*Farman E Mustafa Jane Rehmat Sallallahu Alaihi Wasallam*
✦...Allah ke Diye hue Rizq par Qina’at Kijiye...✦
Hazrat 'Abdullah bin 'Amr RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad farmaya: "Wo Shaks kamyab ho gaya jo Islam laya aur use Baqadre kifayat Rizq diya gaya aur phir diye hue Rizq par Qina’at karne ki Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne use Toufeeq di."
[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 3 :: Hadith 2426]
* Qina’at – Thodi cheez par khush rehna, Jo mil jaye us par Razi rehna.
* Baqadre Kifayat- Zarurat bhar Rozi Mil gayi.
Sawaal : Takkabur Kya Hai ?
Jawaab : Khudko Afzal Aur Dusaro Ko Haqeer Jaanane Ka Naam Takkabur Hai.
Al-Quraan :
Aur Yaad Karo Jab ALLAH Ne Farisht’aon Ko Hukm Diya Ki Aadam Ko Sajda Karo Toh Sab Ne Sajda Kiya Siwaaye Iblees Ke, Aur Wo Ghuroor Me Aa Gaya Aur Kaafir Ho Gaya.
(Al-Bakrah, 34 – Kanzool Imaan)
Hadees :
Nabi-E-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Farmaate Hai Ke, “Takabbur Haq Ki Mukhaalifat Aur Logon Ko Haqeer Jaan’ne Ka Naam Hai”.
(Sahih Muslim , Kitab-Ul-Imaan , Baab : Tahrim-Ul-Kabir Hadith No-91)
Takkabur Se Apne Nafs Ki Pakizagi Na Jataya Karo, Jo Parhezgar Hain Usko ALLAH Khoob Jaanta Hai.
(Muslim Sharif)
Wo Shaksh Kis Tarha Takabur Kar Sakta Hai, Jo Mitti Se Bana Ho,
Mitti Me Milne Wala Ho Aur Mitti Me Keede-Makore Ki Gizah Ban’ne Wala Ho.
- Hazrat Abu’bakar Radi Allahu Ta’ala Anhu
•» NEK KHASLATAIN 360 HAIN «•
HADEES:-
Ek Roz Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Farmaya Ki ALLAH-TA'AALA Jab Kisi Bande Se Bhalayi Ka Irada Farmata Hain To (360) Unme Se Ek Khaslat Usme Paida Farmata Hain! Jiski Wajahse Wo Banda Jannat May Dakhil Hojata Hain! Hazrat Abu Bakr Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Ne Arz Kiya, Ya Rasoolallah! Un 360 Nek Khaslaton Mayse Koi Khaslat Mujh May Bhi Hain?
Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Farmaya, Abu Bakr! Tumeh Mubarak Ho Ki Wo Saari Ki Saari Nek Khaslatain Tum May Maujudh Hain !
(Sawahik-A-Muharrika Pg-44)
SABAK:-
Hazrat Siddiq-A-Akbar Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Ki Bahoat Badi Shaan Hain! Wo Yakinan Jannati, Balki Jannatiyon Ke Sardar Hain! 360 Khaslaton Se Jab Ek Khaslat Bhi Jannat May Le Jati Hain To Jis Jaat Pak May 360 Puri Ki Puri Nek Khaslatain Ho Uske Jannati Hone May Shak Wa Shuba Karne Wala Kyon Na Badh-Bakht Hoga ?
*...Giraa huwa khana Kha lena sunnat hai...*
RasoolAllah SallAllahu alaihi wasallam ghar tashreef laaye Toh ROTI ka tukdha gira huwa dekha toh Aap SallAllahu ALaihi wasallam Ne usse uthaa kar Saaf Kiya aur khaaliya aur farmaya: Ey Aisha (Radi Allahu Anha) izzat daar cheez ki izzat karo, Jab ALLAH kisi Qaum ka Rizq cheen leta hai toh wapas nahi karta.
Hadith no,1142 (Ibne Majah,jild no,2)
*...KAMIL WUZU...*
HAZRAT USMAN RADIYALLAHU TA'ALA ANHU SE RIVAYAT HAI KI :
NABI E KARIM SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM NE FARMAYA :
"JO BEHTARIN WUZU KARE, TO USKE BADAN PAR SE TAMAM GUNAH DHUL JATE HAI.
YAHAN TAK KE USKE NAKHUN KE NICHE KE GUNAH DHUL JATE HAI.
