async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD

Wednesday, November 10, 2021

Murde ko Dafan ke baad Qabar pe Aazan

Murde ko dafan karne ke bad qabar pe Azaan

Ek ahem topic

 

Aaj kal kafi bad Aqeeda Aitraaz karte hai ki murde ko dafan karne ke bad uski qabr par Azan dena nazaiz hai aur bidd’at hai….

 

Lekin un nadano ko pata nahi ki wo Azan Momino ki qabro par hi di jati hai kyunki shaitan ka aakhri waar qabr me hi hota hai aur Azan sunkar shaitan koso door bhgta hai…….

Aaqa Sallallahu alaihi wasallam Ne Farmaya Azan Ki Awaz Sun kar Shaitaan 36 Meel Door Bhag Jata He…..

(Muslim Sharif Jild-1 Page No 147)

Qadimi Kutub Khana Imam Tirmizi Hadis Likhte Hen k Jab Murdy Se Qabr Me Sawalat Hote Hain To Shaitaan Mudakhlat (Dakhl Andazi) Karta hai..

(Nawadirul Usool Page No. 322)

Is Liye Hum Sunni Momin Musalmano ki Qabr Par Azan Dete He…..

Aaqa Sallallahu alaihi wasallam Ek Qabr Par Der Tak Buland Awaz Se Subhan ALLAH or ALLAHO Akbar Parhty Rahe Phir Farmaya in Kalimat Ki Barkat Se Qabr ki Tangi ko Door kar ke Kushada Kardiya Gaya

(Musnade Ahmed Jild 3. Page No.360)

Isse Pata Chala ALLAHO Akber Ki Sadayen Buland Karny Se Qabr ki Tangi Door Hoti Hai.

Jab Aadam Alaehissalam Jannat Se is Dunya Me Utry To Apko Ghabrahat Hui To Jibril Alaehissalam Ne Utar Kar Azan Di..

(Hilyatul Auliya Jild-2, Page No 107)

Pata Chala Ghabrahat k Waqt Bhi Azan Deni Jibril Alayhissalam Ki Sunnat Hai Aur Murda Qabr Me Ghabrata Hai is Liye Sunni Qabr Par Azan Dete Hain……

Ek Dafa Aaqa Sallallahu alaihi wasallam Ne Hazrat Ali RadiAllahutaAlaAnhu ko Ghamgeen Paya To Farmaya Ali 8k Kaan Me Azan Do Azan Gham aur Parishani Ko Dafa Karti hai

(Mirqat Jild-2,Page No 149)


Pata Chala Azan Namaz k Ilawa Gham Aur Parishani Door Karne Ke Liye Bhi Di Jati Hai Aur Murda Qabr Me Ghamgeen Hota Hai is Liye Sunni Qabr Par Azan Dete Hai……

 

SAWAL:-

AZANE QABR PAR ATRAZ
Fiqhe Hanfi Me Qabr Par Azan Dene Ka Kahin Saboot Nahi…

Jawab :-

Fatawa Shami Jo Deobandio Ke Nazdik Bhi Mustanad Hai Saaf Likha Hai Ke Qabr Par Azan Dena Sunnat Hai Lekin Allama Ibne Hajar Shafae Ne Sunnat Nhi kaha…
(Magar Azan Dene ka Mana Bhi Nhe kiya).

(Fatawa Shami Jild- 1 Page No 283 Babul Azan)

ﺇﻳﺬﺍﻥ ﺍﻷﺟﺮ ﻓﻲ ﺃﺫﺍﻥﺍﻟﻘﺒﺮ
Idhanul Ajr fi Adhan il Qabr


 

Sawal: –

Kya Farmate Hai Ulma e Deen Is Masle Mai Ki Dafan Ke Waqt Qabr Par Jo Azaan Kahi Jati Hai, Wah Shar’an Jaiz Hai Ya Nahi ?

