Showing posts with label khaq e karbala. Show all posts
Showing posts with label khaq e karbala. Show all posts

Tuesday, November 10, 2015

Khaaq-E-Karbala: 72 Shohda Se Muqable Ke Liye Lashkar Bheja Gaya Aur Neher-E-Furaat Ka Paani Band Kar Diya Gaya


Khaaq-E-Karbala: 72 Shohda Se Muqable Ke Liye Lashkar Bheja Gaya Aur Neher-E-Furaat Ka Paani Band Kar Diya Gaya
Part: 13
Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ka Qafila
Maidan-E-Karbala Me Khemazan Ho Gaya Aur Phir Dopaher Ho Gayi Aur Karbala Ki Dopaher Allah Allah Aasman Se Aag Baras Rahi Thi Aur Zamin Se Shole Uog Rahe The. Garam Loo Ke Thapedo Se Jism Jhulas Rahe The Aur Khakh-E-Karbala Ke Jarro Se Chingari Si Nikal Rahi Thi Magar Qurban Us
Nawasa-E-Rasool ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Par Jo Nana-E-Pak Ki Shane Imamat Dikha Gaya Aur Nisar Hou Un Gaziyo Par Jo Khadaan-E-Nabuwat Ki Laaj Rakh Gaye....
Ek Taraf Se Gubar Padta Hua Nazar Aaya
Sayyeda Ke Laal Ne Samza Ki Sayad Kahi Se Koi Madad Aa Gayi Hai Aur Phir Ghodo Ki Tapo Ki Aawaz Aane Lagi Imam Aali Makam Ne Jana Ki Koi Fauji Dasta Hai Jo Hamari Kumak Ko Aaya Hai Magar Jab Ghode Karib Aaye To Dekha Ki Umar Wa Saa'ad Hai. Jo
Ek Lashkare Jarrar Ke Saath Maidan-E-Karbala Me Utar Raha Hai. Logo Ki Aqal
Hairan Hai Ki Sayyeda Ke Laal Ne Jab
Madina Se Kuch Kiya To Ahle Madina Ne
Aap Ko Mana Kiya Jab Makka Se Aap
Rawana Hue To Makka Walo Ne Rasta Roka Safah Ke Makam Par Farjook Saayar Ne Kufa Na Jane Ki Iltejah Ki Raste Me Tarah Bin Adi Ne Iraq Na Jane Ki Darkhwast Ki Sa'alba Ke Makam Par Baqr As'adi Ne Roka Aur Phir Hoor Bin Riyahi Ne Kisi Aur Taraf Nikal Jane Ka Maswara Diya Magar Na Aap
Ne Madina Walo Ke Mana Karne Par Rukte Hai Na Hi Makka Walo Ki Darkhwast Manzoor Karte Hai Na Hi Farjook Saayar Ki Iltijah Mante Hai Na Hi Tarah Bin Adi Ki Na Hi Baqr As'adi Ka Maswara Qubool Karte Hai. Na Hi Hoor Ka Aakhir Ye Baat Kya Thi Ki
Kya Aap Ke Dil Me Koi Taqabbur wa Guroor Paida Ho Gaya Tha???
(MazALLAH) Nahi
Hargiz Nahi...
To Phir Bade Hi Tajjub Ki Baat Hai Ki Hazrate Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne Kisi Ki Bhi Baat Nahi Mani Aur Apne Atal Irade Se Aage Badhte Hi Gaye Mumkin Hai Ki Kisi Ke Pareshan Jahen Me Ye Sawal Paida Ho Aur Kisi Be Aqal Ki Aqal Hairan Ho Ki Aap Ne Aisa Kyu Kiya Magar Mujhe To Is Me Koi Tajjub-O-Hairani Ki Baat Nazar Nahi Aati Aur
Fatema Ke Laal Ko Roknewale Isi Duniya
Me Rahenewale The Aur Isi Zameen Par
Basnewale The Balqi Mai To Kaheta Hu Ki Agar Aasman Se Jibril ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Bhi Rokte To Aap Na Rukte Aur Aap Ko Rukna Bhi Na Chahiye Tha....
Is Liye Ki Jab Zuban-E-Mustafa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Se Aap Ki Sahadat Ki Khabar Nikal Chuki Thi Aur Yahi Taqdeer Thi To Phir Un Roknewalo Ki Haisiyat Kamali Wale Aaqa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ke Mukable Me Kya Thi?
To Phir Kaun Si Taqat is Ko Rok Sakti Thi....
Haan !!!
Albatta Tajjub Hai Us Baat Par Aur Aqale
Insani Hairan Hai To is Par Ki Ye Kitni Sitam Jharfi Hai Ki Jin Logo Ne Apne Rasool ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ke Nawase Ko Aur Apne Peshwa ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ke Bete Ko Saikdo Khutoot Aur Hazaro Qasid Bhej Kar Bulaya Aur Phir Subah Se Shaam Tak Apni Chato Par Chad Kar Us Ki Raah Dekhte Aur Jinhone Hazrat Muslim ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ke Haath Par Baith Kar Ke Wafadaari Aur Jaan
Nisari Ka Ahed Bandha Tha Aur Yazeed Ki Huqumat Ke Khilaf Half Utahaya Tha Magar Aaj Jab Ki Un Ke Nabi ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ka Nawasa ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Aur Un Ke Peshwa ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ka Beta Ek Mua'azaz Maheman Ki Haisiyat Se Sarzameene Kufa Me Dakhil Hota Hai. To Wahi Log Us Ka Isteqbaal Chamakti Hui Talwaro Se Karte Hai
Aur Aqidat-O-Muhabbat Ke Bajaye Us Ki
Ziayfat Teero Ki Barish Se Karte Hai Aur Un Ke Muqaddas Mahemano Ko Sharbat Pilane Ke Bajaye Un Par Aur Masoom Bachcho Par Paani Tak Bhi Band Kar Dete Hai Aur Apne Bulaye Hue Mahemaano Ko Na Shaher Me Dakhil Hone Date Hai Aur Na Hi Wapas
Jane Dete Hai Aur Yazeed Ki Ba'it Par
Majboor Karte Hai.....
Aur Phir Ye Hairat-O-Tajjub Ki Baat Hai 72 Inssano Ki Mutthi Bhar Aur Gair Musllah Jamat Ke Saath Jang Karne Ke Liye Ek Laskar-E-Jarrar Maidan Me Lane Ki Kya Zaroorat Is Ki Misal Duniya Me Nahi Milti.....

Un 72 Nufus-E-Qudsiya Ke Samne Itna Bada Laskar Utarne Ki Agarche Misal Nahi Milti Magar Chuki Unhone (Yazeediyo) Ne Sher-E-Khuda ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ko Khaibar Ke Qile Ka Darwaza Apne Haatho Par Uthate Dekha Tha Aur Marhab Ki Laash Jhulfekaare Haidari Ki Zarb Se Zamin Par Tadapti Dekhi Thi Aur Woh Jange Badr-O-Hunain Me Shahe Marda Ki Tehg-E-Burra Ki Kaat Dekh Chuke The Aur Gazwae Khandak Me Amr Bin Abde Uod Ke Mukable Me Ali Ki Quwat-E-Parwardigar Dekh Chuke The Aur Woh Jante The Ki Agarche Ye Mutthi Bhar Jama't Hai Gair Musallh Hai Magar Woh Ye Bhi Jante The Ki In Ke Rago Me Usi Sher-E-Khuda Ka Khoon Hai. Unke Seeno Me Usi Shahe Marda
Ka Dil Hai Aur Un Ke Baazuo Me Wahi
Quwat-E-Parwardigar Hai Aur Woh Ye Bhi Jante The Ki Aise Islam Ke Shero Ka
Muqabla Aasan Nahi Is Liye Woh Itni Badi Fauj Aur Itna Bada Laskar Le Kar Maidan Me Aaye The Aur Usi Khauf Ki Bina Par Un Zalimo Ne Aale MUHAMMAD ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Par Pani Band Kar Diya Taki Sakht Garmiyo Me Pyas Ki Siddat Se Jab Ye Log Kamzor Ho Jayege To Phir Ladayi Suru Ki Jayegi.

Amr Saad Apne Laskar Ko Jab Puri Tarah Se Karbala Me Utar Chuka Aur Kheme Lagaye Gaye To Us Ne Mazloom-E-Karbala Imam Hussain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Se Mulakat Ke Liye Qasid Bheja Aapne Manzoor Kar Liya Aur Phir Alahida Kheme Me Sarfat Wa Wahesat
Ki Mulakaat Hui Aur Neki Wa badi KI Mulakat Hui Imam Aali Makam ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne Farmaya Ki Meri Ye 3 Khawaise ibne Ziyad Tak Pahucha Do

1. Mai Wapas Laut Jata Hu
2. Mujhe Muslmano Ki Kisi Sarhad Par
Bhej Diya jaye
3. Mai Damishq Ja kar Yazeed Se Mil Kar
Muamila Taye Karunga

Kisi Pareshan Zahen Me ye Sawal Paida Ho Sakta Hai. Kya Ye Khwaish Kisi Dar Ke Wajah Se Pesh Ki Gayi Thi?
Kya Jaan Ke Khatre Ke Pesh-E-Nazar Un Ko Ibne ziyad Ke Aage Rakha Gaya Tha??
Nahi Hargiz Nahi Balki Itminaan-E-Hujjat Ki Bina Par Aisa Kiya Gaya Tha Aur Is Liye Kaha Gaya Tha Taki Aman Wa Salamati Ke Is Paikare Mujassam Par Jang Ko Dawat Dene ka Ilzam Na Lagaya Ja Sake. Agar Imam Husain Ko Jaan Jane Ka Dar Hota To Woh Apne Nana Mustafa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ke Roza-E-Aqdas Ko Chod kar Madine Se Na Nikalte Aur Agar Un Ko Apni Aur Apne Bachccho Ki Jaane Aziz Hoti To
Woh Allah Ke Ghar Ko Salam Kar Ke Makka Se Kuch Na Karte Aur Woh Nana Mustafa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ki Is Hadees-E-Paak Par Amal Karne Ke Liye Nikle the Ki
"AL JANNATU TAH'TA ZILLIYUSSAIF"
Ki Jannat Talwaro Ke Saye Me Hai Aur Woh Qiyamat Tak Aane Wale Muslmano Ko Ye Sabaq Dene Ke Liye Maidane Karbala Me Aaye The Ki .....
" NA MASJID ME NA BAITHULLAH KI
DIWARO KE SAYE ME.....
NAMAZ E ISHQ ADA HOTI HAI TALWARO KE SAYE ME."

Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ ki Ye 3no
Khawaishe Amr Sa'ad Ke Qasid Ke Zariye Ibne Ziyad Tak Pahucha Di Gayi Magr Ibne Ziyad Ka Patthar Dil Narm Na Ho Saka Aur Us Ne Jawab Me Amr Sa' ad Ko Likha Ki Hussain Ibne Ali ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Pahele Yazeed Ki Ba'it Qubool Kare Phir Dusre Mua'amlat Par Gaur Kiya Jayega Aur Tumhe (Amr saad) Ko Hussain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ka Sar Lene Bheja Hai Sulah Karane Ke Liye
Nahi!!!
Khabardaar !!! Hussain Ibne Ali ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Se Us Waqt Tak Koi Riya'at Nahi Jab Tak Woh Yazeed Ki Ba'it Qubool Na Kare Aur Agar Tum Ne Mere Is Huqm Ki Nafarmani Ki To Har Qism Ke In'aam O Iqram Se Maheroom Kar Diye Jaoge Aur Tum Se Tamam Aezaza'at Chin Liye Jayege ...

Muharram Ul Haram Ki 7 Tarikh Ko Samr Bin Jhoshan Ibne Ziyad Ka Dusra Huqm Le Kar Amr Saad Ke Paas Pahucha Ki Nahere Furat Par Fauran Qabza Kar Liya Jaye Aur Hussain Ibne Ali ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ke Khemo Me Pani Ki Ek Bund Bhi Jane Na Di Jaye.

Chunache In Berahemo Aur Zalimo Ne Fauj Ka Ek Dasta Bhej Kar Nahere Furat Par Puri Tarah Qabza Kar Liya Pani Band Kar Dene Ke Baad Bhi Amr Saad Paiyam Par Paiyam Aur Qasid Par Qasid Bhejata Raha Ki Ab Bhi Waqt Hai Yazeed Ki Ba'it Ka Iqrar Kar Lo Warna Saza Bhuktne Ke Liye Tayyar Ho Jao. Magar Ye Imam Husain Yahi Jawab Dete Rahe Ki Mai Apna Sab Kuch Qurban Kar Dunga Lekin Ek Fasiq Ki Ba'it Nahi Karunga. Jab Sulah Ki Koi Surat Na Nikal Saki Aur
Hazrat Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne Samz Liya Ki Ab Jang Ho Kar Hi Rahegi To Aap Apni Biwi Saher Baano ke Paas Gaye Aur Farmaya Ki Tumhe Ye Din Dekhna Pada Hai Ki Tum Aur Tumhare Bachcche Pani Ke Ek Qatre Ko Taras Rahe Hai Aur Mai Janta Hu Ki Tum Par Ye Musibat Ki Raate Aur Dukho Ke Din Sab Mere Hi Liye Hai Aur Ab Chuki Halat Laheza Ba Laheza Bigadte Ja Rahe Hai Aur Pata Nahi Ki Kis Waqt Dusmano Ki Taraf Se Jang Ka Ailan Ho Jaye
Isi Liye Ab Behtar Ye hai Ki Tum Apne Baal Bachccho Ko Le Kar Iran Chali Jao Ya Jahan Tum Chahti Ho Wahan Chali Jao Mai Us Ka Intzam Kar Deta Hu....

Magar Qurban Jau Us Ghamgusaar Biwi Ki Kadmo Ki Khakh Par Ki Jis Ne Aakhri Waqt Me Bhi Apne Shohar Ka Saath Na Choda Apne Bachccho Ki Qurbani De Kar Apne Shohar Ki Aan Bacha Gayi Aur Jo DasteKarbala ki Tapte Hue Registaan Me Garmi Ki Siddat Me Bhuq Pyas Bardast Kar Ke Wafadar Biwi Ka Haq Ada Kar Gayi ... Imam Aali Makam ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ki Is Gufatgu Se Biwi Saher Bano Par Riqqat Taari Ho Gayi Aur Shohar Ke Kadmo Me Geer Padhi Aur Arz Kiya Ki Aye Mere Aaqa Khuda
Ke Liye Aakhri Waqt Mujhe Apne Darwaze Se Dhakka Na Do Aur Apne Kadmo Se Door Na Karo
Is Ke Baad Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Har Kheme Me Gaye Har Ek Ka Haal Pucha.

