async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD

Wednesday, June 17, 2015

Namaz jannat ki kunji hai

   NAMAZ JANNAT KI KUNJI

NAbi-e Kareem (Sallallahu Taala Alaihi Wasallam) Ne Farmaaya, "Apni Aulaad Ko Namaz Padne Ka Hukum Do, Jab Ke Wo 7 Saal Ke Ho Jaaye, Aur, Jab Wo 10 Saal Ke Ho Jaaye To (Namaz Chhorne Par) UnKo Dant Kar Ya Maar Kar Le Jaao, Aur, (10 Saal Ki Hi Umr Me Ek Doosre Se) Un Ke Bistar Alag Kar Do." . (Ref: Abu Dawood)>>. * Hadees Fajar Ki Sunnaten Na Chhoro, Chahe Tum Par "Dushmano Ke Ghode" Aa padhe. . (Ref: Sunane Abu Dawood, J-2, Hadees-1258) . * Mas'ala Fajr Ki Namaz Qaza Huwi, Aur Zawal Se Pehle Padhli, To Sunnate Bhi Padhe, Fajr Ke Siwa Koi Sunnat Qaza Huwi To Unki Qaza Nahi. . (Ref: Bahare Shariat) . * Hadees: Ek Sahabi Ne Huzoor Se Kaha, "Koi Aisa Amal Batayen Jo Nafa (fayda) De," Huzoor Ne Farmaya "Fajar Ki 2 Sunnaton Ko Lazim Kar Lo. . (Ref: Attargeeb) . * Mas'ala: Sunnat-e-Fajr Ki Pehli Rakat Me Alhamdu Ke Bad, Sure "Kafiroon" Or Dusri Mein Qulhuwallah(Sure Ikhlas) Padhna Sunnat Hai. . (Ref: Fatawa Hindiya Jild-1, Page-112) . * Mas'ala: Tamaam Sunnaton Mein Qawi Tar (Mazboot) Fajar Ki 2-Sunnate Hain, Kuch (Ulama) Isko Wajib Kehte Hain. . (Ref: Bahar-E-Shariat, Hissa-3, Page-663) . * Hadees: Nabi-e-Paak Farmate Hain, "Allah Us Shakhs Par Rahem Kare, Jo Asar Mein 4 Rakat Farz Se Pehle, 4 Rakat Sunnat Padhe. . (Ref: Abu Dawood, Hadees-1271) . * Hadees: Jo Magrib K Bad 6-.Rakat(Nafl Namaz Awwabeen Ki)Pade, Use 12-Baras Ibadat Ka Sawab Milega. . (Ref: Jam-E-Timizi 435)>>. * Namaz Kab Todni Wajib H * . * 1) Musibat Me Pada Huwa Shaks, Namaz Padhne Wale Ko Bula Rha Ho Tab. . * 2) Ya Naam Liye Bina Bachane K Liye Pukar Rha Ho. . * 3) Agr Koi Paani Me Doob Rha Ho. . * 4) Kisi Ka Aag (Fire) Me Jal Jaane Ka Khatra Ho. . * 5) Koi Andha Shaks Kuwe Ki Taraf Ja Rha Ho, Or Andesha Ho Ki Kuwe Me Gir Jayega. . * (NOTE: In Sab Surato Me Bachane Wala Agr Ek Shaks Yani Wo Namazi Hi H, Wahi Maujud H Or Bacha Skta H Tab, * Agr Us Namazi K Alawa Or Shaks Maujud H, Or Uske Pahuchne Se Pehle Hi Dusre Use Bacha Lenge, Ye Andesha H To Namaz Todna Wajib Nhi) . (Durre Mukhtaar, Ruddool Muhtar)>>     
* Abu Hurairah (Radi Allahu Ta'ala Anhu) Se Rivayat Hai Ki, Rasoollallah (SallAllahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Ke:- Jo Shaksh Masjid Se Jitna Dur Hota Hai Wo Utna Hi Ziyada Sawab Hasil Karta Hai, Kyunki Namaz Ke Liye Jaane Par Dahine(Right) Qadam Par Ek Neki Ziyada Aur Bahine(Left) Qadam Par Ek Gunaah Kam Ho Jata Hai. (Sunan Abu Dawud, Vol 1, 554)>>. * Mas'ala Peshab Aur Pakhana Rok Kar Namaz Parhna Kaisa? Jawab: Makruhe Tehrimi Hai, Yani Namaz Ka Dohrana Wajib Hoga. . * Huzoor (SallAllahu Ta'la Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Hai Ki, Jo Allah Aur Qayamat Par Iman Rakhta Hai, Wo Peshab-Pakhane Ko Rok Kar Namaz Na Parhe. (Sunan Abu Dawud, Book-1, Hadees No-91)>>. * Hazrat Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anho) Se Riwayat Hai Ki, "Unhone Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ko Ye Irshaad Farmate Huwe Suna": "Paancho Namaazein Darmiyani Auqaat Ke Liye Kaffara Hain, Yaani Ek Namaaz Se Dusri Namaaz Tak Jo Sagira Gunah Ho Jaate Hain, Wo Namaaz Ki Barkat Se Ma'af Ho Jaate Hain, Uske Baad Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Irshaad farmaya: "Ek Shakhs Ka Koi Kaarkhana Hai, Jisme Wo Kuch Kaarobaar Karta Hai, Uske Kaarkhane Aur Makaan Ke Darmiyaan Paanch Nehre Padti Hain, Jab Wo Kaarkhane Mein Kaam Karta Hai, To Uske Badan Par Mail Lag Jaata Hai Ya Paseenaa Aa Jata Hai, Phir Ghar Jaate Huwe Har Nahar Par Ghusl Karta Huwa Jaata Hai, Is (Baar Baar Ghusl Karne Se) Uske Jism Par Mail Nahi Rehta, Yahi Haal Namaaz Ka Hai Ki, "Jab Bhi Koi Gunaah Kar Leta Hai To Dua-e-Istagfaar Karne Se, "ALLAH TA'ALA" Namaaz Se Pehle Ke Tamaam Gunaaho Ko Ma'af Farma Deta Hai. (Bazzaar, Tabrani, Mazm-uz-Waeed : 2/32)>>. Huzur (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya: "Qiyamat Mein Sabse Pahle Namaz Na Padhne Walo Ke Munh Kale Kiye Jayenge, Phir Sanpo (Snakes) Ki Wadi Lam- Lam Mein Phenk Diye Jayenge, Waha Ke Saanp Ounth (Camel) Jaise Honge, Waha Be'namazi Ko Dasenge, Unka Zeher 70 Saal Tak Badan Mein Josh Marta Rahega, Aur Gosht Gal Jayega!>>. Farmane Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam): "Insaan Ke Qadam Qayamat Ke Din ALLAH TA'ALA Ke Saamne Se Us Waqt Tak Nahi Hatenge, Jab Tak Ke Us Se Is Ki JAWANI Ke Baare Me Sawaal Na Kar Liya Jaye, Ke Is Ko Kahan Kharch Kiya". (Trmizi Shareef,2416)>>Azan Hoti Rahi Main Sunta Raha Per Ghafil Raha Namaz Se, Ab Kiya Faida Shoq-E-Namaz Ka Jab Ho Rahi Hai Namaz Meri . . . ! To All Muslims B4 It Gets Late, NAMAZ Parha Karo Is Se Pehle AAP Ki NAMAZ Padhi Jaye.--DUA Ka talib mohammad serajuddin Hashmati qadri