Showing posts with label sohbat (Sex) ka tarika. Show all posts
Showing posts with label sohbat (Sex) ka tarika. Show all posts

Saturday, November 7, 2015

Mubashrat (Intercourse) Ke Sunnatain Aur Adaab


- Mubashrat (Intercourse) Ke Sunnatain Aur Adaab

Allaah ke Naam se Shuru Jo Bohuth Mehrbaan, Rahmat wala hai!
Beshumar Darood-o-Salam hoo Rasool-e-Azam (Swallallaahu alaihi wa sallam) per.

Mubashrat Ke Adaab

1)  Mubaasharat [Sohbat ya Jimaa] karna sunnath aur kaar-e-sawaab hai.

Quraan me Rab ajjawajal farmata hai : “Toh Ab unse sohbat karo aur talab karo jo Allah ne tumhare nasib me likha ho.”

Aur Hadees me aya hai ke “Tum mein se apne biwi ke sath Mubaasharat karna bhi sadaqa hai”.

Imaam Gazali (Radiallaha ta’ala anhu) farmate hain ke  “Jab kabhi Mubaasharat kare toh niyat sirf maza lene ya shewat ki aag bujhane ki na ho, balke niyat ye rakhe ki zina se bachega aur aulaade swaleh wa nek sirat paida hogi, agar us niyat se Mubbasharat karega to sawaab payega.”

NOTE: Inzaal:- Mard ki mani uske aale se nikal kar, Aurat ki farj mein dakhil ho.

Mubasharat ka Tariqa

1) Mubaasharat se pehle wuzu kare, uske bahut se faide hain aur Mubaasharat se pehle Khushboo lagana sunnat hai, khushboo Jim’aa aur asbabe Jim’aa me madadgaar hai.

2) Mard ko chahiye ke apne biwi per jaanwar ki tarha na kare, Sohbat se pehle Qasid hote hai, Sahaba-e-kiram ne arz kiya Ya Rasoolullah (Swallallahu Alaihi Wa Sallam) wo Qasid kya hain, to pyare Aaqa (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ne irshad farmaya wo bosa ,kinaar aur Mubaasharat aamez guftugu wagairah hai.

3) Ummul Momineen Hazrate Ayesha Siddiqa (Radiallaha ta’al anha) se marvi hai ke Rasoolullah (Swallallahu Alaihi Wa Sallam) ne farmaya jo Mard apne biwi ka hath usko behlane ke liye pakadtha hai Allah azzawajal uske liye ek neki likh detha hai, jab Mard Mubaasharat se apne Aurath ke gale me hath daltha hai uske haq me “10” nekiyan likhi jaathi hai aur jab Aurath se Jimaa karta hai toh duniyan aur jo kuch usme hai un sab se behtar hai.

4) Sohbat se pehle khud bechain na hojaye, apne aap per pura itmenaan rakhe, jaldbazi  nakare, pehle biwi se pyar bhari guftugu kare phir bosa wa kinaar ke zariye use Mubaasharat ke liye amaadah kare uss dauraan dil hi dil me ye dua padhe, “ Bismillaahil  Aliul Azeemi Allahu Akbar Allahu Akbar ” uske baad jab Mard, Aurath, Sohbath ka irada karle toh barhana hone se pehle ek martaba Sura-E-Ikhlaas padhle (Qul hu wallahu ahad), Sura-E-Ikhlaas padhne ke baad ye dua padhe, “ Bismillaahi Allahumma Jannib nashaitaana Wa Janni Bishaitaana Maa Razakhtanaa. ”
Agar koyi shaks Sohbat ke waqt dua na padhe (yani shaitan se Allah ki pana na mange)   toh uss shaks ki Sharamgah se shaitaan lipat jatha hai, uss Mard ke sath shaitaan bhi uski biwi se Sohbat karne lagtha hai aur uss Jimaa se jo aulaad paida hothi hai wo Nafarmaan, Buri khaslathwaali, Begairath, Bad-deen wa Gumrah hothi hai, shaitaan ki iss dakhal andaazi ke sabab aulaad me tabhakari aajathi hai. Lihaza us musibath se bachne ke liye jab bhi Sohbat kare tho yaad karke dua padhle ya kam-az-kam Aauzubillah aur Bismillaah Sharif zaroor padhle.

