Aayat-ul-Kursi
اللَّهُ لَا إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ ٱلْحَىُّ ٱلْقَيُّومُ ۚ لَا تَأْخُذُهُۥ سِنَةٌۭ وَلَا نَوْمٌۭ ۚ لَّهُۥ مَا فِى ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِى ٱلْأَرْضِ ۗ مَن ذَا ٱلَّذِى يَشْفَعُ عِندَهُۥٓ إِلَّا بِإِذْنِهِۦ ۚ يَعْلَمُ مَا بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَمَا خَلْفَهُمْ ۖ وَلَا يُحِيطُونَ بِشَىْءٍۢ مِّنْ عِلْمِهِۦٓ إِلَّا بِمَا شَآءَ ۚ وَسِعَ كُرْسِيُّهُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلْأَرْضَ ۖ وَلَا يَـُٔودُهُۥ حِفْظُهُمَا ۚ وَهُوَ ٱلْعَلِىُّ ٱلْعَظِيمُ
(سورۃ البقرہ: 255)
✨ Tarjuma:
"Allah! Uske siwa koi Ma’bood nahi, wo zinda hai, sabka qayam rakhne wala, use na اونگ آئے na neend, usi ka hai jo kuch asmano me hai aur jo kuch zameen me, kaun hai jo uske huzoor sifarish kare magar uski ijazat se? Jaanta hai jo unke aage hai aur jo unke peeche, aur wo uske ilm me se kuch nahi paate magar jitna wo chahe, uski kursi asmanon aur zameen ko gheray hue hai, aur unki hifazat uspar bhaari nahi, aur wahi Azeem Zaat hai."
🌟 Fazilat (Fazail) Aur Faide:
- Duniya aur Aakhirat ki Hifazat: Aayat-ul-Kursi padne se Allah hifazat farmata hai.
- Shaitani Waswason se Nijat: Jo shakhs is aayat ko subah aur shaam padhta hai, shaitan uske qareeb nahi aata.
- Qabr ke Azab se Bachav: Is aayat ka musalsal wazifa qabr ke azab se bacha sakta hai.
- Jannat ka Zariya: Hadees me hai jo har namaz ke baad Aayat-ul-Kursi padhe, uski jannat me daakhil hone ki rukawat sirf maut hai.
Aap is aayat ko rozana yaad karein aur har namaz ke baad iski tilawat karein.
No comments:
Post a Comment