Allah ke naam se shuru
Ummul momineen Hazrat Aayesha siddiqa radiallahu anha se riwayat hai ki Ek Aurat HUZOOR Sallalaho Alayhi Wasallam se Haiz ke Gusl ke bare me pucha Aapne use bataya:
Ye gusl kare aur phir farmaya Mushk (Kasturi) se basa hua rui ka faya le aur usse taharat hasil kar Wo samajh na saki aur kaha Kis tarah Taharat karu?
Huzoor ne farmaya usse taharat karo Hazrat Aayesha farmati hai Maine us Aurat ko apni taraf khich liya aur use bataya ki use khoon ke mukam par phere.
(Bukhari shareef Jild 1 Bab 215 Hadees 305 Safa 201)
••NOTE••
is zamane me Mushk milna mushkil hai isliye uski jagah Gulab ka paani ya itr ka faya le. phir gusl kare. Aksar aurto me ye baat mash’hoor hai ki bachcha janne (yani bachcha janam dene) ke baad pure 40 din tak lazim Napak hi rahti hai. Ye bilkul ghalat hai. Nifas ki Muddat zyada se zyada 40 din hai,agar 40 din ke baad bhi agar khoon band na huwa to wo nifaas nahi balke maraz (bimari) kahlayega. 40 din hote hi gusl kar ke roza namaz shuru karde, phir bhale hi khoon jari ho kyu ki ye marz ka khoon hai ab agar 40 din ke andar hi khoon band ho gaya to aurat napak na rahe balke gusl karke namaz roza shuru karde, agarche bachcha janne ke 5 minute baad hi khoon band ho gaya tab bhi gusl karke namaz – roza shuru karde. phir agar 40 din pure hone se pahle agar khoon phir aagaya to wo nifas hi ka khoon kahlayega.
Refrences-
[Makhuz az Fatawa Razwiyyah Mukharraja, jild 4, page No. 354 to 356]
No comments:
Post a Comment