5) Sohbat sirf Aurath ki “faraaj” me hi honi chahiye, chahe aage se kare ya piche se, daaye karwat se ho ya baaye karwat se.

6) Mubaasharat ka sahi tarikha ye hai ke bistar per lete lete ho aur Aurath niche ki janib ho aur Mard upar ki janib ho, is tarikhe se Mard ke jism se Aurath ka jism dhak jayega. Dekhajaye toh iss tarikhe me rahath wa asani hai, aurat ko isse mushaqath nahi hothi aur Mard ki mani ka asani se kharij hokar Aurath ke faraaj me dakhil hoti hai aur isteqaraar hamal jald paata hai. Agar Aurath upar Mard niche ho toh, iss surath me Mard ki kuch mani uske aazu me bakhi rehekar fatun paida karegi aur phir baad me taklif wa iziyath ka bayiz banegi.

7) Jiswaqt Inzaal ho, uswaqt dil hi dil me ye dua padhe. “Allahumma Laa Tajala Lishaitaana Feemaa Razakhtani Naseeba. ” Inzaal hone ke baad Aurath se fauran juda na ho yahan tak ke Aurath ki bhi hajath puri ho. Chunanche Mard ko Inzaal ho bhi jaye toh fauran Aurath se alag na ho jaye balke isi tarha kuch der aur ruke rahe taake Aurath ke bhi talab puri hojaye kyoun ke Aurath ko der me Inzaal hota hai.

8) Mubaasharat ke dauran Mard aur Aurath koyi chadar wagaira odhle, jaanwaron ki tarha barhana Sohbat na kare.  Nabe-E-Karim (Swallallahu Alaihi Wa Sallam) irshad farmate hai “Jab tumme se koyi apni biwi se Jimaa kare tho parda karle, beparda hoga toh Farishte haya ki wajha se bahar nikal jayenge. Aur Shaitaan aajayega, aub koyi bachcha ho tho shaitaan ki shirkath hogi.  Aala Hazrath (Alairehma) farmate hai ke “ Barhana rehkar Sohbath karne se aulaad ka besharm wa behaya hone ka khatra hai. ”

9) Miya Biwi ka Sohbat ke waqt ek dusre ki sharmgah ko mass karna jayiz hai balke nek niyath se ho toh mustahab wa sawab hai magar bagair zarurat ke sharmgah ko dekhna aur chuna khilafe ula aur makru hai.  Dourane Sohbat Mard aur Aurath ek dusre ki sharmgah ki taraf nahi dekhna chahiye iske bahut se nuqsanat hai, Ankhon ki Binayi(Roshni) khatam hojathi hai.

10)  Mubaasharat ke waqt aurath ke pistaan(Breasts) chumna ya chusne me koyi haraj nahi lekin khayal rakhe ke doodh halaq me najaye, agar halaq me doodh ajaye toh fauran thook de, jaanbuj kar doodh pina Najayiz wa Haraam hai, agar doodh halaq se utar gaya ho toh Nikha na tutega.

11) Sohbath ke baad Mard aur Aurath alag hojaye phir kisi saaf kapde se pehle dono apne apne maqaame makhsoos ko saaf kare taake bistar per gandagi na lagne paye.  Safayi ke baad peshab kare, uske bahut se faide hai, peshab karle ne ke baad sharmgah aur uske athraaf ke hisse ko achchi tarha se dhole usse badan tandarust rehetha hai aur khujli ki bimari se bachawo ho jatha hai.

12) Lekin yaad rakhe ke Mubaasharat ke fauran baad thanda paani se na dhoye ke isse bimaar hone ka khatra hota hai, isliye ke Sohbat ke baad jism ka temperature badh jatha hai aur jism me garmi ajathi hai, agar garam jism par thanda paani dala jayega toh bukhar jald hone ka khatra hai. Lihaza Sohbat karne ke baad takriban 5 ya 10 minute baitjaye ya letjaye take badan ki hararath Etedaal (Normal) par ajaye phir uske baad paani ka istemaal kare, agar jaldi hai toh halka sa garam pani se dhone me koyi nuqsan nahi.

