async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: May 2016

Thursday, May 26, 2016

History of najdi Wahabi

#_Saudi_Arabia_Naam_aur_wahabiyon_ki_huqumat_History

Arab Shareef Me 1922 Tak Turkey Ki HuQumat Thi -

Jise Khilafat e Usmania Ke Naam Se Jana Jata Hai,

Jab Bhi Duniya Me Musalmano Par
Zhulam  O  Sitam Hota Tha
Tou
Turkey HuQumat is ka Muh Tod Jawab Dete,

America - British - European Nasrani - Yahdidiyo  Ko agar Sub Se Jayada Kisi Ka Khauf Tha
To
Wo Khilafat e Usmania HuQumat Ka Tha -

America - Europe Jaiso Ko Maalum Tha -  Ki
Jab Tak Khilafat e Usmania  Hai
Hum MusalmanO'n  Ka Kuch Bhi  Nahi Bigaad Sakte Hai'n,

America - Europe Ne
Khilafat e Usmania Ko Khatam Karne Ki Sazish Shuru Ki -

America Europ Ne Sab Se Pahele Ek Shaksh Ko Khada Kiya Jo Christian Tha Aisi Arabi Jubaa'n  Bolta Tha Ke Kisi Ko Us Par ShaQ  Tak Nahi Aaya -

Us Ne Arab Ke Logo Ko Khilafat e Usmania Ke Khilaf Ye Kahe Kar Gumrah Karne Ki Nakaam Koshish Ki
Ke
Tum Arabi Ho
Aur
Ye Turkey Ajami
( Non Arabi ) Hai

Hum Ajami Ki HuQumat Ko Kaise Bardasht Kar Rahe Ho-
Par Logo Ne
( Us WaQt Ke Arab SunniyO'n )
Us ki  Ek Na Maani,

Ye Shaksh
Laurence of Arabian Ke Naam Se Mashoor Hua -
( Aap Laurence of Arabian Likh Kar Google Par Search Kare )

Fir America Ne Ek Shaksh Ko Khada Kiya
Jis Ka Naam Hempher Tha

( Aap Google Par Hempher Ki wikipedia Pad Sakte Ho )

Hempher Ki Mulaqat
ibne Abdul wahab Najjdi
Aur
Arab Ke Ek DAAKU Se Hui

Us Daaku Ka Naam
ibne Saud Tha

Hempher Ne ibne Saud Ko Arab Ka HuQmaran Banane Ka Laalach Diya

Fir ibne Saud Ne Makkah shareef aur Madina shareef
Aur
Taif Me Turkey Ke  Khilaaf Jung Shuru Kar Di

Makkah, shareef aur Madina Sharif
Aur Taif Ke LakhO'n  Musalman
ibne Saud Ki Daaku Fauj Ke
HaatO'n  Shaheed Hue

Jab Turkey Ne Dekha Ke ibne Saud Hume Arab se Nikalne
Aur khud Arab Par HuQumat Karne Ke Liye Makkah shareef, Madina Sharif
Aur  Taif Ke Be Qusur MusalmanO'n  Ko Shaheed Kar Raha Hai
Tab
Turkey Ne  Aalami Taur Per Ye Ailan Kar Diya  Ke
Hum is Paak Sar Zameen Par 
Qatal  O  Gaarat Pasand Nahi Karte

is  Wajah Se Hum
Khilafat e Usmania  Ko Khatam Kar  Ke
Apne Watan Turkey Waapas Ja  Rahe Hai,

Fir Arab
Aur
Duniya Ke MusalmanO'n  Ka Zawal Shuru Hua -

ibne Saud  Daaku Arab Ka Badshah Bana

Hijaz e Muqaddas Mulk Ka Naam 1400  Saal Ki Tawarikh  Me Paheli Baar Badla Gaya -

ibne Saud  Ne
Hijaz e Muqaddas Ka Naam Apne baap ke Naam Par Saudia Rakha diya -

Jagah Jagah  Raste
Aur Cauraaho par
ibne Saud Ki Tasweere Lagai Gayee
( Kuch SaalO  Tak Najdi Wahabi Tasweer Haraam Haraam Chilla Rahe Thay )

Jannatul BaQi
Aur Jannatul mualla Me Sahaba Radi AllahO Anhum
Aur
Ahle Bait
Radi AllahO Anhum
Ki Mazar Par
Bulldozers  Chalaya Gaya..

Haram Shareef Ke Jin DarwazO   Ka Naam Sahaba Aur Ahle Bait Ke Naam Par Thay

Unka Naam Aale Saud
( DaakuO Ke Naam )
Ke Naam Par Rakkha Gaya,

Yahud  O  Nasara  Ko
Arab Me Aane Ki Permission Mil Gai

Jis Din ibne Saud Arab Ka King Bana
Us Din Ek Jashan Hua

Us Jashan Me America British
Aur Dusre Kaafir MulkO  Ke Prime Minister ibne Saud Ko Mubarak Baat Dene Pahoch Gaye

Jis Arab Ke Naam Se
Yahud O Nasara Qaampte Thay
Wo
Saudia America Ke ishare Par Nachne Laga
Aur
Aaj Bhi Khud RandiO'n Ke Saath Naach Raha Hai

Yahud  O  Nasara Ki  is Na Paak Sazish  Ka Zikar Karte Hue
"Dr Iqbal Ne Apne Kalaam Me Likha Hai

Wo Fakakash Jo Mout Se Darta Nahi Zara
Roh e Muhammad iske Dil Se Nikaal Dou
Fikre Arab Ko Dekar Firangi Tagaiyulat
islam  Ko Hijaz Aur Yemen Se Nikal Dou,

Book Tarikh e Najd O Hijaz

http://www.nafseislam.com/en/Literature/Urdu/Books/TareekheNajdoHijaz/TareekheNajdoHijaz.htm

Hempher ki Wikipedia

http://en.m.wikipedia.org/wiki/Memoirs_of_Mr._Hempher,_The_British_Spy_to_the_Middle_East

🕳🕳🕳🕳🕳🕳🕳🕳🕳🕳🕳
Visit use beautiful islamic site,

http://serajrazvi.blogspot.com/?m=0

Sunday, May 22, 2016

MUBARAK RAATO’N KI SHARAI HAISIYAT.

“ALLAH RABBUL IZZAT” nay Makhlooque me baaz ko baaz par fauqiyat bakshi, yani baaz cheezo ki fazilat ko baaz doosri cheezo par zaahir FARMAYA, Maslan sitaray’n hain,laykin chand k samnay unki roshni ma’ad pad jaati hai,yuhi jab suraj tulu hota hai toh chand ki roshni apna wajoood kho baitthi hai. Isi tarekay say baaz dino’n ko b ”ALLAH TA’ALA” nay doosray dino’n par fazeelat BAKSHI hai, yuhi kuch raatay’n b aati hai jinkizaahiri taarikiyo’n k pas-e-parda, anwar-o-tajalliyat ki baarish hoti hai aur BANDO’N ko us say sairab kiya jata hay. Unhi Ba-Barkat raato’n may say “SHAB-E-ME’RAJ” “ SHAB-E-BARAAT” aur “SHAB-E-QADR” hay.

Laykin kuch GUMRAH LOG nay in Mubarak raato’n may I’BADAT karnay aur ROZA rakhnay ko HARAAM-O-BIDDA’AT karaar daytay hai aur kehtay hai ki makhsoos tareekay par NAMAZ padnay ka koi hukm”RASOOLULLAH nay nahi diya. Isliye in raato’n may NAMAZ padhna, din me ROZA rakhna BID’AT hai, aur aisa karnewalo’n ko “ALLAH TA’ALA”AZAAB DAYGA.