Amr Saad Ka Qasid Aa Pahucha Aur Kaha,
Aye Hussain Ibne Ali ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ibne Ziyad Ka Aakhri Paigam Aa Gaya Hai Ki Hussain Yazeed Ki Ba'it Ka Iqrar Kare To Bahetar Hai Warna Ab Unhe Aur Mahulat Na Di Jaye Thode Se Gaur Ke Baad Aap Ne Farmaya Ki Amr Saad Se Kaho Ki Nahere Furat Par Qabza Kar Ke Aur Aulad-E-Fatema Par Pani Band Kar Ke Tune Jis Gair Insani Sulook Ka Sabut Diya Hai. Woh Tumhare Haq Me Lanat Ka Bais Hai Aur Ye Kya Sitam Hai Ki Tera Laskar Aur Laskar Ke Ghode To Pani Pi Sakte Hai Magar Nabi Ki Aulad Pani Ki Ek Bund Ko Taras Rahi Hai Aur Khandane Nabuwat Ka Gharna Aaj Wuzu Ke Bajaye Tayammum Kar Ke Namaz Padh Raha Hai. Magar Mujhe Ye Sab Kuch Manzoor Hai Lekin Mujh Se Ye Tawaqquh Na Rakho Ki Fatema Ka Laal Yazeed Ki Ba'it Qubool Kar Lenga Aur Aaj Ki Raat Mujhe Muhalat Dedo Taaki Hum Bargahe Rabbul Izzat Me Ji Bhar Ke Hazri de Le Aur Apni Khatao Ki Muafi Mang Le Kal Subah Hum Ladne Ke Liye Tayyar Hai.

Reference:
Khaaq-E-Karbala
Musannif Allama Iftkhar Ul Hasan Sahab

Khaaq-E-Karbala: Imam Hussain Radiallahu Anhu Ka Karbala Pohochna


Khaaq-E-Karbala: Imam Hussain Radiallahu Anhu Ka Karbala Pohochna
Part: 12
Jis Din Hazrat Muslim ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne Kufa Me Sahadat Paai Usi Din Hazrat Imam Hussain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne Makka Muqrrama Se Kufa ke Liye Nikale Aur Sahadat Gaah-E-Ishq-O-Muhabbat Ki Taraf Kadam Badhaya Is Se Pahele Aap Yazeed Ke Bad Irado Aur Us Ke Fisq Wa Fujoor Aur Batil Parasrti Ki Khabare Sun Kar Darbaare Mustafa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ko Chod Kar Makka Tashrif Le Aaye Aur Phir Namoos-E-Risalat Ka Ye Noorani Qafila Bade Hi Sabr Wa Sukoon Ke Saath Ziqr-E-Ilahi Karta Hua Aage Badhta Gaya Aur Manzil Kareeb Aati Gayi Yahan Tak Ki Qafila Makam-E-Safah Me Pahuch Gaya Kheme Nasab Kar Diye Gaye Aur Phir Zohar Ki Namaz Ke Liye Wuzu Kar Ke Qafila-E-Salar Ki Imamat Me Sar Basujood Ho Gaya Imam E Paak ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Namaz Se Farig Hue To FARJOOK SAAYAR Se Mulakat Hui Jo Ki Kufa Se Aa Raha Tha Aur Muhib-E-Ahle Bait Tha ....

Aap Ne Farjook Se Kufawalo Ka Haal
Daryaaft Kiya Farjook Ne Jawab Diya Aaqa Kufawalo Ke Dil Aap Ke Saath Hai Magar Talware Yazeed Ke Saath Hai Is Liye Mai Iltijaah Karta Hu Ki Aap Kufa Jaane Ka Irada Tark Kar Ke Wapas Chale Jaye Kahi Aisa Na Ho Ki Aap Ko Koi Taqleef Pahuche Aap Ne Farmaya....
"Farjook Tumhare Is Mashware Ka Sukriya Magar Mere Woh Kadam Jo ALLAH Ki Raah Me Aage Badh Chuke Hai ab Piche Ha't Nahi Sakte"
Imam Aali Makam ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne
Apne Sathiyo Ko Aage Badne Ka Huqm Diya Aur Ahele Baith Ka Qafila Makam Safah Se Bhi Aage Rawana Ho Gaya Tauheed Wa Risalat Ki Sadaye Buland Karta Hua Ye Karwan Aage Badhta Gaya Ki Raaste Me TARAH BIN ADI Se Mulaqat Hui Jo Kufa Se Hi Aa Raha Tha Us Ne Ghode Se Utar Kar Nawasa-E-Rasool ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ke Kadmo Ko Bosa Diya ....
Imam Aali Makam ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne Us Se Bhi Iraqwalo Ke Irade Ke Mutalliq Pucha Us Ne Bhi Jawab Diya Ki Aye Sayyeda Ke Laal Mai Ne Qadsiya Ke Makam Par Ek Bahut Bada Lashakar-E-Jarrar Dekha Hai. Jo Sirf Aap Se Ladne Ke Liye Tayyar Khada Hai. Aur Aap Ke Saath To Parda Daar Khawateen Aur Seerkhwaar Bachcche Hai Khuda Ka
Wasta De Kar Darkhast Karta Hu Ki Yahan Se Ek Kadam Bhi Aage Na Jaye Warna Dar Hai Ki Aap Kisi Musibat Me Giraftaar Na Ho Jaye Aur Agar Aap Kisi Ayesi Jagah Jana Chahte Hai Ki Jahan Dusmano Ka Koi Khauf Na Ho To Mere Saath Chale Aaye Mai Aap Ko Kisi Mahefooz Makam Par Le Chalta Hu
Aur Phir Ek Do Din Me ADI QABILA Ke 20000 Bahadooro Ki Talware Aap Ki Hifazat Ke Liye Tayyar Ho Jayengi Magar Us ALLAH Ke Sher Ne TARAH BIN ADI Ki Darkhwast Ko Bhi Ye Kahe Kar Radd Kar Diya Ki Allah Ki Raah Me
Jaan Dene Se Darna Kufr Hai Aur Phir Imam Aali Makam Ne Qafile Ko Aage Chalene Ka Huqm Diya Aur Phir Itrate Paigambar ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ka Ye Muqaddas Qafila bade Hi Aizaz-O-Inkesaari Ke Saath Taswwoor-E-Yaar Me Gardane Jhukye Aage Rawana Ho Gaya Yahan Tak Ki Saa'alba Ke Makam Par
Khemazan Ho Gaya.

Saa'alba Ke Makam Par Baqar Asa'adi Aap Ki Khidamat Me Hazir Hua Woh Bhi Kufa Se Aa Raha Tha Us Ne Imam E Aali Makam Ke Pa'o Chume Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne Us Se Bhi Kufa Walo Ka Haal Malum Kiya To Us Ne Bhi Arz Kiya Ki....
Ibne Ziyad Ne Umar Wa Sa'ad Ko Aap Ke
Qatl Ke Liye Rawana Kar Diya Hai Woh Ek Bhari Laskar Le Kar Qadsiya Me Utar Chuka Hai Aur Aap Ka Muntazir Hai Is Liye Khuda Ke Liye Kufa Na Jaye. Kufawalo Ne Hazrat Muslim Aur Un Ke Dono Bachccho Ko Saheed Kar Diya Hai Agar Aap Wahan Gaye To Aap Ki Jaan Ko Bhi Khatra Hai....
Imam-E-Aali Makam ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne Us Ke Haq Me Dua Ki Aur Us Ki Iltejaah Bhi Ye Kahe Kar Qubool Na Ki Ki Ab Wapas Mud Kar Ali Ki Suja'at Ko Dhbba Nahi Laga Sakta....
Hazrat Muslim ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Aur Un Ke Dono Bachccho Ki Sahadat Ki Khabar Sun Kar Aisa Sadma Hua Ki Raat Usi Makam Par Basar Ki Hazrat Muslim Aur Un Ke Bachccho Ki Sahadat Ka Khayal Imam-E-Paak Ko Baar Baar Aa Raha Tha Ki Bhai Muslim Ne Apni Jaan Bhi De Di Aur Apni Umar Bhar Ki Kamayi Dono Bachccho Ko Bhi Mujh Par Qurbaan Kar Diya. Hazrat Muslim Ki Yateem Bachcchi Jo Is Safar Me Imam Aali Makam Ke Saath Thi Usko Baar Baar Dekhte Aur Us Ki Yateemi Ka Ahesas Kar Ke Aahe Bharte Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne Bahut Koshish Ki Ki Bhai Aur Baap Ki Sahadat Ki Khabar Bachcchi Tak Na Pahuche Magar
Zabt Na Ho Saka Aur Beikhtiyaar Bachcchi Ko Gale Se Laga Liya Baar Baar Apna Dast-E-Safqat Us Ke Sar Par Pherte Woh Anjan Bachcchi Na Samaz saki Ki Aaj Bepanah Safqat Me Kya Raaz Hai.....
Bachcchi Ne Kayi Baar Chacha Imam Hussain Ke Chehere Paak Ko Dekha Aur Arz Ki,
Chacha Jaan Mere Abba Jaan Ki Khair To Hai? Aap Mujhe Aise Pyar Kar Rahe Hai Jaise Yateemo Ko Pyar Kiya Jata Hai Chacha Jaan Boliye To Sahi Ki Aap Ro Kyu Rahe hai Mere Abba To Khairiyat Se Hai?
Sayyeda Ke Laal Ne Imam Muslim ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ki Us Masum Bachcchi Ko Goad Me Utha Liya Aur Farmaya,
Haan!!! Tumhare Baap Sayyed
Hone Ka Haq Ada Kar Gaye Hai Aur Unhone Khandan Ki Laaj Rakh Li Hai Aur Duniya Ko Bata Gaye Hai Ki Deen Ke Mua'mle Me Jaan Koi Cheez Nahi Hai.....

Saari Raat Intehai Bechaini Aur Bekarari Ke Aalam Me Guzri Subah Hui To Namaz-E-Fajr Se Farig Hone Ke Baad Qafila Chalene Hi Wala Tha Ki Hoor Bin Riyahi Fauj Ke Daste Ke Saath Samne Aata Dikhai Diya Aur Phir Us Ne Fauj Ko Alahida Chod Kar Imam-E-Paak Ke Paas Kasid Bheja Aur Hazir Hone Ki Ijazat Chahi Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ ne Ijjazat De Di Hoor Bin Riyahi Tanha
Imam Husain Ki Khidmat Me Hazir Hua
Imam Husain Ne Farmaya Kaho Kyu Aaye Ho?
Hoor Ne Arz Ki Aaqa Umar Saad Ne Aap Ki Giraftaari Ke Liye Bheja Hai. Magar Khuda Woh Din Na Laye Ki Mai Aap Ki Gustakhi Kar Saku. Mai Aap Ko Maswara Deta Hu Ki Apne Baal Bachccho Samet Kisi Taraf Ko Nikal Jaye Meri Fauj Hargiz Aap Ka Rasta Nahi Rokegi Aap Ne Hoor Ke Liye Dua-E-Khair Farmayi.

Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne Hoor Ke Liye Duae Khair Farmayi Zuhar Ki Namaz Ka Waqt Aagaya Ali Akbar ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne Azaan Kahi Hazrat Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Kheme Se Bahar Aaye Hoor Ko Mukhatab Kar Ke Farmaya Hoor Azaan ho Chuki Hai Aur Jama't Tayyar Hai. Namaz Mere Piche Padhega Ya Akele???
Hazrat Sabbir Ki Awaz Ne Hoor Ko Sochne Pe Majboor Kar Diya Ki Agar Alahida Namaz Padhi To Hongi Nahi Is Liye Ki Imam-E-Barhaq Maujood Hai Aur Agar Piche Padh Li To Muqtadih Hone Ka Haq Ada Karna Padhega. Hoor Ye Soch Hi Raha Tha Ki Kya Karu Idhar Imam-E-Barhaq Ne Jama't Suru
Kar Di Aur Abhi Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne Ruku Nahi Kiya Tha Ki Hoor Ne Aa Kar Piche Is Imam Ke Kahe Kar ALLAHU AKABAR Kahe Diya .....

Isha Ki Namaz Ke Baad Hoor Ne Phir
Mulaqat Ki Aur Ibne Ziyad Ka Ek Khat Pesh Kiya Jis Me Likha Tha Ki Hussain Ibne Ali Ko Giraftaar Aur Qatl Karne Me Jarra Bhar Bhi Ta'amnul Na Kiya Jaye Khat Padhne Ke Baad Aap Ne Farmaya To Ab Kya Chahte Ho?
Arz Ki Aaqa Mai Khandaan-E-Ahle Bait Ka Gulam Hu Mujh Se Aap Be Fiqr Rahiye Aur Mai Aap Se Phir Iltijah Karta Hu Aage Na Jaye.
Fatema Ke Laal Ne Hoor Ki Ye Baat Ye
Kahe Kar Radd Kar Di Ki Haq Wa Sadaqat Ki Raah Me Jaan Bacha Kar Bhagna Khandan-E-Nabuwat Ki Tauhin Hai. Hoor Na Ummid Ho Kar Chala Gaya Aur Imam Husain Ne Qafile Ko Aage Chalne Ka Huqm Diya ....

Raat Kafi Ho Chuki Ho Thi Imam Husain Ko Kuch Pata Nahi Ki Kahan Ja Rahe Hai Aur Kis Taraf Ko Ja Rahe Hai Subah Hui To Imam-E-Aali Makam Ke Ghode Ne Ek Makam Par Apne Kadam Gaad Diye Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne Ghode Ko Aage Chalane Ki Bahut Koshish Ki Magar Us Ne Ek Kadam Bhi
Aage Nahi Badhaya Aur Phir Kisi Se Pucha Is Makam Ka Naam Kya hai?? Jawab Mila ....
!!!!!!!!!!! KARBALA !!!!!!!!!!!