13)  Mubaasharat ke baad usi rath me dusri martaba Sohabat ka irada ho toh Mard aur Aurath dono Wazu karle ye faidamand hai aur agar Sohbat na bhi karna hai toh Wazu karke sojaye.

Shab-e-Zufaaf (Suhag Rath)

1) Jab dhulha aur dhulhan kamre me jaye aur tanhayi hoto behtar ye hai ke sab se pehle dhulha aur dhulhan 2 rakat namaz nafil shukrana padle agar dulhan haiz ki halath me hoto namaz na pade lekin dulha zaroor padhe.

2)  Namaz ke baad istarha dua kare “ Aye Allaah tera shukr-o- Ahsan hai ke thune hame ye din diyaa aur hame is khushi wa niyamath se nawaza aur hame apne pyare Habeeb (swallallaahu alaihi wa sallam) ki iss sunnath par amal karne ki toufiq ata farmayi, aye Allaah hamari is khushi ko hamesh isitarha qayim rakh, hame meel milap, pyar - muhabbath ke saath itfaaq wa ittehaad ki zindagi guzarne ki toufiq ata farma, aye Allaa hame nek, saleha aur farmabardar aulad ata farma aye Allaah mujhe isse aur usko mujse raazi ata farma aur humpar apni rehmatain hamesh khayam rakh aur iman ke sath salamath rakh (Ameen).

3) Namaz aur dua padhlene ke baad dulhan aur dulha sukoon wa itminaan se bait jaye phir uske baad dulha apni dulhan ki peshani ke thode se baal apne seedhe (right) haath me narmi ke saath muhabbath bhare andaz me pakdhe aur ye dua pade  “ Allaahumma inni as aluka min khairi maa jabal tahaa alaihi wa  awuzu bika min sharri haawa sharri maa jabal tahaa alaihi ”
Tarjuma: Aye Allaah main tujse uski ( biwi) ki bhalayi aur khair-o-barkath mangtha houn aur uski fitrathi adatain ki bhalayi aur teri panah chahata hoo uski burayi aur fitrathi adatain ki burayi se

4) Dua ki fazilath: shabbe zufaaf ke roz uss dua ke padhne ki fazilat me ulamaye ikram irshad farmatain hai Allaah azzawajal uske padhne ki barkat se miya biwi ke darmiyan ittehad wa ittefaaq aur muhabbat qayim rakhega aur aurath me agar koyi burayi ho toh use dur farmayega uske zariye neki pheleyega aur aurath hamesh shohar ki khidmathguzar wafadar aur farmabardar rahegi.

Chand Zaruri Batain

1)  Sohbat hamesha tanhayi me kare aur aisi jagah kare jahan kisi ke achanak aneka khatra na ho, us waqt kamre me andhera karlo, roshni me hargiz na kare.

2) Biwi ka hath pakadkar, makan ke ander legaya aur darwaza band karliya aur logon ko     malum hogaya ke Mubaasharat karne ke liye aisa kiya hai toh Makruh hai.

3)  Jahan per Quraan Sharif ki koyi kisi cheezoun per likhi huwi ho, agarche upar shisha ho, jab tak usper kapde ka gilaaf na daal le, waha Sohbat karna ya barhana hona be-adabi hai.

4)  Jo bachcha samajtha ho aur dusron ke samne bayan karsaktha hai, uske samne Sohbath karna Makru-e-tehrimi hai.

5)  Kisi ki 2 Biwiyan ho toh ek biwi se dusre biwi ke samne Sohbath karna Jayiz nahi.

6)  Nashe ki halath me Mubaasharat na kare, warna “Rheumatic Pain” naami bimari paida ho jathi hai aur aulaad apaahich (Langdi, Lulli) paida ho jathi hai.

7) Sohbath ke waqt Qible ke taraf muh ya peet karna Makru wa khilaafe aadab hai.

