async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD

Friday, June 26, 2015

Waseele ka bayan

WASEELE PAR HADEES: HAZRAT ANAS BIN MAALIK RADIALLAHO TAALA ANHO RIWAYAT KARTE HAI FARMATE HAI "KAIHED PAD GAYA,PED SUKH GAYE,MAWESHI MAR GAYE,WADIYA SURKH HOGAI. JUMME KA DEEN AYA HUZUR (SALALAHO TAALA ALAI WASSALAM)KITAB FARMATE HAI,SAHABA IKRAMBETHE HAI. (JAB KAIHED PAD JAYE BARISH NA HO TO NAMAZE ISTISHKA PADI JAYE SHARIAT MAUJUD HAI) (SAHABA KAIHED ME MUBTILLA HAI WO SAMAJHTE HAI JAB AAQA MAUJUD HAI TO DUSRA RASTA KYU APNAYE) EK SHAKH KHADA HUA OR ARZ KIA "YA RASUL ALLAH SALALAHO TAALAALAI WASSALAM HUM MARE GAYE,MAWESHI,GH ODE,BAKRI TABBA HOGAI,DARAKH TABA HOGAI,FASLE TABBA HOGAI.AAQA SALALAHO TAALA ALAI WASSALAM AAP ALLAH SE DUA KIJIYE HUME BARISH ATA KARDE" AAQANE SALALAHO TAALA ALAI WASSALAM NE HAATH MUBARAK UTHALIYE,DUA KI. HAZRAT ANAS RADIALLAHO TAALA ANHO FARMATE HAI "KHUDA KI KASSAM HUMNE DEKHA AASMAN SAFED SHISHE KI TARAH SAAFTHA,BADAL KA KOI TUKDA MAUJUD NATHA.BAS AAQA SALALAHO TAALA ALAI WASSALAM KE DASTE MUBARAK UTHNE KI DER THI HAWA CHALI BADAL UNDE,GHATAYE AAYI OR ITNI MUSLA DHAAR BARISH AYI,HUM NAMAZ K BADHUM BARISH ME BHIGTE OR BAARISH ME DUPTE GHAR PAHOCHE" PURA HAFTA GUZAR GAYA BAARISH NHI THAMI (AB WO KESE THAME WO KHUD TO AYI NHI THI WO TO HUKUME MUSTAFASE AYI THI) HAFTA GUZAR GAYA AGLA JUMMA AYA. EK SHAKH FIR KHADA HUA OR ARZ KIA "AAQA SALALAHO TAALA ALAI WASSALAM AB TO ITNI BAARISH HOGAI K GHAR GIRNE LAGE OR RAASTE MUNQATA HOGAYE,FIR DUAKIJIYE ALLAH BAARISH KO ROKH DE" AAQA SALALAHO TAALA ALAI WASSALAM MUSKURA GAYE OR FARMAYA "BAARISH HUMARE UPARSE HAT JA,IRD GIRD HOTI RAHE,IRD GIRD HO PAR HUMARE UPAR NA HO" SAHABA FARMATE HAI "KHUDA KI KASSAM JISKE KABZE ME HUMARI JAAN HAI.AAQA SALALAHO ALAI WASSALAM NE UNGLI UTHAI,JIS TARAF UNGLI SE ISHARA KARTE THE US TARAF BADAL KA SEENA CHEERTA JATATHA,BAARISH HAT TI JATI THI,EK MAHINE TAK BARISH RUKH GAI OR IDHAR UDHARHOTI RAHI" [SAHI BUKHARI,JILD:1, PAGE NO:344,HADEES NO:969] >>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>> >>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>> >> AMMA MAR GAI KYA KAHO NA IN AAYATO KE MUNKIR HO...........TERE SARE JAWAB QURAAN ME KHUD ALLAH NE DE DIYE HEIN AB JO NA MANE WO KAFIR......................DALEELO KE AMBAR LAAYA HOON BETA KEH DE KE TU MUNKIRE QURAAN HE...........................ALLAH Se Daro Aur Uski Taraf Waseela Dhoondo (Sura Maida Ayat#35) Yahan Waseela Se Muraad MehbubaneKhuda Hen Mazid Wazahat K Lye Shah Abdul Aziz Muhaddis Dehalwi KiALQOULul JAMEEL Ka Mutalya Farmaen WASEELA 2 "Aur Is Se Pehle Wo Is Nabi Ke WasileySe Kaafiro Par Fatah Maangtey" (Sura Baqarah Ayat#89) Sarkar Sallallahu Alaihi Wasalam K Dunya Me Aane Se Qabal Loug Mushrikin e Arab Par Yun Fatah o NusratMangtey "Us Nabi Ka Sadqa Dey Jo Aakhir Zamaney Me Tashrif Layen Ge" Aur Kaamyaab Hote (Khaazin) WASEELA 3 (Mafhum e Hadis) Usman Bin Hunaif RadiyALLAHu AnhoRaawi: Ek Nabina Shakhs Ne Aaqa Alaihisalatuwas salam Ki Khidmat Me Aankho Ke ThikHone K Lye Dua Ki Darkhuwast Ki, Aap Ne Farmaya: Achi Tarah Wuzu Kar Ke Is Tarah DuaMaango! Aye ALLAH Me Tujse MUHAMMAD KeWasiley Se Beenai Chahta Hun, Us Ne Aisa Hi Kya Phr SarkarKi BargahMe Istigasa w Shafa'at Ki Arz Ki To Aankho Ki Roshni Durust Hogayi (Nisai, Ibne Maja, Tirmizi, Behiqi Ibn eKhuzema Etc) WASEELA 4 §Nabi Ka