Farman e (Quote of) Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Ta'ala Anhu
50 Quotes Of Hazrat Ali
1
Agar Raasta Khubsurat Hai Tu Pata Karo k Kis Manzil Ko Jata Hai, Lekin Agar Manzil Khubsurat Hai Tu Raste Ki Parwah Mat Karo.
2
Zindagi Ki Har Mod Pr Sulah Karna Sikho Kyu Ke Jhukta Wohi Hai Jis Mein Jaan Hoti Hai Aur Akadna To Murde Ki Pehchaan Hoti Hai.
3
Jis Shaks Me Wafadari Na Ho Uske Saath Dosti Karne Ka Matlab Khud Ko Zaleel Karna Hai. Zindagi ko is Tarah jiyo jaise hamesha zinda rehna hai. Aur Aakhirat ki fikr aise karo jaise Agle hi Pal Marr Jana hai.
4
Zindagi Ko Zaruriyat Ki Taraf Le Jao Khwahishat Ki Taraf Nahi. Kyunki Zaruriyat To Faqeeron Ki Bhi Poori Hoti Jati Hai Aur Khwahishat Baadshahon Ki Bhi Adhoori Reh Jati Hai.
5
Yeh Zindagi Do Din Ki Hai: Ek Din Tumhare Haq Me Aur Ek Din Tumhare Khilaf. Jis Din Tumhare Haq Me Ho Us Din Ghuroor Mat Karna Aur Jis Din Tumhare Khilaf Ho Us Din Sabr Karna.
6
Jis ka Rabita Allah Se ho Wo Nakam Nahi Hota, Nakam Wo Hota Hai Jis ki Ummidain Dunia Se Wabasta Ho.
7
Insan Zindagi Se Mayoos Ho To Kamyabi Bhi Naakami Nazar Aati Hai.
8
Daulat Milne Par Log Badalte Nahi, Balki Be-Naqaab Hote Hai.
9
Insan Bhi Kya Cheez Hai, Daulat Kamane Ke Liye Apni Sehat Kho Deta Hai. Phir Sehat Ko Wapis Pane Ke Liye Apni Daulat Khota Hai. Mustaqbil Ko Soch Kar Apna Haal Zaya Karta Hai, Phir Mustaqbil Me Apna Maazi Yaad Karke Rota Hai.
10
Jeeta Aise Hai Jaise Kabhi Marega Hi Nahi, Aur Marr Aise Jata Hai Jaise Kabhi Jiya Hi Nahi.
11
Main JANNAT Ke Shaukh Me Ibadat Nahi Karta Kyunki Yeh Ibadat Nahi TIJARAT Hai.
Main DOZAKH Ke Khauf Se Bhi Ibadat Nahi Karta Kyunki Yeh Ibadat Nahi GHULAMI Hai.
Main Ibadat Sirf Isliye Karta Hoon Kyunki Mera Rab IBADAT KE QABIL HAI Aur Koi Nahi.
12
Yeh Na Socho Ki ALLAH Dua Fauran Qabool Kyun Nahi Karta, Yeh Shukr Karo Ki ALLAH Hamare Gunahon Ki Saza Fauran Nahi Deta.
13
Insaan Gunah Karne Ki Wajah Se Jahannum Me Nahi Jata Balki Gunah Par Mutmaeen Rehne Aur Tauba Na Karne Ki Wajah Se Jahannum Me Jata Hai.
14
Sabse Bada Gunaah Wo Hai Ho Karne Wale Ki Nazar Me Chota Ho.
15
Mujhe Dua Qabool Hone Ki Fikr Nahi, Mujhe Sirf Dua Maangne Ki Fikr Hai. Kyunki Jab Mujhe Dua Maangne Ki Taufeeq Hogayi Hai To Qabooliyat Bhi Uske Sath Hasil Hojayegi.
16
Tabiyat ki Narmi aur Sakhawat,insan ko Dushmano ke dilon main bhi Mehboob bana deti hai.
17
Jis Darakht Ki Lakdi Narm Hogi, Uski Shakhein Zyada Hogi. Narm Tabiyat Ikhtiyar Karo Taaki Tumare Dost Zyada Ho.
18
Jis Tarah Shabnam Ke Qatre Murjhaye Hue Phool Ko Taazgi Dete Hai, Usi Tarah Acche Alfaz Mayus Dilon Me Roshni Bharte Hai.
19
Acche Logon Ki Ek Ya Nishani Bhi Hai Ki Unko Yaad Rakhna Nahi Padta Wo Yaad Reh Jate Hai.
20
Guftgoo Aisi Chez hy Jiski wajah se Insan :
1. Ya to Dil me Utar Jata hai.
2. Ya Phir Dil se Utar Jata hai.
21
KHAMOSH Raho Ya Aesi Bat Kaho Jo KHAMOSHI Se Behtar Ho Ae Jawano: Adab k Zariye Apni izzat aur ILM Ke Zariye Apne Deen ki Hifazat karo.
22
Hazrat Ali Radiallahu Ta'ala Anhu Se Kisi Ne Poocha " ILM Kya Hai ? "
Too Aap Radi Allahu anhu Ne Farmaya....
"Agar Koi Tum Pe Zulm Kare Tou Usey Mua'af Kar Do
Agar Ta'aluq Torey Tou Jod Lo
Agar Koi Tumhai'n Mehroom Karey Tou Usey Nawaz Do
Agar Kisi Se Intiqam Lena Ho To Dar-guzar Kardo
Ghussey Main Aisi Baat Na Karo K Baad Main Nadamat Ho "
Ye "ILM" Hai ...