8)  Iss baath ka hamesha khayal rakhe ke jab bhi Mubaasharat ka iraada ho toh ye malum karle ke kahi Aurath Haiz se toh nahi hai, Aurath se saaf saaf puchle, Aurath ki bhi zimmedari hai ke wo agar haayiza ho tho be-jhijak apne Shohar ko isse agha kar de.  Agar Aurath halate haiz me ho toh hargiz hargiz Mubaasharat na kare, un ayyam me Mubaasharat karna bahuth bada gunah hai.

9) Aurath agar kisi pareshani ya bemari me mubtila ho tho uski sehat ka khayal kiye bagair hergiz Mubaasharat na kare.

 Mubasharat ke Dauran ye Na kare

1)Sohbath khade khade na kare ye jaanwaron ka tarikha hai aur baite baite bhi na kare ye Mard aur Aurath dono ko nuqsan de hai.

2)   Sohbath ke dauran guftugu na kare, khamosh rahe, Aala Hazrath (Alairehma) farmate hai ke “ Jimaa ke dauran bath cheeth karna Makru hai, bachche gunge ya tutile hone ka khatra hai.
3)   Sohbath ke dauran Mard kisi dusri Aurath ka aur Aurath kisi dusre Mard ka khayal na laye, iss tarha lana gunah aur chote kism ka zina hai.
4)   Sohbath ke baad fauran paani na piye kyoun ke isse saans ki bimari hone ka khatra hai.
5)   Sohbat ke batein doston se na kahe, usse napasand farmaya gaya hai. Sarkare Madina (Swallallahu Alaihi Wa Sallam) farmate hai, “ Jis kisi ne Sohbath ki batein logon me bayan ki uski misaal aisi hai jaise shaitaan Mard aur shaitaan Aurath se mile, aur logon ke samne hi khule aam Sohbat karne lage.”

Mubasharat ke Aukat (Waqt)

1)  Shariate islamiyan me Mubaasharat ke liye koyi khas waqt nahi bataya gaya hai, Namaz ke auqaat ke ilaawa din aur raat ke har hisse me Sohbat kar sakte hain.

2)  Sohbath ke liye sab se behtar waqt rath ka akhri hissa hai kyoun ke rath ke pehle hisse me pet giza (khane ) se bhara hotha hai, aur bhara pet Mubaasharat karne se sehath ko nuqsande hai.                    
Bhare Pet sohbat karne ke nuqsanath
a)      Inzaal jald hota hai.
b)      Meda kamzor hotha hai.
c)      Hazme ki quwwat kamzor hoti hai.
d)     Jigar per waram aa jaata hai.
e)      Sugar ki bimari ho jati hai.
f)       Aulaad kund zehen paida hoti hai.

3) Raat ke pehle hisse me Sohbat karna Makruh hai, ke Sohbath ke baad poori raath napaaki ke halath me sona padhega.

4)  Baaz ulama ne Shab-e-Juma (Jumerat ki raat) aur Juma ka din Mubaasharat karna mustahab kaha hai.

5)  Azaan aur Namaaz ke waqt Mubaasharat na kare, uss se aulaad Nafarmaan, Mazhoo se begana paida hothi hai.

6)  Har mahine ki chand raath, chand ki 15vi shab aur chand ki mahine ki akhri shab Mubaasharat karna Makruh hai.  Unn raton me Jim’aa ke waqt shaitaan maujood hotha hai.

Reference : Kareena-e-Zindagi.

Sohbat ke adaab

Biwi Se Sohbat/Humbistari Ke Adaab
Biwi se Sohbat Ke Adaab
Humbistari Ke Adaab

Mas'ala:
Shari'at Me Aurat Se Sohbat ki koi Had Muqarrar Nahi
Magar Itna Ho ki Aurat ki Nazar Auron ki Taraf Na Uthe.
(Qanoon-E-Shariat)

Hakimo Ne kaha he
Sohbat ke Faoran Baad Pani Na Piye
Isse Dama (saa'ns) ki Bimari hone ka Khatra He

Tum me koi apni biwi ke paas jakar dhubara jana chahe tho wuzu karle.
Raawi:
Hazrat Abu'sayid khudri Raziallahuanhu