Karbala Ka Naam Sun Kar Imam Husain Ne Qafile Ko Thahera Ne Ka Huqm Diya Aur Sawariyo Se Utar Jane Ka Irshad Farmaya Aur Farmaya Yahi Humari Aakhiri Manzil Hai. Aur Yahi Meri Sahadatgaah Hai Aur Yahi Woh Zamin Hai Jo Sayyedo Ke Khoon Se
Sairaab Hongi Aur Yahi Woh KHAKH-E-KARBALA Hai Jo Ahele Bait Ke Khoon Se Rangin Hongi Aur Phir Muhrram Ul Haram Ki 2 Tarikh 61 Hijri Ko Khandaan-E-Nabuwat Ka Noorani Gharana Karbala Ke Khooni Maidan Me Nahare Furat Ke Kinare Khemazan Ho Gaya.

Reference:
Khaaq-E-Karbala
Musannif Allama Iftkhar Ul Hasan Sahab

Khaaq-E-Karbala: Imam Muslim Radiallahu Anhu Ke Shahjado Ki Shahadat


Khaaq-E-Karbala: Imam Muslim Radiallahu Anhu Ke Shahjado Ki Shahadat
Part: 11
Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ki Sahadat Ke Baad ibne Ziyad Ne Saare Saher Me Munadi Kara Di ki Jo Imam Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Bachccho Ko Pakad Kar Mere Hawale Karega In'aam Payega Aur Jo Un Ko Panah Denga Qatl Kar Diya Jayega Is Ailan
Ne Saare Kufa Me Khauf O Haras Paida Kar Diya Aur Saath Hi Kufa Ke Lalchi Kutte Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ ke Do Yateem Bachccho Ki Talas Me Gali-Gali Phirne Lage.....
Qazi Sureh Jo Aasiq-E-Rasool صلی اللہ علیہ وسلم Bhi The Aur Muhibbe Ahle Bait Bhi Ye Sun Kar Ki Imam Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Saheed Kar Diye Gaye Rone Lage Bachccho Ko Gale Se Lagaya 6 Aur 8 Saal Ke Bachcche Sahem Gaye Aur Qazi Sureh Se Pucha Baba Ji Aap Kyu Rote Ho?
Humare Abba Jaan Ki To Khair Hai?
Qazi Ji Kya Hum Yateem To Nahi Ho Gaye Hai. Qazi Sureh Ne Bachccho Ko Phir Goud Me Le Kar Rona Suru kar Diya Aur Farmaya...
"Aye Bachccho! Mai Kis Muh Se Kahu Ki
Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Zalimo Ne Saheed Kar Diya Hai Ye Sun Kar Dono Bhai Bagalgeer Ho Kar Rone Lage Rote-Rote Behosh Ho Gaye Qazi Sureh Ne Chahere Par Pani Chidka Bachcche Hosh Me Aaye Phir Rone Lage Qazi Sahabb Se Kaha Hume Abba Ke
Paas Le Chalo Hume Unki Laash Dikhao....

Qazi Sureh Ne Dast Ba Dasta Bachccho Se Arz Kiya Ab Rone Ka Waqt Nahi Hai. Ibne Ziyad Ne Aap Ki Talash Me Aadmi Muqarrar Kar Diye Hai. Kahi Aisa Na Ho Ki Koi Aap Ki Aawaz Sun Le Aur Phir Aap Par Bhi Musibat Aa Jaye Mujhe Malum Hua Hai Ki Aaj Raat Ek Qafila Kufa Se Madina Munawwara Ko Ja
Raha Hai Mera Irada Hai Ki Aap Ko Kisi Nek Sirat Aadmi Ke Hawale Kar Du Jo Aap Ko Puri Hifazat Se Madina Pahucha De Bachcche Ye Sun Kar Sahem Gaye Hasrat Bhari Nigaho Se ek Dusre Ka Muh Takne Lage Saam Hui Andhera Cha Gaya Qazi Sureh Ne Apne Bete Asad Ko Farmaya Beta Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke In Dono Yateemo Ko Le Jao Aur Aaj Raat Ko Madina Jane Wale Qafile Ke Saath Kisi Nek Aadmi Ke Hawale Kar Aao Qazi Sahab Ne 50-50 Dirah Dono Ke Kamar Par Bandhe Aur Thoda Sa Khana Saath Diya Dono Ka Sar Muh Chum
Kar Ghar Se Rukhsat Kiya Dono Mazloom Aur Yateem Bachcche Aahe Bharte Apne Baap Ki Laash Se Bhi Bekhabar Khamoshi Se Asad Ke Saath Ja Rahe The Darwaze Par Phuche To Kisi Ne Bataya Ki Qafila Ja Chuka Hai Asad Ne Kaha Bachccho Qafila To Ja Chuka Hai Abhi Thodi Door Hi Gaya Honga
Woh Dekho Gard-E-Qafila Nazar Aa Rahi Hai. Daudo Aur Qafile Se Ja Milo Sahezaade The. Daudte Kya Mazloom The Bhagte Kya Chota Girta Bada Uthata Bada Girta Chota Sambhalta Ek Dusre Ka Haath Pakde Bhagte Ja Rahe The Thodi Door Gaye Thaq Gaye Paa'o Me Chale Padh Gaye Gard-E-Qafila Bhi Nazar Nahi Aa Rahi Thi Hairaan The Ki Kya
Karew? Kahan Jaye Kise Aawaz De?.....

Asad Ke Kahene Par Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Dono Sahezade Daude Magar Qafila Door Ja Chuka Tha Aur Ye Yatim Rasta Bhatak Chuke The Raat Andheri Thi Aur Khaufnaak Jangal Nabi Ke Nawase Be Yaar-O-Madadgaar The. Raat Ho Gayi Subah Ka Sitara Tarra ta Hua Namudaar Hua Din Guzarne Ke Liye Bachcche Thiqana Soch Hi Rahe The ki Zulm Ke Do Panje Dono Kandho
Par Gad Gaye Aur Saath Hi Aawaz Aayi Ki Saari Raat Tumhari Talash Me Mara Mara Phir Raha Hu Aur Tum Yahan Ho. Chalo Mere Saath Mai Ibne Ziyad Ka Sipahi Hu....

Ibne Ziyad Ka Naam Sun Kar Bachcche
Kaanp Gaye Dono Ne Khuda Ka Wasta Diya Jannat Me La Jane Ka Wada Kiya Jame Kausar Pilane Ka Ahed Kiya Magar Us Zalim Sipahi Ke Dil Me Rahem Paida Na Ho Saka. Subah Hote Hi Dono Sahezade Ibne Ziyad Ke Samne Tasweere Hairat-O-Gum Ban Kar Khade The Aur Soch Rahe The Ki Dekhe. Humare Liye Maut Ka Kaun Sa Waqt Muqrrar Hota Hai Aur Humare Saro Par Zulm Ki Talwar Kab Chamakti Hai....

Ibne Ziyad Ne Huqm Diya In Dono Ko Jail Me Band Kar Do Aur Daroga-E-Jail Se Kaho Ki Jab Tak Yazeed Ki Taraf se Un Ke Mutallaiq Koi Huqm Na Aaye Unki Naigrani Rakhe Phir Dopaher Se Hi Imam Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Lakhte Jigar Kufa Ki Jail Ki Kothri Me
Band Ho Gaye. Jail Ka Daroga Jis Ka Naam Masqoor Tha Nabi Ka Gulam Aur Muhibbe Ahle Bait Tha. Bachccho Ko Pyar Kiya Khana Khilaya Kadam Chume Aur Arz Ki Aye Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Beto Ghabrao Mat Mai Tumhara Khadim Hu Mera Naam Masqoor
Hai Aur Mai Aap Ka Masqoor Hu Ki Aap
Mere Mahemaan Hue Saara Din Khidmat Ki Raat Hui To Masqoor Ne Dono Ko Gaud Me Uthaya Jail Ka Darwaza Khola Aur Raat Ke Andhere Me Kufa Se Bahar Le Gaya Aur Apni Anguthi Di Aur Kaha Ki Ye Rasta Sidha
Kadsiya Ko Jata Hai Wahan Chale Jao
Wahan Mera Bhai Saher Ka Kotwal Hai Us Ko Milna Woh Aap Ko Izzat Se Madina Pahucha Denga...

Bachcche Rukhsat Ho Gaye Aur Samze Ki Har Bala Se Mahefooz Ho Gaye Magar Kya Jante The Ki Taqdeer Ke Aage Tadadbeer Nahi Chalti Raat Siyah Thi Aur Raasta Purkhatar Pardeshi The Raaste Se Na Waqif Lekin Aaj Apne Hi Nana Ka Kalma Padhnewalo Ke Haatho Aur Unhi Ki Shafa'at Ki Umeed Rakhnewalo Ki Talwaro Se Apni Jaane Bachane Ke Khatir Andheri Raat Aur
Khaufnaak Jangal Me Bhagte Phirte The....
Thaq Kar Baith The Phir Ghabra Kar Bhagte. Paa'o Me Chale Pad Gaye The Aur Badan Chur Chur Ho Gaya Saari Raat Chalte Rahe. Samze Ki Kufa Se Nikal Aaye Hai Magar Juhi Raat Ki Siyahi Door Hui To Dekha Jahan Se
Chale The Wahi Hai Raat Ka Andhera
Aahista Aahista Khatm Ho Raha Tha Suraj Nikalenewala Tha Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Ye Dono Yateem Apni Jane Bachane Ki Fiqr Me Chupne Ki Jagah Talash Kar Rahe The. Aankh Utha Kar Dekha To Ek Chasme Ke Kinare Khajoor ke Darakht Ki Khoh Nazar Aayi Socha Ki Khoh Me Chup Kar Din Basar
Kar Denge Raat Ko Phir Nikal Jayege....
Dono Yateem Dono Be Watan Is Khoh Me Ek Dusre Ki Baaho Me Bahahe Dal Kar Baith Gaye....
Apne Pahelu Me Patthar Ka Nahi Gost Ka Dil Rakhnewalo !!!
Aur Phir Dil Me Aulad Ka Dard Rakhnewale Insano!!! Aur Apne Sine Me Bachccho Ka Pyar Rakhnewale Aadmiyo Zara Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke In Bachccho Ki Mazloomi Dekho Bekasi Dekho Aur Phir Khoh Ka Tassawur Karo.

Suraj Nikala Kiran Phuti Aur Phir Dopaher Ho Gayi Ek Kaneez Paani Ka Matka Uthane Chasme Par Aayi Ghada Bharne Jhuki To...
Jhuki Nazre To Paani Me Us Ko Do Saaye
Nazar Aaye....
Uthi Nazare To Phir Muslim Ke Woh Jaaye Nazar Aaye!!!!
Kaniz Daudhi Aur Phir Dekha To Darakht Ki Khoh Me Do Chand Aapas Me Lipte Nazar Aaye Aur Phir Haath Baand Kar Pucha Kaha Tum Kaun Ho Bachccho Bade Pyar Se Pucha...
Yahan Kyu Chup Kar Baithe Ho Bahut
Aitebaar Se Pucha!!!
Batao Kaun Ho Tum Aur Kis Ke Ho Jigar
Paare Ho Kis Ke Dil Ki Raahat Aur Kis Ki Aankh Ke Taare!!!
Bade Hi Saheme Hue The Pyar Ko Dekha To Bol Uthe
Woh Bole Hum Hai Tukde Hazrat Muslim Ke Sine Ke...
Yateem Wa Bekas wa Tanha Musafir Hai
Madine Ke!!!!
Kaniz Boli Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Bachccho Niche Utar Aao Mai Khandaane Ahele Bait Ki Kaniz Hu. Aao Mere Gale Lag Jao Dusman Nahi Khadima Hu Jaldi Utro Koi Aur Na Dekh Le Bade Ne Chote Ki Taraf Dekha Aur Chote Ne Bade Ki Taraf Sochne
Lage Ki Kya Kare Dekhte The Ki Kahi Dhoka To Nahi Magar Kahan Jate
Niche Utre Kaniz Aage Badi Sine Se Lagaya Bade Ki Ungli Pakdi Chote Ko Gaud Me Uthaya Aur Ghar Le Gayi Ghar Ki Malika Ne Dekha Ki Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Farzand Hai. Woh Ahle Bait Ki Khadima Thi Bachccho Ko Dekha To Khus Ho Gayi Gale Lagaya Paa'o Chume Aur Kahene Lagi Sadke Ja'u Kahan Mera Ghar Aur Kahan Muslim Ke Lakhte Jigar. Dono Sahezado Ko Nahelaya Kapde Dhoye Balo Me Kanghi Ki
Khana Aage Rakha Khane Lage To Walid Ki Maut Yaad Aa Gayi Rone Lage Magar Din Raat Ke Bhuke The Thoda Kha Liya Bachcche Thodi Der Ke Liye Mahefooz Ho Gaye Aur Udhar Ibne Ziyad Ko Pata Chala ki Masqoor Daroga Ne Dono Bachccho Ko Raat Ke Andhere Me Kisi Mahefooz Jagah Phucha Diya Hai Ye Sun Kar Ibne Ziyad Ne Masqoor
Ko Darbaar Me Bulaya aur Ghusse Se
Kanpta Hua Bola..
O Namak Haram Muslim Ke Bachcche Kahan Hai?
Masqoor Ne Kahan Madine Phuchnewale Hai. Ibne Ziyad Ki Aatis-E-Azab Bhadak Uthi. Jallad Ko Huqm Diya Ki Masqoor Ko 500 Kode Mare Jaye Aur Phir Sar Qalam Kar Diya Jaye Aur Phir Aashiq-E-Ahle Bait Par Kode Barsne Lage Jism Lahu Luhaan Ho Gaya
Magar Uff Tak Na Ki Aur Talwar Chamki Aur Masqoor Ka Sar Bhi Tan Se Juda Kar Diya...
Inna Lillahi Wa Inna Ilayhi Rajeoon.

Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke
Sahabzaade Us Ghar Ko Apni Panahgaah Samz Kar Duniya Se Be Khabar Ek Andheri Kothri Me So Rahe The. Ki Us Ghar Ka Malik Haaris Ghar Me Dakhil Hua Aur Dakhil Hote hi
Kahene Laga Ki Dekhe Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪKe Bachccho Ka In'aam Kis Ko Milta Hai. Ibne Ziyad Ke Ailan Par Shaher Ka Kona Kona Chan Mara Magar Bachcche Kahi Nahi Mile. Khuda Jane Kahan Gayab Ho Gaye Apne Shohar Ki Zabani Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Bachccho Ki Talash Ke Mutalliq
Sun Kar Laraj Gayi Aur Haaris Se Kaha Ki Kitne Badbakht Hai Woh Log Jo Duniya Ki Lalach Me Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Bachccho Ki Talash Kar Rahe Hai Tum Bhi Hosh Karo. Aql Se Kaam Lo Aur Un Ko Qatl Kar Ke Laanat Mat Kharido Rahem Kar Ke Jannat Lo. Biwi Ki Ye Guftagu Sun Kar Haaris
Ne Biwi Ko Jhidaq Diya Aur Bistar Par Let Gaya Aur Karwate lene Laga...
Aadhi Raat Hui To Chote Ne Khwab Me Baap Ki Pyari Surat Dekhi To Chilla Utha Haye Abba Jaan Aap Kahan Hai Aap Hume Milte Kyu Nahi Aankh Khuli Baap Ki Surat Gayab Ho Gayi Bachccha Zor Zor Se Rone Laga. Udhar Kambhakht Haaris Ki Aankh Khul Gayi. Utha Aur Biwi Se Pucha Humare Ghar Me
Rona Kaisa Biwi Sahem Gayi Aur Khamosh Rahi Woh Zalim Khud Hi Utha Chirag Jalaya To Dekha Ki Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Dono Chand Andheri Kothri Ko Rausan Kiye Hue Baithe Hai. Haris Ne Gazabnaak Aawaz
Me Pucha Tum Kaun Ho?
Woh Dono Mazloom Chuki Is Ghar Ko Apni Panahgaah Samz Rahe The Fauran Bole Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Bachcche Hai.

Jab Haris Ne Gazabnaak Aawaz Me Pucha Kaun Ho Bachccho Ne Jawab Diya Hum Imam Muslim ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ke Sahezade Hai Woh Hairan Ho Kar Bola Muslim Ke Bachcche???
Kal Se Tumhari Talas Me Hu Aur Saher Ka Kona Kona Chan Mara Hai Aur Tum Mere Hi Ghar Me Aaram Kar Rahe Ho. Bas Us Zalim Ne Balo Se Pakda Aur Ghasithta Hua Bahar Le Aaya Phool Jaise Rukhsaro Par Tamache Mare Aur Phir Balo Se Pakad Kar Zamin Par
Patak Diya Aur Jangal Ki Taraf Le Chala
Bachcche Hasarat Bhari Nigho Se Ek Dusre Ko Dekhne Lage aur Kabhi Rahem Talab Nigaho Se Haris Ko dekhte Rahe Shayad Us Ko Taras Aa Jaye...
Biwi Aage Bhadhi Aur Haath Bandh Kar
Khadi Ho Gayi Aur Haris Se Kaha Rahem Kar Inko Chod De Ye Jannat Ke Malik Hai. Kausar ke Saaki Hai Lekin Haris Par Uska Koi Asar Na Hua Lalach Ne Us Ko Andha Kar Diya. Us Ne Talwar Li Aage Badha Kaniz Aage Badhi Kadmo Me Giri Magar Us Par Koi Asar Na Hua....

Subah Hui Haris Dono Ka Dariya Ke Kinare Le Gaya Mi'aan Se Talwar Nikali Aur Aur Yateem Ke Saro Par Laherai Haris Ki Kaniz Aur Biwi Aage Badhi Ek Ne Muhammad Ko Sine Se Laga Liya Aur Dusri Ne Ibrahim Ko Daman Me Chupa Liya Magar Us Zalim Ne Apni Biwi Aur Kaniz Ka Khatima Kar Diya. Aur Phir Us ki Talwar Muslim ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ke Yateemo Par Chamki Aur Bola Muslim Ke Beto Marne Ko Tayyar Ho Jao. Muhammad Bada Tha Aage Badha Aur
Haath Jod Kar Iltijaah Ki Tune Hume Qatl Karna Hi Hai To Pahele Mujhe Qatl Kar De Taaki Meri Aankhe Chote Bhai Ki Laash Tadpate Na Dekhe Zalim Aage Badha To Chots Ibrahim Aage Badha Aur Darkhwast Ki Pahele Mujhe Qatl Kar De Taaki Mai Apne Bhai Ki Gardan Udhte Na Dekh Saku Phir Wahesi Aage Badha Aur Hazrat Muhammad Ke Sar Ko Tan Se Juda kar Diya Sar Zamin Par Aa Gira Jaise Aasman Se Koi Sitara Tut
Gaya Chote Ne Apne Bhai Ke Sar Ko Jholi Me Uthaya Aur Dhahade Maar Kar Rone Laga. Chota Apne Bhai Ke Sar Ko Chum Raha Tha Ki Sangdil Ne Talwar Ka Dusra Waar Kiya Aur Un Ka Bhi Sar Udha Diya Aur Lasho Ko Dariya Me Baha Diya Aur Phir....
Dub Kar Naher Me Kausar Ke Kinare
Pahuche ....
Aayi Haidar Ki Sada Pyare Humare
Pahuche!!!!!
INNA LILLAHI WA INNA ILAIHI RAJIOON

Reference:
Khaaq-E-Karbala
Musannif Allama Iftkhar Ul Hasan Sahab

Khaaq-E-Karbala: Kufawalo Ki Bewafai Aur Imam Muslim Radiallahu Anhu Ki Shahadat


Khaaq-E-Karbala: Kufawalo Ki Bewafai Aur Imam Muslim Radiallahu Anhu Ki Shahadat
Part: 10
Hazrat Haani Ki Sahadat Ki Khabar Saare Kufa Me Hawa Ki Tarah Fai'al Gayi Kufawale Ibne Ziyad ke Jabr Se Pahele Hi Kaufjhada The Ab Ye Khabar Suni To Aur Ghabra Gaye...
Hazrat Haani Ki Sahadat Ke Baad Hazrat
Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Qiyamgaah Se
Uthe Miyaan Se Talwar Nikali Aur ek Sher Ki Tarah kufa Ke Bazar Me Aa Gaye Aap Ki Ye Jurrat-O-Dileri Dekh Kar Haani Qabile Ke Kuch Log Aap Ke Saath Ho Gaye Ibne Ziyad Ko Jab Ye Ittelah Mili To Is Mukhtasar Daste Par Teero Ki Barish Kar Di Aur Is Khaufnaak Manzar Ko Dekh Kar Woh Log Jo Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Himayat Me Nikle The Tamam Ke Tamam Bhag Gaye Aur
Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Phir Tanha Rahe Gaye Ab Kufa Ke Bazar Me The Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Aur Un Ke Do Mazloom Bachche Ajib Dardnaak Halat The...
Jis Darwaze Par Jaate Koi Jawab Na Deta Nadan Bachche Saath Hai Koi Khairkhwah Nahi Kufa Ka Saher Hai Magar Panahgaah Koi Nahi Har Makan Ke Darwaze Band Ho Chuke The Aur Kufa Ki Zameen Ka Zarra Zarra Aap Ke Khoon Ka Pyasa Tha Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Dono Bachcho Ko
Sine Se Chimataye Hue Ja Rahe The Ki
Achanak Ek Darwaza Khula Aur Ek Budha Insan Jis Ka Naam Qazi Sureh Tha Bahar Nikle Andheri Raat Me Qazi Sureh Ko Chand Saye Nazar Aaye Qazi Sureh Ne Pucha Kaun Hai? Aur Is Waqt Bazar Me Kyu Ghum Rahe Ho? Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ne Farmaya Hum Musafir Hai Humara Watan
Bahut Door Hai Aur Yahan Humara Koi
Hamdard Nahi Hai Agar Tum Mere Dono
Mazloom Bachcho Ko Apne Paas Rakh Lo Aur Mai Kahi Bhi Raat Basar Kar Lunga Subah Hote Hi Hum Yahan Se kisi Aur Jagah Chale Jayege Aaj Raat Hume Panah Do Aur Qiyamat Ke Din Hum Aap Ko Panah Denge...
Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ki Is
Dardnaak Gufatgu se Qazi Sureh Ke Aakho Me Aasu Aa Gaye Aur Darwaza Khol Kar Arz Kiya Aap Andar Tasrif Le Aaiye Madina Ke Ye Teeno Musafir Qazi Sureh Ke Makan Me Dakhil Ho Gaye Qazi Sureh Ne Dekha To Pahechan Gaye Aur Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Kadmo Me Geer Gaye Bachcho
Ko Gale Lagaya Aur Saari Raat In
Mahemano Ka Pahera Dete Rahe....
Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ne Fajr Ki Namaz Ada Ki Aur Sochne Lage Ki Kis Tarah Imam Husain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Kufawalo Ki Bewafai Aur Ibne Ziyad Ke Zulm-O-Sitam Ki Ittelah Du Magar Ab Kar Kya Sakte The Khat Likh Chuke The Aur Teer Kaman Se Nikal Chuka Tha....

Suraj Nikalte Hi Kufa Ke Kucha O Bazar Me Munadi Kara Di Gayi Ki Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Jiske Ghar Se Bhi Pakde Gaye Us Ke Baal Bachcho Ko Bhi Zibah Kar Diya Jayega Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ne Jab Ye Dil Kharash Aawaz Suni To Is Khayal Se Ki Meri Wajah Se Ye Budha Mubatala-E-Musibat Kyu Ho???
Josh Me Aa Gaye Talwar Mi'aan Se Nikali Aur Qazi Sureh Se Kaha...
Baba!!! Aap Ki Mehmaan Nawazi Aur
Muhabbate Ahele Bait Ka Sukriya Mai Is
Ka Badla Qiyamat Ke Din Ada Karunga Aur Dekho Ye Mere Do Mazloom Bachcche Aap Ke Paas Amanat Hai Agar Koi Waqt Mile To In Ko Madina Ke Raaste Par Daal Dena Thokre Khate Girate Uthte Pahuch Jayege
Itna Farma Kar Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Nara-E-Taqbeer Bulanad Kiya Shamshir-E-Haidari Ko Hawa Me Laherate Hue Maidan Me Aa Gaye Aur Lalkara;
"Aye Kufa Ke Be Wafa Logo!, Tum Ne Mere Haath Par Bai't Ki Mujhe Apna Mazhabi Peshwa Tasleem Kiya Aur Mai Khud Nahi Aaya Tumhare Bulane Par Aaya Hu Tum Ne Mere Piche Namaze Padhi Aur Ab Apne Bulaye Hue Mahemaan Peer-E-Mazhabi Aur
Imam Ke Khoon Ke Pyase Ho Gaye Ho
Jawab Do ??? Qiyamat Ke Din Tum Kya Jawab Donge??? Aur Mere Nana Mustafa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ko Kya Muh Dikhaoge... Hasmi Jawan Ki Is Imaanafroz Taqreer Ne Kufa Me Ek Aag Laga Di Aur Kufawalo Ke Dil Hila Diye Aur Ek Baar Phir Hazaro Talware Yazeed Ki Gair Islami Huqumat Ke Khilaf Mi'aano Se Nikal Aayi ..."

Ibne Ziyad Ne Shaher Ke Bade-bade Sarkarda Logo Me Lalach Ka Ek Jaal Bichaya Hua Tha Aur Tamam Umra Aur Ra'usha Ko Apne Haath Me Le Chuka Tha Unho Ne Apne Apne Qabile Ke Logo Ko Imam Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ka Saath Na Dene Par Aamada Kar
Liya Jis Ka Natija Ye Nikla Ki Woh Phir Saath Chod Gaye Aur Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Phir Tanha Rahe Gaye Phir Har Taraf Se Mayus Wa Naumeed Ho Kar Bhuke Pyase Ek Taraf Ko Chal Diye Kufa Ke Bazaro Aur Galiyo Se Guzrte Hue Dekha Ki Ek Budhi Aurat Jis Ka Naam Tauha Tha Kauf Se Sahemi Hui Makan Ke Darwaze Par Khadi Thi. Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ne
Farmaya Maa'i Pyasa Hu Do Ghunt Pani Pila De Qiyamat Ke Din Hauj-E-Kausar Ka Jaam Pilaunga Tauha Ne Pucha Aap Kaun Hai?
Farmaya Mai Nawasa-E-Rasool ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Hu Hussain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ka Bhai Hu. Kufa Ke Logo Ka Bulaya Hua Mahemaan Hu Mera Naam Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Hai..

Muslim Naam Suna To Tauha Qurbaan Ho Gayi Khakh-E-Kadam Chuma Aur Sajda-E-Shukr Ada Kiya Ki Kahan Mera Garib Khana Aur Kahan Khandaan-E-Nabuwat Ka Sahezada Ghar Le Gayi Aur Khidmat Me Lag Gayi Aadhi Raat Hui To Tauha Ka Ladka Ibne Ziyad Ke Darbaar Se Ghar Aaya Budhi Maa Ne Bete Ko Khusi Se Bataya Ki Humare Ghar
Imam Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Raonak-E-Afroz Hai Saari Raat Apne Mehmaan Par Maa Aur Beta Dono Khus The Magar Dono Ki Khusiya Mukhtalif Thi Maa Apni Nijat Ka Zariya Samzati Thi Aur Beta Imam Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Giraftaar Kara Kar Ibne Ziyad Se Ina'am Paane Ka Khawahismand Tha. Chunanche Us Jannati Maa Ke
Jahannami Bete Ne Aisa Hi Kiya Phichli Raat Ghar Se Nikla Aur Ibne Ziyad Ko Imam Muslim Ka Pata De Aaya.

