async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD

Friday, October 23, 2015

Zakat aur sadqa e fitr

Zakat aur sadqa e fitr

Masayele Zakat O Sadqate Fitr Ka Mufassal Bayan Shuru Se....

Allah Rabbul izzat Quran E Majeed Burhane Rasheed Me irshad Farmata hai.
                      "QURAN"                           
Neki iska Naam nahi Ki Tum Apna Muh Mashriq Ya Magrib Ki Taraf Karo, neki To uski Hai Jo Allah Aur Pichle Din (Qayamt) Aur Malayekah (farishton) Aur Kitab (jo asman se utri) Aur Ambiya (hzt adam se huzoor Tak) Par iman Laya.. aur Maal Ki Mohabbat Par Rishtedaron Aur Yatimon Aur Miskino Aur Musafir Aur Saaileen Aur Gardan Chhudane Me Diya... Aur Namaz Qayam Kee Aur Zakat Dee, aur Nek Wo Log Hain Jab Koi Moahedah Kare To Apne Ahed (wade) Ko Pura Kare, aur Takleef Aur Musibat Ke WAQT Sabr Karne Wale, wo Log Sachche Aur Wahi Log Muttaqi Hain.
{Tarjama Kanzul iman sharif, Para-2, Sure Baqrah ayat-177}

                    "QURAN"                      
Jo Log Sona & Chandi Jama Karte Hain Unhe Dardnak Azab Ki Khushkhabri Suna Do, jis Din Jahannam Ki Aag Me Wo Tapaye Jayenge, aur unse Unki Peshaniyan Aur Karwaten Aur Peethe Dagi Jayengi Ye Woh Hai Jo Tum Ne Apne Nafs Ke Liye Jama Kiya Tha, To Ab Chakho Jo jama Karte The,
{PARA-10, SURE TAUBAH AYAT-35}

Apne Malo Ki Zakat Na Dene Walo Par Kis Tarah Ka Azab Hoga Huzoor Nabiye Akram صلى الله تعالى عليه وسلم Ka Irshad Suniye...

✒HADEES:
Jo Sone & Chandi Ka Malik Ho Aur uska HAQ Ada Na Kare To Jab Qayamat Ka Din Hoga uske liye Aag Ke pattar Banaye Jayenge...
Unpar Jahnnam Ki Aag Bhadkai Jayegi, aur unse uski karwat aur peshani aur peeth dagi jayengi, jab thande Hone Par Ayge Phir Waisa hi Kiya Jayega... Ye mamla us Din Ka Hai Jiske Eik Din Ki MIQDAR 50000 Saal Hai (Qayamat Ka Din) aur Oontun Ke Bare Me Farmaya Jayega jo uska HAQ Ada nahi Karta Qaymat Ke Din Use Eik Khule Maidan Me Litaya Jayega Aur Wo Oont mote Mote Hoke Aayge Aur use Pairon Se Kuchlege aur Danton Se Katege, jab Oonton Ki Jamat Khatm Hogi To Phir Gaye (cow) & Bakriyan aayengi aur Apne Seengon Se Maregi Aur Khuron Se Rondegi
{صحيح البخاري، كتاب الزكاة، باب زكاة البقر، جلد-1، صفحہ-492، الحديث 1460}

✒Hadees:
Huzoor Akram صلى الله تعالى عليه وسلم Farmate Hain, Jo Qaum Zakat Ada Nahi Karti Wo Qahet Me Mubtela Hogi (tarah tarah ki bimariyan aasmani Afaten Khuskh saali wo deegar masayeb)
المعجم الأوسط، جلد-3، صفحہ-276، الحديث-4577.

✒Hadees:
Hazrat Umar Farooq Se Riwayat Hai Huzoore Pak  صلى الله تعالى عليه وسلم Ka Irshade Aali Hai,
Jo Maal Kushki (zameen pe) aur Tari (Pani Me) Talf (barbad) Hota Hai Wo Zakat Na Dene Se Talf Hota Hai.
الترغيب والترهيب، كتاب الصدقات، الترهيب من منع الزكاة، جلد-1، صفحہ-308، الحديث-16.

Zakat Na Dene Ke Azabat Aur Zillaten Huzoor Nabiye Akram Noore Mujassam Fakhre Adam O Bani Adam صلى الله تعالى عليه وسلم Ke Irshadaat Ki Roshni Me.....

