async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD

Friday, November 27, 2015

Farman e Hazrat ali | Quotes Of Hazrat Ali

Quotes of Hazrat Ali 

51
Kabhi Apne Dost ki Sacchai ka Imtehan na lo, Kya Pata us Waqt wo Majboor ho aur Tum Ek Accha Dost kho Baitho.

52
Agar Koi Accha Lage To Us Se Kam Mila Karo, Agar Koi Zyada Accha Lage To Us Se Sirf Dekha Karo Aur Agar Koi Dil Me Utar Jaye To Use Sirf Yaad Kiya Karo. 

53
4 Khaleefa ke 4 Aqwal:
"Aise Shakhs ko Dost rakho jo Naiki kar k Bhool jaye".
(Hazrat Abu Bakar Radiallahu Ta'ala Anhu) 

54
"Maut ko humesha Yad rakho, magr Maut ki Arzoo kabhi na karo."(Hazrat Umar Farooq Radiallahu Ta'ala Anhu) 
"Insan Zuban k parde me Chupa ha" (Hazrat Usman e Gani Radiallahu Ta'ala Anhu) 

55
"Humesha Such bolo ta k Tumhe Qasam kane ki zarurat na pare" (Maula e Kainaat Maula Ali Radiallahu Ta'ala Anhu)  

56
Sab Se Badi Bahaduri Sabr Karna Hai.
Sab Se Badi Bala Na Umeedi Hai 
Sab Se Badi Tafreeh Masrufiyat
Sab Se Bada Ustad Tajruba
Sab Bada Faida Naik Aulad
Sab Bada Tohfa Dar Guzar Karna
Sab Bada Sarmaya Khud Etmadi
Aur
Sab Se Bada Raaz Maut Hai ...!

57
Ghareeb Ki Madad Karo, Uska Dil Na Dukhao, Aur Uska Ehsas Karo. Kyu K Ghareeb Hone Mein Zyada Waqt Nai Lagta ..! 

58
Kisi Ki Madad Karte Waqt Uske Chehre Ki Jaanib Mat Dekho, Ho Sakta Hai Uski Sharminda Aankhein Tumhare Dil Me Ghuroor Ka Beej Bo De.

59
Kisi Ka Dil Mat Dukhao, Ho Sakta Hai Wo Tumhe Aise Chahta Ho Jaise Marne Wala Zindagi.

60
Log Dukh Nahi Dete, Logon Se Waabasta Umeedein Dukh Deti Hai. 

61
Akhlaq Aik Dukan Hai, Aur Zuban Uska Tala, Tala Khulta Hai To Pata Chalta Hai K Dukan Sonay Ki Hai Ya Ko'aly (Koila) Ki...

62
Akhlaaq Ki Keemat Kuch Nahi Deni Padti Hai. Magar Us Se Har Cheez Khareedi Ja Sakti Hai.

63
Jab Tumhari Jaan Ko Khatra Ho To Sadqa De Kar Jaan Bachao Aur Jab Tumhare Deen Ko Khatra Ho To Jaan De Kar Deen Bachao.. 

64
Jab Tum Duniya ki Muflisi say Tang Aa jao aur Rizq ka koi Rasta na Niklay to Sadqa diya karo aur ALLAH se Tijarat karo. 

65
Apne Din Ka Aaghaz Sadqa Dene Se Shuru Karo. Us Din Tumhari Koi Dua Radh Nahi Ki Jayegi Aur Acchi Baat Batana Bhi Sadqa Hai. 

66
Agar Log Namaz-e-Fajr Ka Sawab Aur Fazeelat Ko Jaan Le To Raat Ko Is Khauf Se Sona Chhod Denge Ki Kahi Neend Ki Wajah Se Namaz Na Choot Jaye. 

67
NAMAZ ki Fikr Apne Upar Farz Karlo, Khuda Ki Qasam Duniya Ki Fikr Se Azad Hojaoge Aur Kamyabi Tumhare QADAM Choomegi.

68
Apna Behatreen Waqt Namaz Ke Liye Muqarrar Kar Do, Kyunki Tumhare Sab Kaam Tumhari Namaz Ke Baa'is Qubool Honge.

69
Aye Insan Agar Tujhe Yeh Maloom Ho Jaye Ki Sajde Ke Dauran Tujh Par Kitni Rehmatein Nazil Hoti Hai To Tu Kabhi Sajde Se Sar Uthayega Hi Nahi. 

70
Apni Kismat Pe Wo Rota Hai Jo Sajde Me Nahi Rota.

71
Namaz Padhne Ke Dauran Tumhari Kaifiyat In Do Me Se Ek Honi Chahiye. (TUM ALLAH KO DEKH RAHE HO YA PHIR ALLAH TUMHE DEKH RAHA HAI)

72
Jab Log Kisi Ko Pasand Karty Hain To Uski Buraiyan Bhol Jatay Hain Aur Jab Kisi Say Nafrat Karty Hain To Uski Achaiyan Bhool Jatay Hain. 