Mubashirat ke waqt Mard Apni Bibi ke Siwa kisi 2sri Aurat ka Khayal Laye Toh Shakht Gunah He
Aur Ek Tarah ka Chhoti kism ka ZINA He
(GAOS-E-AAZAM)

Mas'ala:
Mubashirat (sohbat) ke Daoran Baat karna Maq'ruh He
Balki Bacche ke 'GUNGE' Ya Totle Hone ka khatra He. 
(Fatwa Razviya)

Mas'ala:
Mard Ne Aurat ki Chhati Chusi Aur DUDH Halak Me Utar Gaya Tab Bhi Nikah Na Tuta Lekin
Jaan-Bujh ke Halak Me Lena Jaa'iz Nahi.
(DURRE MUKHTAR)

Mas'ala:
Sohbat ke waqt Mard Apni Aurat ke Pistan (chhati) Muh Me Le Sakta He.
Ha Agar Aurat DUDH Wali Ho Toh Chusna Nahi Chahiye

Tum me se koi Apni Bivi Se Sohbat kare toh Uski Farz (sharmgah) ko Na Dekhe, Isse Aankho ki Roshni Khatm Ho Jaati He.
[MIMAMAZAM]

DAORANE Shohbat Aurat ki Sarmgaah Dekhne Se (nisyan) Bhulne ki Bimari Paida Hoti He.
(QANOON-E-SHARI'AT)

Shaadi ki pahli raat

Shaadi Ki Pehli Raat

Shaadi karna Sunnat hai aur Islam ka ek hissa hai. Isliye har insaan ko shaadi karni chahiye. Agar koi shaadi nahi kar raha hai ya der se kar raha hai, toh yeh Islam ke khilaf hai. Jin logon ki shaadi hone wali hoti hai, unmein se bahut se logon ke dimaag mein yeh sawal hota hai ke shaadi ke baad ki pehli raat ko kya karna chahiye, ya iska sahi tareeka kya hai. Hum yahan pehli raat ke baare mein kuch baatein karenge, lekin yeh baatein sirf Islam sikhne ki niyat se padhiye, dil mein kuch gandagi na rakhiye aur na koi galat comment kariye. Hamara maksad sirf logon ko Islam ka tareeka batana hai jo is baare mein kam jaankari rakhte hain.


Shaadi Ke Baad Pehli Raat Ka Tareeka

Shaadi ke baad jab ladka apne kamre mein jaaye, toh sabse pehle salam kare, kheriyat maalum kare, aur thodi baat karne ke baad ladki ke peshani (forehead) ke baal dheere se haath se pakad kar yeh dua padhe:

Hadees Dekhiye:

Hazrat Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) ne irshad farmaya: "Jab koi shakhs nikah kare aur pehli raat (Suhag Raat) ko apni dulhan ke paas jaye, toh narmi ke saath uski peshani ke baal apne haath mein le kar yeh dua padhe:

"Allahumma inni as'alu-ka min khairiha wa khairi ma fiha wa khairi ma jabal-taha 'alaihi wa a'udhu bika min sharriha wa sharri ma fiha wa sharri ma jabal-taha 'alaihi."

Tarfama: "Allah humari shaadi ko kaamyaab kare, humein khushi aur barkat de, aur humein apne Habib Sallallahu Alayhi Wasallam ki Sunnat par amal karne ki taufiq de. Ameen."

(Abu Dawood: Jild 2, Safa 150)


Namaz aur Dua

Agar wuzu na ho, toh wuzu karna zaroori hai, aur phir 2 rakat nafl namaz shukrana padhein. Namaz is tareeqe se padhein ke ladka imam ban kar khada ho aur ladki uske piche khade ho kar namaz padhe.

Namaz ki niyat: "2 rakat namaz nafl shukrana ki liye Allah Ta'ala ke rukh mein, Kaaba ki taraf, Allaho Akbar."

Namaz ke baad shaadi ke saath kheriyat se hone ke liye Allah ka shukr ada karein aur yeh dua karen: "Aye Allah, humari shaadi ko kaamyaab banaye, aage bhi hansi khushi rakhe, humein nek aur farmabardar aulad de."