Subah Ki Namaz Ke Baad Abhi Imam Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ziqr O Azkar Hi Kar Rahe The Ki Bahar Ghodo Ke Ki Tapo Ki Awaz Sunai Di Ye Muhammad Bin Asa'as Jo Kotwal-E-Kufa Tha. Us Ke Ghodo Ki Aawaz Thi. Aap Ne Farmay Ki Ye Aawaz Kaisi Hai? Tauha Ne Hasarat Bahari Nigaho Se Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Dekha Aur Arz
Ki Aaqa Malum Hota Hai Ki Mere Makan Ka Muhasira Kar Liya Gaya Hai....
Hasmi Kachaar Ka Ye Sher Ek Baar Phir
Nara-E-Taqbeer Buland Karta Hua Tauha Ke Makan Se Bahar Aaya Haath Me Talwar Thi Aur Sar Par Mustafai Dastaar Hasmi Jawan Ki Shamsheer-E-Haidari Kufa Ke Bad Fitrat Insano Par Chamki Aur Aan Ki Aan 150 Dusmano Ka Khoon Pi Gayi Kufa Ke Ahed Sikan Aur Ahele Baith Ke Dusman is Hasmi Sher Ki Taab Na Sake Aur Bhaag Khade Hue...

Muhammad Bin Asa'as Ne Ibne Ziyad Ko
Iikha Ki Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ka Muqabila Karna Aasan Nahi Ibne Ziyad Ne 500 Sawar Aur Bhej Diye Aur Allah Ka Ye Sher Zara Bhi Na Ghabraya Aur Taza Dum Ho Kar Phir Se Hamla Aawar Hua Aur Kufa Ke Bewafa Insano Ke Liye Ajal Ban Jar 400 Ko Phir Wasile Jahannam Kiya Muhammad Bin Asa'as Ne Surat dekhi To Apne Saathiyo
Ko Huqm Diya Ke Sab Mil Kar Hamla Karo Aur Phir Imam Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Par Teero Aur Pattharo Ki Barish Hone Lagi Hasmi Shezade Ki Dege Burra Fizao Me Chamak Rahi Thi Aur Aur Kaher-E-Khuda Wandi Ban Kar Saro Ko Kaat Rahi Thi Subah Se Dopaher Ho Gayi Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ladte-ladte Thak Chuke The Pyas
Ki Siddat Ne Nidhal Kar Diya Tha Jism
Zakhmo Se Chur Ho Chuka Tha Behosh Ho Kar Zamin Par Aaye Aur Phir Aage Badh Kar Muhammad Bin Asa'as Ne Giraftaar Kar Liya...

Raah Me Jate Waqt Dekha Ki Ek Aurat Paani Ki Suraiya Utha Rahi Hai Aap Ne Farmaya
Khuda Ke Liye Do Ghut Paani Pila Do
Muhammad Bin Asa'as Ne Pani Pesh Kiya Hazrat Muslim Paani Pine Lage To Ek Zalim Badbakht Ne Talwar Mari Jis Se Upar Ka Hont Kat Gaya Aur Paani Ka Pyala Khoon Se Bhar Gaya Aur Phir Ibne Ziyad Tha Au Hasmi Khandaan Ka Zakmi Sahezaada

Ibne Ziyad :- Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ab
Bhi Khalifa Mante Ho ya Nahi

Hazrt Muslim :- Nahi

Ibne Ziyad :- Kyu?

Hazrat Muslim :- Is Liye Ki Woh Faisq-O-Fajir. Hai Zaani Aur Sharabi Hai Duniya Ka Kutta Hai Aur Deen Ka Dusman...

Ibne Ziyad :- Zuban Band Karo...

Hazrat Muslim :- Is Ko Muh Se Nikala To Ja Sakta Hai Lekin Kalmae Haq Kahene Se Roka Nahi Ja Sakta...

Ibne Ziyad :- Tumhari Gardan Kaat Li
Jayegi...

Hazrt Muslim :- Magar Batil Ke Aage Jhuk Nahi Sakti
"Hari Hai Saakh-E-Tamanna Abhi Jali To
Nahi....
Ishq Ki Aag Hai Dil Me Abhi Bujhi To
Nahi !!!!
Jafa Ki Teg Se Gardan Wafa Sa'aaro Ki....
Kati Hai Bar Sare Maidan Magar Jhuki To Nahi!!!!"

Ibne Ziyad :- Ab Bhi Apni Zuban Se Yazeed Ki Khilafat Ka Iqraar Kar Lo Tumhari Jaan Bach Sakti Hai

Hazrat Muslim :- Qura'n-E-Paak Ki Tilawat Karne Wali Zuban Yazeed Ki Khilafat Ka Iqraar Nahi Kar Sakti Aur Ye Jaan Meri Nahi Khuda Ki Hai Aur Haq Ke Liye Jaan Dena Ye Shaan-E-Muslim Hai Aur Mai Muslim Hu. Deen-O-Shariat Ki Rakhwali Ke Liye Marna Maut Nahi Zindagi Hai Aur Islam Ki Hado Ko
Qayam Rakhne Ke Liye Fana Hona Fana
Nahi Baqa Hai.. Aur Woh Dekh Nana Mustafa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Aur Dada Ali-E-Muratza ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Hauje Kausar Ka Pyala Liye Mujhe Bula
Rahe Hai Aye Ibne Ziyad Mai Janta Hu Mera Aakhiri Waqt Hai Meri 4 Wasiato Ko Pura Kar Dena
1. Meri Laash Ko Barbaad Mat Karna
2. Mai Ne Kufa Walo Se Kuch Qarz Liya
Tha Mera Ghoda Bech Kar Ada Kar Dena
3. Hazrt Husain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Likh Dena Ki Woh Kufa Na Aaye
4. Mujhe Mere Mazloom Bachccho Ka
Kuch Pata Nahi Ki Woh Kahan Hai Woh
Musafir Hai Be Watan Hai Aur Yateem Hai. Un Par Taras Khana Gusl De Kar Un Ki Zhulfe Sawarna Aur Madine Pahucha Dena...

Abhi Aap Farma Hi Rage The ki Ibne Ziyad Ne Bukair Ko Huqm Diya Ki Imam Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Shahi Mahel Me Le Ja Kar Un Ki Gardan Kaat Di Jaye. Zalim Bukair Imam Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Shahi Mahel Ki Chat Par Le Gaya Aur Hasmi Jawan Ki Zhulfe Pakad Kar Talwar Mari Sar Us Zalim Ke Haatho Me Rahe Gaya Aur Dhad Farsh Par Aa Gira...
INNA LILLAHE WA INNA ILAIHI RAJEOON

Reference:
Khaaq-E-Karbala
Musannif Allama Iftkhar Ul Hasan Sahab

Khaaq-E-Karbala: Ibne Ziyad Ka Zulm Aur Hazrate Haani Ki Shahadat


Khaaq-E-Karbala: Ibne Ziyad Ka Zulm Aur Hazrate Haani Ki Shahadat
Part: 9
Jis Waqt Imam Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ
Kufa Me Qiyam Pazeer The Us Waqt Yazeed Ki Taraf Se Kufa Me Numan Bin Baseer Governer The Aur Chuki Woh Aasiqe Rasool ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Aur Muhibbe Ahele Bait The Aur Jante The Ki Yazeed Ki Shakhsi Huqumat Deen-O-Mazhab Ki Tabahi Ki Bais Hai Isliye Sab Kuch Apni Nigaho Se Dekhne Ke Bawajood Khamosh Rahe...
Yazeed Ke Hamiyon Ne Noman Bin Baseer Ko Ja Kar Kaha Ki Ye Jo Kuch Ho Raha Hai Yazeed Ke Mansha Ke Khilaf Ho Raha Hai. Awwal To Aap Imam Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ka Qatl Kar De Nahi To Giraftaar Zaroor Kar Le Aap Yazeed Ke Tankhwahdaar Mulazim Hai Is Liye Tamam Zimmedari Aap Par Aaid Hoti Hai. Yazeed Ke Gustakh Chelo Ki Ye Baat Sun Kar Numan Bin Baseer Ne Jawab Diya Ki Mulazimat Aur Chiz Hai Aur Aqidat Aur Chiz Mai Yazeed Ke Chand Tako Ke Badle Ek Hasmi Jawan Ka Khoon Baha Har Deen Wa Duniya Me Ruswa Nahi Hona Chahata Aur Ek Sayyed Ko Qatl Kar Ke Apni Aaqibat
Kharab Nahi Kar Sakta...
Yazeed Ke Tarafdaar Numan Bin Baseer Ka Ye Jawab Sun Kar Un Ke Dili Irado Ko Samaz Gaye Aur Fauran Ammar Bin Walid ko Yazeed Ke Paas Bhej Kar Use Tamam Halat Ki Ittelah Di Woh Ittelah Pate Hi Yazeed Ne Fauran Ubaidullah Ibne Ziyad Ko Jo Us Waqt Basra ka Wali Tha Huqm Bheja Ki Fauran Kufa Jao Aur Numan Ko Mazool Kar Ke Wahan Ki Baag Dor Apne Haatho Me Le kar
Muslim Bin Akeel ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko
Fauran Qatl Kar Do Aur Kufawalo Ko Hussain Ibn Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ki Bai't Se Sakhti Se Roko Aur Jo Zarra Bhar Bhi Ta'ammul Kare Us Ka Sar Qalam Kar Do Ibne Ziyad Bada Hi Makkar Ayyar Aadmi Tha Yazeed ka Huqm Milte Hi Hakim-E-Kufa Ki Haisiyat Se Hijazi Libas Pahen Kar Aur Chahere Par Nakab Daal Kar Magrib Wa Isha Ke Darmiyan Usi Raaste Se Kufa Me Dakhil Hua Jis Raste Se Hijazi Kafile Aaya Karte The
Ibne Ziyad Ka In Makkariyo Se Matlab Ye Tha Ki Kufawale Husain Ibne Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Muntazir Hai Is Liye Raat Ke Andhere Me Mujhe Pahechan Nahi Sakenge Aur Is Tarah Mai Aasani Se Kufa Me Dakhil Ho Jaunga...
Chunache Aisa Hi Hua Kufawale Hazrat
Imam Aali Makam ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke
Muntazir To The Hi Hijazi Libas Aur Hijazi Raaste Se Aata Dekh Kar Ibne Ziyad Ko Na Pahechan Sake Aur Is Khusi Me Ke Hazrat Hussain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Aa Gaye Hai. Musaarrat Ke Nare Lagane Lage Aur Bulanda Aawaz Se Pukarne Lage....
MARHABB YA IBNE RASOOLALLAH ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ QADIMTA KHIRAM MAKDAMIN
Aap Ki Tasrif Aawari Ka Sukriya.....

Ubaidullah Badi Hi Khamoshi wa Sukoot Ke Saath Aahista-aahista Kadam Uthata
Chehere Par Naqab Daale Sidha Darul Imarat Ki Taraf Rawana Hua Hazrat Haani Jin Ke Ghar Imam Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Qiyam Pazeer The Raste Me Soch Rahe The Ki Agar Ye Humare Aaqa wa Maula Imam Husain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Hote To Is Kamoshi Wa Sukoon Ke Saath Na Aate Chahere par Naqab Na Hota Is Me Zaroor Koi Raaz Hai Aakhir Unhone Badi Zurrat-O-Dileri Ke Saath Haath Ke Ek Jhatke Se Ibne Ziyad Ke Chahere Se Naqab Khich Li Dekha To Woh Husain Ibne Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Bajaye Ubaidullah Ibne Ziyad Tha Aur Phir Pukar Uthe Aye Kufa Walo Tumhare
Imtehan Ka Waqt Aa Gaya Hai Ye To Ibne
Ziyad Hai....

Ye Sunte Hi Kufa Walo Ke Dil Laraj Gaye Aur Woh Hairan Rahe Gaye Lekin Ab Kya Kar Sakte The Aur Kya Ho Sakta Tha???
Ibne Ziyad Ki Makkari Kaam Aa Chuki Thi Aur Woh Kufa Walon Ko Dhoka De Chuka Tha Aur Woh Dhoka Kha Chuke The Haan Agar Kufa Wale Zara Si Bhi Jurrat Wa Himmat Se Kaam Lete Aur Apne Ahed Wa Paigam Par Qayam Rahete To Ibne Ziyad Tanha Tha Ya Us Ke Chand Ek Saathi Woh Mukable Ke Liye Tan Jate Aur Ibne Ziyad Ko Qatl Kar Ke Aainda Aane Wala Wahsatnaak Waqiyat Ke Zimmedari Se Subukdosh Hokar Mubarakbaad Ke Mustahiq Ban Jate Magar Woh Aisa Na Kar Sake Is Liye Ki Masiyat Yahi Thi Ki Islam Ke Baag Ko Ahele Bait Ke Khoon Se Sicha Jaye....
Ibne Ziyad Sidha Darul Imarat Phucha
Numan Bin Baseer Ko Yazeed ka Huqm
Nama Dikaya Aur Un Se Ye Kaha Ki Tum Ne Muslim Bin Aqeel ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Kufa Me Dakhil Karne Aur Bulane Me Madad Kar Ke Namak Harami Ki Hai Numan Ibne Baseer Ne Jawab Diya Ki Woh Zindagi Jo Batil Parsasti Me Guzre lanat Hai Aur Woh Maut Jo Haq Parsati Me Aaye Rahemat Hai Aur Mai Aisi Maut Ko Zindagi Par Tarjih Deta Hu....
Ibne Ziyad Ne Numan Bin Baseer Ko
Giraftaar Kar Liya Aur Raat Badi Be Karari Me Basar Ki Subah Ka Sitara Larazta Hua Namudaar Hua Phir Din Nikalte Hi Ibne Ziyad Ne Kufa Ki Jama Masjid Me Ek Jalsa Munaqit Kiya Aur Talwar Hawa Me Laherayi Aur Bola Mujhe Jo Jante Hai Woh To Jante
Hi Hai Aur Jo Nahi Jante Woh Jaan Le Ki Mai Ibne Ziyad Hu Aur Yazeed Ne Mujhe Yahan Ka Haqim Muqarrar Kiya Hai Aur Mujhe Malum Hua Hai Ki Tum Log Yazeed Ke Khilaf Ho Aur Husain Ibne Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Apna Khalifa Banana Chahte Ho Aur Muhje Ye Bhi Malum Hua Hai Ki Tum Ne Is Kaam Ke Liye Muslim Bin Akeel ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Kufa Bula Liya Hai Aur Woh
Yahan Pahuch Chuke Hai Aur Husain Ibne Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Bhi Aanewale Hai....
Khabardar Jis Ke Ghar Se Muslim Bin Akeel ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ki Aawaz Aayi Us Ghar Ko Mismaar Kar Diya Jayega Aur Jis Zuban Se Husain Ibne Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ka Naam Nikla Woh Jaban Khich Li Jayegi Aur Jo Haath Husain Ibne Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ki Bai't Ke Liye Badhege Woh Haath Kaat Diye Jayege Aur Aaj Shaam Tak Muslim Bin Akeel ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Mere Hawale Kar Do Warna Kufa Me Qiyamat Barpa Kar Di
Jayegi.

