabat Ka Bhi Kaam Karte The.
{البداية والنهاية، جلد-8،، الصفحة-117}
Agar Hazrat Ameer Mua'wiyah Ki Zaat Ko Majrooh Kiya Jaye To Quran O Hadees Par Aitemad Kaise Kiya Ja Sakta Hai Jabki Likhne Walon Me Ameer Mua'wiyah Bhi Hain ?
Aur Ameer Mua'wiyah Wo Jinko Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Is Ummat Ka Mamu Farmaya Chunki Aapki Bahen Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Nikah Me Thi, Aapke Liye Huzoor Ne Ye Dua Bhi Farmai,
اللهم اجعله هاديا مهديا واهديه
Aye Allah Mua'wiyah Ko Hidayat Dene Wala Aur Hidayat Yaftah Bana Aur Iske Zarye Logon Ko Hidayat De.
{Tirmizi Sharif Volume-2, Page-224}
Kya Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Dua Hazrat Ameer Mua'wiyah Ke HAQ Me Qubool Nahi Hui ?
Aur Jise Huzoor صلى الله عليه وسلم Dua'on Se Nawazen Use Fasiq Lalchi Kehne Wala Kya Hua ?
"Shishe Ke Ghar Me Baith Ke Patthar Hain Phenkte,
Diware Aaheni Pe HIMAQAT To Dekhiye.!!
Gair Muqallideen Ke Shaikhul Ilam IBNE TAIMIYAH HAMBALI Azmate Sahaba Ko Bayan Karte Huye Likhte Hain,
"Kitab O Sunnat Aur Ima Wa Qayas Ki Dalalat (Daleel) Ki Bina Par HAZRAATE SAHABA E KIRAM (رضوان الله تعالى عليهم أجمعين) Ummat Me Sab Se Afzal O Akmal Hain, Isi Liye Is Ummat Me Aap Kisi Shakhs Ko Aisa Nahi Payenge Jo Hazrate Sahaba Ki Fazilat Ka IQRAR Na Karta Ho, Is Masle Me Ikhtelaf Aur Nizaa (Jhagda) Karne Wale Rafzi (Shia) Hain Aur HAQIQATAN Jahil Log Hain.
{منهاج السنة،،،، جلد-1،،، الصفحة-167}
Lo Aap Hi Ke Shaikhul Islam Ne Aapko Shia Banaya.
Piche, Aap Padh Chuke Ki Gair Muqallid Ulma Ke Nazdeek Amale Sahaba Aur Ijamae Sahaba Hujjat Nahi Balki Kuch Sahaba Inke Nazdeek To FASIQ Hain Aur Khulafae Rashideen Ka Zikr Khutbe Me Bid'at Hai Aur Ameer Mua'wiyah Unke Nazdeek Darr Ke Mare Musalman Huye Ye Sab Hawala Jaat is Baat Ko Sabit Karne Ke Liye Kafi Hain Ki Gair Muqallideen Sirf Aimmah Arbah Hi Ke Dushman Nahi Balki Rafziyon Ki Tarah Sahaba Ke Aur Kharjiyon Ki Tarah Ahle Baite Pak Ke Bhi Pakke Dushman Hain.
Is Liye Tamam Gair Muqallideen Ahlesunnat Se Kharij Eik Gumrah Wa Gumrah Gar Jamat Hai, Inme Aksar Kafir Hain (Jo Allah Ke Jism Aur Arsh Pe Hone Ke Qa'il Hain Aur Ijma Ke Munkir Hain) Awam Ko Dhoka Dene Ke Liye Quran O Hadees Ki Ratt Lagane Wale Gair Muqallideen Ye Kehte Hain Ki Sahab Hum 4 Imam Ki Nahi Sahaba Ki TAQLEED Karte Hain Kyun Ki Sahaba Nabi E Pak صلى الله عليه وسلم Ke Shagird Aur Faiz Yaftah Hain 4 Imam Nahi, Ye Bhi Eik Zabardast Jhoot Hai Jo Is Neele Aasman Ke Niche Bola Ja Raha Hai.