Jawab:-
ﺑﺴﻢ ﺍﻟﻠﻪ ﺍﻟﺮﺣﻤﻦ ﺍﻟﺮﺣﻴﻢ

Kuch Ulmae Deen Ne Qabr Me Mayyat Rakhne Ke Waqt Azaan Dene Ko Sunnat Farmaya Hai…

Jaise Ki Allama Ibn e Hajar Makki wa Allama Khairul Millah Waddeen Ramli Ne Apni Kitab Sharah Awab Wa Hasia Bahruraik Mai Bayan Kiya Hai,

Mazkoora Wala Sawal Me Azaan Ke Bare Me Poocha Gaya Hai Uska Jaiz Hona Bila Subah Jaiz Hai Shariat e Mutahra Me Iske Mana Hone Par Hargiz Koi Daleel Nahi…

Aur Jis Kaam Me Shariat Ne Mana Na Kiya Ho Wah Kaam Kabhi Mana Nahi Ho Sakta Faqat Yahi Ek Daleel Qabr Par Azaan Jaiz Hone Ke Liye Kaafi Hai…

Jo Log Qabr Par Azaan Dene Ko Mana Karte Hai woh Shariat Se Apne Dawe Ko Sabit Karke Dikhae,

Yanha Daleelo Ke Maidan Me Aakar Mai Bahut Daleelo Se Qabr Par Azaan Ke Jaiz Hone Ko Shariat e Mutahra Se Sabit Kar Sakta Hu Chand Daleele Aapki Kidmat Mai Pesh Karta Hu.

{Idhanul Ajr fi Adhan il Qabr page.6}

ALAHAZRAT KI IS KITAB ME AZAN E QABR KE MAUZU PAR BAHTREEN DALAIL HAI AAGE  KUCH DALEELE PESH KI JAEGI


HADEES:-

ﺳﻨﻦ ﺍﺑﻦ ﻣﺎﺟﻪ« ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻟﺠﻨﺎﺋﺰ«ﺑﺎﺏ ﻣﺎ ﺟﺎﺀ ﻓﻲ ﺇﺩﺧﺎﻝ ﺍﻟﻤﻴﺖ ﺍﻟﻘﺒﺮ

ﻋﻦ ﺳﻌﻴﺪ ﺑﻦ ﺍﻟﻤﺴﻴﺐ ﻗﺎﻝ ﺣﻀﺮﺕ ﺍﺑﻦ ﻋﻤﺮ ﻓﻲ ﺟﻨﺎﺯﺓ ﻓﻠﻤﺎ ﻭﺿﻌﻬﺎ ﻓﻲ ﺍﻟﻠﺤﺪ ﻗﺎﻝ ﺑﺴﻢ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﻓﻲ ﺳﺒﻴﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﻋﻠﻰ ﻣﻠﺔ ﺭﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠﻪ ﻓﻠﻤﺎ ﺃﺧﺬ ﻓﻲ ﺗﺴﻮﻳﺔ ﺍﻟﻠﺒﻦ ﻋﻠﻰ ﺍﻟﻠﺤﺪ ﻗﺎﻝ ﺍﻟﻠﻬﻢ ﺃﺟﺮﻫﺎ ﻣﻦ ﺍﻟﺸﻴﻄﺎﻥ ﻭﻣﻦ ﻋﺬﺍﺏ ﺍﻟﻘﺒﺮ ﺍﻟﻠﻬﻢ ﺟﺎﻑ ﺍﻷﺭﺽ ﻋﻦ ﺝﻧﺒﻴﻬﺎ ﻭﺻﻌﺪ ﺭﻭﺣﻬﺎ ﻭﻟﻘﻬﺎ ﻣﻨﻚ ﺭﺿﻮﺍﻧﺎ ﻗﻠﺖ ﻳﺎ ﺍﺑﻦ ﻋﻤﺮ ﺃﺷﻲﺀ ﺳﻤﻌﺘﻪ ﻣﻦ ﺭﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠﻪ ﺃﻡ ﻗﻠﺘﻪ ﺑﺮﺃﻳﻚ ﻗﺎﻝ ﺇﻧﻲ ﺇﺫﺍ ﻟﻘﺎﺩﺭ ﻋﻠﻰ ﺍﻟﻘﻮﻝ ﺑﻞ ﺷﻲﺀ ﺳﻤﻌﺘﻪ ﻣﻦ ﺭﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠﻪ ﺻﻞﻯ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ


Ibn E Maja Wa Baihaqi Ne Saeed Ibn E Musayyab Se Riwayat Kiya Hai Ki:

Mai Hazrat Abdullah Ibn E Umar Ke Sath Ek Janaze Mai Gaya Jab Mayyat Ko Qabr Me Rakha Gaya Tab Hazrat Abdullah Ibn Umar Ne Kaha Ki “BISMILLAH WA FI SABILILLAHI” Aur Jab Qabr Band Karne Lage To Dua Ki Ilahi !
Is Yani Murde Jo Shaitan Se Bacha Aur Qabr Ke Azaab Se Mahfooz Rakh Iske Baad Hazrat Abdullah Ibn E Umar Ne Farmaya Ki Yah Maine Rasoollullah
{SALLALLAHUALEHIWASALLAM} Se Suna Hai |

Imam Tirmizi Amar Ibn E Murra Tabai Se Riwayat Karte Hai Ki Jab Mayyat Ko Qabr Me Rakha Jata Hai Tab Sahaba Kiram Wa Tabaeen Yah Dua Karne Ko Mustahb Samjhte The Ki Ilahi Ise Shaitan Se Panah De.

Ibn E Abi Saiba Jo Imam Bukhari Wa Muslim Ke Ustad Hai Woh Apni Tasneef ﺍﻟﻤﺼﻨﻒMai Hazrat Khusema Se Riwayat Karte Hai Ki


ﺍﻟﻤﺼﻨﻒ« ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻟﺠﻨﺎﺋﺰ«
ﻣﺎ ﻗﺎﻟﻮﺍ ﺇﺫﺍ ﻭﺿﻊ ﺍﻟﻤﻴﺖ ﻓﻲ ﻗﺒﺮﻩ

ﻋﻦ ﺧﻴﺜﻤﺔ ﻗﺎﻝ ﻛﺎﻧﻮﺍ ﻳﺴﺘﺤﺒﻮﻥ ﺇﺫﺍ ﻭﺿﻌﻮﺍ ﺍﻟﻤﻴﺖ ﻓﻲ ﺍﻟﻘﺒﺮ ﺃﻥ ﻳﻘﻮﻟﻮﺍ ﺑﺴﻢ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﻓﻲ ﺳﺒﻴﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﻋﻠﻰ ﻣﻠﺔ ﺭﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠﻪ ﺍﻟﻠﻬﻢ ﺃﺟﺮﻩ ﻣﻦ ﻋﺬﺍﺏ ﺍﻟﻘﺒﺮ ﻭﻣﻦ ﻋﺬﺍﺏ ﺍﻟﻨﺎﺭ ﻭﻣﻦ ﺷﺮ ﺍﻟﺸﻴﻄﺎﻥ

Sahaba Kiram Jab Kisi Mayyat Ko Dafan Karte Is Dua Ke Karne Ko Mustahab Samjhte Thi Ki ALLAH Ke Naam Se ALLAH Ki Rah Me Rasoollullah
{SALLALLAHUALEHIWASALLAM} Ki Millat Par Ilahi Ise Yani Mayyat Ko Azabe Qabr,Dozakh,Wa Maloon Shaitan Se Panah De.

Mundarza Wala Hadeeso Se Sabit Hua Ki Us Waqt Yani Dafan Ke Waqt Shaitan Ke Dakhal Hai Aur Shaitan Ko Door Karna Sunnat Hai

Sabit Ho Cukha Hai Ki Shaitan Ko Door Karne Ke Liye Azaan Dena Accha Tareeka Hai To Yeh Bhi Sabit Hua Ki Qabr Par Azaan Dena Shariat Ke Mutabik Hai.