Ibne Ziyad Ki Taqreer Se Kufawalo Ke Dil
Kaanp Gaye Aur Pansa Palat Gaya Aur Woh Log Jo Yazeed Ke Khilaf Bagawat Karne Ki Taiyyariyan Kar Rahe The Aur Aale Muhammad ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ke Saye Tale Yazeed Ki Gair Islami Huqumat Ka Takhta Palat Kar Khilafat-E-Ilahiya Ka Alam Buland Karne Ke Masware Kar Rahe The Aaj Ibne Ziyad Ke Kaher Wa Gazab Ke Samne Aise
Dabke Baithe The Jaise Samndar Ki Jhaag Aur Pani Ka Bulbula. Kufa Ki Jis Jama Masjid Me Kal Ahele Kufa Sham-E-Ahle Bait Par Yazeed Ke Khilaf Mar Mitne Ka Ahed Baand Rahe The Aaj Usi Jama Masjid Me Ibne Ziyad Ki Taqreer Sun Kar Kapne Lage Majma Mutashir Ho Gaya Aur Kufawalo Ne Saikdo Khat Aur Hazaro Kasid Bhej Kar Bulaye Hue Mua'zziz Mahemano Ka Saath Chod Diya....

Hazrat Haani Jalsa Se Uthe Raaste Me
Sochte Aate The Ki Kya Karu?
Agar Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko
Ibne Ziyad Ke Hawale Na Karu To Jaan Jati Hai Aur Agar Hawale Kar Du To Imaan Jata Hai Aur Saath Hi Chamnistaan-E-Nabuwat Ki Saakh Ka Ek Gul Mere Hi Haatho Tut Jayega. Aur Qayamat Tak Ki Aanewali Nasle Mujh
Par Fitkaar Bhejti Rahegi Aur Aakhir Unhone Faisla Kiya Ki Jaan Jati Hai To Jaye Magar Imaan Na Jaye Duniya Nahi Rahti Na Sahi Deen Rahe Jaye Aur Mai Kisi Bhi Surat Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Ibne Ziyad Ke Hawale Nahi Karunga....
Udhar Subah Se Le Kar Sham Tak Ibne Ziyad Ne Intezar Kiya Us Zalim Ka Khayal Tha Ki Hazrat Haani Dar Ke Mare Imam Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Mere Hawale Kar Denge Magar Shayad Woh Nahi Janta Tha Ki Ek Muslman Jab Haq Ka Saath Dene Ka Faisla Kar Leta Hai To Phir Aag Ka Dariya Bhi Kud Jata Hai...
Raat Hui To Ibne Ziyad Ne Apne Jasoos
Ma'akil Ko Kuch Rakam De Kar Aur Kasid Ka Libas Pahena Kar Hazrat Haani Ke Ghar Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ka Pata Lagane Ke Liye Bheja Woh Sidha Hazrat Haani Ke Ghar Aaya Aur Hazrat Haani Bhi Us Farji Jasoos Ke Dhoke Me Aa Gaye Aur Us Ko Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Paas Le Gaye Wapas Aa Kar Ibne Ziyad Ko Ma'akil Ne Saari Baat Bata Di Ki Muslim Bin Akeel ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Hazrat Haani Ke Ghar Hai Saari Raat Is Bad Bhakh Ne Be Chaini Me Guzari Aur Phir As-Subah Abhi
Mua'azin Ne Azan Buland Hi Ki Thi Ki Is
Zalim Ne Fauj Ke Ek Daste Ko Hazrat Haani Ki Giraftaari Ka Huqm Diya ki Hazrat Haani Ko Mere Paas Pesh Kiya Jaye....
Namaz Ka Waqt Ho Chuka Tha Ibne Ziyad Ka Ye Fauji Dasta Sidha Masjid Pahucha Idhar Hazrat Haani Ne Salam Phera Udhar Zalimo Ne Unke Pa'o Me Bediya Daal Di Aur Ibne Ziyad Ke Paas Le Aaye..

Hazrat Haani Ko Dekh Kar Us Zalim Ibne
Ziyad Ki Aatis-E-Gazab Bhadak Uthi Aur
Kadak Kar Bola...
O Namakharam! Kya Tu Ne Mera Kal Ka
Ailan Nahi Suna Ki Jis Ne Muslim Bin Akeel ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Panah Di Us Ka Qatl Kar Diya Jayega.
Hazrat Haani Ne Farmya
H"aan Suna Tha."
Ibne Ziyad : "To Phir Tu Ne Khalifa Yazeed Ke Bagi Ko Hamare Hawale Kyu Nahi Kiya?"

Hazrat Haani : " Is Liye Ki Mai Yazeed Ko
Khalifa Hi Tasleem Nahi Karta"

Ibne Ziyad : "To Phir Tumhara Khalifa Kaun Hai"?

Hazrat Haani : "Hussain Ibne Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ "

Ibne Ziyad : "Ye Kyu?"

Hazrat Haani : Is liye Ki Imam Hussain Na Sirf Ye Ki Haq Ka Namuna Hai Balki Ain Mumkin Hai Aur Yazeed Na Sirf Ye Ki Batil Parast Hai Balki Ain Batil Hai"

Ibne Ziyad "Khabardaar, !!!! Mai Ameer Ul
Momineen Yazeed Ke Khilaf Aisi Gustakhi Sun Nahi Sakta"

Hazrat Haani : "Ye Zuban Kaati To Ja Sakti Hai Lekin Haq Goyi Ke Liye Roki Nahi Ja Sakti"

Ibne Ziyad : "Tumhari Gardan Utar Li Jayegi"

Hazrat Haani : "Meri Is Gardan Ko Juda To Kiya Ja Sakta Hai Lekin Batil Ke Aage Jhukayi Nahi Ja Sakti"

Ibne Ziyad : "Ab Bhi Agar Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Mere Hawale Kar Do To Tumhe Muaf Kiya Ja Sakta Hai"

Hazrat Haani : "Mai Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Ek Khoonkhwaar Bhediye Ke Hawale Kar Ke Aakhri Waqt Apna Naama-E-Aamal Siyah Nahi Kar Sakta Aur Tum Jaise Duniya Ke Kutte Ke Aage Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Pesh Kar Ke Qiyamat Ke Din Darbare Nabuwwat Me Ruswa Nahi Hona Chahata"

Ibne Ziyad : "To Phir Marne Ke Liye Tayyar Ho Jao"

Hazrat Haani : "Ye Maut Nahi Zindagi Hai, Fana Nahi Baqa Hai Aur Tu Bhi Yaad Rakh Jab Qiyamat Ke Din Tujh Se Hisab Liya Jayega To Khoon-E-Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ka Tere Paas Koi Jawab Nahi Honga Ab Bhi Waqt Hai Apni Aakho Se Gaflat Ke Parde Utha Kar Dekh Aur Gaur Kar Ki Tu Kis Ke Khoon Ka Pyasa Hai Us Ka Jurm Kya Hai. Uth Aur Haq Ka Daman Tham Le Chal Aur Muslim Ke Daman Se Lipat Ja"

Ibne Ziyad : "Mai Ne Tujhe Waaz Ke Liye
Nahi Bulaya"

Hazrat Haani : "To Mai Bhi Batil Ke Aage
Jhukne Ke Liye Nahi Aaya"....

Ibne Ziyad Hazrat Haani Ki Is Haq Goyi Se Bhadak Utha Aur Apna Asa Hazrat Haani Ke Sar Par De Maara Us Faqeere Ahele Bait Ka Sar Fat Gaya Khoon Ke Fawwaare Bahe Nikle Aur Phir Jallad Ne Ibne Ziyad Ke Ishare Se Talwar Ke Ek Waar Se Un Ka Sar Tan Se Juda Kar Diya....
Inna Lillahi wa Inna Ilaihi Rajioon.

Reference:
Khaaq-E-Karbala
Musannif Allama Iftkhar Ul Hasan Sahab

Khaaq-E-Karbala: Imam Hussain Ne Kiya Yazeed Ke Bait Se Inkar


Khaaq-E-Karbala: Imam Hussain Ne Kiya Yazeed Ke Bait Se Inkar
Part: 8
Sahadat Hai Maqsood Wa Matlub-E-Momin.
Na Male Ganimat Na Kiswar Qusayi!!!!
Mai Ne Ab Waqiaat-E-Karbala Aur Asbab-E-Sahadate Hazrat Imam Husain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Se Amdan Ijtenaab Karte Hue Usi Saheed-E-Azam Ke Sadke Usi Sayyed Us Sohda Ki Sahadat Gaahe Ishq Wa Muhabbat Me Kadam Rakha Hai Jis Ke Tasswwur Se Qayenat Ka Seena Chaaq Ho Jata Hai Aur Jis Ke Khayal Se Insaniyat Ka Kaleja Fat Jata Hai Aur Jis Ke Bayan Se Ek Muslman Ki Aankho Se Aasun'o Ki Zadi Lag Jati Hai Aur
Jis Ke Likhne Se Safae Qirtaas Par Khoon Ke Dhabbe Naqs Ho Jate Hai.....

"Hai Aaj Karbala Ka Maidan Lahoo-Lahoo
Sahrae Dil fegaar Ka Daman Lahoo-Lahoo,
Sab Dast Wa Koh Wa Jangal Wa Maidan
Lahoo-Lahoo,
Woh Razm Gaahe Shahe Saheedan Lahoo-Lahoo."
Yazeed Ne Takht-E-Huqumat Par Baithte Hi Jo Pahela Huqm Jari Kiya Woh Ye Tha Ki Abdullah Ibne Zubair, Abdullah Ibne Umar, Abdur Raheman Bin Abu Baqr, Aur Hussain Bin Ali ﺭﺿﻮﺍﻥ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻬﻢ ﺃﺟﻤﻌﻴﻦ Se Fauran Ba'it Li Jaye Aur Agar Woh Inkar Kare To Unko Qatl Kar Diya Jaye....
MazALLAH..

Aamile Madina Walid Ne Hazrat Imam
Hussain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Darul Aman Me Bulaya Aur Yazeed Ka Huqm Padh Kar Sunaya Yazeed Ka Huqm Sunte Hi Hasmi Khoon Josh Me Aa Gaya Aur Aata Bhi Kyu Na? Woh Hussain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Jin Ke Rago Me Muhammad Mustafa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ka Khoon Tha Jin Ke Baazu'o Me Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ki Quwat Thi Aur Jin Ke Khoon Me Fatema ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Ka Paak Dhood Tha Aur Jin Ke Seene Me Ishq-E-Ilahi Ka Dariya Mojazan Tha Jin Ke Seene Me Deen-E-Mustafa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ki
Tadap Thi Aur Jin Ke Nigaho Me Jalwae
Husn-E-Yaar Tha Woh Kis Tarah Bardast Kar Lete Ki Koi Insan Islam Ke Naam Par
Huqumat Le Aur Islam Ki Hado Ko Tode....

Sayeeda Ke Laal Ne Yazeed Ki Ba'it Se Inkar Kar Diya Aur Farmaya Ki Haq Parast Musalman Ke Liye Ek Batil Parast Insan Ki Ba'it Sajare Deen Wa Islam Ki Jadho Par Kulhaade Marne Ke Mutradif Hai....
Udhar Jab Yazeed Ko Ye Khabar Mili Ki
Imam Hussain Bin Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ne Meri Ba'it Ka Inkar Kar Diya Hai To Us Ki Aatish-E-Gazab Bhadak Uthi Aur Phir Woh Tadbeer Sochne Laga Ki Kis Tarah Hussain Ibne Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Se Baith li Jaye Ya Unhe Qatl Kar Diya Jaye Aur Idhar Kufawalo Ne Yazeed Ke Fisq wa Fujur, Gair Islami Raweesh Aur Gair Deeni Tarz-E-Zindagi Se Tang Aa Kar Hazrat Imam Hussain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Khat Par Khat Aur Kasid Par Kasid Bhejne Suru Kar Diye Ki
Nawasa-E-Rasool Hum Kufawale Ahele
Baith-E-Atha'ar Ke Purane Aur Sachche
Khadim Hai Aur Hum Wahi Hai Jinho Ne
Jange Suffin Me Aap Ke Walid Hazrat Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ka Saath Diya Tha Aur Ab Yazeed Hum Par Haqim Ho Gaya Aur Hum Us ke Gair Islami Huqumat Ke Pesh-E-Nazar Us Ko Hum Apna Khalifa Manne Ke Liye Hargiz Tayyar Nahi Hai Khilafat Aapka Haq Hai Aur Hum Aap Ke Gulam Hai Is Liye Hume Yazeed Ke Fisq wa Fujur Aur Zulm wa Sitam Se Nijat Dilane Ke Liye Fauran Kufa Tasrif Le Aaye Yahan 100000 Muslman Aap Ke Muqaddas Haatho Par Baith Karne Ko Tayyar Khade Hai.