“MA’AZ ALLAH”

Aur koi HADEES uskay JAWAZ may pesh ki jaati hai toh kehtay hai ki MO’ZU, MANGHADAT aur ZA’IF hai.DALEEL MAY KUCH NAHI BAS UN GUMRAHO’N KA JABRUTI HUKM MANO.

“MA’AZ ALLAH”

MUSALMANO’N

“SHAB-E-M’ERAJ” MUBARAK raat hai, jiski 27vi SHAB ko “ SIAYYADUL MUSALEEN”(Sallallahualaihiwassallam) ko “M’ERAJ” hui aur “AAP”(Sallallahualaihiwasallam) nay “APNI” sar ki AANKHON se APNAY “RAB” KA DEEDAR KIYA aur usi raat ko “RAB” ki BARGAH say “AAP” ki UMMAT ko NAMAZ jaisi PAKEEZAH aur BUZRUG I’BADAT ka TOHFA MILA.
Toh jis raat may NAMAZ ka tohfa “RASOLLULLAH”(sallallahualaihiwasallam) ko mila,us raat may NAMAZ padhna BI’DAT-O-HARAAM q kar hosakta hai ???????

“ALLAH TA’ALA” k woh BANDAY baday khushnaseeb hai jo in MUBARAK raato’n may khoob NAMAZ padhtay hai aur din may ROZA rakhtay hai.

“HAZRAT SHAIKH ABDUL HAQUE MUHADDIS DELHVI”Alaihir’rehma nay
(MA’SABTA BIS’SUNNAH MUTRAJJIM P-185/186) par “ALLAMA IBN-E-HAJAR MAKKI” Alaihir’rehma aur “BEHQI” k hawalay se aur “HUJJATUL ISLAM HAZRAT IMAM MOHAMMED GHAZALI” Alaihir’rehma nay “APNI” kitab (AH’YA’UL ULOOM J-1,P373) par yeh HADEES naqal kartay hay jo : “HAZRAT ANAS” (radiallaanhu) say marwi hai “SAIYYAD-UL-MURSALEEN”(Sallallahualaihiwasallam) nay farmaya “RAJJAB ki 27vi raat may I’BADAT karnay walao’n ko 100 saal I’BADAT ka sawaab milta hai aur jis nay is raat may 12 raka’at NAMAZ is tarah padhi ki har raka’at may SUREH FATIHA k baad QURAN MAJEED say koi SURAT padhay aur 2 raka’at par tashahhud(attahiyat) aakhir tak baad DUROOD SALAM pharay aur 12 raka’at padnay k baad 100 martaba yah Tasbeeh “SUBHANALLAHI WAL HAMDULILLAHI WALA ILAHA ILLALLAHU WALLAHUAKBAR” fir 100 martaba “ASTAGHFIRULLAH” aur 100 martaba “DUROOD SHAREEF” padhay aur subah ko ROZA rakhay fir duniya aur aakhirat k muta’lliq jo (jiaz dua) mangayga “IN SHA ALLAH...ALLAH QUBOOL FARMAYEGA”.

“HUJJATUL ISLAM HAZRAT IMAM MOHAMMED GHAZALI” Alaihir’rehma “APNI” kitab (“AH’YA’UL-ULOOM, J-1, BAB’US SALAAT”) k aakhir may “SALAAT UR RAGHEEB” par FARMATEY HAIN “YEH AHADEES KHABRAY AHAAD HAIN,LAYKIN HAMNAY BADAY-BADAY U’LMA-E-RABBANEEN KO USPAR AMAL KARTAY DAYKHA HAI”.
GARJAY KI U’LMA AUR AWAAM SAB USPAR AMAL KARTAY HAI AUR U’LMA KA AMAL B HUJJAT HAI.ISLIYE “HAZRAT IMAM BUKHARI” Alaihir’rehma U’LMA K AQWAL PAYSH KARTAY HAIN AUR “IMAM TIRMIZI” alaihir rehma jaise AZEEM MOHADDIS JAGAH-JAGAH FARMATAY HAIN “YAH HADEES ZAIF HAI LEKIN U’LMA KA ISPAR AMAL HAI ISLIYE YEH MAQBOOL HAI” 

Aur yeh b maalum rahay ki HADEES SAHIH, HASAN, ZA’IF. MAUZU sirf sanad k a’itbar say hoti hai,warna NAFS-E-HADEESk a’itbar say ho sakta hai ki jo HADEES ZA’IF ho,woh SAHIH ho aur jo HADEEES SAHIH ho,woh ZA’IF ho.
(Dekho MUQADDAMA TBN-E-SALAH aur MO’ZUAT-E-KABEER WAGAIRAH)

Aur ZA’IF HADEESON par AMAL bil-ittifaq –e-U’LMA FAZAIL-E-AMAL may na sirf mo’tbar hay balki AMAL karna mustahab hai. (Dekho AL HADIQATUN’NADIYA FI SHAREH TARIQATIL MOHAMMEDIYA J-1, P-181 AUR FAT’HUL QADEER KUBAIL FASL HAMLUL JANAZAH WAIGAIRAH)

ZA’IF to ZA’IF hai munkir HADEES b FAZAIL-E-AMAL may bil-ittfiaq mo’tbar hai(mulahayza ho TA’QUBAT-E-SUYUTI FI’AKHRI JANIZ aur FATWA RAZVIYA, J-2).

Aur agar koi HADEES kisi MOHADDIS k Nazdeek SAHIH ,HASAN, ZA’IF ho ya MO’ZU ho to woh unki SANAD k aitbar say hoti hai aur agar FAZAIL-E-AMAAL may ZA’IF HADEESO par AMAL karna NAJAIZ-O-GUNAAH  hai toh FAZAIL-E-AMAAL k munkiro ko chahiye ki puri UMMAT k kisi b MO’TBAR AALIM ka QAUL-E-RAKAYH pesh kare’n.

Aur yeh b koi zaruri nahi ki duniya k saaray “MOHADDISEEN” tamam HADEESO par muttafiq ho aur kisi nay kisi HADEES par kalaam na kiya ho.

Warna bahot saari HADEESE hai (Jaisa ki AHLAY ILM say poshida nahi) baaz k nazdeek SAHI hai aur baaz k Nazdeek ZA’IF hai, hatta koi MO’ZU b hai.

Warna khud ko AHLAY HADEES kehlanaywala yah bataye ki kitni HADEESE hai jin par Duniya k Tamam “MOHADDISEEN” ka ittfaq hai ?????

Agar GUMRAH firqo’n ki baat maan li jaaye toh tamam “KUTB-E-AHADEES” k teen chauthai hisay say haath dhona padega, yaha tak ki “BUKHARI-MUSLIM” b mehfooz na rahaygi “NA’UZBILLAH”
In Tamam baato’n say yah saabit hua ki har ehkaam k alag-alag kamo’n aur usool hai aur FAZAIL-E-AMAL may ZA’IF HADEESO’N par AMAL na sirf yah ki JAIZ hai balki uspar AMAL karna MUSTAHAB hai aur agar koi kehta hai har Hukm k liye SAHIH HADEES ka hona zaruri hai toh uska khudsakta QANOON aur ZAPTA hai MAZHAB-E-ISLAM say koi wasta nahi...

MUSALMANO’N yeh toh un “U’LMA-E-RABBANEEN” k aqwal thay jo AHADEES-E-KAREEMA” k AAMEEN-O-MUHAFIZ hai, jinhonay FAZAIL-E-AMAL k baab may ZA’IF HADEESON par AMAL karnay ko MUSTAHAB bataya aur AMAL b kiya.

Laykin ab khud “SAIYYADUL MURSALEEN”(Sallallahualaihiwasallam) ka farman suno jo FAZAIL-E-AMAAL k talluk say hai aur jo GUMRAH FIRQA in MUBARAK RAATO’N may I’BADAT karnay ko SHIRK-O-BIDA’T qaraar detey hai woh b ALFAZ-E-AHADEES par ghaur kare’n aur agar “ALLAH TA’ALA” taufeeq de to Amal b kare’n aur apni zubaan par lagaam day’n.