2.HAZRAT UMAR BIN KHATTAB RADIYALLAHU TA'ALA ANHU SE RIVAYAT HAI KE :
NABI E KARIM SALLALLAHU ALAYHI WASSALAM NE FARMAYA KE:
"TUM ME SE KOI KHUB KAMIL WUZU KARE, FIR YE PADHE :
(KALMA E SHAHADAT)
"ASHADU'ALLA ILAHA ILLALLAHU WA ASHADU ANNA MUHAMMADAN ABDAHU WA RASULUHU."
TO USKE LIYE JANNAT KE AANTHO (8) DARWAZE KHUL JATE HAI,WO JIS DARWAZE SE CHAHE US DARWAZE SE DAKHIL HO SAKTA HAI.
=> MISHKAT SHAREEF PART-1 PAGE-38
=> JANNAT KI KUNJIYA PAGE-50
Hazrat Abu Huraira (Radi Alllahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki, Rasool Allah (Sallallahu A’laihi Wasallam) Ne Farmaya Ki, “Uss Shaksh Ki Namaz Nahi Jiska Wuzu Nahi Aur Uss Shaksh Ka Wuzu Nahi Jisne Iske Shuru Me Bismillah Na Parhi Ho.”
(Sunan Abu Dawud, Vol 1, Hadees 101)
YE DEKHO MILAD KA PEHLA SABOOT AB BHI WAQT HAI BAAZ AA JAO APNE BATIL FIRQE SE TOUBA KARO BHAIYO.....
ALLAH HAR MUSALMAN KO HIDAYAT NASEEB KARE.. AMEEN
Milad Un Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam k mauqe par Bad-Aqeedo se kuch Sawal!!!
●▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬●
[ In Sawalo Ka Jawab Tum Duniya Me Nahi De Sakte Toh Aakhriat Me Kaisay Do Ge ??? ]
●▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬●
••► Tum Apni Aulad Ki Wiladat Par Khush The ;
AUR Apne'NABI"صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ"Ki Wiladat Par Khush Nahi Akhir Kyun ?
••► Tum Ne Aulad Ki Khushi Me Dawat Ki ;
Apne'NABI"صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ"Ki Wiladat Ki"Khushi"Me Dawat Ko Bid’dat Kaha Aakhir Kyun ?
••► Tum Ne Aulad Ki Shadi Par Ghar Sajaya ;
Magar'JASHAN - E - WILADAT'Pe Ghar Sajane Ko Bid’at Kaha Akhir Kyun ?
••► Tum Ne Har Khushi Bagair Kisi Daleel Ke Manai ;
Par'WILADAT - E -'NABI"صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ"Manane Par Daleel Mangi Akhir Kyun ?
Jawab Hai ???
____________________________________
Miladun'NABI'KeSabut QUR’AN Se :
.
1 - Surah – DUHA - Aayat No. - 11
2 - Surah – FAT’H - Aayat No. - 28
3 - Surah – SAFF Aayat No. - 6
4 - Surah – TAUBA - Aayat No. - 128
5 - Surah – IMRAN - Aayat No. - 164
6 - Surah – YUNUS - Aayat No. - 57 / 58
7 - Surah – AMBIYA - Aayat No. - 107
●▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬●
'HUZOOR Ke Zamane Me'MASJID - E - NABWI'Me Milaad Huyi Isme Khud Huzoor Ne Apni Wiladat Ke baare mein Bayan kiye !
Refrence Of This Hadees :
[ Tirmizi Sharif, Jild No. - 2, Safa No. - 201 ]
_____________________________________
'AL - QUR’AN"
Tum Farmao'ALLAH'HiKe Fazal Aur Usi Ki Rehmat Aur Usi Par Chahiye Ke Khushi Manao....!!
Refrence : [ Tarjuma - Kanzul imaan, Surah YUNUS - 58 ]
_____________________________________
'ALLAH'Ki Rehmat"NABI - E - KAREEM"Hai ;
Khud'NABE - E - PAK'Ne Apne Milad Par'ALLAH'Ka Shukra Bajaa Lane Ki Talkin Farmayi Aur Targib Di....!!
Complete Refrence Of This Hadees :
[ Muslim Sharif, Jild - 2, Safa - 819 ]
[ Nisaai, Jild - 2, Safa - 147 ]
[ Baihaqi Jild - 4, Safa - 286 ]
_____________________________________
Hum"SAHABA"Sab Apne Bachcho Samet'HUZOOR Ke Istiqbal Ke Liye Wida Ki Ghatiyo Tak Gaye...!!