73
Nafrat Gunah Se Karo, Gunah Karne Wale Se Nahi. Shayad! Tumhari Mohabbat Me Aa Kar Wo Gunah Karna Hi Chhod De.

74
Wo Gunah Jis Ka Tumhe Ranj Ho, ALLAH Ke Nazdeeq Us Neki Se Behtar Hai Jis Se Tum Me Ghuroor Paida Ho Jaye. 

75
Gunaah Jawaan Ka Bad Hai Magar Budhe Ka Badtar. 

76
Logon k Dilon Mein Apna Maqam is Tarah Bana Lo K Mar Jao to Tumhare Liye Royain or Zinda Ho To Tumhen Milna Pasand Karein.

77
Kisi Ke Khuloos Aur Pyar Ko Uski Bewakoofi Mat Samjho, Warna Kisi Din Tum Khuloos Aur Pyar Talaash Karoge Aur Log Tumhe Bewakoof Samjhenge. 

78
Koi Tumse Bhalai Ki Umeed Rakhe To Use Mayus Mat Karo, Kyunki Logon Ki Zaruraton Ka Tumse Waabasta Hona Tum Par Allah Ki Inayat Hai. 

79
Jo Shakhs Hamesha Tumhara Bhala Chahe, Uska Udas Hona Tumhare Liye Fikr Ki Baat Hai

80
Koi GUNAH Lazzat k liye mat karna q k Lazzat khatam ho jayegi GUNAH baqi rah jaega, aur koi NEKI taklif ki waja se mat chodna q k taklif khatam ho jaegi NEKI baqi rahjayegi !

81
Tanhai Me Gunaah Se Bacho, Kyunki Iska Gawah Khud Allah'taala Hota Hai.

82
Ibn-e-Aadam! Jab Gunahon ke Bawajood Allah ke Naimatain Musalsal Tujhe Milti Rahe to Hoshiyaar ho Jana, Ke Tera Hisaab Qareeb aur Sakht Tareen Hai. 

83
Jisnay Kisi Ko Akele Mai Nasihat Ki Usne Ussay Sawar Diya aur Jis ne Kisi Ko Sab Ke Samnay Nasihat Ki Usne Usko Mazeed Bigaad Diya. 

84
Log Pyar Ke Liye Hote Hai Aur Cheezein Istemaal Ke Liye. Baat Us Waqt Bigadti Hai Jab Cheezon Se Pyaar Aur Logon Ko Istmaal Kiya Jaye.

85
Aitbaar Aur Pyar Do Aise Parindey Hai Agar In Me Se Ek Udd Jaye To Doosra Khud Hi Udd Jata Hai.

86
Apne Dushman Ko 1000 Dafa Moqa Do K Wo Tumhara Dost Ban Jaaye Par Apne Dost Ko 1 Bhi Moqa Na Do K Wo Tumhara Dushman Banay.

87
Agar Dost Banana Tumhari Kamzori Hai To Tum Duniya Ke Sabse Taqtwar Insaan ho. 

88
Yeh Duniya Kitni Ajeeb Hai Imaandar Ko Bewaqoof, Be-Imaan Ko Aqalmand, Aur Behaya Ko Khoobsurat Kehti Hai.

89
Agar Duniya Me Sukoon Hota To ALLAH Ko Kaun Yaad Karta. Sukoon To Sirf Unlogon Ke Paas Hai Jo ALLAH Ki Raza Ko Apni Raza Samajhte Hai.

90
Koshish Karo Ki Tum Duniya Me Raho, Duniya Tum Me Na Rahe. Kyunki Kashti Jab Tak Pani Me Rehti Hai, Khoob Terti Hai. Lekin Jab Pani Kashti Me Aa Jata Hai To Wo Doob Jati Hai.

91
Duniya Mein Behtreen Insaan Wo Hai Jiske Liye Koi Roye Aur Badtareen Insaan Wo Hai Jiski Wajah Se Koi Roye. 

92
Agar Tumhain Yaqeen Ho Jaye ke Tumhara Rizq ALLAH K Paas Hai to Phir Rizq Ki Nahi ALLAH ki Talash Karo Jis K Paas Tumhara Rizq Hai. 

93
Rizq Ke Peeche Apna Imaan Kharab Mat Karo. Kyunki Naseeb Ka Rizq Insaan Ko Aise Talaash Karta Hai Jaise Marne Wale Ko Maut.

94
Din Ko Rizq Talaash Karo Aur Raat Ko Use Talaash Karo Jo Tumhe Rizq Deta Hai. 

95
Agar rizq Aqal-o-Danish Se Milta To Jaanwar Aur Bewakoof Zinda Hi Na Rehte.

96
Agar tum kisi ko dhokha dene mein kamyaab ho jate ho to ye mat socho ki wo kitna bewaqoof hai, balki ye socho ki usko tum par aitbaar kitna tha.

97
Jhoothe Ki Sabse Badi Saza Yeh Hai Ki Uske Sach Ka Bhi Aitbaar Koi Nahi Karte. 

98
ALLAH ke Nazdeek Sabse Zyada Gunahgar Cheez Jhoot Bolne Wali Zaban Hai. 

99
Tumhara Nafs Bohot Keemti Hai. Ise Jannat Se Kam Kisi Keemat Pe Mat Bechna.

100
Tumhare Nafs ki Keemat Jannat he Apne Nafs Ko Kabhi isse Kam Keemat Main Na Bechna.