SUNO jis HADEES ko “HASAN IBN-E-U’RFA” nay APNAY “JUZW-E-HADEES” may aur “ABU SHAIKH” nay “MUKARIMUL AKHLAQUE” may aur “JAAMI’UL HADEES” may “HAZRAT ABDULLAH IBN-E-ABBAS” (radiallahuanhuma) say aur “IBN-E-HABBAN” aur “HAFIZ ABDUL BIR” nay “KITABUL ILM” may “HAZRAT-E-ANAS” say “DAR-E-QUTNI” aur “MO’HBI” nay “KITABUL ILM” may “HAZRAT-E-ABDULLAH IBN-E-UMAR”(raziallahuanhuma) say RAWAYAT FARMATEY HAI..

Tarjuma : Jisko ALLAH ki taraf say kisi baat may kuch fazeelat pahuchay woh banda apnay yaqeen aur uspar sawaab panay ki ummeed usay uska sawan inayat FARMAYEGA agarchay khabar sahi naho”
aur
“Dar-E-QUTNI” ki Hadees yeh hai
Tarjuma: “ALLAH TA’ALA usay uska sawaab ATA KAREGA agarchay woh hadees Mujhsay marwi ho ya naho”
aur
“HAAFIZ ABDUL BIR” k ALFAZ yeh hai.

Tarjuma: “Agarchay us Hadees ka rawi jhoota ho”                                                             
In IRSHADAD ki roshni may yeh maalum hua ki FAZAIL-E-AMAL k baab may agar kisi MUSALAMAN nay un “HADEESO” par Amal kiya jo DarHaqeeqat ZA’IF hai, par HUSN-E-NIYYAT ki buniyad par usko uska sawaab milega.

Aur agar koi GUMRAH uspar Amal karnay say rokta hai toh us k baaray may “SAIYYADUL MURSALEEN”(sallallahualaihiwasallam) IRSHAD FARMATE HAI’N
Jis HADEES ko “ABU YALA” nay aur “TIBARNI” nay “MO’AJM-E-AUSAT” may “HAZRAT-E-ANAS” (raziallahuanhu) se rawayat kiya ki “RASOOLULLAH”(Sallallaahualaihiwasallam) FARMATE hai’n

Tarjuma: Jis ko ALLAH TA’ALA ki taraf say kisi cheez may fazeelat ki khabar pahuchi aur usnay usko tasleem na kiya toh woh shaks us fazeelat say mehroom rehgaya (MA’KHUZAZ FATWA RAZVIYA J-2)

Zubaan se IMAAN ka dawa kar k jo GUMRAH log awaam ko “SHAB-E-ME’RAJ” “SHAB-E-BARAAT” “SHAB-E-QADR” may bay’dar hokar I’BADAT karnay aur Din may ROZA rakhnay say bayja Koshish kartay hai aur yeh kehtay hai ki “NABI-E-KAREEM” nay nahi kiya. “SAHABA-E-KIRAM” ne nahi kiya.Awaam ko MUSHRIK aur BID’ATI karaar dete hai’n unhay chahiye ki “NABI-E-KAREEM” (Sallallahualaihiwasallam) k in tamam FARAMEEN par agar IMAAN rakhte hai toh Khud apna e’htisab kare’n aur BUGZ-O-INAT ka shikar hokar logo’n ko I’BADATO’N say rokna band karay’n.
Jab ki “SHAB-E-ME’RAJ” “SHAB-E-BARAAT” “SHAB-E-QADAR” k ta’lluq say bahit saari HADEESO par AMAL ki targheeb dilayi gai hai jo “U’LMA-E-AHLE SUNNAT” say aap sunte rehte hai uspar AMAL kare’n.

“ALLAH TA’ALA” ki yeh shaan nahi ki MOMINO’N ki I’BADATO’N ko raigha’n kare’n, albatta HUSN-E-NIYYAT shart hai..

In tamam tauzeehat say agar FAZAIL-E-AMAAL ka munkir na maane toh woh khud apnay ghar ki khabar le.Dekhiye “SIRAT-E-MUSTAQEEM URDU, P-132” us k MUSANNAF DEOBANDI aur GAIRMUQALLIDO’N k pehswa “MOLVI ISMAIL DELHVI” hai.

KASHF-O-ISTIKHARA k Ta’lliuq say tareeka bayaan kartay hue likhte hai “Agar inkay shafay matloob haasil na ho toh usi waqt yaani raat k TEESRAY PEHER ko inkay shafay waqya k liye 2 raka’at NAMAZ padhe aur har raka’at may 3 baar SUREH FATIHA, 3 baar AYAT-AL-KURSI aur 15 baar SUREH-IKHLAS us k baad sar sajday may rakhkar nihayat khushu-o-khuz’u k sath HUSUL-U-KASHF k liye 101 baar YA KHABIRO AKHBIRLI  padhe fir so jaye IN SHA ALLAH khwaab may waqiya ka haal zaahir ho jayega”

Ab UN k motaqid aur pairokar AHLE HADEES (dar haqeeqat GAIRMUQALLID) hi bataye agar “NABI-E-KARIM”(Sallallahualaihiwasalam) say kisi makhsoos tareeqay par NAMAZ padhna manqool hi nahi aur na is silsilay may koi HADEES laik-e-aitbar hai to AAP k peshwa “MOULVI ISMAIL DELHVI” nay jo “HUSUL-e-KASHF” k liye NAMAZ padhnay ka makhsoos tareeqa bataya hai “aaya apni marzi say ya “NABI”sallallahualaihiwassalam say koi HADEES is silsilay may marwi hai???

Agar apni rai say yeh tareeqa bayaan faramaye toh zaahir hai ki yah “DEEN-E-MOHAMMADI”(sallallahualaihiwasalam) may 1 nayi cheez ijaad karna aur BID’AT failana hai aur agar is silsilay may koi HADEES marwi hai ??? to phir woh HADEES ZA’OF-O-SAYHAT wagairah digar ausaf k lihaz say is HADEES ki kya rawaiyyat hai aur kya Duniya k tamam “MOHADDISEEN” ka is HADEES par ittifaq hai????

“MAH-E-RAJAB aur SHABAAN” waigairah may “BUZURGAN-E-DEEN” k naam FATIHA aur ISAAL-E-SAWAB kiya jaata hai
Usko b GUMRAH FIRQA SHIRK-O-BID’AT batata hay “YAH DEEN MAY DAKHALANDAZI KARNA HAI  JO KHULI HUI GUMRAHI HAI”

ISAAL-E-SAWAAB HAQUE HAI AUR AHLAY SUNNAT WAL JAMA’AT KI IJMAI AQEEDA HAI ki maiyyat ko uska sawaab pahuchta hai.

“SHAIKH SADRUDDIN ABU ABDULLAH DIMASHQI”(alaihir’rehma) say “REHAMTUL’UMMAH FI IKTHILAFIL A’IMMA” may likhtay hai..

TARJUMA: “Is par ijma hai ki istighfar, dua , sadqa, hajj aur ghulam azad karna maiyat ko nafa deta hai aur unka sawaab maiyyat ko milta hai.”

Aur khud AHLE HADEES (GIARMUQALLID) k “SHAIKH-UL-FIL KUL”???

“MOULVI NAZEER HUSSAIN” nay “FATWA NAZEERIYA J-1, P-564/565” par likhtay hai
“rajayh qaul yeh hai ki ISAAL-E-SAWAB maiyat ko pahuchta hai  chahay woh TILAWAT-E-QUR’AN ho, SADQA KAHIRAT Wagairah ho ya phir BADNI I’BADAT ho maiyyat ko sawaab pahochta hai yahi qaul daleel ki roo say zyada rajayh hai”.

