async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Sarkar Khwaja Gareeb nawaz

Wednesday, February 9, 2022

Sarkar Khwaja Gareeb nawaz

Yeh Jispe NIGAH Daal dein Qutub-Gaus Banaden!

"Jab Huzoor Khwaja Gareeb Nawaz ne Hazrat Khwaja Usman Haruni RadiAllahu Ta'ala Anhu ki 20 saal Khidmat ki to Hazrat Usman Haruni RadiAllahu Ta'ala Anhu ne farmaya Moinuddin Tumhara kaam pura hogaya. Aur Aapne Khirka-e-Khilafat ata farmaya. Faarsi ki kitab Siyarul Aarifeen me aaya hai. Fir Huzoor Khwaja Gareeb Nawaz ko lekar Hazrat Khwaja Usman Haruni Harmain Shareefain chalte hain. Sahib e Siyar ul Aqtab bayan karte hain ke jab Makka Muazzama pahunche to Aapke Peer-o-Murshid Hazrat Khwaja Usman Haruni RadiAllahu Ta'ala Anhu Aapko Hateem me Kaabatullah ke Mizab ke niche lekar khade hue. Arz karte hain Baari Ta'ala Mere Moinuddin ko Kabool karle. Gaib se Nida aayi Moinuddin Hamara Dost hai, Hamne Isey Apne Mehboob, Maqbool aur Barguzida Bando me shamil karliya.

Ye Allah Pak ki taraf se izn o ishara paakar fir Madina Tayyeba Hazir hote hain.
Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Bargah me Haazri dete hain fir Hazrat e Gareeb Nawaz ko Unke Shaykh Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Ki Bargah me pesh karte hain, aur arz karte hain Moinuddin Aaqa ko Salam Pesh kar! 

Huzoor Khwaja Gareeb Nawaz Aaqa ki Bargah me Salam arz karte hain aur Aaqa ki Bargah se jawab aata hai:  WA ALAIKAS SALAM YA QUTBUL MASHAYIKH. (Ay Moniuddin Tujhpar Salam ho Tujhe Qutbiyat ka Muqam ata kardiya hai)!!!

Aur Qutbiyat Wilayat ka aakhri darja hai. Aap samjhte hain ke Gaus aakhri muqam hota hai, durust karen ilmi baat ko ke Wilayat ka aakhri masnad darja o rutba Qutub hota hai. Qutub kabhi 3 hote hain kabhi 5 aur aakhri hadh 7 hote hain. Un 3 ya 5 ya 7 Qutubo me se jo senior most hota hai usko Qutbon ke upar Muntazim e Aala banaya jaata hai. hota wo Qutub hai par uski seniority ki wajah se usey GAUS ka title dete hain.
To Wilayat me jo aakhri had tak pahunche unhe Qutbiyat ka Muqam mila.

Aur ye Khwaja Gareeb Nawaz,...jis kisike dilme ikhtelaf ho (aage ki baat sunkar) fir maazrat ke saat (agar palle na pade baat to chod den par hai haqiqat ke) Ye Khwaja Gareeb Nawaz faqat Gaus nahi Ye Wo Gareeb Nawaz Hain, Ye Wo Qutub Hain, Ye Wo Qutbul Mashayikh Hain, Ye Wo Gausul Aulia Hain ke khud sirf Gaus nahi balke kai Gaus banane waale hain!! Kitne Qutub banke gaye honge!!

Ek muqaam Wilayat ki duniya me Baazo par ek Muqaam aisa bhi aajata hai ke Unke Muqaam ko fir Qutub aur Gaus ke titlo se naapa nahi jata, fir wo Qutub banaate hain aur Gaus tayyaar karte hain!!!

Hazrat-e-Khwaja Gareeb Nawaz sirf Qutub nahi Qutubgeer hain aur fakat Gaus nahi Gausgar hain!! 
JISPE NIGAH DAAL DEN GAUS BANADEN!!!"