23
Log Tumhari Aqal Se Tumhari Shaksiyat Ka Wazan Karte Hai. Lehaaza Tum Apni Aqal Ka Wazan Ilm Se Badhao.
24
Jab Insaan Ki Aqal Mukammal Ho Jati Hai, To Uski Guftagu Mukhtasar Ho Jati Hai.
25
Insan Ka Kirdar Us Ki Zuban K Niche Poshida He Agar Kisi Shakhs Ke Kirdar Ka Pata Lagana Ho To Usko Sakht Ghusse Ki Halat Main Dekho.
26
Insaan Apni Touheen Maaf To Kar Sakta Hai Par Bhool Nahi Sakta.
27
Na Insaan Apni Marzi Se Paida Hua Aur Na Apni Marzi Se Marega. Phir Wo Inke Beech Ka Arsa Apni Marzi Se Kyun Guzarna Chahta Hai ??
28
Insan ke Aansu Us Waqt Muqaddas Hote Hai, Jab Wo Kisi Aur Ki Takleef Mehsus Kar Ke Nikle.
29
Duniya Me Kabhi Kisi Acche Insan Ko Talaash Mat Karo, Balki Khud Acche Ban Jao. Ho Sakta Hai Ki Tumhare Is Amal Se Kisi Aur Ki Talaash Khatam Ho Jaye.
30
Insan Ka Fuzool Shauq Me Waqt Kho Dena Is Baat Ki Daleel Hai Ki ALLAH Us Se Naraz Hai.
31
Agar Tum Pahaad Se Girey To Ye Tere Liye Itna Nuqsan-Deh Nahi Jitna Ke Tu Kisi Ki NAZRON Se Gir Jaye.
32
Agar Kisi ka Zarf Aazmana ho to use Zyada Izzat Do, Wo Aala Zarf Hua to Aap ko aur Zyada Izzat Dega. Aur Agar Kam Zarf hua to Khud ko Aala Samjhega.
33
Wo Log kisi k Nhi hoty Jo Dost or Rishty ko"Libas" ki tarha badlty hain.
34
Jo Zara Si Baat Pe Dost Na Rahe. Samajh Lena Wo Dost Kabhi Tha Hi Nahi.
35
Bura Dost Aag Ki Tarah Hai, Agar Jalta Hai To Aapko Bhi Jala Dega Aur Agar Bujha Hai To Aapke Haath Kale Kar Dega.
36
Khaas aur Aam Dost Me Itna hi Farq hota Hai; Aam Dost Sirf Tareef Karta Hai. Lekin Khaas Dost Tareef ke Saath-Saath Tanqeed bhi Karta Hai.
37
Dost Ki Koi Baat Buri Lage To Khamosh Hojao. Agar Wo Dost Hai To Use Us Baat Ka Ranj Hoga. Aur Agar Na Hua To Tum Samjh Lena Ki Wo Tumhara Dost Nahi.
38
Mujhe Wo Dost Pasand Hai Jo Mehfil Me Meri Ghalatiyan Chupaye Or Tanhai Me Meri Ghalatiyon Par Tanqeed Kare.
39
3 Rishte 3 Waqt Main Be-Naqaab Hojate Hai.
Budhape Mein Aulaad,
Musibat Mein Dost Aur Ghurbat Me Biwi.
40
Insan ke Bimaar Hone Ki Ek Badi Wajah Doston Ki Judai Hai.
41
Musibat Me Ho To Kabhi Yeh Na Socho Ki Kaunsa Dost Kaam Aayega Balki Yeh Socho Ki Ab Kaunsa Dost Chhod Ke Jayega.
42
Hargiz Aise Shakhs Ki Dosti Ikhtiyar Na Karo Jo Tumhari Buraiyon Ko Yaad Rakhe Aur Khoobiyon Ko Bhool Jaye.
43
Jahan Sadqat Aur Khuloos Nazar Aaye Waha Dosti Ka Haath Badhao Warna Tumhari Tanhai Tumhari Behtareen Saathi Hai.
44
Dosti Ki Zeenat Ek Doosre Ki Baat Ko Bardasht Karna Hai. Be-Aib Dost Talaash Mat Karo Warna Akele Reh Jaoge.
45
Lambi Dosti Ke Liye Do Cheezon Par Amal Karo. Apne Dost Se Gusse Me Baat Mat Karo Aur Apne Dost Ki Gusse Me Kahi Hui Baat Dil Pe Mat Lo.
46
Tum Accha Karo Aur Zamana Bura Samjhe Yeh Tumhare Haq Me Behtar Hai Bajaye Iske Tum Bura Karo Aur Zamana Tum Ko Accha Samjhe.
47
Apno ko Hamesha Apne Hone ka Ehsaas Dilate Raho warna Waqt Aapke Apno Ko Aap ke Bina Jeena Sikha Dega.
48
Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Ta’ala Anhu Se Pucha Gaya 'Dunia Ka Sab Se Ameer (Rich) Shakhs Kaun he ? Jawab Mila, 'Dunia Ka Ameer Shakhs Woh he Jis Ke Dost Mukhlis Hain. Duniya Usko Yateem Samajhti Hai Jiske Maa Baap Na Ho, Lekin Main Yateem Usko Samajhta Hoon Jiske Acche Dost Na Ho.
49
Lakhon Ko Dost Banana Koi Badi Baat Nahi, Badi Baat Yeh Hai Ki Aisa Dost Banao Jo Tumhara Saath Us Waqt De Jab Lakhon Tumhare Dushman Ho.
50
Jab Bhi Farig Waqt Mile To Apni Maa Ke Paas Ja Ke Baitha Karo, Kyunki Maa Ke Saath Guzara Hua Waqt Qayamat Ke Din Nijat Ka Baa'is Banega.