Aur dono GUMRAH JAMA’ATON k MUSHTARIKA MUJADDID ??? “MAULVI ISMAIL DELHVI” nay na sirf yah ki woh FATIHA ko JAIZ kehte hai balki BUZURGO’N k naam FATIHA karne ka HUKUM b dete hai.

“SIRAT-E-MUATQEEM, Press Deoband, Urdu, P-126 likhte hai
“Taalib ko chahiye k ba wazu dozanu baithkar BUZURGO’N yani HAZRAT MOINUDDIN SANJARI aur QUTUBUDDEEN BAKHTAYAR KAKI wagairah k naam FATIHA padhkar BARGAH-E-KHUDAWANDI may un BUZURGO’N k TAWASSUL aur WASEELA say iltija kar k NIYAZ-E_BAYANDAZ ZARI BAYSHUMAR  kartay hue apnay kaam k FATEH BA’AB k liye Dua kar k ZIKR-E-DOZARBI shuru kare”

NOTE: YAHI “SHAH ISMAIL DELHVI” sahab nay APNI KITAB “TAQWIYATUL IMAAN” may WASEELA wagairah ko SHIRK-o-BID’AT qarar day kar WASEELA k QAILEEN ko MUSHRIK bana chukay hai.

Ab un k naam lewa apnay ko GAIRMUQALLID kehlakar ANDHI TAQLEED karnay walay sochey ki khud un k peshwa SHIRK-O-BID’AT ki kis bahayanak daldal me phasay hue hai.

“ALLAH RABBUL’IZZAT”
APNAY “HABEEB”(Sallallahualaihiwasallam) k tufail BA’BARKAT RAATO’N me baydar hokar “APNI” I’BADAT karne ki Taufeeq ATAA FARMAYE.
“AAMEEN SUMMA AAMEEN”
“BIJAH-E-HABEEBIHIL KAREEM”
(Sallallahualaihiwasallam).

KHANA SAMNE RAKHKAR, FATIHA PADNE KA SABOOT:

Bismillah-Hirrahmanir-raheem

AL HADITH:

Hazrate Abu Talha RaziALLAHU Anhu
Ke Ghar Dawat Par, Aap NABI E
PAAK (SALLALAHU ALAYHI
WASALLAM) Ne Roti Aur kuch
Khajuren Samne Rakh kar Jo Chaha
Padha, Aur Fir Usme Itni Barkat
Ho Gayi, Ki 2_3 Aadmiyo Ka Khana,
Puri Qaum Ne Sair Hokar Khaya, Ek
Riwayat Ke Mutabiq 300 Log The,
Aur Sabne Khaya, Fir Bhi Wo Khana
Bach Gaya.

(Sahih Muslim Shareef, Kitabul
At'amah, Hadees 5284,5285, 5286,
5287, 5288,5289, 5290, 5291) Aap
NABI E PAAK (SALLALAHU ALAYHI
WASALLAM) Ne Roti Aur Kuch
KhajurenSamne Rakh Kar Kuch
Padha, Zaahir Baat Hai Ki ALLAH
PAAK Ki Hamd o Sana Padha Hoga,
Aur Hum Ahl E Sunnat Wal Jamaat
Wale Bhi To Khana Samne Rakhkar
ALLAH PAAK Ka Qalaam Padhte
Hain,
Fir Ye Wahabi Ahl E Khabees Kyu
Hum pe Bidat Aur Shirk Ka Fatwa
Lagate Hain???
Kya Jis Khane Par ALLAH PAAK Ka
Qalaam Padh Diya Jaye, Wo Biddat Haraam na jaiz
Ho Jata Hai??? *MaazALLAH*,
Musalmano gaur karo jab tak khaana mein quran na padha gaya tha halaal tha jaiz tha magar jab quran padha gaya to ye wahabi deobandi ahle khabees kahte hai haraam ho gya pta chla inke nazdeek quran padhna haraam hai maaz Allah nauzbillah kitne bade dushman hai ye wahabi deobandi quran ke islaam ke musalman ke
Aur Is Hadith Se Ye Bhi Pata Chalta
Hai Ki Khane Par Qalaam, Yani Fatiha
Padhne Se Usme Barkat Ho Jati Hai
Wahabi deobandi ahle khabeeso ke yaha jab koi marta hai to namaz e janaza mein murde ko aage rakh kar namaz padhte hai to inka murda bhi harami ho jata hoga jab khaana saamne rakh kar quran padhne se khana haram ho jaata hai inke nazdeek..

Aur khana samne rakh kar uspe Quran padhna in khabeeso'n ke najdeek jaiz nahi,
To ye khaane se pahle bismillah, khana ko pichhe rakh ke padhte hai kya??
Isliye kaha jaata hai Wahabi bolta hai par samjhta nahi,,.

Saturday, May 21, 2016

dawat_e_islami_maslak_e_alahazrat_ki_ya_maslak_e_ahle_sunnat_ki_Moballige_nahi_hai

#dawat_e_islami_maslak_e_alahazrat_ki_ya_maslak_e_ahle_sunnat_ki_Moballige_nahi_hai

(Sawal) madni channel dekhna kaisa hai,,,
dawat e islami walo ka kahna hai tasweerkashi haraam hai,,
jo tasweer saakin halat me hai wo haraam hai,,
lekin ham tasweer saakin halat me nahi dikhate balke video ki surat me dikhate hai,,
kya ye dekhna sahi hai hazrat maherbani kar ke ap hamari rahnumayee farmaye....

(Jawab by sarkar tajushshariya)

Tasweerkashi najaiz o haraam hai,, aur madni channel koi nahi hai,,
kisi channel ko madni kahna jaiz nahi hai,,
huzoor sarwar e alam sallallahu alaihi wasallama ne jandar ki tasweer wo motahartik bane ya saakin usko khichwane ko banane ko haraam o najaiz kaha,,
usme ye tafseer karna ki ham motaharrik dikhate hain saakin nahi ehanat aur behuda batil khyal hai,, 
isse pahle khud ilyas qadri tv ko aur video ko haraam o najaiz kahte the,,
ab mokhtalif taweel aur hile bahano se wo cinema ko jisko sabse pahle moududi ne jaiz kaha tha us cinema ka riwaz dena chahte hai,,,

aur ijmayee mas'ala tasweerkashi ka jo hai uspe aaj tak ke aulama ka ijma chala aa raha hai  huzoor e mufti e azam e hind radi Allahu anhu ne film khana e khuda usme bhi kaabe shareef wagairah ki tasweer dikhayee jati thi fatwa ye diya ke din ka tamasha banana najaiz hai aur us vawt ke motabar aulama ne unke fatwe ki tasdeeq ki,,
us par ijma hogaya us izma ko todna aur mukhtalif Hilo bahano se tasweer kashi ko jaiz batana isse najaiz, jaiz nahi ho sakta,,

huzoor sarwar e alam sallallahu alaihi wasallam ne motabid ahadees e motabilata me usko hurmat shar'hatan farmayee hai aur koi khaas tarika nahi bataya hai is tarike par banegi to jaiz hogi aur is tarike par banegi to najaiz hogi lehaza qayamat tak ab jo neye (new) tarike jo nikle inse bhi agar neya (new) tarika agar nikal aaye to jandar ki tasweer banane aur banwane ka tasweer najaiz hi rahegi deen ka tamasha banana ye najaiz o haraam hai,,
aise ijtamat me jana jaiz nahi hai aur yahin se pahle sawal ka jawab zahir ho gaya ke jo Tanzeem aise khule moharramat ka riwaz de rahi hai,,
wo maslak e alahazrat ki ya maslak e ahle sunnat ki Moballige nahi hai

Clip download karen
Click here https://www.dropbox.com/s/v29wy1slr31lmw5/AUD-20160302-WA0003.m4a?dl=0