✒Hadees:
Faqeer Hargiz Nange Bhooke Hone Ki Takleef Na Othayege Magar Maal Daron Ke Hathon,
To Aye Maldaro Sun Lo, Allah Tum Se Sakht Hisab Lega Aur Dardnak Azab Dega
الترغيب والترهيب، كتاب الصدقات، جلد-2، صفحہ-275، رقم الحدیث-5.

✒Hadees:
Dozakh Me Sab Se Pehle 3 Shakhs Jayenge Unme Ka Eik wo Maaldar Jisne Apne Maal Me Se Allah Ka HAQ Ada Nahi Kiya
صحیح ابن خزيمة، كتاب الزكاة، باب ذكر إدخال مانع الزكاة النار.....إلخ، جلد-4، صفحہ-8، الرقم الحديث-2249.

✒Hadees:
Sahi Sanad Se Ye Hadees Hazrat Abdullah Bin Masood رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Marwi Hai Farmate Hain, hame Hukm hua Namaz Padhe Zakat Den, jisne Zakat Na Dee uski Namaz Qubool Nahi
المعجم الكبير، جلد-10، صفحہ-103، الرقم الحديث-10095.

✒Hadees:
Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Riwayat Hai Eik Martaba Huzoor  صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Khutba Padha Aur Farmaya......
Qasam Hai Uski (Allah Ki) jiske Hath Me Meri Jaan Hai, isko 3 Baar Farma Kar Sar Ko Jhuka Liya, To Hum Sab Ne Sar Jhuka Ke Rona Shuru kiya, hame Ye Nahi Maloom Huzoor Ne Qasam Kyu Khai, Phir Huzoor Ne Apna Sare Mubarak Uthaya To Chehre Par Khushi Ke Aasar jhalak Rahe The, To Hame Ye Baat Laal Oont Se Ziyadah Pyari Maloom Hui, Aap صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Farmaya, Jo Bandah 5 WAQT Ki Namaz Padhta Hai, Ramzan Ka Rozah Rakhta Hai & Zakat Deta Hai, Aur 7 Bade Gunaho Se Bachta Hai Uske Liye Jannat Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain Aur Hukm Hota Hai Salamti ke Saath Dakhil Ho Ja
سنن النسائي، كتاب الزكاة، باب وجوب الزكاة، صفحہ-399، الرقم الحديث-2435

✒Hadees:
Hazrat ALQUMA Kehte Hain Huzoor Ne Farmaya....
Tumhare islam Ka Pura Hona Ye Hai ki Apne Malon Ki Zakat Do
مجمع الزوائد،  كتاب الزكاة، باب فرض الزكاة،  جلد-3، صفحہ-198، الرقم الحديث-4326.

✒Hadees:
Hazrat Abdullah ibne Umar رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool صلى الله تعالى عليه وسلم Ne.....
Jo Allah O Rasool Pe imam Laya, Wo Apne Maal Ki Zakat Ada kare, Jo Allah O Rasool Pe iman Laya Wo HAQ Bole Ya Chup Rahe Lekin Buri Baat (Gali/Galoch/jhagda) Zaban Se Na Nikale, Jo Allah O Rasool Pe iman Laya Wo apne Mehman Ki Izzat Kare
المعجم الكبير، جلد-12، صفحہ-324، الرقم الحديث-13561.

In Tamam Muqadsas irshadat Ko Padhne Ke Bad Bhi Koi Kam Naseeb Zakat Ki Ahmiyat Ko Na Samjhe Aur Apne Maal Ko Burai Se Azab Se Pak Na Kare To Us Badbakht Ka Kya ilaj ?
Kis Qadar Afsos Ka MAQAM Hai Ki Is pak Mahine Me Kitne Musalman Aise Hain jinke Ghar Chulha Nahi jalta Aur Koi To Wo Hai Jiske Pas Rakhne Ki Jagah Nahi Magar use YE TAUFEEQ Nahi ki un Garibon Nadaron Mufliso Ki Khabar Le.....
Aaj Arab Mamalik Me Daulat Ki Rel Pel Hain Aur Barre Sageer Me Lakhon Musalman Bhukmari Ke Shikar Hain imaan O islam Ke Baland O Bala Naare Lagane Wale Kabhi inki Bhi Khabar Le.....
Hum musalman Hain Hamara Har Farz Se Bada farz Allah O Rasool Ke faraman Ke Aage Sar Kham Krna Hai Hame musfliso Nadaron Garib Yateem Bewa Bekas Lachar Musalmano Ki Khabar Leni chahiye Insha'Allah ispe Amal hua To Amaan hi Amaan Qayam Hoga