Sohbat Ki Dua

Jab ladka aur ladki shaadi ke baad sohbat ke liye ready ho, toh unhe yeh dua padni chahiye:

"Bismillah, Allahumma jannib nash-Shaitana wa janni bish-Shaitana ma razaqtana."

Tarfama: "Allah ke naam se, Aye Allah, hamare beech shaitaan ko door kar de, aur hamari aulad ko shaitaan ke nuksan se bachaye."

(Bukhari Shareef, Jild 3, Safa 85; Tirmizi Shareef, Jild 1, Safa 557)


Galatfehmi Ka Izala

Kuch log samajhte hain ki jab aurat se pehli baar sohbat kiya jaye toh khoon aana zaroori hai. Yeh khoon sirf is liye aata hai kyunki shaadi ke baad ladki ka Parda-e-Ajmat (Hymen) phat jata hai, lekin agar khoon nahi aata, toh isse uski sharafat par shak nahi karna chahiye.

Parda-e-Ajmat kabhi bhi kisi natural wajah se fat sakta hai, aur agar is waqt khoon aata hai, toh yeh is baat ka saboot nahi hai ki ladki badchalan hai. Isliye, jab tak koi sharai saboot na ho, ladki ko aise galatfehmi se bachana zaroori hai.

(Tanwirul Absar, Fatwa-E-Razviya Jild: 12, Safa: 36)


Aakhri Baat

Yeh yaad rakhein ke jo dua "Bismillah, Allahumma jannib nash-Shaitana" hai, woh hamesha padhni chahiye jab bhi shaadi ke baad sohbat ka irada ho. Pehli raat mein peshani ke baal pakad kar dua karna sirf ek martaba karna hai.

(Gunyatuttalebin, Jild 5, Safa 115)

In baaton ko apni shaadi ki pehli raat ke liye apnayein aur hamesha Allah ki madad aur rahmat ke liye dua karein.



Thursday, November 5, 2015

Sohbat (sex) ka tarika

Sohbat ka tarika
Important Ahadees Related to Nikah : 

Hazrat Ibne Abbas Radiallaho Anhu Se Riwayat He Ke
Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya,
Gawaho Ke Bagair Nikah Karnewali Aurate Jaaniya ( Zina Karnewali ) Hain. 
[ Tirmizi Sharif, Jild : 1, Safa :
563, Hadees No. 1095, Baab No. 751 ]

Huzoor Sayyadna Gause Aazam Shaikh Abdul Qadir Jilani Radiallahu Anhu Farmate Hai, Nikah Jumerat
( Thursday ) Ya Jumma ( Friday ) Ko Karna Must'hab He Aur Subah Ki Bajaye Sham Ke Waqt Nikah Behtar
Karna Hain.
[ Gunyatuttalebin, Baab No. 5, Safa : 115 ]

Jis Kisine Sohbat Ki Bate Logo Me Bayan Ki Uski Misal Aisi He Jaise Shaitan Aurat Shaitan Mard Se Mile Aur Logo Ke Samne Hi Khule Aam Sohbat Karne Lage.
[ Abu Dawood, Jild : 2, Hadees No. 407, Safa : 155,baab No. 127)

Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya, Allah Ki Laanat Bad Nigahi Karnewale Par Aur Jiski
Taraf Bad Nigahi Ki Jaye.
[ Bayhaqi Sharif, Mishkat Sharif, Jild : 2, Safa : 77 ]

Huzoor Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya...
"Tum me se jo koi apni Biwi ke pas jaye to Parda kar le aur Gadhe ki tarah na shuru ho jaye"
(Ibne Maja, Jild 1, Safa 538, Hadees no 1990, Bab no 616)

Ummulmomenin Hazrat Aayesha Siddiqa Radiallahu Anha se Riwayat he ki Huzoor Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya...
"Jo Mard apni biwi ka hath usko behlane ke liye pakadta he, Allah ta'ala uske liye 1 neki likh deta he,
Jab mard pyar se Aurat ke gale me hath dalta he uske haq me 10 nekiya likhi jati he,
Aur jab Aurat se Sohbat karta he to Duniya aur jo kuch usme he un subse behtar ho jata he"
(Gunyatuttalebin Safa 113)