Jin Dino Kufawalo Ke Khat Par Khat Aur
Kasid Par Kasid Aa Rahe The Imam Aali
Makam ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Un Dino Makka
Me Qayam Pazir The Ahele Kufa Ki Aqidat-O-Muhabbat Dekh Kar Aur Un Ki Ba'it Kar Lene Ki Yaqeen Par Imam Aali Makam ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ne Kufa Jane Ke Liye Rakhte Safar Bandha Lekin Makka Muqarrama Me Basnewalo Ne Dekha To Woh Bechain Ho Gaye Aur Ek Jalsa Munaqid Kar Ke Imam Aali Makam ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Samzaya Ki Kufa Jane Ka Irada Tark Kar Dijiye Is Liye Ki
Kufawalo Me Wafa Nahi Hai Aur Woh Apni Wada Khilafi Aur Ahed Sikni Me Mashoor Hai Aur Hume Fiqr Hai Ki Kahi Woh Aap Ko Bhi Dhoka Na De Aap Itminaan Se Yahan Makka Me Tasrif Rakhe Aur Hum Wada Karte Hai Ki Jab Tak Humari Jaano Me Jaan Hai Aap Ki Taraf Koi Nigah Utha Kar Bhi Nahi Dekh Sakega Aur Agar Aap Ko Zaroor Jana Hi Hai To Pahele Hazrat Muslim Bin Akil ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Rawana Kar De
Woh Wahan Ja Kar Wahan Ka Rang Dhang Dekhe Aur Kufawalo Ke Irado Ka Pata Karke Phir Woh Jo Likhe Us Par Amal Kiya Jaye

Aakhir Is Faisle Ke Baad Hazrat Muslim Bin Akil ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Aur Aap Ke Do
Sahezade Muhammad Wa Ibrahim Bhi Kufa Ke Liye Rawana Hue ....
Juhi Hazrat Muslim Apne Dono Bachcho
Samet Kufa Me Dakhil Hue Khusi Wa
Masarrat ke Naro Se Kufa Ki Fiza Gunj Uthi Kufawalo Ne Dili Musarrat Ka Izar Kiya Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Kadam Chume Bachcho Ko Gale Lagaya Pahele Hi Din 40000 Kufiyo Ne Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Daste Mubarak Par Bai'it Ki ....
Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ne Kufa
Walo Ki Ye Aqidat Wa Muhabbat Dekhi Aur Un Ka Josh Wa Kharosh Dekha To Fauran Imam Hussain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ki Taraf Ek Khat Likh Diya Ki Kufawale Har Tarah Humare Saath Hai Jis Ka Suboot Ye Hai Ki 40000 Kufi Mere Haath Par Bai't Kar Chuke Hai Is Liye Aap Fauran Tasrif La Kar Haq Parsato Ki Hausla Afzai Kare Ye Kufawale
Wada Karte Hai Ki Hum Apni Jaane Qurban Kar Denge Lekin Yazeed Ki Khilafat Nahi Taslim Karege ....
Hazrat Imam Hussain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Khat Rawana Karne Ke Baad Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Hazrat Haani Bin Urwah Ke Ghar Qiyam Pazir Ho Gaye Idhar To Kufawale Imam Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Aane Par Khusiya Mana Rahe The Aur Udhar Yazeed Ke Wafadaar Hazrat Muslim ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ka Saandaar Istaqbaal Aur Phir Kufawalo Ka Joshe Aqidat Dekh
Kar Angaaro Par Lot Rahe The Aur Dil Hi Dil Me Soch Rahe The ki Ab Yazeed Ke Haatho Se Khilafat Gayi.

Reference:
Khaaq-E-Karbala
Musannif Allama Iftkhar Ul Hasan Sahab

Khaaq-E-Karbala: Bugz-E-Hussain Rakhnewale Khaarjiyo Padho


Khaaq-E-Karbala: Bugz-E-Hussain Rakhnewale Khaarjiyo Padho
Part-7
Is Duniya Me Ahele Bait Se Bugz Wa Inaad Raknewale Aise Bhi Kharji Hai Jo Apne Bugz Wa Inaad Ki Buniyad Par Ye Kahete Hai Ki Hazrat Imam Husain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ladne Ke Liye Gaye The Aur Ladai Ke Zariye Apni Khilafat Manwane Ke Liye Gaye The Magar Aye Itrat-E-Rasool ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Se Ta'assub Raknewale Kharjiyo Aur Aye Imam Husain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Yazeed Ki Huqumat Ka Baagi Kahnewale Yazeediyo!! Apni Aakho Se Ta'assub Ke
Parde Utha Kar Dekho Apne Dilo Se Bugz Ke Gubar Ko Mita Kar Socho Apni Aql Wa Hosh Par Se Kharjiyat Ki Pattiya Utar Kar Samzo Ki Agar Imam ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ladne Ke Liye Jate To Apne Saath Arab Ke Bahaduro Ka Laskar Le Jate Madina Ke Gaziyo Ki Fauj Le Jate Aur Makka Ke Mujahido Ki Talwar Le
Jate Agar Woh Ladne Ke Liye Jate To Apne Shirkhawar Asgar ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Saath Le Kar Na Jate 6 Saal Ki Masum Beti Sakina ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Ko Le Kar Na Jate Apni Bahen Zainab ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Ko Le Kar Na Jate Woh Ladne Nahi Gaye The Magar Un Ko Majbooran Ladaya Gaya Tha....

Jhagda Khilafat Ka Nahi Tha Kisi Imamat Ka Nahi Tha Jhagda Tha To Islam Ki Sarhado Ko Todne Ka Ladayi Thi To Deen Se Dushmani Ki Aur Tanajha'a Tha To Sari'at-E-Mustafa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Se Bagawat Ka Haan Agar Yazeed Ki Huqumat Gair Islami
Na Hoti Aur Us Ka Nizam-E-Huqumat Gair Sharai Na Hota Agar Woh Bhi Sari'at-E-Mustafa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ke Mutabiq Apni Huqumat Ko Chalata Khulfae Rasedeen ﺭﺿﻮﺍﻥ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻬﻢ ﺃﺟﻤﻌﻴﻦ Ke Naqsh-E-Kadam Par Chal Kar Apni Huqumat Khalis Islami Deeni Aur Sarai Rakhta To Phir Agar Imam Husain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Us Ki Aur Us Ki Huqumat Ki Mukhalifat Karte Phir Un Par Jo Ilzam Lagaya Jata Woh Durust Hota Aur Jab
Yazeed Ne Aisa Nahi Kiya To Us Ke Baad
Koi Aitraaz Karna Sirf Bad Diyanati Hi Nahi Balqi Be Deeni Bhi Hai....

Imam Aali Makam ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Be Saro Saman Aane Par Tanqeed Karne Wale Sawal Karte Hai Aakhir Woh Tanha Kyu Aaye?
Be Saro Saman Kyu Aaye?
Aur Apne Saath Aurto Aur Bachcho Ko Kyu Laye??
Magar Aise Logo Ko Malum Hona Chahiye Ke Batil Jab Bhi Aata Hai Shaan Wa Saukat Ke Saath Aata Hai Takht Wa Taaj Le Kar Aata Hai Jaah Wa Jalal Ke Saath Aata Hai Aur Saaz-O-Saman Le Kar Aata Hai Aur Haq
Jab Bhi Aaya Hai Be Wasila Aaya Hai Be
Saaz Wa Saman Aaya Hai Aur Tanha Aaya Hai....
Chahe Namrood Ke Sahi Darbaar Me Tarikh Ka Beta Ibtrahim ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Ho Ya Fir'aun Ke Samne Imran Ka Farzand Musa ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Kuffar-E-Makka Ki Majlis Me Abdullah ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ka Durre Yatim ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ho Ya Yazeed Ke Muqable Me Fatema ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Ka Lakhte Jigar ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ .......

Kisi Bahot Khub Kaha Hai 🏻
Pucho Yazeed Se Tera Raaj Kahan Hai.....?
Wo Khoon Se Aludah Tera Taaj Kahan
Hai...?
Zindah Hai Husain ibne Ali Zindah Hi
Rahega....
Lanat Ke Siwa Teri Yaad Aaj Kahan Hai.?

"Afzal Hai Kul Jahan Me Gharana Hussain Ka
Nabiyon Ka Tajdar Hai NaNa Hussain Ka,
Eik Pal Ki Thi Bas Hukamt Yazeed Ki,
Sadya'an Hussain Ki Hai Zamana Hussain Ka"
----------------------------------------------------
ﺍﻓﻀﻞ ﮨﮯ ﮐﻞ ﺟﮩﺎﮞ ﻣﯿﮟ ﮔﮭﺮﺍﻧﮧ ﺣﺴﯿﻦ ﮐﺎ -
ﻧﺒﯿﻮﮞ ﮐﺎ ﺗﺎﺟﺪﺍﺭ ﮨﮯ ﻧﺎﻧﺎ ﺣﺴﯿﻦ ﮐﺎ،
ﺍﯾﮏ ﭘﻞ ﮐﯽ ﺗﮭﯽ ﺑﺲ ﺣﮑﻮﻣﺖ ﯾﺰﯾﺪ ﮐﯽ -
ﺻﺪﯾﺎﮞ ﺣﺴﯿﻦ ﮐﯽ ﮨﮯ ﺯﻣﺎﻧﮧ ﺣﺴﯿﻦ ﮐﺎ۔!!!
----------------------------------------------------
Kaun Hussain....?
Jo Aabid The Aur Aise Aabid Ke
Inteha'i Mazlumi Aur Bekasi Ke Aalam Me Bhi Shab-E-Aashura Ki Sari Raat Apne Kheme Me Ibadate Ilahi Me Guzari Aur Aise Aabid Ki Apne Jisme Paak Par Sayekdo Zakhm Khane Ke Baad Bhi Maidane Karbala Ki Tapti Hui Ret Par Tahe Khanjar Bhi Do Nafl Ada Kar Gaye.

Kaun Hussain....?
Jo Bahadur The Aur Aise Bahadur
Ke Be Sar-O-Saman Hone Aur Teen Din Ke Bhuke Hone Ke BaWajood Bhi 20000
Dusmano Ke Muqable Me Subah Se Le Kar Zuhar Tak Date Rahe Aur Aise Bahadur Ke Jin Par Teero Ka Meh Barsa Nezo Ki Barish Hui Barchiyo Ke Badal Chaye Aur Talwaro Ke Tufan Uthe Magar Aap Ke Pa'o Me Jarrah Bhar Bhi Laghzis Nahi Aayi Aur Aakhri Dum Tak Sabit Kadam Rahe.

Kaun Hussain....?
Jo Sakhi The Aur Aise Sakhi The Ki
Dast-E-Karbala Me ALLAH Ki Raah Me Apne Bete Akbar Ko Qurban Kar Diya Apne Masoom Bachche Asgar Ko Apni Jholi Me Dum Todte Dekha Apne Bhai Ki Amanat Kasim Ke Sar Ko Pamal Karwaya Apni Bahen Ke Jigar Ghose Aaun-O-Muhammad Ki Lasho Ko Khoon Me Tadapte Dekha Apne Bhai Abbas Ke Baazu Kalm Hote Hue Dekhe Aur Phir Sab Se Aakhir Me Apne Bimar Bete
Aabid Ko Apni Ladli Beti Sakina Ko Apni
Pyari Bahen Jhainab Ko Bilkul Besahara
Chod Kar Apni Jaan Bhi Sakhawat Kar Di.
Jo Dahekti Aag Ke Sholo Par Soya Woh
Hussain.
Jisne Apne Khoon Se Alam Ko Dhoya Woh Hussain.
Jo Jawan Bete Ki Mayyet Par Na Roya Woh Hussain.
Jisne Sab Kuch Kho Ke Phir Kuch Bhi Na
Khoya Woh Hussain.
Jisne Apne Bachcho Ki De Di Sakhwat Woh Hussain.
Hash Kar Jis Ne Pi Liya Jame Sahadat Woh Hussain ﺭﺿﻮﺍﻥ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻬﻢ ﺃﺟﻤﻌﻴﻦ

Masjide Nabvi ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Me
Namaz Ho Rahi Thi Imam Ul Ambiya ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Jama'at Kara Rahe The Aur Muqtadi Hazrate Siddiqe Akbar Farooqe Azam Usmane Gani Aur Ali E Murtaza ﺭﺿﻮﺍﻥ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻬﻢ ﺃﺟﻤﻌﻴﻦ The Aur Imam Hussain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ki Umar 6 Saal Thi Woh Madina Munawwara Ki Galiyo Me Khel Rahe The Khelte khelte Masjide Nabwi Me Aaye To Dekha Nana Mustafa ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Sajde Me Hai To Imam Husain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ne Chalang Lagayi Aur Nabi Ke Kandho
Par Sawar Ho Gaye ....

Arshwale Hairan Rahe Gaye Fariste Dum Ba
Khud The Aur Hoore Mahawe Hairan Magar
Rooh-E-Fitrat Muskura Rahi Thi Jibra'il ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Pukar Utthe Maula Ye Kya Hai?
Bachcha Imam Hussain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Imam Ul Ambiya ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ke
Kandhe Par Sawar Sawar Ho Gaya ALLAH Ta'ala Ne Farmaya
"Jibra'il Khamosh!!! Aaj Jis Bachche
Hussain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Tum Sajde Me Mere Mustafa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ke Kandho
Par Dekh Rahe Ho Isi Bachche Hussain Ko Maidan-E-Karbala Me Neze Par Chad Kar Qura'n Padhte Bhi Dekh Na

Reference:
Khaaq-E-Karbala
Musannif Allama Iftkhar Ul Hasan Sahab

Khaaq-E-Karbala: Imaam Hussain Radiallahu Anhu Ki Hayat-E-Mubarak


Khaaq-E-Karbala: Imaam Hussain Radiallahu Anhu Ki Hayat-E-Mubarak
Part: 6
"Maani Gai Jahan Me Qayadat Hussain Ki,
Afzal Hai imamo Me imamat Hussain Ki,
Darje Tamam Unpe Shahadat Ke Khatm
Hai,
Kis Shaan Se Hui Hai Shahadat Husain Ki,
Neze Pe Sar Hai Aayate Qura'n Labon Pe
Hai,
Dekhi Hai Kul Jahan Ne ibadat Hussain Ki,
Goonji Nidaye Marhaba Arshe Azeem Par,
Dekhi Jo Karbala Me Shuja'at Hussain Ki,
Shimr-O-Yazeed Ka To Koi Bhi Nisha'n
Nahi,
Qayam Magar Hai Ab Bhi Khilafat Husain Ki."

Aap Ka Naam E Paak Husain Aur Qunniyat Abu Abdulllah Hai Aur Laqab Jhaki,Saheede Akbar Aur Tayyeb Hai ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ ....

