✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 3
HAZRAT SIDDIQUE E AKBAR RADIALLAHO TA AALA ANHO KA KHWAAB➡
Hazrat Siddique e Akbar radiallaho ta aala anho qabl az Islam ek bahut bade taazir the. Aap tijarat ke silsile mein mulq e shaam mein tashreef farma the ki ek raat khwaab mein dekha ki chaand aur suraj aasman se utarkar unki god mein aa pade hain. Hazrat Siddique e Akbar radiallaho ta aala anho ne apne haath se chaand aur suraj ko pakadkar apne seene se lagaya aur unhe apni chaadar ke andar kar liya. Subah uthe to ek isaai raahib ke pass pahunche aur usse is khwaab ki taabeer poochi. Raahib ne poocha ki aap kaun hain ? Aapne farmaya : main Abu baqr hoon , makka ka rehne waala hoon. Raahib ne poocha : kaun se kabeele se hain ? Aapne farmaya : banu haashim se aur zariya e maash kya hai ? Farmaya : tijarat. Raahib ne kaha : to phir gaur se sun lo! Nabi e aakhiruzzama Hazrat Mohammad salallaho alaihi wasallam tashreef le aaye hain. Wo bhi isi qabeela bani haashim se hain aur wo aakhri Nabi hain. Agar wo na hote to khuda e ta aala zameen o aasman ko paida na farmata aur kisi nabi ko bhi paida na farmata. Wo awwaleen o aakhreen ke sardar hain. Ae Abu baqr! tum unke deen mein shaamil hoge aur uske wazeer aur uske baad unke khalifa banoge. Ye hai tumhaare khwab ki taabeer. Sun lo! Maine is Nabi e paak salallaho alaihi wasallam ki taareef o naat tauraat o injeel mein padhi hai. Main is par imaan la chuka hoon aur musalmaan hoon. Lekin issaiyon ke khauf se apne imaan ka izhaar nahi kiya. Hazrat Siddique e Akbar radiallaho ta aala anho ne jab apne khwaab ki taabeer suni to ishq e Rasool salallaho alaihi wasallam ka jazbaa bedaar hua aur aap fauran makka moazzama waapas aaye. Huzoor salallaho alaihi wasallam ki talaash karke baargah e risalat mein haazir huye aur deedar e puranwaar se apni aankhon ko thanda kiya. Huzoor salallaho alaihi wasallam ne farmaya : Abu Baqr! Tum aa gaye , lo ab jaldi karo aur deen e haq mein daakhil ho jaao. Hazrat Siddique e Akbar radiallaho ta aala anho ne arz kiya : bahut accha. Huzoor! Magar koi mojiza to dikhaiye. Huzoor salallaho alaihi wasallam ne farmaya : wo khwaab jo shaam mein dekhkar aaye ho aur uski taabeer jo us raahib se sunkar aaye ho mera hi to mojiza hai. Hazrat Siddique e Akbar radiallaho ta aala anho ne ye sunkar arz kiya : sach farmaya ae Allah ke Rasool aapne. Main gawahi deta hoon ki aap waaqai Allah ke sacche Rasool hain.
(Jaami Ul Mojizaat safa 4)
Sabaq : Hazrat Abu Baqr Siddique radiallaho ta aala anho Huzoor salallaho alaihi wasallam ke wazeer aur Khaleefa e barhaq hain. Hamare Huzoor salallaho alaihi wasallam se koi baat chupi nahi rehti. Aap daana e guyoob hain. Ye bhi maaloom hua ki tamam makhlooq hamare aaqa ke sadqe mein paida ki gayi hai. Agar Huzoor na hote to kuch bhi na hota.
Wo jo na the to kuch bhi na tha
Wo jo na ho to kuch na ho
Jaan hain wo Jahaan ki
Jaan hai to jahaan hai
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