Sawaal :-

Kya Mayyat ko Dafnany ke baad qabr per Azan deni chaiye ya nahi…

Jawab :-

Jab Qabr me Murdy ko dafan kiya jata hai Aur uske Uper mitti dal di jati hai to wo farishto ke saath shaitan mardud bhi hazir hota hai.

Hadees :-

Sahi Bukhari aur Muslim sarif me hai ki Hazrat Abu Hurera se Riwyat hai sarkar Sallahu alayhiwasallm ne Irshad farmaya ke jab Mazzin Azan deta hai to tab shaitaan apni peeth Ghuma kar bhag jata hai..

Dusri Hadees me hai ke jab Azan hoti hai tab shaitaan 36 mil dur tak bhag jata hai
Aur jab murdy ko Qabr me Dafan kiya jata hai to shaitaan wahan hazir hota hai phir jab Azan ki awaz usky kano per aati hai to wo bhag jata hai is se ye sabit hua ke Azan dena chahiye kiyu ke jab farishty murdy se sawal karty hain to usey Azan ke alfaz yaad Aaty hai aur wo sahi jawab deta hai..

Hawala kitab.
(AZANE QABR MUSANNIF)

✏ALA HAZRAT IMAME AHMAD RAZA KHAN FAZILE BARELVY

 

HADEES:-

Imam Ahmad,Tibrani,Aur 
Bahiqi, Hazrat Jabir Ibne Abdullah
Radiallahuanhu Se Riwayat Karte
Hai Ki:-

Jab Hazrat Sa’ad Ibne Ma’az Radiallahuanhu Ko Dafan Kiya Gaya
Aur Qabr Band Kar Di Gayi,
Tab Sarkare Do Aalam Sallallahualehi
wasallam Bahut Waqt Tak Subhanallah,
Subhanallah Farmate
Rahe Aur Sahaba Kiram Bhi Huzoor
Ke Sath Sath Subhanallah
Subhanallah Kahte Rahe Iske Baad Huzoor Paak
Sallallahualehiwasallam Allahuakbar Allahuakbar Kahte
Rahe Sahaba Kiram Bhi Huzoor Ke
Sath Sath Allahuakbar Allahuakbar
Kahte Rahe| Iske Baad Sahaba Kiram Ne Bargahe Risalat Mai Arz Ki Ya Rasoolallah
{sallallahualehiwas allam} Aapne Shuruaat Me Tasbih
{Subhanal lah} Aur Aakhir Me
Takbeer{Allahua kbar} Farmaya Iski Wajeh Kya Hai ?

Irshad Farmaya Ki Yah Nek Mard

{Hazrat Sa’ad} Par Unki Qabr Tang Ho Gayi Thi Yanha Tak Ki Allah Tala Ne Unse Yeh Taqleef Door Farma
Di Aur Qabr Ko Choudi Farma Di…

Allama Tibri Sharah Mishkat Sharif Me Farmate Hai Ki Hadees Ka Mayne Yah Hai Ki Mai Aur Tum Ek
Sath Milkar Sab Allahuakbar
Allahuakbar, Wa Subhanallah
Subhanallah Kahte Rahe Yanha Tak
Ki Allah Tala Ne Inko Ta’ngi Se Najat
Di.

Hadees Se Sabit Hua Ki Sarkare Do Alam {Sallallahualeh iwasallam} Ne Khud Mayyat Par Asaani Ho Is Liye
Dafan Ke Baad Qabr Par Allahuakbar Allahuakbar Farmate
Rahe Yahi Lafz Allahuakbar Azaan
Mai 6 Martaba Hai….