Sohbat se pehle khud bechain na ho jaye apne aap par pura itminan rakhe jaldbaji na kare pehle biwi se Pyar Muhabbat ki batchit kare fir bos wa kinar (Kiss) wagaira se usko razi kare aur isi duran dil hi dil me ye dua padhe:
"Bismillahil Aliyul Azime Allaho Akbar Allaho Akbar"
Tarjuma: "Allah ke nam se Jo bujurg wa Bartar ajmatwala he. Allah bahut bada he. Allah bahut bada he.
iske bad jab mard,Aurat, Sohbat ka irada kar le to kapade jism se alag karne se pehle ek martaba "Surah ikhlas" Padhe
"Kul huwallaho Ahad. Allahussamad. Lam-ya-lid. Walam yoolad walam ya kullahu kufuwan ahad."
Surah ikhlas padhne ke bad ye dua padhe
"Bismillahi Allahumma jannib nash shaitana wa janne bish shaitana ma rajak tana."
Tarjuma: "Allah ke nam se. Ae Allah door kar humse shaitan mardud ko aur door kar shaitan mardud ko us Aulad se jo tu hume ata karega"
(Bukhari sharif, Jild 3, Safa 473)

Hazrat ibne Abbas Radiallahu Anhu se Riwayat he ke Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya...
"Jo shaks is dua ko Sohbat ke waqt padhega (Dua wahi jo upar likhi he) to Allah us padhnewale ko agar Aulad ata farmaye to us Aulad ko Shaitan kabhi bhi nuksan na pahuncha sakega"
(Bukhari sharif Jild 3,Safa 85, Tirmizi sharif, Jild 1, Safa 557)

Huzoor Gause Aazam Saiyedna Shaikh Abdul Qadir Jilani wa Hazrat Muhkkike islam shaikh Abdul haq mohoddas dahalwi aur Aala hazrat imam Ahmad Raza Khan irshad farmate he
"Agar koi shaks sohbat ke waqt dua na padhe to us shaks ki sharmgah se shaitan lipat jata he aur us mard ke sath shaitan bhi us Aurat se sohbat karne lagta he. Aur jo aulad paida hoti he woh na farman,buri aadatwali,Begairat,Bad-deen hoti he. Shaitan ki is dakhl andaji ki wajahse Aulad me Tabahkari aa jati he"
(Gunyatuttalebin Safa 116, Fatwa-E-Razviya, Jild 9, Safa 48)

Inzal (Mani nikalte waqt) ki Dua :
Jis waqt inzal ho yani mard ki Mani uske Uzoo-E-Tanasul se nikal kar Aurat ki Sharmgah me dakhil hone lage us waqt dil hi dilme ye dua padhe:
"Allahumma-La-Taja'al Lish Shaitane Fi-M-Razkatni Nasi-ba"
Tarjuma: "Aye Allah shaitan ke liye hissa na bana usme Jo(Aulad) tu hume ata kare"
(Hisne Hasin Safa 165, Fatwa-E-Razviya Jild 9, Safa 161)

NIKAH KE TA'ALLUK SE CHAND HADEES...
निकाह दरहकीकत एक ऐसा ताल्लुक हैं जो औरत मर्द के दरम्यान एक पाकदामन रिश्ता हैं जो मरने के बाद भी ज़िन्दा रहता हैं बल्कि निकाह हैं ही इसलिये के लोगो के दरम्यान मोहब्बत कायम रह सके| जैसा के नबी सल्लललाहो अलेहे वसल्लम ने फ़रमाया-
» हदीस : हज़रत अब्दुल्लाह बिन अब्बास (रज़ी अल्लाहु अनहु) से रिवायत हैं के रसूलल्लाह (सल्लल्लाहु अलैहि व सल्लम) ने फ़रमाया – के ‘आपस मे मोहब्बत रखने वालो के लिये निकाह जैसी कोई दूसरी चीज़ नही देखी गयी|’
– (इब्ने माजा)

