Sunday, January 18, 2026

Aurat ka Mazar pe jana kaisa?

Auraton ka Qabristan ya Mazar par Jana

Ahle Sunnat ka Tahqiqi aur Mo‘tadil Nazariya
Islam ek fitrat-pasand aur hikmat wala deen hai. Har hukm sirf jaiz ya na-jaiz tak mehdood nahi hota, balki halat, fitna aur nateejon ko bhi dekha jata hai. Auraton ke qabristan ya mazaron par jane ka masla bhi isi qisam ka ek nazuk aur aham masla hai, jisme Ahle Sunnat wal Jamaat ka nazariya balance aur ehtiyat par mabni hai.

Ala Hazrat farmate hain ke
Asah qawl ye hai ke auraton ka qabristan aur mazaron par jana jaiz nahi.
Is hukm ki wajah Ala Hazrat ne ye bayan farmai:
Aurat ka mizaj fitratan jazbati aur narm hota hai
Qabron par ja kar aksar
gham taza hota hai
sabr ke bajaye rona, cheekhna, jaz‘a-faza‘ ho jata hai
ya phir bepardagi, be-adabi aur ghair-shar‘i harkaton ka khatra hota hai
Isi liye Ala Hazrat رحمۃ اللہ علیہ ne itlaqan (general taur par) auraton ko qabristan aur mazaron par jane se mana‘ farmaya.

Ahem baat Ye mana‘ aurat hone ki tauheen nahi, balki fitne se bachane aur deen ki hifazat ke liye hai.

 Ahadith ki Roshni me Masla
 1 Hadith-e-La‘nat
Nabi Kareem ﷺ ne farmaya:
Allah Ta‘ala ne un auraton par la‘nat farmai jo qabrain ziyarat karti hain.
(Sunan Tirmizi)
Is hadith ki bunyaad par:
Kai Ulama-e-Ahle Sunnat ne auraton ke qabristan jane ko na-jaiz
aur kuch ne sakht makrooh kaha

2 Qabron ki Ziyarat ki Ijazat wali Hadith
Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya:
Main ne tumhein qabron ki ziyarat se mana kiya tha, ab ziyarat ki ijazat hai.
Ulama-e-Ahle Sunnat farmate hain:
Ye ijazat mardon ke liye bil-ittifaq hai
Auraton ke liye ye ijazat mutlaq nahi, balki qayd aur sharaait ke sath hai

 Phir kuch Ulama ne jaiz kyun kaha?
Ye baat samajhna bohot zaroori hai.
 Agar poora shar‘i parda ho
koi rona-dhona, cheekhna, matam na ho
koi be-adabi, fitna na ho
 To rukhsat ke taur par jaiz kaha gaya.

 Yahan wazeh farq samajhna zaroori hai:

Jin Ulama ne na-jaiz kaha, unhon ne bepardagi aur fitne ki wajah se kaha

Jin Ulama ne jaiz kaha, unhon ne bhi sirf parde aur fitne se bachne ki shart ke sath kaha

Is liye ye ikhtilaf aqeede ka nahi, balki halat aur nateeje ka hai.

Mazarat-e-Awliya ka Hukm
Ala Hazrat رحمۃ اللہ علیہ ke nazdeek:
Mazaron par auraton ka jana:
zyada bheer
ghair-shar‘i rawaiyat
aur fitne ka sabab
ban jata hai, is liye yahan mana‘ aur zyada sakht hai.

 Roza-e-Rasool ﷺ ka Istisna
Is masle me ek bohot aham istisna hai:
 Roza-e-Rasool ﷺ ki ziarat
Auraton ke liye jaiz hai
balki bari barkat aur sa‘adat wali hai
kyun ke yahan:
adab aur ehtram hota hai
fitne ka andesha nahi hota

 Ahle Sunnat wal Jamaat ke nazdeek:
Auraton ka qabristan aur mazaron par jana afzal nahi
aam taur par mana‘ hai
aur jin Ulama ne jaiz kaha, unhon ne bhi sirf parde aur fitne se bachne ki shart ke sath kaha
 Is masle me: na sakhti durust hai na hi la-parwahi

 Behtareen raasta wahi hai jo Ala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan رحمۃ اللہ علیہ ne dikhaya:
Ehtiyat, adab aur fitne se doori.

Aur Ek jagah Alahazrat farmate hain.
Mujhe yaad nahi ke maine auraton ke mazar par jane ko sarihan ‘haraam’ likha ho,
albatta maine adab aur ehtiyat ke saath ‘hillat’ (rukhsat / gunjaish) ki taraf ishara zaroor kiya hai.

