async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Fauze Ghum Ki Baraa Bar Chadhayi Hai

Friday, January 1, 2016

Fauze Ghum Ki Baraa Bar Chadhayi Hai

Fauze Ghum Ki Baraa Bar Chadhayi Hai

Fauze Ghum Ki Baraa Bar Chadhayi Hai
Dafa E Ghum Tumhari Duhayi Hai

Umr Khelo(n) Me Humne Gawayi Hai
Umr Bhar Ki Yahi To Kamayi Hai

Tumne Kab Aankh Humko Dikhayi Hai
Tumne Kab Aankh Humse Firayi Hai

Tu Khuda Ka Huwa Aur Khuda Tera
Tere Qabze Me Saari Khudayi Hai

Jab Khuda Khud Tumhara Huwa To Fir
Kaun Si Cheez Hai Jo Parayi Hai

Ambiya(n) Ko Rasaayi Mili Tum Tak
Bass Tumhari Khuda Tak Rasaayi Hai

Mera Beda Kinare Lage Pyare
Nuuh Ki Naa(n)v Kisne Tirayi Hai

Aagh Ko Baagh Kisne Kiya Pyare
Tum Ne Tumne Hi Qudrat Ye Paayi Hai

Kaash Wo Hashr Ke Din Kahe Mujhse
Naare Douzakh Se Tujhko Rihaayi Hai

Taybah Jau Waha Se Na Wapas Aau
Mere Jee Me To Abb Ye Samayi Hai

Shouqe Deedaar E Noori Me Ay Noori
Rukh Kheench Kar Abb Aankhon Me Aayi Hai

No comments:

Post a Comment