Arsh E Haq Hai
Arshe Haq he musnade rif’at Rasoolullah ki
Dekhni he Hashr me Izzat Rasoolullah ki
Qabr me lehrayenge tha Hasr chashme noor ke
Jalwah farma hogi jab tal’at Rasoolullah ki
Kaafiro Par Taighe Waala Se Giri Bakre Ghazab
Abr-Aasa Cha Gayi Haibat Rasoolullah Ki
Laa Wa Rabbil Arsh jisko jo mila Unse mila
Bat’ti he Kownain me ne’mat Rasoolullah ki
Wo Jahannum me gaya jo Unse mustaghni huwa
Hai Khalleelullah ko haajat Rasoolullah ki
Sooraj ulte paaw palte chaand ishaare se ho chaak
Andhe Najdi dekhle Qudrat Rasoolullah ki
Tujhse aur Jannat se kya matlab wahabi duur ho
Hum Rasoolullah ke, Jannat Rasoolullah ki
Zikr Roke Fazal Kaate Naqs Ka Juya(n) Rahe
Phir Kahe Mardak Ke Hu Ummat Rasoolullah Ki
Najdi Usne Tujhko Mohlat Di Ki Iss Aalam Me Hai
Kaafiro Murtad Pe Rehmat Rasoolullah Ki
Hum bhikaari Wo Kareem, Unka Khudaa Unse fazoo
Aur naa kehna nahee Aadat Rasoolullah ki
Ahle Sunnat ka he bera paar Ashaabe Rasool
Najm he aur Naav hai Itrat Rasoolullah ki
Khaaq Ho Kar Ishq Me Aaram Se Sona Mila
Jaan Ki AkSeer Hai Ulfat Rasoolullah Ki
Toot jaa-enge gunaahgaro ke fawran qaid-o-bund
Hashr ko khuljaaegi Taaqat Rasoolullah ki
Ya Rabb ik saa’at me dhul jaa-e siyaahkaro ke jurm
Josh par aa jaaye ab Rehmat Rasoolullah ki
Hai Ghule Baaghe Qudus Rukhsaar E Zeba E Huzoor
Sarve Ghulzaar E Qadam Kaamat Rasoolullah Ki
Ae Raza khud Saahibe Quraan hai mud’daahe Huzoor
Tujhse kab mumkin he phir midhat Rasoolullah ki