async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD

Monday, August 7, 2017

SARKAAR-E-AALAHAZRAT RADI ALLAHU TA'ALA ANH KI WASEEYAT-E-MUBAARAKA

SUNNIYAT KA KAM HO RHA
FATAWA RAZWIYA SHAREEF AAM HO RHA

SARKAAR-E-AALAHAZRAT RADI ALLAHU TA'ALA ANH KI WASEEYAT-E-MUBAARAKA*_

_“Pyaare Bhaiyo! *LAA ADRI MAA BAQAAYI FEEKUM* Mujhe Maloom Nahin Ke Main Kitne Din Tumhaare Andar Thehruñ Teen Hi Waqt Hote Hain. Bachpan, Jawani, Budhaapa. Bachpan Gaya Jawani Aayi, Jawani Gayi Budhaapa Aaya. Ab Kaunsa Chautha Waqt Aane Waala Hai Jiska Intezaar Kiya Jaaye. Ek Maut Hi Baaqi Hai. Allah Ta'ala Qaadir Hai Ke Aisi Hazaar Majliseiñ Ataa Farmaaye. Aur Aap Sab Log Hon. Main Hun. Aur Main Aap Logon Ko Sunaata Hun. Magar Ba-Zaahir Ab Iski Umeed Nahin. Is Waqt Main Do Wasiyyatein Aap Logon Ko Karna Chahta Hun. Ek To Allah-O-Rasool Ki (Jalla Jalaalahu Wa Sallallahu Ta'ala Alaihi Wa Alaa Aalihi Wasallam) Aur Dusri Khud Meri. Tum Mustafa Pyaare Sallallahu Ta'ala Alaihi Wa Alaa Aalihi Wasallam Ki Bholi Bheedein Ho, Bhediye Tumhaare Chaaroñ Taraf Hain Yeh Chaahte Hain Ke Tumhein Behkayein, Tumhein Fitne Mein Daal Dein, Tumhein Apne Saath Jahannam Mein Le Jaayein. Inse Bacho Aur Door Bhaago Deobandi Huve, Raafzi Huve, Neychari Huve, Qaadiyaani Huve, Chakdaalvi Huve Gharz Kitne Hi Firqe Huve Aur Ab Sabse Naye Gaandhvi Huve Jinhone In Sabko Apne Andar Leliya Yeh Sab Bhediye Hain, Tumhaare Imaan Ki Taak Mein Hain, Inke Hamloñ Se Apna Imaan Bachaao! Huzoor-E-Aqdas Sallallahu Ta'ala Alaihi Wa Alaa Aalihi Wasallam Rabbul ‘Izzat Jalla Jalaalahu Ke Noor Hain Huzoor Sallallahu Ta'ala Alaihi Wa Alaa Aalihi Wasallam Se Sahaaba Radi Allahu Ta'ala Anhum Raushan Huve, Unse Taaba'een Rahimahumullahu Ta'ala Raushan Huve, Taaba'een Se Taba' Taaba'een Rahimahumullahu Ta'ala Raushan Huve, Unse Ayimma-E-Mujtahideen Raushan Huve (Rahimahumullahu Ta'ala), Unse Hum Raushan Huve, Ab Hum Tumse Kehte Hain Yeh Noor Humse Lelo, Humein Iski Zaroorat Hai Ke Tum Humse Raushan Ho Woh Noor Yeh Hai Ke Allah-O-Rasool Jalla Jalaalahu Wa Sallallahu Ta'ala Alaihi Wa Alaa Aalihi Wasallam Ki Sachchi Muhabbat, Unki Ta'zeem Aur Unke Doston Ki Khidmat Aur Unki Takreem Aur Unke Dushmanoñ Se Sachchi Adaavat. Jis Se Allah-O-Rasool Jalla Jalaalahu Wa Sallallahu Ta'ala Alaihi Wa Alaa Aalihi Wasallam Ki Shaan Mein Adnaa Tauheen Paao Phir Woh Tumhara Kaisa Hi Pyaara Kyun Na Ho Fauran Usse Juda Hojaao, Jisko Baargaah-E-Risaalat (Alaa Saahibiha Wa Aalihis-Salaatu Wat-Tahiyyah) Mein Zara Bhi Gustaakh Dekho Phir Woh Tumhara Kaisa Hi Buzurg Mu'azzam Kyun Na Ho Apne Andar Se Use Doodh Se Makh-khi Ki Tarah Nikaalkar Phenk Do. Main Paune Chauda Baras Ki Umar Se Yehi Bataata Raha Aur Is Waqt Phir Yehi Arz Karta Hun. Allah Ta'ala Zaroor Apne Deen Ki Himaayat Ke Liye Kisi Bande Ko Khada Kardega. Magar Nahin Maloom Mere Baad Jo Aaye Kaisa Ho Aur Tumhein Kya Bataaye Isliye In Baaton Ko Khoob Sunlo Hujjatullah Qaayem Ho Chuki Hai. Ab Main Qabr Se Uthkar Tumhare Paas Bataane Na Aaunga. Jisne Ise Suna Aur Maana Qayaamat Ke Din Uske Liye Noor-O-Nijaat Hai Aur Jisne Na Maana Uske Liye Zulmat-O-Halaakat. Yeh To Khuda-O-Rasool Jalla Jalaalahu Wa Sallallahu Ta'ala Alaihi Wa Alaa Aalihi Wasallam Ki Wasiyyat Hai Jo Yahaan Maujood Hain Sunein Aur Maanein Aur Jo Yahaan Maujood Nahin To *HAAZIREEEN PAR FARZ HAI KE GHAAYIBEEN KO ISSE AAGAAH KAREIN.* Aur Dusri Meri Wasiyyat Hai Aap Hazraat Ne Kabhi Mujhe Kisi Qism Ki Takleef Na Pahunchne Di. Mere Kaam Aap Logon Ne Khud Kiye. Mujhe Na Karne Diye. Allah Ta'ala Aap Sab Saahibon Ko Jazaa-E-Khair De. Mujhe Aap Saahibon Se Umeed Hai Ke Qabr Mein Bhi Apni Jaanib Se Kisi Qism Ki Takleef Ke Baa'is Na Honge. Main Ne Tamaam AhleSunnat Se Apne Huqooq *LI-WAJHILLAAHI TA'ALA* Muaaf Kardiye Hain. Aap Logoñ Se Dast Bastah Arz Hai Ke Mujhse Jo Kuch Aapke Huqooq Mein Firoguzaasht Huvi Hai Woh Sab Muaaf Kardein. Aur Haazireen Par Farz Hai Ke Jo Hazraat Yahaan Maujood Nahin Unse Meri Muaafi Karaalein"._
_Yeh Mubaarak Wasiyyat-E-Muqaddasah 25, Muharram-Ul-Haraam 1340H Ko Apni Duniyaavi Hayaat-E-Shareefah Mein Apne Murshid-E-Barhaq Khaatimul Akaabir Huzoor Purnoor Sayyiduna Shaah Aal-E-Rasool Ahmadi Qadri Maarehravi Radi Allahu Ta'ala Anh Ke Sabse Pichle Urs-E-Saraapa Quds Mein Irshaad Farmaayi Thi. Qul Shareef Ke Waqt Kaashaana Mubaarak Se Masturaat Ko Dusre Makaan Mein Bhijvaakar Logoñ Ko Apne Huzoor Mein Talab Farmaaya. Yeh Waz-O-Naseehat Ki Aakhri Sohbat Thi Aur Rushd-O-Irshaad Ka Pichla Daur. Jiske Poore Ek Mahine Ke Baad Juma-E-Mubaarakah 25, Safar-Ul-Muzaffar 1340H Ko Do Bajkar Adtees (38) Minute Par Imaam-E-AhleSunnat Mujaddid-E-Aazam Radi Allahu Ta'ala Anh Ne Is Daar-E-Faani Se Daar-E-Baaqi Ki Taraf Safar Farmaaya. In Mubaarak Wasaaya Ne Majme Par Aisa Gehra Asar Daala Ke Haazireen Ki Rote Rote Hichkiyaañ Bandh Gayiñ, Log Dhaadeiñ Maar Maar Kar Ro Rahe The. Khuda-O-Rasool Jalla Jalaalahu Wa Sallallahu Ta'ala Alaihi Wa Alaa Aalihi Wasallam Ki Muhabbat Mein Logoñ Ka Us Roz Bilak Bilak Kar Rona Umar Bhar Yaad Rahega. Phir Maktoob-E-Wasaaya Jo Wisaal Shareef Se Sirf 2, Ghanta 17, Minute Peshtar Qalam Band Karaaye Aur Aakhir Mein Hamd-O-Durood Shareef-O-Dastakhat Khud Apne Dast-E-Aqdas Se Tehreer Farmaaye. Unke Aakhir Mein Irshaad Farmaate Hain: "Hattal Imkaan Ittebaa-E-Shari'at Na Chodo. Aur

