Siddiq e Akbar Aur Qur'an Ki Ayat
Famous Mufassir e Qur'an Hazrat *Imam Tabri* Al Mutawaffah *310* Hijri Iski Tafsir Me Hadith Code Karte Hain
Azeem Tabai *Hazrat Saeed Bin Zubair* رضي الله عنه Farmate Hai Huzoor ﷺ Ke Paas Al-Qur'an Parah 30 Surat Fajr Ayat 27-&-30) Ki Tilawat Ki Gai
يَـٰٓأَيَّتُهَا ٱلنَّفْسُ ٱلْمُطْمَئِنَّةُ
*وَٱدْخُلِى جَنَّتِى
Translate
*Aay Itminaan Waali Jaan Apne Rab Ki Taraf Wapas Ho Yun Keh Tu Us (Allah) Say Razi Woh Tujhse Say
Razi Phir Mere Khas Bandon Mein Dakhil Ho Aur Meri
Jannat Mein Aa*
Tu Hazrat Sayyiduna Abu Bakr Siddiq رضي الله عنه Ne Kaha Ye Kitna Achha Hai To Huzoor ﷺ Ne Irshad Farmaya Tumhare Wisaal (Parda) Ke Waqt Farishta Zaroor Ye (Qur'an Ki Ayat) Kahega
Conclusion
_Yani Pta Chala Ke Ye Ayat Ka Misdak Siddiq e Akbar رضي الله عنه Ki Zaat Hai Aur Isme Ilm e Gaib Bhi Zahir Hua Ke Unke Wisaal Ke Waqt Farishte Ye Qur'an Ki Ayat Padhege Ye Bhi Huzoor ﷺ Jantay Hain_
Reference Book
*Tafsir e Tabri* [Published *Dar Hajar Qahira* Egypt
Vol *24* Page *396*
📗📄👇🏼