*Aag ki kya majaal ke Khuda ke Dosto ke Jodo ko jala sake!*

"Jab Huzoor Khwaja Gareeb Nawaz Baghdad me Qayam farma they, to Baghdad ke Qayaam ke zamane me Aapki Wilayat ka jab charcha hogaya, to Huzoor Khwaja Gareeb Nawaz ki Wilayat ka imtehaan lene keliye 7 aatishparast jogi aaye. Bahot bade kamil they wo jogi apni riyazat me. Aur unka aalam ye tha ke 6-6 maah tak riyazat karte roze rakhte aur ek luqme se roza iftar karte, 6-6 maah tak!
Wo saato Huzoor Khwaja Gareeb Nawaz ki Bargah me Baghdad Shareef ke Qayam ke dauran aaye. Unka khayal tha ke hum apne tasarruf aur tawajjoh ke saath Aapke Mubarak Kadam mutazalzal kardenge.
Ju he Khwaja Gareeb Nawaz ki Bargah me wo 7 aatishparast jo apne fun me maahir they kamil they, pahunche,  Huzoor Khwaja Gareeb Nawaz ki unpe Jo Nazar padi wo kanpne lag gaye! Unke rang zard hogaye! Sarkar Gareeb Nawaz ne Zubaan-e-Aqdas se kuch nahi kaha, wo saato ke saato bayiktiyar Aapke Kadmo pe gir pade!

Aapne Dars diya, farmaya: Nadano! tum aag ki parastish kyu karte ho? unhone kaha: isliye karte hain taake marne ke baad, Qayamat ke Din aag hame na jalaye! 
Aapne farmaya: Is tarah se to aag ke jalane se bach nahi sakte. Jab tak Khuda ki Parastish na karoge to aag to tumhe jalayegi! 
unhone jawab me kaha: Aap to Khuda ki Parastish karte hain, kya Aapko aag nahi jalayegi?

Aapne farmaya: Mujhe aag me jalane ki baat karte ho? Moinuddin ke Jodo ko bhi nahi jalayegi!!

Wo dang rehgaye unhone kaha Aap hame manzar dikhaden! Aapne gulamo se kaha ke Mere Joote uthake aag me daaldo! Huzoor Khwaja Gareeb Nawaz ke Jodey, Baghdad Shareef ke Sarzameen ka waqiya hai. Jodey aag me daale, der tak pade rahe! Aapne Hukm diya: "Aag Moinuddin ke Jodo ka khayal karna!" 
Der ke baad Jodo ko aag se nikala, Gaib se Aawaz aayi:
"Aag ki kya majaal ke Khuda ke Dosto ke Jodo ko jala sake!"
Wo wahi Musharraf ba Islam hogaye! Aur Aapki Gulami ikhteyar karli aur Aapki Tawajjoh aur Tarbiyat aur Sohbat se Aulia-e-Kamileen tehre!
Ye pura waqiya Siyar ul Aqtab me aaya hai!"