Refrence Of This Hadees :
[ Bukhari, Jild - 1, Safa - 543 ]
_____________________________________
Yahi'JULOOS - E - MILAAD'Hai ; Sahaba Aur Tabain Aur Digar Ahle Islam Ne Peer Ke Din Ka Roza Rakh Kar Bhi Milaad Manaya...!!
Refrence Of This Hadees : [ Abu Daawud, Jild - 1, Safa - 331 ]
Tou Hum Bhi Apne Pyare AAQA"صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ"Ki Paidaesh ka Zikr Sunate Jayenge Aur Shaitan ko Rulate Jayenge....!!
●▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬●
*Wiladat Ki Khushi Mein Jhande Lagana SUNNAT Hai*
Nabi-e-Pak (Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Wiladat Ki Khushi Mein Jhande Lagana Farishto Ke Sardar Jibrayil (Alaihis Salam) Ki Sunnat Hai.
(Khasaaise Kubra,Jild-1)
* Meelad Un Nabi Ki Fazeelat *
1) Hazrat Abu Bakar Siddique (Radi Allahu Anhu) Ne Farmate Hain,
"jis shaks Ne Huzur (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ka Milad Shareef Padhne Par,
Ek Dirham (Arabic Currency) Bhi Kharch Kiya Wo Jannat Mein Mere Saath Hoga.
2) Hazrat Umar Farooq (Radi Allahu Anhu) Farmate Hain,
Jisne Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam K Meelad Shareef Ki Tazeem (Respect) Ki,
Us Ne Jaise Ki Islam Ko Zinda Kar Diya.
3) Hazrat Usman Ghani (Radi Allahu Anhu) Farmate Hain,
Jisne Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ka Meelad Shareef Padhne Par Ek Dirham Bhi Kharch Kiya, Wo Jaise Ghazwa-e-Badr-o-Hunain Mein Haazir Huwa.
(Ghazwa Means A Holy War Which Is Fought In The Company Of Prophet Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam)
4) Hazrat Ali Murtaza (Radi Allahu Anhu Wa Karramallahu Wajhu Farmate Hain,
"Jisne Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Meelad Shareef Ki Tazeem Ki, Aur Meelad Padhe Jane Ka Sabab Bana, Wo Duniya Se Imaan Ke Saath Hi Jayega, Aur Jannat Mein Bhi Be-Ghair Hisab Ke Dakhil Hoga.
(An Nemat-Ul-Kubra Pg.No.5-6)
Jab Talak Yeh"C H A N D - T A A R E"Jhil Milate Jayenge
Tab Talak"J A S H N - E - W I L A D A T"Hum Manate Jayenge....!!
Tera Khawa Main Tere Geet, Gawa"YA RASOOL ALLAH"
Tera Milaad Main Kyun Na manava Ya Rasoolallah...
*...NISBATE RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM...*
MERE NABI E PAK صلی اللہ علیہ وسلم ke Daman Me Hazrat Abu Bakr Aaye To Siddiq e Akbar Ban Gaye,
Hazrat Umar Aaye To Farooq e Aazam Ban Gaye,
Jab Hazrat Usman Aaye To Usman E Gani Zunnurain ( Do Noor Wale) Ban Gaye,
Hazrat Ali Aaye To Sher E Khuda Ban Gaye.
Hazrat Khalid Aaye To Saifullah (Allah Ki Talvar) Ban Gaye,
Hazrat Muaviyah Aaye To Ameer E Muaviyah Ban Gaye,
Ye Wo Shakhsiyate Hain Jinhone Qaisar o Kisra Ko Hara kar Unke Guroor Ko Paash-Paash Kar Diya, Roomiyo Ki Qamar Todi, Aur Apne Akhlaq Se Dunya Ko Islam Se Roshan Kiya,
Hazrate Siddiq E Akbar Ko 8 Jannat Ke Darwaze Apne Andar Jannat Me Dakhil Hone Ke Liye Pukarte Hai.