Tawassul§ Hazrat Adam Alaihissalam Rabb Ki Bargah Me Astagfaar Kartey Hue Yun Dua Kartey Hen! "Aye Mere Parwardigar, Muhammad Mustafa (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke Waseeley Se Mujhe MuafFarma" (Tibrani P#8,J2) (Khasaais e Kubra P#17,J#1) (Ibne Asakar P#357,J#2) WASEELA 5 "Tumko Fatah Milti Aur RoziDi Jaati He Buzurgo Aur Faqiro Ke Waseeley Se" (Mishkat) CHALLANGE Koi Aayat Paish Karen Jis MeWasiley Ka Inkaar Ho? WASEELA 6 Malum Hua K Aulya Ka Wasila PakarnaYe Hukm e Sarkar e Azam Sallallahu Alaihi Wasallum He, Aur Anbyaa Ki Sunnat Bhi He Yaad Rakhye! ALLAH Wasile Ka Hargiz Muhtaj Nahi Bulke Hum Sb ALLAH Tk Rasayi Ke LyeWasiley Ke Muhtaj Hen Isi Tarah Hamare Aamal Ka To Bharosa Hi Nhe Ke Wo ALLAH Ki Baargah Me Maqbool Bi Hen Ya Nahi Magar Jinka Waseela Hum ALLAH Ki Bargah Me Paish Kartey Hen Wo Yaqinan Maqbul Hastyan Hen Rabb Apne Pyaro Ke Nam PrAtaa KrtaHe WASEELA 7 Jo Wasiley Ke Munkir Hen Unhe Bi DuaK Lye Mun Aur Hath Ka Wasila ToLena Hi Parta He ~Wasl e Moula Chahte Ho ToWASEELA Dhund. >>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>> >>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>> >> ALLAH ki bargah me waseela pesh karna jayez balki rab ka hukam nabi ka hukam aur sunnate sahaba hai Al Quran :"Aye Imaan Walo ! ALLH Se Daro Or Us Ki Teref Waseela Dhundo"(Soora Maida , Ayat 35 ) Alquran :"Or Is Se Pahlay Wo is nabi KeWaseele Se Kafiron Per FatahMangtey The"(Soora Baqarah , Ayat 89) Al Hadees :"Hazrat Usman Bin Hanif Ko Hazoor sallallaho alihe wasallam Ne Ye Dua Mangnay Ka Hukum Diya (AyeAllah! Main Tere Nabi Key Waseela Jaleela Se Teri Teref Tawajja Karta Hu Ya Rasool Allah Main Aap Ke Waseele SeApne Rab Ki Teref Apni Hajat Ke Barey Main Muwajja Hun Takay Woh Poori Ho Jaye , Ya ALLAH Tu Mere Barey Main Hazoor sallallaho alihe wasallam Ki Shafaat Qabool Ferma)""Tirmizi Sharif , Jild Awal , Abwabuddawa, Hadil # 1504, Page 653 Durud ka wasila ::::Hazrat Umer Farooque (Radi ALLAHU Anhu) Ka Farman Hai:"Dua Zameen O Aasmaan KeyDarmiyan Rook Di Jaati Hay, Buland Nahi Hoti Jab Tak Dua'go (Yani Dua Mangnay Wala) Nabi-E-Pak (Sallallahu Alaihi Wasallam) Pe Durood Na Parhey". (Jaamay Tirmizi, Jild: 1, Page:64)::::::: :waseela jayaz hai ya nahi Waseele ki do qisme hai kisi nek amal ka waseela dena yakisi zaat ka waseela dena.bani israil k teen shakhso ne ghar me apne apne nek amal ka waasta diya tafseel k liye bukhari jild2 safa 883....aur waseela bizzaat 1.hazrat umar rz ne hazrat abbas rz ka waseela diya bukhari jild 1 safa 137......2 .hazrat ameer muawiya ne yazeed bin al aswad al jarshi ka waseela diya(ziyar atul quboor li ibne taimiyah safa113,al hidayah wannihaya li ibne kaseer jild8safa3 28,mukhtas arul farawa almisriyya h li allamabadr uddin baali rh safa196) Quraan surah baqra ayah 89:aur jab pahunchi unke paas kitab ALLAH ki taraf se jo sacha batati hai is kitab ko jounke paas hai aur pahle se fatah maangte the kafiro par.......... .....allam a sayyed mahmood aalosi rh mufti baghdad likhte hai ye ayate kareema banu qureza aur banu nazeer k bare me nazil huwi wo aus aur khazraj k khilaf aap sas ki besat se pahle aap sas k waseele se fatah talab karte the jaisa keibne abbas rz aur qatadah rz farmate hai (tafsee r roohul maani jild1safa 340).allam a mahli rh is ayat ki tafseer melikte hai aap sas ki besat se pahle yahood