Friday, May 20, 2016

Shab e baraat

SHAB E BARAT
@01

Sha'baan Ki Pandharween Raat Ka Naam
Aam Istilah Me Shab e Bar'at Hey
Is Raat ki Fazilat Qur'an Paak Se Ba'az Sahaba e Kiram Ki Tehqiq Se Sabit Hey

(Surah e Dukhan Aayat 1-4)
ALLAH Ney Qasam Yaad Farma Kar Is Raat Ko
"LAILATUL MUBARAKA"
Kaha

1- Allama Aalusi;
"Hazrat e Akrama aur 1 Jamat e Sahaba Is Taraf Hey Ke Is Sey Muraad Sha'ban Ki Nisf Raat
(Yani Pandharween Raat Jisey Shab e Bar'at Kaha Jata He) He
(Tafseer e Roohul Mua'ani)

SHAB E BARAT
@02

2- Abu Saud;
"Lailatul Mubaraka Se Murad Lailatul Bar'at (Nisf Shaban) B Hey
(Tafseer e Abi Saood)

3- Allama Imam Raazi;
"Hazrat Akrama Aur Dusrey Sahaba Ne Kaha Ke Ye Lailatul Bara'at Hey Jo Sha'ban Ki 15th Hey"
(Tafseer e Kabir)

4- Allama Sawi;
"Lailatul Mubaraka Se Murad Sha'ban Ki 15th Hy.
Yahi Qoul Akrama Aur Kayi Dusrey Sahaba Ka He

Is Raat k 4 Naam Hen
1.Mubaraka
2.Rehma
3.Bar'at
4.Sak
Aur is Raat Ibadat Karna Afzal Hy
(Saawi)

SHAB E BARAT
@03

Muta'addid Ahadees Sey
Is Shab Ki Fazilat Sabit Hey

Sihah Ki 2 Kutub
Tirmizi, Ibn e Maja
Ke Ilawa
Musnad e Ahmed,
Baheeqi,
Musannaf Ibn e Abi Sheba
Me Kayi Ahadees Iski Fazilat Pr Mazkur Hen.

Kuch Ahadees Mulahiza Hon Jin Me Nabi Paak Ke Irshad Se Fazeelat Ki Wazeh Tayeed Hey

SHAB E BARAT
@04

1- Hazrat Ali Sy Marwi;
Huzoor Karim Ny Farmaya;
"Jab Sha'ban Ki Nisf Raat Aaye To Tum Raat ko Qayaam Karo Aur Din Ko Roza Rakho.
Beshak Guroob e Aftab Se Subeh Sadiq Tak ALLAH Paak Ki Rehmat ka Nuzool Aasman e Dunya Par Hota Hey.
Rabb Ta'ala Ki Taraf Se Aawaz Di Jaati Hey,
Khabardar !!
Hey Koi Jo Mujse Bakhshish Talab Karey,
Mey Usey Bakhsh dun. Khabardar !!
Hey Koi Rizq Ka Taalib
Ke Usey Rizq Ataa Karun. Khabardar !!
Hey Koi Musibat Zada
Ke Mey Usey
Aafiyet Ataa Karun.
Khabardar Koi Is Tarah Hy?
Khabardar Koi Is Tarah Hy?"
(Ibn e Maja -
Bab Ma Jaa'a Fi Lailatin Nisf Min Sha'ban P#99)

SHAB E BARAT
@05

2- Hazrat Abu Moosa Ash'ari Sy Marwi;
Huzur Ny Farmaya;
"Beshak ALLAH Ki Rehmat Ka Sha'ban Ke Nisf Ki Raat Mey Zuhoor Hota Hy.
ALLAH Apni Tamam Makhlooq Ko Muaf Farma Deta Hy
Siwaye
Mushrik,
Logon Sy Bughz Rakhnay Walay,
Dushmani Karny Waley"
(Ibn e Maja)

3- Hazrat Ayesha Sy Marwi; Huzoor;
"Sha'ban Ki Nisf Raat My Saal My Paida Hony
Aur Fout Hony Walon,
Baais e Rif'at Naik A'amal Aur Rizq Ke Asbab Likh Dye Jaaty Hen"
(Bahiqi)
(Mishkat)

SHAB E BARAT
@06

4- Hazrat Urwa Sy Marwi; Hazrat Ayesha;
"May Ny Ek Raat Rasulullah Ko Gum Paaya To Apki Talaash Ke Lye Nikli.
Aap Baqee(Qabrastan) Me Aasman Ki Taraf Sar Uthaye Huey They.
Huzur Ny Farmaya...
.....Beshak ALLAH Paak Apni Rehmat e Kaamila Sy Nisf Sha'ban Ki Raat
(Shab e Bar'at)
Aasman e Dunya Par Nuzool Farmata Hy.
Banu Kalb Ki Bakriyon Ke
Baalon Sy Zyada Magfirat Farmata Hy"
(Tirmizi)

Is Mazmun Ki Ahadees Muta'addid Asnad Sy
Warid Huin

SHAB E BARAT
@07

5- Shab e Bar'at Ki Fazeelat Waly Baab Me
Hazrat Abubakar Sy Bhi Tirmizi My Hadees Marwi Hy

6- Huzur Ny Farmaya;
"15th Sha'ban Ko
ALLAH Paak (Ki Rehmat) Aasman e Dunya Ki Taraf Nuzool Farmata Hy.
Is Raat Har Gunahgar Ki Bakhshish Hoti Hy
Siwaye Mushrik w Keena Parwar Ke"
(Behiqi)

7- Muaz Bin Jabal Sy Bi Yahi Manqool Hy

8- Ata Bin Yasar Sy Marwi;
"Koi Raat Lailatul Qadar K Baad 15th Sha'ban Ki Shab Sy Zyada Fazilat Wali Nahi"
(Behiqi)

SHAB E BARAT
@08

9- Hazrat Ka'ab Sy Marwi;
"ALLAH Jibraeel ko 15 Sha'ban Ki Shab Jannat Ki Taraf Bhejta Hy,
Ke Wo Aarasta Hony Ka Hukum Puhncha Den.
Or Keh Den K ALLAH Is Raat My
Aasman Ke Sitaron,
Dunya Ke Din Raat,
Darakht Ke Patton,
Paharon Ke Wazan
Auur Rait Ke Zarron Ki Ginti
Ke Barabar Bandon Ko Aazad Karega"
(Baheeqi)

10- Akrama Sy Marwi;
"15 Shaban Khuda Ki Taraf Sy Hikmat Waly Har Kaam Ka Faisla Kya Jaata Hy
Zinday Likhey Jaaty
Aur Haji Qalamband Hoty Hen
Phir Is Sy Na Koi Barhta Hy
Aur Na Kam Hota Hy"
(Ibn e Jarir)
(Ibn e Manzar)
(Ibn e Abi Hatim)

Mazeed Ahadees Bhi Paish Ki Jaa Sakti Hen

SHAB E BARAT
@09

Alhamdulillah Hum Ne
Shab e Bar'at
Par Hamara Moaqqaf Jaan Lya

Is Hawalay Se Kye Jaane Waley
Tamam Aetirazat
Naqis, Gair Mayari, Jahalat Par Mabni,

Is Site ka audio kaise download hoga

AGAR AAP SE YAHAN UPLOAD KI GAYEE CLIPS (YAANI AUDIO) DOWNLOAD NAHI HO PAATE TO YAHAN PADHIYE, TARIKA KAISE DOWNLOAD HOGA AUDIO

SALSE PAHLE AAP KO JIS FILE SE AUDIO DOWNLOAD KARNA HAI USKE LINKS PAR CLICK KARIYE,
FIR AUDIO KA LIST AA JAYEGA,
FIR AAP KO JO AUDIO DOWNLOAD KARNA HAI USPE CLICK KARIYE,

CLICK KARTE HI AAP KO UC BROWSER, DROPBOX, INTERNET, WAGAIRAH, KA OPTION AAYEGA,
AAO INTERNET PAR CLICK KARIYE,

Ab Ap ko dikh raha hai ke audio kitne mb ka hai aur kitne din pahle upload kiya gaya, hai

Ab Ap left side me upar dekhiye Ap ko Dropbox likha hua nazar Aayega,
Aur right side me download karne ka box hoga,

Aap right side me jo box dikh raha hai uspe click kariye,
Ab 2 option aaya,
Ab Aap direct download par click kare'n..