Farooq E Aazam Jahan Se Guzarte Wahan Se Shaitan Nahi Guzarta,
Hazrat Usman E Gani Ki Sharm O Haya Ko Dekh Kar Aasman Par Farishte Unse Sharm Karte Hain,
Hazrat Ali Ilm O Hiqmat Ke Wo Khazana Hain Ki Unko Ilm Ka Darwazaa Kaha Jata Hai.""(RADIALLAHU TA'ALA ANHU)
Imam E Ahle Sunnat Alahazrat Kya Khub Farmate Hain :
"Laa Wa Rabbil Arsh jisko jo mila Unsemila
Bat’ti he Kownain me ne’mat Rasoolullah ki""صلی اللہ علیہ وسلم
SUBHAN'ALLAH
Kya Aap Jaante Hain Ki Sab Se Pehle Meelaad-e-Mustafa (Sallallahu Alaihi Wasallam) Kisne Manaya ?
Jawab: -
Pyare Aaqa Muhammad Mustafa (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ka Meelaad Sab Se Pehle Khud ALLAH (Azzwajal) Ne Manaya, Woh Bhi Ambiya Ki Jamaat Mein Aalam-e-Arwaah Mein Jahan ALLAH Ne Tamaam Ambiya (Alaihis Salaam) Se Gawaahi Li aur Apne Mehboob MUHAMMAD (Sallallahu Alaihi Wasallam) Par Imaan Laane Ki Baat Kahi.
[Qur'aan: Para.3,Surah Aal-e-Imran,Aayat No.81 Aur 64.Surah Tauba,Aayat No.128]
Hazrat Abu Bakr Siddique (Radi ALLAHu Anhu) Ne Farmaya:
Woh Shakhs Jannat Mein Mere Saath Hoga Jisne Meelaad Par Ek Dirham Bhi Kharch Kiya.
Hazrat Umar Farooq (Radi ALLAHu Anhu) Ne Farmaya:
Jisne Meelaad Ki Ta'zeem Ki Us Ne Deen Ko Zinda Kar Diya.
Hazrat Usman e Gani (Radi ALLAHu Anhu) Ne Farmaya:
Jo Meelaad Par Ek Dirham Kharcha Karega Usko Badr Ke Shuhada Jitna Sawaab Milega.
Hazrat Maula Ali (Radi ALLAHu Anhu) Ne Farmaya:
Meelaad Manane Waala Duniya Se Imaan Ki Ne'mat Le Kar Jaayega.
Subhaan'Allah
BISMILLAH HIR RAHMAN NIR RAHEEM
Surah Jummah mei ALLAH farma raha hei...
Ey Imaan walon jab Jumaa ke din namaz ke liye Azan di jaye to Zikr-e-ilahi ki taraf teji se aa jao aur kharid wa Farokht (karobar) chod do tumharey liye yahi baat behtar hai agar tum ilm rakhtey ho. phir jab namaz ada ho jaye to zameen mein muntashir ho jao (yani chalo phiro) aur ALLAH ka fazal (yani Rizq) talaash karo aur ALLAH ko kasrat se yaad karo taki tum falaah pao.
- Al Quran, Surah Jumaa (62), Aayat: 9-10
=*..._KYA AAP JANTE HAIN_...*=
Sawal: Sabse Pahla Badsha Jisne Sooli Ki Saza Di. Kaun Hai Aur Kisko Di ?
Jawab: Firauon Pehla Badshah Hai Jisne Haath Pair Katne Aur Sooli Ki Saza Di, Un Jadu Garon Ko Jo Hazrat Moosa Alaihissalam Par Imaan Laye The.
(Khaza-E Nul Irfan,P 9,R 5)
Sawal : Sabse Pahle Duniyan Me Kaunsa Janwar Bimar Huwa ?
Jawab : Woh (Sher) Janwar Bimar Huwa Jo Kashtiye Nooh Me Sawar Tha, Ye Sher Pahla Janwar Hai Jo Duniya Me Bimar Huwa.
Abi Ibn Hatim Ki Riwayat Hai Ke Rasoolallah Swallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya: Hazrat Nooh Alaihissalam Jab Tamam Janwar Ko Apni Kashti Me Sawar Kar Chuke To Logon Ne Kahake Sher Ki Maujoodgi Me Baqi Janwar Kaise Aaram Se Rah Sakenge. Tab Allah Pak Ne Sher Par Bukhar Daldiya Jisse Woh Chupchap Baitha Raha,Isse Pehle Zameen Par Ye Bimari Nahi Thi.
Sawal : Rooh Qabz Karne Ke Liye "Malkal Maut" Kitne Farishton Ko Apne Saath Le Kar Aate Hain ?