» हदीसे नबवी से साबित हैं के निकाह औरत मर्द के साथ-साथ दरअसल दो खानदान का भी रिश्ता होता हैं जो निकाह के बाद कायम होता हैं|इसका अव्वल तो ये फ़ायदा होता हैं के अगर एक मर्द और औरत की निकाह से पहले मोहब्बत मे हो तो गुनाह के इमकान हैं लेकिन अगर उनका निकाह कर दिया जाये तो गुनाह का इमकान नही रहता. दूसरे उनकी मोहब्बत हमेशा के लिये निकाह मे तबदील हो जाती हैं जो जायज़ हैं साथ ही दो अलग-अलग खानदान आपस मे एक-दूसरे से वाकिफ़ होते हैं और एक नया रिश्ता कायम होता हैं|मोहब्बत के साथ-साथ निकाह नफ़्स इन्सानी के सुकुन का भी ज़रिय हैं जिससे इन्सान सुकुन और फ़ायदा हासिल करता हैं|

अल्लाह कुरान मे फ़रमाता हैं-
» अलकुरान : और उसी की निशानियो मे से एक ये हैं की उसने तुम्हारे लिये तुम्ही मे से बीवीया पैदा की ताकि तुम उनके साथ रहकर सुकून हासिल करे और तुम लोगो के दरम्यान प्यार और उलफ़त पैदा कर दी| इसमे शक नही गौर करने वालो के लिये यकिनन बहुत सी निशानिया हैं|
– (सूरह रूम सूरह नं 30 आयत नं 21)

10 tips for a happy married life -
based on Qu'ran and hadith:-
We have not seen anything that creates LoVe between two individuals such as nikah".

01 - FEAR ALLAH :- It was the noble practice of Nabi (صلى الله عليه وسلم) to make the spouses aware of the fear of ALLAH, before performing a Nikah by reciting the verses (Al Nisa 14, Al Ahzab 69, Aali imran 101).

02 - NEVER BE ANGRY AT THE SAME TIME :- Anger is d root cause for all marital disputes. So "Control your anger".

03 - IF ONE HAS WIN AN ARGUMENT, LET IT BE THE OTHER:- Nabi e kareem (صلى الله عليه وسلم) Said, "Whoever discards an argument despite being correct shall earn a palace in the center of Jannah" (Mishkat pg.412).

04 - IF U HAVE to CRITICIZE, DO IT LOVINGLY:- Nabi sallallahu alaihi wa sallam Said, "A Mu'min is a mirror for a Mu'min" (Abu Dawood vol 2, pg 325 imdadiya) (Advice with Dignity & Silently).

05 - NEVER SHOUT AT EACH OTHER UNLESS THE HOUSE IS ON FIRE:- Luqman alaihissalam while offering advice to his son Said, "And lower your voice for verily d most disliked voice is that of a donkey" (Surah luqman19).

06 - NEVER BRING UP MISTAKES OF THE PAST :- Nabi (صلى الله عليه وسلم) Said, "Whoever conceals the faults of others, Allah shall conceals his faults on the day of Qayam'ah".

07. NEGLECT THE WHOLE WORLD RATHER THAN YOUR MARRIAGE PARTNER :- Nabi (صلى الله عليه وسلم) Confirmed d advice of Salman (رضي الله عنه) for neglecting his wife, "verily there is a right of your wife over you"(Nasai 2391).

08 - NEVER SLEEP WITH AN ARGUMENT UNSETTLED:- Hazrat Abu Bakar (رضي الله عنه) resolved his dispute with his wife over feeding the guest before going to bed (Bukhari 602).

09 - AT LEAST, ONCE EVERY DAY, EXPRESS YOUR GRATITUDE TO YOUR PARTNER :- Nabi (صلى الله عليه وسلم)
Said, "Whoever doesn't show gratitude to the people has not shown gratitude to ALLAH"(Abu dawud pg. 662).

10 - WHEN U HAVE DONE SOMETHING WRONG, BE READY TO ADMIT IT AND ASK FOR FORGIVENESS:- Nabi (صلى الله عليه وسلم) Said,"All d son of Adam commit error. And d best of those are those who seek forgiveness" (Tirmidhi 2499).

There are many ways of increasing love between the couple, consider the following these 10 points to maintain a happy marriage & control d instincts of dispute...