Sabit Hua Ki Yah Kaam
{Qabr Par Azaan} Sunnat Ke
Mutabik Hai Azaan Me In Alfazo Se
Koi Nuqsan Nahi Aur Yah Kaam
Sunnat Ke Khilaf Bhi Nahi Balki
Fayda Hai Kyunki Allah Ki Rahmat
Ke Aane Ke Liye Zikr E Khuda Karna
Zaroori Hai|

Yah Tarika Ameer ul Momineen Hazrat Umar Farook E Azam ,
Hazrat Abdullah Ibn E Umar,
Hazrat Abdullah Ibn E Masood,
Hazrat Imam Hasan Mujtaba,
Wa Bahut Se
Sahaba Radiallahuanhum azmaeen
Ke Tarike Ke Mutabik Hai….

Fiqah Ki Kitab “Hidaya” Me Hai Ki:-

Bayan Karda Qalimat Me Se Kuchh
Bhi Kam Nahi Karna Cahiye Kyunki
Huzoor {Sallallahualeh iwasallam}
Se Esi Tarah Manqool Hai Isliye Isme Kuch Ghatana Nahi Cahiye….
?
?Albatta Agar Isme Kuch Alfaz Badahana Cahe To Jaiz Hai Kyunki Isme Khuda Ki Tareef Aur Bandgi
Ka Bayan Hai Aur Khuda Ki Tareef
Aur Bandgi Zahir Karne Ke Liye aur
Kalme Jyada Karne Se Koi Mumaniat
Nahi.

Maine Apni Kitab “Sifaul Lazzain Fi Qawnit Tsafohe Bi Qaffil Yadain ”
Me In Sab Baato Ka Zikr Kiya Hai.

(Idhanul Ajr fi Adhan il Qabr safa.8-9)

(By Sarkar Alahazrat radiallahuanhu}

 

Sunnat Hadees Aur Fiqah Se Sabit Hai Ki Marne Ke Waqt Ki Halat Me Murde Ke Pass LAILAHAILLALLAH Kahte Rahna Cahiye Taqi Yah Sunkar Usko Qalima Yad Aa Jaye……

HADEES;-

Hadeese Mutawatir Me
Ahmad, Muslim,
Abu Dawood,
Tirmizi,
Nasai,
Ibn E Maza, Ne Hazrat Abu Saeed Khudri,
Hazrat Abu Huraira,
Wa Ummul Momeneen Hazrat Aisha Radiallahu anha Se Riwayat Karte Hai Ki Huzoor E Aqdas
{SALLALLAHUALEHIWASALLAM} Irshad Farmate Hai Ki:-

“Tumhare Murdo Ko Laillahillallah Shikhao”
Jo Shaks Marne Ke Waqt Ki Halat Me Hai Woh Murde Ki Tarah Hai Usko Qalima Shikhane Ki Jarurat Isliye Hai Ki Khuda Ke Fazl Wa Karam Se Uska Khatma Qalime Par Ho Aur Wah Shaitan Ke Jaal Mai Fanskar Bhoolne Aur Bahkne Se Mahfooz Rahe.
Wa Jo Shaks Dafan Ho Chuka Hai Woh Haqiqat Me Murda Hai Usko Qalima Shikhane Ki Jaroorat Isliye Hai Ki Khuda Ke Fazl Wa Karam Se Use Munkar Nakeer Ke Sawalo Ka Jawab Yad Aa Jaye Aur Woh Shaitan Ke Bahkane Se Mehfooz Rahe.

Bila Subah!
Azaan Mai Qalima “LAILAHAILLALLAH” 3 Martaba Hai Balki Mukammal Azaan Ke Lafz Sunkar Munkar Naqeer Ke Sawalo Ke Jawab Yaad Aa Jate Hai
Munkar Naqeer Ke 3 Sawal Hote Hai:-
[1] M’an Rabbuka:Tera Rab Kon Hai ?

[2]Ma Deeno Ka:Tera Deen Kaun Sa Hai?

[3]Ma Qunta Taqoolu Fi Hazar Rajul: Tu Is Mard Yani Nabi
{SALLALLAHUALEHIWASALLAM} Ke Liye Kya Aqida Rakhta Hai?

