✒Al'Jawab:-
〰 Jawab Se Pehle Kuch Bate'ien Sune...!
👉 Wo Mazmun Jis Ka Ehata Kar Diya Gaya Ho Us Ko Surat Kehte Hain...!
👉 Quran Ka Wo Jumla Jis Ka Koi Nam Alaheeda Taur Par Nahi Rakkha Gaya Ho Us Ko Aayat Kehte Hain..!!
👉 Aur Ruku Ko Ruku Isliye Kehte Hai Ke Kutub-E-Qirat Se Malum Hua Ke Sarkar Hazrat-E-Umar-O-Usman (Radi Allahu Ta'ala Anhuma) Jis Qadar Namaz Me Quran Padh Ke Ruku Karte The,Islye Us Ka Naam Ruku Rakkha Gaya...!!!
→ Aur Us Waqt Taravih Ki 20 Raka'at Hoti Thi Or"27vi Shab"Ko Khatam Hota Tha Is Lihaz Se Quran Me 540 Ruku Hone Chahiye (20 Ko Jab 27 Se Zarab (Multiple) Kardo Toh 540 Hota Hai,Lekin Taravih K Akhiri Ayyam Me Choti Choti Surat Ke Wajah Se Ek Raka'at Me Do Do Surat Padh Li Jati Hai To Ab 557 Ruku Huwe,,Agr Taravih Ki 8 Raka'at Hoti To 216 Ruku Hone Chahiye Lekin Aisa Nahi Hai To Quran K Ruku Ki Tadad Bata Rahi Hai K Taravih Ki 20 Raka'at Hai...!!!
→ Taravih Ye Tarveha Ki Jama Hai Jis Ka Ma'na Hai Jism Ko Aaram Dena Isliye Ke Har Char Namaz Ke Bad Kuch Aaram Ke Liye Baithte Hai Isliye Us Ko Tarveha Kaha Jata Hai Or Jama K Itlaq Kam Se Kam 3 Par Hota Hai Agar Taravih 8 Raka'at Hoti To Us Ke Beech Me Ek Tarveha Ata Hai To Us Ko Taravih Nahi Balki Tarviha Bolna Chahiye Halaki Aisa Nahi Q Ki 3 Tarviha Ke Liye 16 Raka'at Hona Chahiye To Khud Taravih Ke Lafz Se Pata Chal Raha Hai Ki Taravih Ki 20 Raka'at Hai...!
→ Hazrath-E-Umar (Radi Allahu Ta'ala Anhu) Ne Apne Zamana-E-Khilafat Me Taravih Ki 20 Raka'at Ka Intizam Farmaya Or Isi Pe Sahaba-E-Kiram (Radi Allahu Ta'ala Anhum) Ka Ijma Hua...!!!
👉 Mo'atta Imaam Malik Me Hazrat-E-Sabit Bin Yazid (Radi Allahu Ta'ala Anhu) Se Riwayat Hai Ke Hum Hazrat-E-Umar K Zamane Me 20 Raka'at Padhte The...!!!!
(Hawala:-Rawahu Baihaqi Biisnad-E- Sahih)
👉 Ibne Abi Shaiba Or Tibrani Kabeer Me Bai'haqi Ne Riwayat Ki Hazrat-E-Ibne Abbas (Radi Allahu Ta'ala Anhu) Se Marvi Ke"Rasool Allah (Sallallaho Ta'ala Alaihi Wabaraka Wasallam) Ramzan Sharif Me Witr Namaz K Alawa 20 Raka'at Padhte The...!!!
→ Aur Aksar Ulamaa Ka Amal Isi Par Hai Jo Hazrat-E-Umar-0- Ali-O-Deegar Sahaba-E-Kiram (Radi Allahu Ta'ala Anhum) Se Manqul Hai Yani 20 Raka'at Or Ye Sufiyan Saori-O-Abi Mubarak Aur Imaam Shafai Ka Farman Hai Or Un Hi Ka Farman Hai Ki Hum Ne Makka Walo Ko 20 Raka'at Taravih Padhte Paaya..!!
🍂 Wallahu Aalam Bis'Sawab Wa-Ilehil Marje'u Wal Ma'ab...! 🍂