*MERA DEEN-O-MAZHAB JO MERI KUTUB SE ZAAHIR HAI US PAR MAZBOOTI SE QAAYEM REHNA HAR FARZ SE EHEM FARZ HAI.* Allah Taufeeq De Wassalaam. 25, Safar 1340H Roz-E-Jumah

Mubaarakah. 12, Bajkar 21, Minute Par Yeh Waqti Wasaaya Qalam Band Huve._
_Faqeer Ahmad Raza Qadri ‘Afiya Anhu Ba-Qalam-E-Khud Ba-Haalat-E-Sehet-E-Hawaas._

_WALLAAHU SHAHEEDUN WALAHUL HAMDU WA SALLALLAHU TA'ALA WA BAARIK WASALLIM ‘ALAA SHAFEE-'IL-MUZNIBEEN WA AALIHIT-TAYYIBEEN WA SAHBIHIL MUKARRAMEEN WA IBNIHI WA HIZBIHI ILAA ABADUL AABIDEEN WAL-HAMDULILLAAHI RABBIL ‘AALAMEEN

MASLAK E AALA HAZRAT ZINDABAD

HUZUR MAZHAR E AALA HAZRAT ZINDABAAD

KHANKAYE HASHMATIYA ZINDABAD

HAQ BOLNE WALE ULOOMA ZINDABAAD