Ab Zara Kaleje Par Hath Rakh Kar Behti Ankhon Se Ye Khabees Ibarat Bhi Padhiye Jo Mash'hoor Gair Muqallid Alim Maulana Muhammad Juna Garhi Ne Likha Hai,
"Bhaiyon, Hazrat Abu Bakar Siddiq, Hazrat Umar Farooq, Hazrat Usman Gani, Hazrat Ali Murtaza Qat'an Apni Apni Khilafat Ke Zamane Me Dono Maana (Mujtahid Aur Sultan) Ke Lihaz Se Ulul Amr (Jinka Hukm Maana Jaye) The Lekin Bawajood Iske Na To Kisi Sahabi Ne Unki TAQLEED Ki Na Unki Taraf Koi Mansoob Hua, Balki Unke AQWAL Ki Khilaf Warzi Ki Jab Wo Khuda Wa Rasool صلى الله عليه وسلم Ke Hukm Ke Khilaf Nazar Aaye, Aur Hazrat Umar To Mote Mote Masa'il Aur Roz Marrah Ke Masayel Me Bhi Moti Moti Galtiyan Karte The.
{TAREEQE MUHAMMADI, Page-40}
Ye Kitab TAREEQE MUHAMMADI Gair Muqallideen Ke Har Ghar Me Hoti Hai Aur Ise Sanad Ka Darja Hasil Hai.
Bughze Sahaba Ka Junoon To Dekho Ki Chupa Rafzi Khula Kharji Gair Muqallid Aalim Juna Garhi Hazraat E Khulafae Rashideen Ko Allah Wa Rasool صلى الله عليه وسلم Ka Mukhaif Aur Baghi Keh Raha Hai.
Sahaba Ki Ita'at Aur MUHABBAT Ka Dawa Gair Muqallideen Ka Sirf Zabani Jama Kharch Hai, Warna HAQIQAT Yahi Hai Ki Gair Muqallideen Hain.
"SAHABA KE DUSHMAN"
Yun To Gair Muqallideen Ke Nazdeek Quran Aur Sahi Hadees Ke Siwa Koi Cheez Hujjat Nahi Magar WAQT Padhne Par Bechare Ijma Aur Qayas Ki Hujjiyat Ke Bhi Qa"il Hote Hain Aise Hi Inka Sahaba Se Shadeed Ikhtelaf Hai Magar Kahi Kahi Inke Molvi Saheban Ye Kehte Huye Nazar Aate Hain Ki Hum Amale Sahaba Ko Bhi Hunjate Deen Mante Hain.
Yum Samajhiye Gair Muqallideen Ka Mazhab Chun Chun Ka Murabba Hai Aur HAQIQAT Yahi Hai Ki Gair Muqallideen Ka Sahaba Se Kisi Tarah Ka Koi Lena Dena Nahi Hai Ye Apne Bade Bhai Rafziyon (Shion) Ki Tarah Dhoka Dene Me Mahir Hain Guzishtah AWRAQ Guzar Chuka Inke Ulma Ke Hawale Se Ki Ye Amale Sahaba Ko Hujjat Nahi Mante Isi Pe Bas Nahi Balki Sahaba Ko Fasiq Balki Allah Wa Rasool صلى الله عليه وسلم Ka Mukhalif Tak Kehte Hain.
Agar Ye Sahaba Ke Raste Pe Hote To TAQLEEDE SHAKHSI, 3-TALAQ, Juma Ki Pehli Azan, 20 Rakat Taraveeh, 3-Din Ki Qurabani, Aur Aurton Ke Masjid Me Aane Ki Mumaniyat Jaise Mash'hoor Aur Ijma'ie Maslon Me Sahaba Se Ikhtelaf Na Karte.
Gair Maqallideen Ka Makrooh Wa Bhayanak Chehra Meri Kai Kitabon Aur Bayanat Me Be'NAQAB Kiya Gaya Hai Aap Usse Istefadah Karen Aur Khudara Inke Dhoke Me Na Aayen Is Na'muraad Firqe Ki Shuru'at Hi Buzurgon Se Bad'kalami Aur Ikhtetam Bad'gumani Par Hoti Hai.
Allah Pak Hum Sab Ko Huzoor صلى الله عليه وسلم Aur Aapke Pyare Sahaba Ke NAQSHE QADAM Pe Chalne Wala Banaye Aur Imame Azam Abu Hanifah Noman Bin Sabit Koofi رضى الله تعالى عنه Ke Mazhab Par Isteqamat Ata Farmaye Aur Is Zamane Apne Iman O AQIDE Ki Salamti Aur Tahaffuz Ke Liye Maslake Alahazrat Barelvi رحمه الله تعالى Par Qa'im Rakhe.
اللهم أرنا الحق حقا وارزقنا اتباعه وأرنا الباطل باطلا وارزقنا اجتنابه.
آمين آمين يارب العالمين بجاه سيدالمرسلين أفضل الصلاة والتسليم