RadiAllahu Ta'ala Anhu


*Tumhari Hamari,Sabki Musalmani Sadqa hai Khwaja Gareeb Nawaz ke Kadmo ka!*

"Jab Sarkar Gareeb Nawaz Ajmer tashreef laaye aur Pritviraaj ki bahot koshish aur sazisho ke bawajood bhi jab rafta rafta atraaf o aknaaf fatah hone lage, Aapke paas talwar nahi thi magar har ek ka dil shikaar karte chalegaye aur is tarah Hind ki fatah shuru hogayi! Is kaifiyat me jidhar Nigah pad jaati fasiq muttaqi ban jata, jidhar Nigah pad jaati munkir momin hojata! Nigah-e-Wali me wo taaseer dekhi, badalti hazaro ki taqdeer dekhi! Jab har taraf Aapka Asar phailta chala gaya, to fir Aapne logo ko bheja ke ab raja prithviraaj ko Dawat-e-Islam den. Usne radd kardi. Siayarul Aqtaab me aaya hai aur Siyaraul Aulia me aur Akhbarul Akhyaar me aur Matloob ul Aarifeen me, bahot si kitabo me, ke raja gusse me aagaya kyunke ab uske saare sahare khatam hogaye they (Shadiraam, Ajay Paal, etc). Usne kaha ke ab naubat yaha tak aapahunchi ke mujhe Dawat di? To usne jo log dawat leke gaye they unko jadokop kiya, azeeyat di. Jab taklif pahunchayi ayeezat di, to wo bichare daudke aake Huzoor Khwaja Gareeb Nawaz ki Bargah me ilteja karne lage ke usne bada zulm kiya hai, hamari baat nahi maani. Us mauqa par Khwaja Gareeb Nawaz Jalal me aagaye! Sahib-e-Siyarul Aulia, Sahib-e-Mutloob ut Taalibeen, Sahib-e-Rauzatul Aqtaab, Sahib-e-Akhbarul Aulia, kul kutub Aapke Sawan-e-Hayat ke Muttafiq hain ke Jalal me aake Aapne Khitab kiya aur prithviraaj ko kaha:
"Wada Pathoda Ra, Zinda Giraftem, Wa Dadem ba Lashkar-e-Islam!"
Ke "Ay raja pathoda, Humne tujhe zinda giraftaar karliya aur Lashkar-e-Islam ke supurd kardiya!"
Ye jumla kehne ki der thi, Aap yaha farma rahe hain aur udhar Sultan Shahabuddin Gauri ghar soya hua hai. Yaha ye jumla farmakar uske khwab me aate hain aur usse farmate hain: "Shahabuddin tujhe Hindustan ki Badshahat Ata kardi!"

Tajdar-e-Kainat ne farmaya tha "Moinuddin Tujhe Hind Ata Kardiya!" Arey mai Khwaja Gareeb Nawaz ko Hind ka Sultan kyu na kahu? Ke udhar Afghanistan me lete Shahabuddin Gauri ko kehte hain Aap ke Hindustan ata kardiya! Khuda ki Qasam! Agar Mere Khwaja, Shahabuddin Gauri ko Hindustan na dete, wo laakh hamla karta, yaha Saltanat-e-Islam wo kaayam na karsakta! Shahabuddin Gauri tujhe Saltanat-e-Hind mili, tujhe Takht-e-Ajmer mila, tujhe Takht-e-Dehli mila, Hind ki saltanat mili, ye Karishma teri fauj ka nahi hai! Tere jung ke hunar ka nahi hai! Ye Sadqa hai Gareeb Nawaz ke Kadmo ka! ye Khayrat hai, Saltanat Musalamno ki kaayam hui to ye Khayrat hai Sarkar Gareeb Nawaz ke Jodo ki! 

Tum sab log, tumhare aaba wa ajdaad, tumhari pushte musalman bani! Tum gair muslim they, buto ke pujari they, tumhe Mustafa ki Khabar mili, tumhe Imaan mila, tumhari pushto ko Imaan mila, tum Musalman hue! Khuda ki Qasam! Tumhari Hamari, Meri tumhari, sabki Musalmani Sadqa hai Khwaja Gareeb Nawaz ke Kadmo ka! Khayrat hai Gareeb Nawaz ke Jodo ki! Isliye Wo Ata-e-Rasool bhi hain aur Naaib-e-Nabi bhi hain!!
Kaaya palat di! Hind ki Taqdeer badal di! Rukh badal diya, Tarikh badal di! Ye Inka Tasarruf tha, kisi sultan ka hunar na tha, kisi fauj ka kamal na tha, Ye Huzoor Khwaja-e-Ajmer RadiAllahu Ta'ala Anhu ka Apna Karam tha!"


(Allahumma Salle Ala Sayyedina wa Maulana Muhammadiw wa Ala Aalihi wa Sahbihi wa Baarik wa Sallim.)

No comments:

Post a Comment