Ab Azaan Ke Shuru Mai:- ALLAHUAKBAR,ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR,ALLAHUAKBAR.
Wa
ASHADHUA’NL LAILAHAILLALLAH, ASHADHUA’NL LAILAHAILLALLAH.

Aur Azaan Ke Akhir Mai:- ALLAHUAKBAR,ALLAHUAKBAR LAILAHAILLALLAH|

Yah Lafz Aate Hai Yah Tamam Lafz Munkar Naqeer Ke Pahle Sawal *M’an Rabbuka ? KA Jawab Shikayenge Yah Lafz Sunkar Yad Aayega Ki Mera Rab ALLAH Hai…..

 

MURDE KO DAFAN KARNE KE BAD QABAR PE AZAN…

HADEES:-

Abu Yala,
Hazrat Abu Huraira Radiallahuanhu Se Riwayat Karte Hai Ki Huzoor E Aqdas{SALLALLAHUALEHI
WASALLAM} Farmate Hai Ki:-

“UTFEUL HREEQA BITTAQBIRE”
Yani Aag Ko Taqbeer Se Buzaho…

HADEES:-

Ibn E Aadi,
Wa Ibnus Sunni,
Ibn E Asakir,
Hazrat Abdullah Ibn E Amar Ibn E Aas,Radiallahuanhum Se Riwayat Karte Hai Ki Huzoor Pur Noor{SALLALLAHUALEHIWASALLAM} Farmate Hai Ki:

“JAB AAG DEKHO ALLAHUAKBR KAHTE RAHO KI WAH AAG KO BUZHA DALTA HAI….

Allama Mnawi Tafseer Jame Sageer Mai Farmate Hai Ki Taqbeer Kahe Yani Khoob Allahuakbar Kaho Kyunki Aesa Karne Se Aag Buzh Jayegi…..

Mulla Ali Qari Alehi Rahmatul Bari Is Hadees Ki Sharah Mai Farmate Hai Ki Huzoor E Aqdas
{SALLALLAHUALEHI
WASALLAM} Qabr Ke Pas Der Tak Allahuakbar Kahte Rahe W’ah Hadees Aur Y’ah Hadees Ki Jisme Ki Aag Dekhkar Taqbeer Kahne Ka Bayan Hai Yah Dono Hadeeso Ka Huqm Wa Gazbe Illahi Ko Buzane Ke Liye Hai…
Isiliye Aag Dekhkar Taqbeer Allahuakbar Kahna Mustahab Hai….

Kitab Wasiltunnajat Mai Hartul Fiqah Ke Hawala Se Bayan Hai Ki Qabristan Walo Par Taqbeer Kahne Mai Hiqmat Hai Ki Rasool e Aqram {SALLALLAHUALEHIWASALLAM} Ka Irshad Hai Ki

“IZA RAYTUMUL HAREEKA FA KABBERU”
Yani Aag Lage Aur Tum Apne Hatho Se Use Buzha Na Sako To Taqbeer Kaho Kyunki Taqbeer Ki Barkat Se Aag Buzh Jayegi Kyunki Qabr Ka Azaab Bhi Aag Se Hota Hai Aur Use Ham Hamare Hatho Se Buzha Nahi Sakte Isliye Taqbeer Kahni Cahiye Ki Taqbeer Ki Wajeh Se Dozakh Ki Aag Se Najat Ho….

Yaha Par Sabit Hua Ki Musalman Ki Qabr Par Taqbeer Allahuakbar Allahuakbar Kahna Ek Tarah Ki Sunnat Hai To Qabr Par Azaan Dena Bhi Sunnat Ke Mutabik Hi Hai…

Azaan Mai Allahuakbar Ke Alawa Jo Lafz Hai Wah Mana Nahi Balki Fayde Wale Hai Jiska Bayan Daleel No. 2 Mai Ho Cuka Hai….

ﺇﻳﺬﺍﻥ ﺍﻷﺟﺮ ﻓﻲ ﺃﺫﺍﻥﺍﻟﻘﺒﺮ

{Idhanul Ajr fi Adhan il Qabr page.11-12}