Hone laga download...

Baaligh hone ki umr

maslaa: Aadmi chaahe Aurat ho ya mard jab se BAALIGH hotaa hai. Usi vaqt se us par namaaz, Rozaa, wagairaah farz Ho jaataa hai|

Aurat kam se kam 9 baras (year) me zyadah se zyadah 15 baras (year) me BAALIGH ho jaati hai,

Aur mard kam se kam 12 baras (year) me aur zyadah se zyadah 15 baras (year) me BAALIGH ho Jaataa hai,

15 baras (year) ki umr waale chaahe mard ho chaahe Aurat shara'a me BAALIGH maanaa jaataa hai,

Chaahe Baaligh hone ki nishaaniyaa'n Paayee jaati ho ya naa paayee jaati ho'n

(Qanoon e shariyat, page 133)

Wednesday, May 4, 2016

Part 01

Hizrat se 2 Saal Pehle Makkah e Muazama Me Nabi e Akram ﷺ Ko Meraj Hui. Meraj ka dusra Naam  “ASRA”  bhi hai jiske maane Raat ko Chalana ya Raat ko le Jaana Bhi Hota hai.
Shah Abdul Haq Muhaddis Dahelvi Shara e Mishkat me likhte hai 
“Makkah E Mukkarama se Masjide Aksa tak ka Safar ‘ISRA’ hai jo Qurani aayat se saabit hai aur iska Munkir “KAAFIR” hai. Masjide Aksa se Sidratul Muntaha wa lamaka tak jaana hadees e paak se saabit hai iska MUNKIR GUMRAAH AUR BAD’DEEN HAI”
Reference :
(Ashi'atul-Lamat Vol : 04 Pg: 526 by Shykh Abdul Hak Muhaddis Dahelvi)
“Hadees aur Seerat Ki kitab me Kasrat se Meraj un Nabi  ﷺ  ka zikr hai Allama Zurqani رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  ne 45 Sahaba e Kiram Rizwanullahi Azmain k naam ginwaye jinhone hadees e Meraj ko rivayat kiya hai”
Reference :
(Al-Muwahib al-Ladunniyyah Shara e Zurqani Vol : 08, Pg : 27/28)
Meraj Ki Tariqh ko leke kuch ektelafat hai par ispe sabka ittefak hai k Meraj Hizrat se Pehle ka waqya hai jo Makkah e Muazama me Pesh Aaya.

“Ibn Katibi Dinnuri رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  (Al Mutawafa 267 Hizri) Aur ibn Abdul Barr Al Maliki  رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  (Al Mutawafa 463 Hizri), Imam Rafayi aur Imam Nawawi As Shafai ne tehreer farmaya k wakya e meraj Rajjab al Murazzab k mahine me pesh aaya aur Muhaddis Abdul Gani رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  ne 27 Rajjab Bayan ki hai aur Allama Zurqani ne tehreer farmaya hai k muharikeen ka isi par amal raha hai aur yehi sabse kavi rivayat hai”
References :
(Zurqani Vol : 01, Pg : 355/358)
( Al-Muwahib al-Ladunniyyah Shara e Zurqani Vol : 02, Baab : Waktal Asra,Pg : 80/81)

Sayyadul Fukaha Hazrat Mulla Ali Jeewan رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  (Ustad e Huzur Badshaah Aurangzeb Alamgir Alaihi Rehma) apni kitab Tafsire Ahmadiya me likhte hai 
"i) Makkah E Mukkarama se Masjide Aksa tak Jaana Meraj E Katai hai jo Quran Se Saabit Hai.
(ii) Masjide Aksa se Aasmane Dunya tak jaana Mashoor hadis e paak se saabit Hai 
(iii) Aasmano se upar tak jaana Aahadh Se saabit hai. 
To pehle ko naa maan ne waala Kaafir hai, Dusre ko na maan ne waala Bad’deen hai, teesre ko na maan ne waala Fasik hai.”
References : 
(Tafseer Ul Quran fi Tafseer e Ahmadiya, Pg : 328)

Part 02

Meraj Kitni Baar Aur Kaise Huwi
Shykh Abdul Hak Muhaddis Dahelvi رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  Shara E Mishkat Ashi'atul-Lamat Huzoor ko jaagte ki Halat me Meraj Ek Baar aur Sapne Me Kayi Baar Meraj Huwi Thi.
Reference : 
(Ashi'atul-Lamat, Vol : 04, Pg : 527)
Zamhoor (majority) Ulema e Millat ka sahi mazhab ye hai k BA HALAAT E BEDARI JISM WA ROOH K SAATH MERAJ EK BAAR HUI. Jamhoor Sahaba, Fukaha, Sufiya e Kiram Radi Allahu Anho Azmain ka yehi mazhab hai.
Allama Hazrat Mullah Ahmad Jivan رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه (Ustad e Badshah Aurangzeb Aalamgir Alaihi Rehma) ne tehreer farmaya
“Aur Sabse Zyada Sahi Kaul ye Hai Meraj Halaat e Bedari Jism wa Rooh K Saath Hui Yehi Ahle Sunnat Wa Jamaat Hai Mazhab Hai
Me Hui. Lihaja Jo shaks kahe Meraj Fakat Khwab me hui ya Roohani hui wo Biddati, Gumraah, Gumraah Kun Wa Fasiq hai”
References :
(Tafseer Ul Quran fi Tafseer e Ahmad, Surah Bani Israel Ayat 01 pg : 505 )

Safar e Meraj Un Nabi ﷺ
“Bis’aat k 11 ve saal hizrat se 2 saal pehle 27 Rajjabul Murajjab Peer Sharif k din Nabi e Karim ﷺ Namaz e Isha Ada karne k baad Apni Chacha Jaad behan Umme Hani Radi Allahu Anha k ghar aaram farma rahe the k Daulat Khana e Aqdas ki Chhat khuli aur Hazrat Jibril Alaihi Salam ne Huzoor e Akram ﷺ ko Umme Haani Radi Allaho Anha k ghar se Masjid e Haram me laake Hatim e Kaaba Me Leta Diya”
References :
(Miratul Manajih Shara E Mishkatul Masabih, Meraj Ka bayan, Pehli Fasl Baab 08 Pg : 135)
(Siratun Nabi Lil Ibn Hissham  Vol : 02, Zikre Asra Wal Meraj, Pg : 38)
(Futuhool Baari Shara e Sahi Bukhari, Kitabul Manakib, Baab Meraj Un Nabi ﷺ, Vol : 07, Pg : 256, Hadees : 3887)
Safar e Meraj k Har Stages ko yaha article me likhna kaafi mushkil hai warna ye bahot pages me chala jayga isliye yaha ab hum sirf wo baato ko likh k jawab bhi denge jin baato pe kuch kam akal aitraaz karte hai.
Hazrat Moosa عليه السلام Ka Apni Kabr E Mubarak Pe Namaz Padhna
Hadees :
Hazrat Anas Bin Malik رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Se rivayat hai k Nabi e Karim ﷺ ne Farmaya Jab Safar e Meraj Me Gujar Hazrat e Moosa عليه السلام Ki Kabr e Mubarak K Pass Se Jo Raith K Surkh Teele K Paas Wakay Hai Huwa To Wo Apni Kabr Me Khade Namaz Padh Rahe The”
References :
(Sahi Muslim, Kitab No 43 Kitabul Fazail, Baab : Fazail E Moosa عليه السلام, Pg : 966, Hadees : 2375)
(Sunan Nasai,  Vol : 2, pg : 237, Kitab No 20, Kiyam Al Lail, Baab : Zikr Salat NABI ALLAH MOSA عليه السلام Hadis: 1630/1636)
Gair Mukallid k Idara Darusalam ne bhi Is hadees ko Sahi Likha Hai. 
(Imam Nasai, Sunan Al Kubra, Vol : 02, Kitabus Salat, Baab : Zikr Salat NABI ALLAH MOSA Bil-Laiyl , Hadis: 1330)
(Imam Ahmad Bin Hanbal ne : Al-Musnad,  Vol : 03, Pg-148, Hadith-12526, 13618)
Subhan Allah is se ye bhi saabit hua k Ambiya عليه السلام Na Sirf Kabr me Zinda Hai balki Namaz bhi ada karte hai aur Namaz to Zinda hi padhte hai ya murda padhte hai ?
Pata Chala Namaz padhna to Jism e Haqiki k saath hai.