kafiro k khilaaf ALLAH se madad maangte the aur kahte the ay allah hamari madad kar dushman k khilaaf aakhri nabi sas k waaste se(tafseer jalalayn safa 12)yehi tafser kabir,ibne jarir tabri.bagh wi.khurtub i.ibne kaseer.abi ssaud.mazh ari.roohul maani.ibne abbas.khaz in.madarik .durre mansoor.ta bseerurrah man arabi.aziz i.aur kayi tafaseer me maujoo hai.usool e fiqa me ye likha hai k ALLAH taala aur janab rasoolulla h sas agar pahle logo ki shariyato bila inkaar zikar kare to wo ham par bhi lazim hai.huzur sas duniya me maujood nahi the yahood ne aap sas ka waseela diya jisko allah ne bila nakeer zikar kiya aur aapsas se bhi kahi iski nakeer maujood nahi lihaza aap ap bhi duniya me maujood nahi is aayat ki roo se aap sas ka waseela dena jayaz hai Ek shakhs hazrat usman bin affan rz k paas ek zaruri kaam k silsile me aaya jaya karta tha aur usman rz na to uski taraf tawajjo karte na uski hajat barari karte wo shakhs hazrat usman bin haneef rz se mila aur iski shikayat ki to unhone farmaya k jao wazu ki jaga jao aur wazu karo phr masjidme jakar do rakat namaz padi phr kaho ay ALLAH mai tujse sawal karta hu aur hzt muhammed sallallaho alaihi wasllam ke waseele seteri taraf mutawajje hota hu jo nabi urrahmah hai.is riwayat k aakhir me hai k us shakhs ne aisa hi kiya aur dua ki barkat se hazrat usman bin affan rz ne uski taazeemo takreem bhi ki auruska kaam b pura kiya (muaja m sagheer124 ,wafa ul wafa jild 2 safa 420)imama tabrani rh farmate hai ye hadia sahih ha muajam sagheer safa 104allama manzari rh ne bhi iski taeed ki attargheeb wattarheeb jild1safa2 42.allama ibne hajar makki farmate hai rawahuttab rani bi sanadi jayyid ///// •»QABR-A-ANWAR SE AZAAN KI AWAAZ«• HIQAYAT:-'''''''''''' ''''''Jin Dino Lashker-A-Yazee d NeMadina Munavwara Per Chadayi Ki Un Dino 3 Din Masjid-A-Nabwi May Azaan Na Hosaki! Hazrat Saeed Bin Musaiyab Radi-Allahu-Ta' aala-Anhu Ne Yeh 3 Din Masjid- A-Nabwi May Rehker Guzaare! Aap Farmate Hain Ki Namaz Ka Waqt Hojane Ka Mujhe Kuch Pata Nahi Chalta Tha! Magar Is Tarah Ki Jab Namaz Ka Waqt Aata Qabr-A-Anwar Se Halki- Si Azaan Ki Awaaz Aane Lagti! (Mishkaat Sharif, Pg-537) ///// Hazrate Usman bin Abdullah RadiAllahuanho farmate hai…meri Ahliya(wife) ne mujhehazrate umme salma (RadiAllahuanha ) ke pas ek pani ka pyala de kar bheja usme Nabi e karim ka ek baalMubarak tha , jab bhi kisi shaks ko nazar lagti thi ya koibimari hoti to uski taraf ek bartan mai pani bhej diya jata pas maine usme jhank kardekha to usme chand surkh(red) baal the{Sahi Bukhari kitabul LibasJild2/875 ///// Hazrate Abul Jawaz RadiAllahuanhof armate hai Madina walon mai ek dafa Shadeed Qahat [sukha] pad gya pas unhonehazrate Ayesha RadiAllahuanha se shikayatki to aap RadiAllahuanha ne farmaya ke Nabi e karim ki kabre Anwar ki taraf dekho aur us se asman ki taraf ek surakh bana do yaha tak ki kabre anwar aur asman ki taraf koichat na rahe. raavi kahte hai ki logo ne esa hi kiya to un per barish barsa di gai yah tak ki khetiya aa gai aur oont[camel] mote ho gaye{Mishkat shareef Babul Karamat Hadees No. 545}Is zameen k waris mere naik bande hain. (Sura Al Ambia Ayat Number 105) "Be shak zameen ka maalik Allah hai, apne bandon mein jise chahe waaris banaae" (Suara Al Araaf Ayat 128) Aye Emaan Walo! ALLAH Se Daro Aur Uski Taraf Waseela Dhoondo (Sura Maida Ayat#35) .!!!