Jawab : Momin Ki Rooh Qabz Karne Ke Liye Malkal Maut Apne Hamraah "Rahmat" Ke 6 Lakh Farishte Laate Hain... Aur Kafir Ki Rooh Qabz Karne Ke Liye 6 Laakh "Azab" Ke Farishte Unke Saath Hote Hain... Allahu Akbar
(Ma'rijun Nubuwwa,Jild-3 , Safa No 105)
Sawal : Us Farishte Ka Kya Naam Hai Jo"Qiyamat" Ke Din Zameen Ko Lapete Ga ?
Jawab : Us Farishte Ka Naam "Riyafeel" Hai Jo Qiyamat Ke Din Tamam Zameen Ko Lapete Ga.
(Al Ittiqan Fi Ulumul Quran,Jild -1 Safa No -60)
Sawal : Woh Kaunsa Farishta Hai Ke Jiske Mathe Par Saara "Quran" Likh Diya Gaya Hai ?
Jawab : Woh Hazrt Israfeel Alaihissalam Hain Ke Jinki Peshani Par Poora Quran Likh Diya Gaya Hai.
(Tafseer Naimi,Jild-2 Safa No-309)
Sawal : Woh Kaunsa Farishta Hai Jo Qiyamat Ke Din Logon Ko Maidan-E Mahshar Ki Taraf Bulayega ?
Jawab : Woh Hazrat Israfeel Alaihissalam Hain... Ba'z Ne Kaha Hai Ke Nidaa To Hazrat Jibreel Alaihissalam Denge, Aur Soor Hazrat Israfeel Alaihissalam Phoonke Ge.
(Savi Jild - 3 , Safa No 65)
Sawal : Jannat Ke Khazin Farishte Ka Kya Naam Hai ?
Jawab : Jannat Ke Farishte Ka Naam "Rizwan" Alaihissalam Hai.
Sawal : Dozakh Ke Khazin Farishte Ka Naam Kya Hai ?
Jawab : Dozakh Ke Khazin Fariste Ka Naam "Malik" Alaihissalam Hai.
(Al Ittiqan Fi Ulumul Quran,Jild-1,Safa No-60)
Sawal : Qayamat k din Ek sawal yeh bhi poocha jayega ke apni ungliyon k Naam batao,
jawab: apne. Hath ki chhoti ungli (finger) se start kare.
(1) aameen.
(2) amaanat.
(3) jannat.
(4) shahaadat.
(5) farz.
ye wo baat hai jo boht kam logo ko malum hogi.
Please DEEN~E~ISLAM KO Failaaye,
5 jagah hasna 25 gunah k barabar he..
1.QABRASTAN me
2.JANAZE k piche
3.MAJLIS me
4.TILAWAT-E-QURAN me
5.MASJID me
Shifa hi Shifa...
Roz 1 Apple - No Doctor
Roz 5 Badam - No Cancer
Roz 1 Lemon - No Fat
Roz 1 glass Milk - No Bone Problm
Roz 12 glass Pani - No skin problm
Roz 4 khajoor - No weakness
Roz 5 wqt ki Namaz - No Tensions
Roz Tilawat-e-Quran With Trnslation - $ukoon hi $ukoon
"Skin k liye Wazoo ka Paani."
"Jigar k liye Quran ki Tilawat"
"Sehat k liye Namaz"
Or khush rehne k liye ALLAH Ka Zikr kiya kro..
Hazrat Maaz Bin Anas (Radi Allahu Anhu) se Riwayat hai ki..
Nabi Karim (Sallallahu Alahyi wasallam) ka Irshad ha k Jis Admi ne apne Gussay per Qabo Pa Lia. Hanla k Qudrat bhi thi. ALLAH es ko Qayamat k Din Sari Makhloq k samnay Bula kar Ikhtiar dain gay k Jis HUR se chahay Nikah kar Lay.
( Tirimzi Shareef)
» Hadees : Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai Ki,
“Apne Dilon Ko Zyada Khaane-Peene Se Halaak Na Karo,
Jis Tarah Zyada Paani Se Kheti Tabaah Ho Jati Hai, Usi Tarah Zyada Khaane-Peene Se Dil Halaak Ho Jaata Hai”.
– (Mukashifatul Quloob Page#55)
» Hadees : Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai Ki,
“Allah Ta’ala Ko Tum Me Se Ziyada Woh Banda Pasand Hai Jo Kum Khaane Wala Aur Halke Badanwala Ho”.