Ibne Maja Sharif Safa No. 289; Miskat
Sharif Page No. 572 Me Hai Ki 🏻
Hazrat Ummul Fazl ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ
Farmati Hai Ki Mai Huzoor ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ki Khidamat Aqdas Me Hazir Hui Aur Arz Kiya "Ya RasoolAllah ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Aaj Raat Maine Bahut Khufnaak Khwab Dekha Hai"
Nabi-E-Kareem ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne
Farmaya Ki "Woh Kya Khwab Hai"
Mai Ne Arz Ki "Ya NabiAllah ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Woh Bahut Hi Bhayanak Hai"
Nabi-E-Kareem ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne
Farmaya "Woh Kya Hai???"
To Hazrat Ummul Fazl ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Ne Arz Ki..
"Ki Mai Ne Dekha Aap Ke Jism-E-Aqdas Ka Tukda Meri Aaghos Me Rakha Gaya Hai"
To Sayyed Ul Mursaleen ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Farmaya "Ki Tum Ne Accha Khwab Dekha ﺍﻧﺸﺎﺀ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ Meri Beti Fatema ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Ke Ghar Ladka Paida Honga" Aur Phir Ummul Fazl Farmati Ki "Waqai Sayyeda Fatema ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Ke Ghar Hazrat
Imam Husain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Paida Hue Aur Woh Meri Aaghos Me Aaye"
Phir Nabi-E-Karem ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne
Farmaya Ki Mere Paas Hazrat Jibra'il ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Aaye Aur Mujhe Khabar Di Ki
Ankareeb Meri Hi Ummat Mere Is Bachche Hussain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Saheed Karegi"
Hazrat Ummul Fazl ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ
Farmati Hai Ki Maine Arz Ki
"Ya RasoolAllah ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Is
Bachche Ko???" To Huzoor ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Farmaya
"Haan!!! Is Bachche Ko"...
Aur Jibarail ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Ne Makam Shahadat Ki Surkh Mitti Bhi La Kar Mujhe Di Hai. Aap Imam Husain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ki Wiladate Ba'Sa'adat Par Jibra'il ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ ALLAH Ki Taraf Se Mubarak Baad Bhi Laye Aur Saath Hi Izhare Gum Bhi Kiya Sayyed Ul
Mursaleen ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Imam-E-Hussain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Gale Mubarak Ko Chum Rahe The...
Jibara'il ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Ne Aabdidah Ho Kar Arz Ki Aye Maheboob-E-Khuda ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Aap Jis Gale Ko Badi Muhabbat Se Chum Rahe Hai Us Gale Par Khanjar Chalega Aur Aap Ka Ye Bachcha ALLAH Ki Raah Me Saheed Honga Aur Ye Hai Us Jagah Ki Surkh Mitti....

Sayyeda-E-Kayenaat Fatema Zahra ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Ne Apne Abbu Jaan Ko Apne Bete Ka Gala Chumta Hua Dekha To Arz Ki Abba Jaan!!! Log To Apne Bete Ka Muh Chumte Hai, Peshani Chumte Hai Aur Sar Ka Bosa Dete Hai Aur Aap Mere Bete Husain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ka Gala Kyu Chumte Hai?
To Sayyed Ul Mursaleen ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ki Aakho Se Aasu Jari Ho Gaye Aur Farmaya
Beti!!!
Mujhe Woh Din Yaad Aa Gaya Jab Zalim Is Par Zulm Karege Aur Mere Is Hussain Ke Gale Par Talwar Chalayege...
Is Ke Baad Huzoor ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne
Farmaya Is Bachche Ka Naam Kya Rakha Hai?
Sher-E-Khuda ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ne Arz Ki ki Aaqa Is Ka Naam To Iske Nana Paak Hi Rakhege Abhi Nabi-E-Paak ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Khamosh Hi The Ki Jibra'il ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Hazir-E-Khidmat Hue Aur Arz Ki Ya RasoolAllah ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ALLAH Talah Ki Taraf Se Is Bachche ki Wiladat Ki Mubarakbaad Qubul Farmaiye Aur Phir Kaha Khuda Farmata Hai Is Bachche Ka Naam Hussain Rakha Jaye....
Kamliwale Aaqa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne
Hazrat Hussain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Kaan Me Azaan Kahi Aur Saath Hi Farmaya Hussain Ye Tere Nana Mustafa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ki Aawaz Hai Is Ki Laaj Rakhna... Imam Hussain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ne Aankh Kholi Aur Nana Ki Tarf Dekha Aur Nigah Se Nigah Mili To Imam Hussain Ne Yahi Jawab Diya Honga Ki Nana Jaan Aap Fiqr Na Kare
Agar Aawaz Aap Ki Hai To Kaan Bhi Hussain Ke Hai Aur Log To Masjido Me Qura'n Padhte Hai, Mimaro Par Qura'n Padhte Hai Aur Musallo Par Qura'n Padhte Hai Magar Nana Jaan Agar Waqt Aaya To Aap Ka Ye Hussain Neze Par Bhi Qura'n Padh Kar Sunayega....
Jab Tak Duniya Rahegi Imam Husain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ka Naam Zinda Rahega Is Liye Nahi Ki Woh Nawasa-E-Rasool ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Hai Is Liye Nahi ki Woh Jigar Ghos-E-Batool ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Hai Aur Is Liye Nahi Ki Woh Noor E Nigah-E-Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Hai Nawasa-E-Rasool Hona Badi Sa'aadat Hai. Jigar Ghos-E-Batool Hona Badi
Izzat Hai Lekin Imam Husain Ka Naam Is Liye Bhi Zinda Rahega Ki...
Unki Himmat Par Ali Sher-E-Khuda Ko Naaz Hai...
Us Nawase Par Muhammad Mustafa Ko
Naaz Hai!!!!
Sajde To Sab Ne Kiye Par Us Ka Naya Andaz Hai...
Usne Woh Sajda Kiya Jis Par Khuda Ko
Naaz Hai!!!!
Aur Khuda Ko Naaz Ho Bhi Kyu Na Masjid Me, Hujre me, ALLAH ALLAH Karna Aur Sajde Karna Aasan Hai Magar Jawan Bete Ki Laash Par Ghode Daudte Dekh Kar, Mazloom Asgar Ke Halaq Me Teer Pai'wast Hota Dekh, Abbas Ke Baazu Kalam Hote Dekh Kar Aaun-O-Muhammad Ki Laash Tadhpti Dekh Kar
Aur Phir Apne Jism Par Saikado Zakhm
Khane Ke Baad Karbala Ke Tapti Hui Ret Par Bargaah-E-Ilahi Me Sajda Karna Husain Hi Ka Kaam Hai...
( ﺭﺿﻮﺍﻥ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻬﻢ ﺃﺟﻤﻌﻴﻦ Wa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ
ﻭﺳﻠﻢ )

Reference:
Khaaq-E-Karbala
Musannif Allama Iftkhar Ul Hasan Sahab

Khaaq-E-Karbala imaam Hasan Radiallahu Anhu Ki Khilafat


Khaaq-E-Karbala: Imaam Hasan Radiallahu Anhu Ki Khilafat
Post: 5
Aap Ka Isme Mubarak Hasan Aur
Qunniyat Abu Muhammad Hai Aur Alqab Sibt-E-Akabr, Haleem, Kareem, Jhahid Aur Tayyeb Hai...
Aap Ki Wiladate Ba Sa'adat 15 Ramzan Ul Mubarak san 3 Hijri SehSambah Ke Roz Hui. Jab Sayyed Ul Mursaleen ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ko Jab Apne Nawase Ki Wiladat Ki Ittelah Mili To Khusi Wa Musarrat Se Hazrat Fatema Ke Ghar Tasrif Laye Aur Farmaya....
Beti Mere Bachche Ko Mujhe Dikhao Sher-E-Khuda ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ne Sahezade Ko Rahemat-E-Aalam ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ki Jholi Me Daal Diya Kamli Wale Aaqa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Farmaya Aye Ali Is Bachche Ka Kya Naam Rakkha Hai Sher-E-Khuda Ne Arz Ki Ya RasoolAllah ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Is Ka Naam To Iske Nana Jaan Hi Rakkhenge...
Nabi-E-Kareem ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne
Farmaya Is Bachche Ka Naam Khuda
Rakhega Pas Hazrat Jibrail ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Hazir Hue Aur Arz Ki Ya RasoolAllah ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Allah Ta'ala Is Bachche Ki Wiladat Ki Aap Ko Mubarakbaad Deta Hai Aur Farmata Hai Ki Is Ka Naam Hazrat Haroon ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Ke Ladke Ke Naam Par SABBAR Rakkha Jaye Jis Ke Ma'ani Hasan Hai.... Hazrat Haroon ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Ke Ladke Ke Naam Par Is Liye Ki Sayyed Ul Mursaleen ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Hazrat Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Farmaya Tha Ki Aye Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Teri Nisbat Mere Saath Aisi Hai
Jaise Ki Musa ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Ki Nisbat Hazrat Haroon ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Ke Saath...

Tirmazi Sharif Jild 2 Page No. 571 Par
..Hai
🏻
Hazrat Abdullah Ibne Abbas ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Farmate Hai Ki Ek Din Huzur ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Hazrat-E-Hasan ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Apne Kandho Par Uthaye Hue Bahar Tasrif Laye To Ek Gulam Ne Dekh Kar Arz Ki...
Aye Sahezaade ! Jis Sawari Pa Tu Sawar Hai Woh Kitni Acchi Hai To Nabi-E-Kareem ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Farmaya Sawar Bhi To Accha Hai ....

✒ Tirmazi Sharif Jild 2 Page No. 218 Par
...Hai
🏻
Hazrat Abu Baqr Siddiq ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ
Farmate Hai Ki Huzoor ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ek Din Mimbar Par Khade Hue Hazrat Hasan ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Paas Khada Kar Ke Farmaya Ki Mera Beta Hasan Sayyed Hai Sardar Hai Jis Ke Haatho ALLAH Ta'ala Muslmano Ki Do Jama'ato Ke Darmiyan Sulah Karayega....
Chunache Imam Ul Muttaqin Hazrat Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ki Sahadat Ke Baad Jab Hazrat Hasan Muslamano Ke Ittefaq Se Khalifa Bane To Ahele Kufa Ne Aap Ke Daste Haq Parast Par Bai'ath Ki Lekin Saath Hi Us Waqt Ke Kuch Dushmanane Ahele Bait Ne Un Ke Mutalliq Sharmnaak Aur Tauhin Aamez Raweesh Ikhtiyaar Kar Li Chunache Aise Haalat Paida Kar Diye Gaye Ki Kareeb Tha Ki Muslamano Ke Do Giroh Ke Darmiyaan Aisi Khatrnaak Jang Chid Jaye Ki Jis Se Na Sirf Ye Ki Muslamano Ka Qatle Aam Ho Balki Islam Ki Buniyado Ko Bhi Nuqsan Pahuche ...
Chunache Usi Haalat Ke Pesh-E-Nazar
Hazrat Imam Hasan ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ne 6 Maah Aur Chand Din Ke Baad Badi Hi
Hiqmate Amli Aur Farasate Imamat Se
Kaam Lete Hue Hazrat Ameer Mua'awiyah ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Se In Sara'it (Jo Agli Qist Me Aayege) Par Sulah Kar Ke Apne Nana Mustafa ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Ke Ilm-E-Gaib Par Muhare Tasdiq Sabt Kar Di Jis Ke Mutaliiq Nabi-E-Kareem ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Ne Kayi Saal Pahele Hi Farmaya Tha Ki Is Mere Bachche Hasan Ke Haatho Par Allah Talah Muslamno Ki Do Jama'ato Me Sulah Karayega.

Hazrat Imam Hasan ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ne 6 Maah Aur Chand Din Ke Baad Badi Hi
Hiqmate Amli Aur Farasate Imamat Se
Kaam Lete Hue Hazrat Ameer Mua'awiyah ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Se In Sara'it Par Sulah Kar Li 🏻
1. Hazrat Ameer Mua'awiya ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ki Khilafat Ke Baad Khalifa Phir Hazrat Hasan ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Honge...
2. Hazrat Ameer Mua'awiya ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ 100000 Dirham Salana Hazrat Hasan ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Ada Karte Rahege...
3. Ahele Madina Wa Iraq Me Hazrat Ali
ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Zamane Ke Mutalliq
Kisi Sakhs Se Bhi Koi Muwakhizah Wa
Mutalibah Na Kiya Jaye...
4. Ahele Baite At'haar Ki Izzat Wa Aabru Aur Jaan-O-Maal Ki Hifazat Ki Jaye...

Hazrat Ameer Mua'awaiyah ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ne ye Tamam Sharte Manzoor Kar Li Aur Sulah Ho Gayi Magar Us Waqt Ke Kuch Muhibbane Ahle Bait Ko Imam Hasan ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ka Hazrat Ameer Mua'awiyah ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Haq Me Dastbardaar Ho Jana Bahut Hi Na Gawar Guzra Aur Unho Ne Tarah Tarah Ki Nuktachinya Ki Aur Isharo
Isharo Me Narazgi Ka Izhar Bhi Kiya Aur
Sayad Maujooda Daur Ke Kuch Muslaman Bhi Unhi Logo Ke Naqsh-E-Kadam Par Chalte Hue Hazrat Imam Hasan ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Is Husn-E-Amal Ko Acchi Nigah Se Nahi Dekhte Haalaki Hazrat Hasan ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ki Muslmano Ki Do Jama'ato Ko
Khaufnaak Jang Se Bachane Ke Liye Islam Ki Buniyado Ko Kayam Rakne Ke Liye Aur Deen Me Fitna Wa Fasad Rokne Ke Liye Ye Ek Bahut Badi Qurbani Thi Aur Ek Bahut Badi Sakhawat Thi Is Liye Ki Woh Duniya Ke Kisi Saltanat Ke Huqmran Nahi The Balki Woh Khilafate Islam Ke Alambardaar The. Aur Huqmat-E-Ilahiya Ke Masnad Naseen The...
Woh Khalifatul Muslemin Bhi The Aur Ameer Ul Momineen Bhi Is Liye woh Nahi Chahate The Ki Duniya Ki Huqmrano Ki Tarah Apni Khilafat Ko Qayam Rakhne Ke Liye Muslmano Ka Qatle Aam Karaye Deen Me Fitna-O-Fasad Barpa Ho Ye Thiq Hai Ki Aap Ko Zaher Diya Gaya Aur Aap Ki Wafat Ka Sabab Bhi Yahi Tha Lekin Ye Sahi Nahi Hai Ki Zaher Dene Me Hazrat Ameer Mua'awiya ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ka Haath Tha Ya Un Ki Saajis Thi Aur Na Hi Ye Durust Hai Ki Zaher Un Ki Biwi Hazrat Jadah Binte Asa'at Ne Diya...

Reference:
Khaaq-E-Karbala
Musannif Allama Iftkhar Ul Hasan Sahab