✒Hadees:
2 Aurten Huzoor Ki Khidmat aqdas me Hazir Hui, Unke Haton Me Sone Ke Kangan The.. huzoor Ne irshad Farmaya Kya Tum inki Zakat Ada Karti Ho ?
Arz ki Nahi,
Aapne Farmaya Kya Tum Pasand Karti Ho Ki Allah Tume Aag Ke Kangan Pehnaye ?
Arz Ki Nahi....
Farmaya To Zakat Ada karo
{جامع الترمذي، أبواب الزكاة، باب ما جاء في زكاةالحلی، جلد-2، صفحہ-132. الرقم الحديث-637}

Tareef:
Allah Tala Ne Maldar Musalmano Ke Maal Me Se Eik Hissa Aapne Liye Muqarrar Farmaya Us Hisse Ka Musalman Faqeer Ko Malik Banana zakat Kehlata Hai,
Magar wo FAQEER Na Hashmi Ho Na Uska Azad Kiya Hua Gulam, aur Maale Zakat Me Se Apna Nafa Bilkul juda Kar Le,

✏Mas'ala:
Zakat Farz Hai Uska inkar Karne Wala Kafir, Aur Na Dene Wala Fasiq Aur Qatl Ka Mustahiq, Aur Dene Me Der Karne Wala Gunehgar, Aur Mardudushsha'hadah Hai (yani agar wo kisi mamle me Gawahi De To uski Gawahi Nahi Mani Jayegi)
{الفتاوى الهندية، كتاب الزكاة، الباب الأول، جلد-1، صفحہ-170}6

Zakat Me Malik Banana Zaroori Hai, sirf Mubah Karne Se Zakat Ada Nahi Hogi, Masalan Faqeer Ko Zakat Ki Niyyat Se Khana Khilaya To Zakat Ada Na Hui ki Malik Kar Dena Nahi Paya Gaya, Haan Agar Khana Diya Chahe To Khaye Ya Le Jaye To Ada Ho Gai, isi Tarah Zakat ki Niyyat Se Kapda Diya Ya Pehnaya, To Ada ho gai
{بهار شریعت، حصه-5، صفحہ-874}

✏Mas'ala:
Zakat Wajib Hone Ki Kuch Sharten Hain,
Musalman Hona.
AAQIL (AQL WALA) HONA.
BALIG HONA.
AZAD HONA.
MAAL KA NISAB KO PAHOCHNA AUR WO USKE MILK (QABZE) ME HONA.
Nisab Ka Den (Qarz) Se farig Hona.
Nisab Ka Hajate Asliya Se Farig Hona.
HAOLANE HAOL (Maal Pe Eik Saal Guzarna)
{Kutbe fiqah}

✏Mas'ala:
Jo Maal Girwi Rakha gaya Uski Zakat Na Rakhne Wale Par Na Jiske Pas Rakha Uspe Na utne Zamane Ki Jitne Zamane Wo girwi Raha...
{Bahar-e-shariat, Hissa-5, page-877}

✏Mas'ala.
Koi Shakhs Qarazdar Hai Aur Qarza Chukane Ke Bad Uske Pas Nisab ke Barabar Maal BAQI Nahi rehta to uspe Zakat Nahi
{Fatawa Hindiya, Volume-1, page-172}

✏Mas'ala:
Zakat 3 Hi Qism Ke Maal Par Hai,
Sona Chandi,
Tijarat Ka Maal,
Saymah Charai Pe Chute Huye Janwar.
(Kutbe fiqah)

Eik Zaroori Masla........
Aap Jo Aksar Unte Hain 7.5 Tola Ya 52.5 Tola chandi Pe Zakat Ka Nisab Hota Hai Aur itna Maal jiske Pas Ho uspe Zakat wajib Hai,
But Ye Hisab Shariat Ka Hai New Zamane me iska Wazan Is Tarah Hoga.... 7.5 Tola Ka New Aitebar 87gram sona hoga 8.Tola 7.Gram usi pe zakat wajib hai usse kam pe nahi, aur jiske pas Aaj Ke Hisab Se 612gram chandi hogi usi pe zakat wajib hai usse kam pe nahi....

Guzarish... zakat ke masayel Bahot Bareek Hain... Aur Badi Tafseel Ke Saath Kitabo Me Likhe Gaye Hain, jo puri Tarah likh likh kar msg karna possible Nahi, is liye aapko Jo Bhi Masla Zakat Ke Hawale Se Janna Ho Plz Apne Shaher Ke Sunni Barelvi Mustanad Aalim Mufti Se Masle Puche...