– (Jaam-e-Sagir Safa:20 Hadees:221)
» Hadees : Farmane Mustafa (Sallallahu Alaihay Wasallam) Hai Ke –
“Lazzaton Ko Khatm Karne Waali Maut Ko Kasrat Se Yaad Kiya Karo”.
– (Sahih Bukhari)
» Hadees : Hazrate Abu Hurera (Radi Allahu Anhu) Ne Kaha Ke, Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke –
“Tum Me Koi Mout Ki Aarzoo Na Kare (Isliye Ke) Woh Ya Tou ‘Nekokar’ Hoga, Tou Mumkin Hai Iss Ke Nek Amal Me ‘Ziyadati’ Ho Jaye. Aur Ya ‘Badkar’ Hoga, Tou Ho Sakta Hai Ke Aainda Taubah Kar Ke Allah Ki ‘Khushnoodi’ Haasil Karle”.
– (Bukhari Shareef), Anwar-Ul-Hadees, Page Number 226)
RasoolAllah ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ne Farmaya..
Namaaz Se Farig Hone Ke Baad Dua Karte Waqt Pehle Allah Ki Uske Shaan Ke Layek Hamd Aur Sana Kare Phir Us Ke Baad Mujh Par Darud Padhe Phir Allah Taala Se Jo Chahe Maaang....
[ Mishkaat Sharif, Jild : 1, Page : 198 ]
* Khane Par Aayatul Kursi Ki Tilawat *
Hadees : Hazrate Aaisha (Radiallahu Ta’ala Anha) Se Riwayat Hai Ke,
Ek Baar Ek Sahabi Ne Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Baargah Me Aakar Kaha Ke, ‘Mere Yaha Kisi Chiz Me Barkat Nahi Hai’
Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya “Tum Apne Khane Par Aayatul Kursi Tilawat Nahi Karte Ho. Jis Khane Ki Cheez Par Tum Aayatul Kursi Ki Tilawat Karoge, Allah Ta’ala Uss Me Barkat Ata Farmaega”.
(Tafseer Dar Manshoor, Jild -1, Safa -323)
***Jumma ko Durud Padhne ki Fazilat***
Nabiyo ke Sultaan, Rahmate Aalmiyaan, Sarkaare Do Jahan Sallallaho Alayhi Wa sallam ka Farmaane barkat nishaan hai, “Jishne mujh par roze Jummah do sou (200) baar Durud e Paak padha us ke do sou (200) saal ke gunah maaf honge.
[Kanzul Ummal, Jild 1, Safaa:256, Hadish: 2238]
***RIZQ Me Ziyadati or Tamaam Musibato Se Bachne Ki Duwa***
Hadees :
Hazrat Abu Huraira radi Allah Se Riwayat He Ke Rasul Allah Sallallaho Alayhi Wasllam Ne Mujhe Takeed Ki Ke Is Duwa Ko Padha Karo Kyun Ke Ye Duwa Jannat Ke Khazano Me Se He or Is Duwa Se Allah 70 Qisam Ki Taklifo Ko Door Karta He Jin Me Se Adna or Choti Taklif Tang Dasti «Gurbat» Ko Door Karna He
Wo Duwa Ye He...
Laa Hawla Wala Quwwata Illa Billa Wala Malja Wala Manja Minallallahi Illa Ilayhi
( Ref : Tirmizi Shareef, Mishkaat Shareef )
Aaj Hamara Sab Se Bara Problem Gareebi He or Rasul Allah Farmate He Ke Allah Is Ke Zariye Tumhari Choti Taklif Gareebi Ko Door Kar Dennge To Zara Socho Agr Hum Is Duwa Ko Rozana Parhe To Allah Hamari Kitni Bari Bari Mushkilo Ko Door Farma Dega.
***Jumerat ko Durudsharif parhna***
Tajdaare Harmain, Sarware Konain Huzur Sallallaho Alayhi Wasallam ka Farmane Rahmat Nishan Hai: " Jab Jum'erat ka Din Aata hai Allah T'ala Farishto ko Bhejta hai Jin ke Pas Chandi ke Kagaz aur Sone ke Qalam hote hai Woh Likhte Hai, Kaun Youme Jum'erat Aur Shabe Jumah Mujh Par Kashrat se Durud e Pak Padhta Hai.