Tamam Ambiya Alaihimusalam Ki Imamat Baitul Mukaddas Me
“Nabi e Karim ﷺ ki aamad Baitul Mukkadas me Hui Jaha Tamam Ambiya Alaihi Salam ko pehle se hi Jama kiya gaya tha Huzoor e Akram ﷺ Ko dekh Sabne khushaamdeed Kaha aur Namaz k wakt sabne Aap Huzoor  ﷺ ko Imamat k Liye aage hone ko Kaha aur Phir Jibrail E Ameen عليه السلام ne Aaka ﷺ ka Dasta Mubarak Pakad kar aage Badha Diya aur Aap ﷺ ne Tamam Ambiya Alaihi Salam ki Imamat Farmayi”
Reference :
(Sunan Nasai, Kitab No 05 Kitabus Salah, Baab : Faraiz E Salat Vol : 01, Pg : 81, Hadees : 448) 
(Imam Tabrani Al Majmaul Ausaat, Vol : 3, Pg : 160, Hadees : 3879)
Imam Busairi رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  farmate Hai
Baitul Muqaddas Me Tamam Ambiya Wa Rasool Ne Aapko Aage Kiya
Jaise Makdoom Apne Khadimo K Aage Hote Hai
Aala Hazrat Imam  Ahmad Raza Khan  رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  iski Tashreeh karte hai
NAMAZ E AKSA ME YE THA YEHI SIRR, I’YAA HO MANIYE AWAAL AAKHIR
KI DAST BASTA HAI PICHE HAAZIR, JO SALTANAT AAGE KAR GAYE THE..

Part 03

Safar E Meraj Ki Sawariyaa’n
Imam Alai رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  Ne apni Tafseer me tehreer Farmaya ki Meraj Me Huzoor ﷺ  Ne 5 Kism Ki Sawariyo’n Par Safar Farmaya Baitul Muqaddas Se Aasman e Awwal Tak Noor Ki Sidiyon Par, Aasman e Awwal se Satwe Aasman Tak Farishto k Baaju’nwo Par, Saatwe Aasman se Sidratul Muntaha Tak Zibril عليه السلام  k Baaju’nwo Par, Sidratul Muntaha se Makam e Kaaba Kausen Tak RAFRAF par.
(Tafseer e Roohul Muaani, Para 15 Surah Isra Ayat 01, Vol : 10, Pg : 16)

Safar E Meraj Ki Manzile
Baitul Muqaddas Se Kaaba Kausen Tak Pahuchne Me Aap ﷺ  ne 10 Manzilo Pe Kayam Farmaya aur Har Manzilo Pe Kuch Guftgu Huwi aur Bahot si Allah ki Nishaniyo ko Mulahiza Farmaya
1)Aasman e Awwal (2) Dursa Aasman (3) Teesra Aasman (4) Forth (Chautha) Aasman (5) Paanhwa Aasman (6) Chatta (sixth) Aasman (7) Saatwa Aasman (8) Sidratul Muntaha (9) Makam E Mustawa Jahaan Nabi e Karim ﷺ  Ne Kalme Qudrat k Chalne Ki Aawaz Suni (10) Arshe Aazam
(Tafseer e Roohul Muaani, Para 15 Surah Isra Ayat 01, Vol : 10, Pg : 16)

Part 04

Aasmano Me Deegar Ambiya Alaihumsalam Se Mulakat
Baitul Mukaddas me tamam  Mamlaat se faarig hoke Nabi E Karim ne Aasmano k Taraf Safar Shuru Kiya jaha Mukhtalif Aasmano me Deegar Ambiya Alaihiumusalam se Mulakat bhi Ki jiska zikr hum yaha kar rahe hai.
Pehle Aasman me Hazrat Adam عليه السلام Se Mulakat Ki.
Dusre Aasman me Hazrat Yahya عليه السلام Aur Isaa عليه السلام Se Mulakat Ki.
Teesre Aasman Me Hazrat Yusuf عليه السلام Se Mulakat Ki 
Forth Aasman me Hazrat Idrees عليه السلام Se Mulakat Ki
Panchwe Aasman me Hazrat Haroon عليه السلام Se Mulakat Ki
Chatte Aasman Hazrat Moosa Kalimullah عليه السلام Se Mulakat Ki Satwe Aasman Me Hazrat Ibrahim Khalilullah عليه السلام Se Mulakat Ki.
References :
(Sahi Bukhari, Kitab No 63, Kitabul Manakib Al Ansaar, Baab Al Meraj, Hadees : 3887)
(Sunan Nasai, Kitab No 05 Kitabus Salah, Baab : Faraiz E Salat Vol : 01, Pg : 81, Hadees : 448)

Sidratul Muntaha Ka Safar
Satwe Aasman pe Hazrat Khalilullah عليه السلام se Mulakat k baad Safar aage rawa Huwa Huzoor Nabi e Karim ﷺ SIDRATUL MUNTAHA k pass tashreef laaye. Ye ek BAIRI ka PED (tree) Hai jiski Jadd (root) Sixth Aasman Par aur Shakein (Branches) Satwe Aasman k  upar hai iske FAL (Fruits) Makam e Hazr k Matko Ki Tarah Hai Patthe Hathi K Kaano Ki Tarah Hai.
Hazrat Zibril عليه السلام ne Arz Kiya YE SIDRATUL MUNTAHA HAI Pyare Aaka ne Yaha 4 Nahren Mulahiza Farmayi jo SIDRATUL MUNTAHA ki Jadd (Root) Se Nikli Thi Inme se 02 Jaahir Aur 02 Khufiya Thi.
Aap Nabi E Karim Ne Arz Kiya Aye Zibril عليه السلام ye Nehre’n Kaisi Hai. Farmaya k inme se jo 02 Khufiya Nehre Hai Wo Jannat Ki Hai aur Jo Do Jahir Hai wo Jahiri Nahrein NEEL aur Furat Hai.
Reference :
(Sahi Bukhari, Kitab No 63, Kitabul Manakib Al Ansaar, Baab Al Meraj, Hadees : 3887)
(Sahi Muslim, Vol 01, Kitabul Imaan, Baab : Al Isra, Hadees : 164)

