async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD

Wednesday, May 4, 2016

Part 04

Aasmano Me Deegar Ambiya Alaihumsalam Se Mulakat
Baitul Mukaddas me tamam  Mamlaat se faarig hoke Nabi E Karim ne Aasmano k Taraf Safar Shuru Kiya jaha Mukhtalif Aasmano me Deegar Ambiya Alaihiumusalam se Mulakat bhi Ki jiska zikr hum yaha kar rahe hai.
Pehle Aasman me Hazrat Adam عليه السلام Se Mulakat Ki.
Dusre Aasman me Hazrat Yahya عليه السلام Aur Isaa عليه السلام Se Mulakat Ki.
Teesre Aasman Me Hazrat Yusuf عليه السلام Se Mulakat Ki 
Forth Aasman me Hazrat Idrees عليه السلام Se Mulakat Ki
Panchwe Aasman me Hazrat Haroon عليه السلام Se Mulakat Ki
Chatte Aasman Hazrat Moosa Kalimullah عليه السلام Se Mulakat Ki Satwe Aasman Me Hazrat Ibrahim Khalilullah عليه السلام Se Mulakat Ki.
References :
(Sahi Bukhari, Kitab No 63, Kitabul Manakib Al Ansaar, Baab Al Meraj, Hadees : 3887)
(Sunan Nasai, Kitab No 05 Kitabus Salah, Baab : Faraiz E Salat Vol : 01, Pg : 81, Hadees : 448)

Sidratul Muntaha Ka Safar
Satwe Aasman pe Hazrat Khalilullah عليه السلام se Mulakat k baad Safar aage rawa Huwa Huzoor Nabi e Karim ﷺ SIDRATUL MUNTAHA k pass tashreef laaye. Ye ek BAIRI ka PED (tree) Hai jiski Jadd (root) Sixth Aasman Par aur Shakein (Branches) Satwe Aasman k  upar hai iske FAL (Fruits) Makam e Hazr k Matko Ki Tarah Hai Patthe Hathi K Kaano Ki Tarah Hai.
Hazrat Zibril عليه السلام ne Arz Kiya YE SIDRATUL MUNTAHA HAI Pyare Aaka ne Yaha 4 Nahren Mulahiza Farmayi jo SIDRATUL MUNTAHA ki Jadd (Root) Se Nikli Thi Inme se 02 Jaahir Aur 02 Khufiya Thi.
Aap Nabi E Karim Ne Arz Kiya Aye Zibril عليه السلام ye Nehre’n Kaisi Hai. Farmaya k inme se jo 02 Khufiya Nehre Hai Wo Jannat Ki Hai aur Jo Do Jahir Hai wo Jahiri Nahrein NEEL aur Furat Hai.
Reference :
(Sahi Bukhari, Kitab No 63, Kitabul Manakib Al Ansaar, Baab Al Meraj, Hadees : 3887)
(Sahi Muslim, Vol 01, Kitabul Imaan, Baab : Al Isra, Hadees : 164)

Imam Mullah Ali Qari Al Hanfi رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  Ne yaha Jannati NEHRO k muttalik likha Hai
“Ye Jannati Nahren Kausar Aur Salsbeel Hai ya Kausar aur Nahre Rehmat Hai”
(Miratul Manajih Shara E Mishkatul Masabih, Meraj Ka Bayan, Fasle Awwal, 8/144)
Sidratul Muntaha ye Wo Makam Tha Jiske Aage Hazrat Roohul Ameen Zibreel e Ameen Jo Tamam Malaika Farishto k Sardar Hai wo  bhi Nahi jaate chunache Meraj Un Nabi ﷺ  ki Mubarak Raat me Sidratul Muntaha k aaage Jaane Se ROOHUL AMIN ZIBRIL Alaihi Salam bhi jaane se Mazrat Khwah hue
Allama Ismail Haqqi Apni Tafseer ul Quran me likhte Hai
“Meraj Un Nabi ﷺ ki Raat Hazrat Zibril E Ameen Sidratul Muntaha Me Ruk Gaye Aur Farmaya Aye ALLAH K NABI ﷺ  Ab Iske Aage Mai Ek Ungli k barabar Bhi Aage badhunga to Allah k Noor Se Mai Jal Jaunga”
(Tafseer Roohul Bayan Vol : 05, Pg : 121)
Aap Andaza Lagaye Tazzaliat e Rabbani K Noor Ko Khud Sardar e Malaika Roohul Ameen jo Khud Noor se Bane Hai wo bhi Bardast Nahi Kar Paane ki Baat Kahe
Allah ne Quran e Mukaddas me Farmaya
“Beshak Aapki Aane Wali Ghadi Aapki Pichli Ghadi Se Behtar Hai”
(Surah Duha Ayat 04)

Sidratul Muntaha k Baad baad  Nabi e Karim ﷺ  aage bade ROOHUL AMIN ZIBRIL  bhi jaane se Mazrat Khwah hue phir Aap bulandi ki taraf jaate huwe ek Makam par pahuche jisko MAKAM E MUSTAWA kaha Jaata hai jaha Huzoor Nabi e Karim ﷺ  Ne KALMO KI awaaj Samat farmayi ye wo kalimat the jinse FARISHTE rozana k Ahkam E ILAHIYA likhte Hai aur Lohe Mehfooz se Ek saal ka wakya alag Alag alag SAHIFO Me nakl karte Hai aur ye Sahife Phir 15 wa Shaban Ki Shab ko Mutallika Hukkam Farishto K Hawale Kar Diye Jaate Hai.
( Al-Muwahib al-Ladunniyyah Shara e Zurqani Vol : 02, Pg : 381)