[Kanzul Ummal, J-1, S-250, #2174]
✦.. Qailola ki Sunnat Musalmano ne Faramosh kardi Gairon ne Apnali ..✦
RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya:
"Qailola kiya karo (Yani do Pahar ko kuch soliya karo) kyun ke Shaitan Qailola nahi karta."
[Al-Silsilah As-Saheehah :: Hadith 1647, Akhraj Abu Nayeem Al-Tabarani]
●◗► Qailola yani do pahar ko thodi dair sojane ki fazilat bahot si Ahadees mein aayi hai, Qailola karna Subah bedar hone ke liye nihayat mufeed hai, Neez is mein bhi Hikmat hai ke do pahar ke waqt thodi dair sojane se Jismani Tawanayi bahal aur zahni thakawat door hojati hai aur goya "Qailola" ke baad Naya din shuru hojata hai.
Afsos! Aaj ke Musalman Sarkare Do Aalam (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki Sunnaten faramosh karte ja rahe hain aur Gair Muslim dunya Research o Tahqeeq ke natije mein Sunnaton mein poshidah Fawayed samne la rahi hai.
► Haal hi mein China mein ek Company ne mulazimeen ke liye do pahar khane ke baad Aadhe Ghante ki Neend lazmi qarar di hai,
Company ke Mulazimeen ke liye zaroori hai ke wo do pahar khane ke baad mulazimat ke Aoqat mein se Aadha ghanta zaroor aaram karen.
► China Hukumat ke mutabiq is Anokhe iqdam ke natije mein company ki paidawar mein 30% izafa record kiya gaya hai, Hukumat ka kehna hai ke do pahar khane ke baad thodi dair Aaram karlena karkirdagi mein hairat Angez izafe ka sabab hai, lehaza degar Companies ko bhi is "Anokhe Qanoon" ka itlaq karna chahiye.
जिस शख्स की मौत इस हाल में आए के उस में तीन चीज़े:-
1. तकब्बुर
2. खयानत
3. KARZ
ना हो,
तो वह जन्नत में दाखिल होगा ।
(allah ﷻ ke aakhri NABI huzoor rehmate aalam ﷺ)
[TIRMIZI 1572 , HAZRAT सौबान رضي الله عنه ]
KYA RONAK KYA SHAAN HAI PYARE HUZOOR E PAAK ﷺ K
HABIB ALLAH WOH HAIHAI WOH KHATAMUL AMBIYA BHI
Huzoor Sarwar e Kaunain Sallallahu Alaihi Wasallam irshad farmate haiñ Main saari makhlook ki taraf Risaalat ki shaan ke saath bheja gaya hu aur mujh par Silsila e Nabuwat khatam kar di gayi hai.
# Muslim Shareef, Jild 1, Safah 199.
*"Zyada se Zyada Salam kro"*
Hazrat Abu hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah صلى الله عليه وآله وسلم ne farmaya
"Qasam hai us zaat ki jiskey qabzey mein meri jaan hai tum jannat mein tab tak dakhil nahi ho saktey jab tak ki Imaan wale na ho jao ,
aur tum tab tak imaan wale nahi ho saktey jab tak aapas mein Muhabbat na karney lag jao,
to kya main tumhey aisee cheez na bata na du ki jab tum usko karogey to Aapas mein Mehboob ho jaoogey ?
Farmaya , Apney darmiyan Salam ko Phailao (yani zyada se zyada salam kiya karo)."
[Sunan Ibn Maja,Vol-1,68-Sahih]
*...Rishate daro ke sath Acha Suluk karne ke Fayde...*
Huzur Nabi Karim Sallahu Alyhi Wasllam Ne Farmaya...
ke tum log khandan ka ilm rakho, Ta ke Apne Rishtedaro ko pehchan sako,Aur unke sath Acha suluk karo.
Rishtedaro ke sath Acha suluk karne se 3 fayde hote he.
1)Mohabbat peda hoti he
2)Dolat badti he
3) Zindagi me Barkat ho kar umar lambi ho jati he.
(Mishkat jilad-2 page-420 ba hawala Tirmizi)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
Bewah aur miskeen k liye koshish karne wala ALLAH k raste me jihad karne wale ki tarah hai.
[Bukhari Sharif, Hadis:6006]
Aur jin logo ne kufr kiya aur HAMARI ayaton ko jhutlaya unke liye zalil karne wale azaab hain.
[Para: 17, Surah Hajj, Ayat : 57]