Imam Mullah Ali Qari Al Hanfi رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  Ne yaha Jannati NEHRO k muttalik likha Hai
“Ye Jannati Nahren Kausar Aur Salsbeel Hai ya Kausar aur Nahre Rehmat Hai”
(Miratul Manajih Shara E Mishkatul Masabih, Meraj Ka Bayan, Fasle Awwal, 8/144)
Sidratul Muntaha ye Wo Makam Tha Jiske Aage Hazrat Roohul Ameen Zibreel e Ameen Jo Tamam Malaika Farishto k Sardar Hai wo  bhi Nahi jaate chunache Meraj Un Nabi ﷺ  ki Mubarak Raat me Sidratul Muntaha k aaage Jaane Se ROOHUL AMIN ZIBRIL Alaihi Salam bhi jaane se Mazrat Khwah hue
Allama Ismail Haqqi Apni Tafseer ul Quran me likhte Hai
“Meraj Un Nabi ﷺ ki Raat Hazrat Zibril E Ameen Sidratul Muntaha Me Ruk Gaye Aur Farmaya Aye ALLAH K NABI ﷺ  Ab Iske Aage Mai Ek Ungli k barabar Bhi Aage badhunga to Allah k Noor Se Mai Jal Jaunga”
(Tafseer Roohul Bayan Vol : 05, Pg : 121)
Aap Andaza Lagaye Tazzaliat e Rabbani K Noor Ko Khud Sardar e Malaika Roohul Ameen jo Khud Noor se Bane Hai wo bhi Bardast Nahi Kar Paane ki Baat Kahe
Allah ne Quran e Mukaddas me Farmaya
“Beshak Aapki Aane Wali Ghadi Aapki Pichli Ghadi Se Behtar Hai”
(Surah Duha Ayat 04)

Sidratul Muntaha k Baad baad  Nabi e Karim ﷺ  aage bade ROOHUL AMIN ZIBRIL  bhi jaane se Mazrat Khwah hue phir Aap bulandi ki taraf jaate huwe ek Makam par pahuche jisko MAKAM E MUSTAWA kaha Jaata hai jaha Huzoor Nabi e Karim ﷺ  Ne KALMO KI awaaj Samat farmayi ye wo kalimat the jinse FARISHTE rozana k Ahkam E ILAHIYA likhte Hai aur Lohe Mehfooz se Ek saal ka wakya alag Alag alag SAHIFO Me nakl karte Hai aur ye Sahife Phir 15 wa Shaban Ki Shab ko Mutallika Hukkam Farishto K Hawale Kar Diye Jaate Hai.
( Al-Muwahib al-Ladunniyyah Shara e Zurqani Vol : 02, Pg : 381)

Part 04

Aasmano Me Deegar Ambiya Alaihumsalam Se Mulakat
Baitul Mukaddas me tamam  Mamlaat se faarig hoke Nabi E Karim ne Aasmano k Taraf Safar Shuru Kiya jaha Mukhtalif Aasmano me Deegar Ambiya Alaihiumusalam se Mulakat bhi Ki jiska zikr hum yaha kar rahe hai.
Pehle Aasman me Hazrat Adam عليه السلام Se Mulakat Ki.
Dusre Aasman me Hazrat Yahya عليه السلام Aur Isaa عليه السلام Se Mulakat Ki.
Teesre Aasman Me Hazrat Yusuf عليه السلام Se Mulakat Ki 
Forth Aasman me Hazrat Idrees عليه السلام Se Mulakat Ki
Panchwe Aasman me Hazrat Haroon عليه السلام Se Mulakat Ki
Chatte Aasman Hazrat Moosa Kalimullah عليه السلام Se Mulakat Ki Satwe Aasman Me Hazrat Ibrahim Khalilullah عليه السلام Se Mulakat Ki.
References :
(Sahi Bukhari, Kitab No 63, Kitabul Manakib Al Ansaar, Baab Al Meraj, Hadees : 3887)
(Sunan Nasai, Kitab No 05 Kitabus Salah, Baab : Faraiz E Salat Vol : 01, Pg : 81, Hadees : 448)

Sidratul Muntaha Ka Safar
Satwe Aasman pe Hazrat Khalilullah عليه السلام se Mulakat k baad Safar aage rawa Huwa Huzoor Nabi e Karim ﷺ SIDRATUL MUNTAHA k pass tashreef laaye. Ye ek BAIRI ka PED (tree) Hai jiski Jadd (root) Sixth Aasman Par aur Shakein (Branches) Satwe Aasman k  upar hai iske FAL (Fruits) Makam e Hazr k Matko Ki Tarah Hai Patthe Hathi K Kaano Ki Tarah Hai.
Hazrat Zibril عليه السلام ne Arz Kiya YE SIDRATUL MUNTAHA HAI Pyare Aaka ne Yaha 4 Nahren Mulahiza Farmayi jo SIDRATUL MUNTAHA ki Jadd (Root) Se Nikli Thi Inme se 02 Jaahir Aur 02 Khufiya Thi.
Aap Nabi E Karim Ne Arz Kiya Aye Zibril عليه السلام ye Nehre’n Kaisi Hai. Farmaya k inme se jo 02 Khufiya Nehre Hai Wo Jannat Ki Hai aur Jo Do Jahir Hai wo Jahiri Nahrein NEEL aur Furat Hai.
Reference :
(Sahi Bukhari, Kitab No 63, Kitabul Manakib Al Ansaar, Baab Al Meraj, Hadees : 3887)
(Sahi Muslim, Vol 01, Kitabul Imaan, Baab : Al Isra, Hadees : 164)

Imam Mullah Ali Qari Al Hanfi رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  Ne yaha Jannati NEHRO k muttalik likha Hai
“Ye Jannati Nahren Kausar Aur Salsbeel Hai ya Kausar aur Nahre Rehmat Hai”
(Miratul Manajih Shara E Mishkatul Masabih, Meraj Ka Bayan, Fasle Awwal, 8/144)
Sidratul Muntaha ye Wo Makam Tha Jiske Aage Hazrat Roohul Ameen Zibreel e Ameen Jo Tamam Malaika Farishto k Sardar Hai wo  bhi Nahi jaate chunache Meraj Un Nabi ﷺ  ki Mubarak Raat me Sidratul Muntaha k aaage Jaane Se ROOHUL AMIN ZIBRIL Alaihi Salam bhi jaane se Mazrat Khwah hue
Allama Ismail Haqqi Apni Tafseer ul Quran me likhte Hai
“Meraj Un Nabi ﷺ ki Raat Hazrat Zibril E Ameen Sidratul Muntaha Me Ruk Gaye Aur Farmaya Aye ALLAH K NABI ﷺ  Ab Iske Aage Mai Ek Ungli k barabar Bhi Aage badhunga to Allah k Noor Se Mai Jal Jaunga”
(Tafseer Roohul Bayan Vol : 05, Pg : 121)
Aap Andaza Lagaye Tazzaliat e Rabbani K Noor Ko Khud Sardar e Malaika Roohul Ameen jo Khud Noor se Bane Hai wo bhi Bardast Nahi Kar Paane ki Baat Kahe
Allah ne Quran e Mukaddas me Farmaya
“Beshak Aapki Aane Wali Ghadi Aapki Pichli Ghadi Se Behtar Hai”
(Surah Duha Ayat 04)

Sidratul Muntaha k Baad baad  Nabi e Karim ﷺ  aage bade ROOHUL AMIN ZIBRIL  bhi jaane se Mazrat Khwah hue phir Aap bulandi ki taraf jaate huwe ek Makam par pahuche jisko MAKAM E MUSTAWA kaha Jaata hai jaha Huzoor Nabi e Karim ﷺ  Ne KALMO KI awaaj Samat farmayi ye wo kalimat the jinse FARISHTE rozana k Ahkam E ILAHIYA likhte Hai aur Lohe Mehfooz se Ek saal ka wakya alag Alag alag SAHIFO Me nakl karte Hai aur ye Sahife Phir 15 wa Shaban Ki Shab ko Mutallika Hukkam Farishto K Hawale Kar Diye Jaate Hai.
( Al-Muwahib al-Ladunniyyah Shara e Zurqani Vol : 02, Pg : 381)