Monday, January 12, 2026

Social Media Par Fahashi Phailane Wale Musalmano Ke Liye Qur’an o Hadees Ki Sakht Warning

Jo Log Social Media Par Apne Aap Ko Musalman Keh Kar Fahashi Aur Gande Videos Daalte Hain — Unke Liye Qur’an o Hadees Ki Sakht Warning 

Aaj ka daur social media ka daur hai. Facebook, Instagram, YouTube, TikTok jaise platforms par laakhon Musalman apni pehchaan “Musalman” ke taur par karwa rahe hain.

Lekin afsos ke saath kehna padta hai ke isi social media par kuchh log be-hijhaki fahashi, behayai aur galiz videos upload kar rahe hain, aur phir bhi apne aap ko Musalman kehlate hain.

 Qur’an Shareef is rawaiye ko sakhti se haram aur gumraahi qarar deta hai.

 Fahashi Phailana Qur’an Ki Nazar Me
Allah Ta’ala irshad farmata hai.

Beshak jo chahte hain ke Musalmano me behayai phailay, unke liye duniya aur aakhirat me dardnaak azaab hai.
(Surah Noor, Aayat 19 )

Is aayat me sirf fahashi karne walon ki baat nahi,
balki fahashi PHAILANE walon ke liye bhi sakht azaab ka elaan hai.

Aaj jo shakhs bhi
gande dance videos, behuda comedy,
ashleel reels, na-mehram ke saath behayai,
ya logon ko gunah par uksane wala content
upload karta hai,

wo sirf apna nahi balki hazaron logon ka gunah apne sir le raha hai.

 Gunah-e-Jaariya: Maut Ke Baad Bhi Gunah Band Nahi Hota

Rasoolullah ﷺ irshad farmate hain:
Jis ne gumraahi ka rasta shuru kiya, us par uska gunah bhi hoga aur un sab ka bhi jo us par amal karein, bina unke gunah kam hue.
(Sahih Muslim)

Sochiye
Agar aapka dala hua fahashi video 1 saal baad dekha ja raha hai Ya
5 saal baad bhi log usse gunah kar rahe hain
aap qabr me hain aur video chal raha hai

 Toh ye gunah-e-jaariya hai — aisa gunah jo maut ke baad bhi khatam nahi hota.

Ek Aisa sach jiska inkar koi nahi karta pure dunya me Aur na koi inkar kar sakta hai wo hai Mout.
Maut Ka Koi Bharosa Nahi Qur’an farmata hai:

Har jaan ko maut ka maza chakhna hai.
(Surah Aal-e-Imran, Aayat 185)

Aaj jawani hai, views aa rahe hain, likes mil rahe hain
lekin kya guarantee hai ke agla saans milega?

Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya:
Aqalmand woh hai jo apne nafs ko qaboo me rakhe aur maut ke baad ke liye tayyari kare.
(Tirmizi)

 Kya humne socha Qabr me sabse pehla sawal kya hoga?
Aankhon, kaanon, haath aur zaban ka hisaab kaise denge?

Jo video aaj entertainment’ lag raha hai kal azaab na ban jaye?

 Be-Hayai Imaan Ko Kha Jati Hai
Nabi ﷺ farmate hain:
Haya imaan ka hissa hai.
(Bukhari & Muslim)

Aur ek jagah irshad farmaya:
Jab tum me haya na rahe, to jo chaho karo.
(Bukhari)

 Yani be-hayai insaan ko har gunah par be-khauf kar deti hai.

 Abhi Bhi Waqt Hai — Tauba Kar Lo
Allah Ta’ala farmata hai:
Aur wohi hai jo apne bandon ki tauba qubool farmata hai.
(Surah Shura, Aayat 25 )

Agar aapne kabhi galat content dala hai
kisi ko gunah par uksaya hai
behayai ka sabab bane hain

 toh aaj hi Sanchi tauba karein
Sab galat videos delete karein
Allah se ro-ro kar maafi maangein
Apne platform ko Deen, achhi baat aur nekhi ke liye istemal karein 

Aur Aaj kuchh log sirf paisa, views aur monetization ke lalach me behayai aur fahashi ka rasta ikhtiyar kar rahe hain. Yaad rakho, haraam se kamaya gaya paisa na barkat deta hai, na sukoon, balki aakhirat me azaab ka sabab banta hai.

Allah Ta’ala irshad farmata hai.
Aur gunah aur zyadti par ek dusre ki madad na karo.
(Surah Maida, Aayat 2 )

Fahashi content bana kar paisa kamana gunah par madad lena hai. Rasoolullah ﷺ ne farmaya.
Jo jism haraam se pala bada ho, uske liye jahannam zyada haqdaar hai.
(Tirmizi)

Jo log majboori ka bahana banate hain, unke liye Qur’an ka faisla wazeh hai:

Aur jo Allah se darta hai, Allah uske liye nikalne ka raasta bana deta hai aur use wahan se rizq deta hai jahan se use gumaan bhi nahi hota.
(Surah Talaq, Aayat 2–3 — Kanzul Imaan)

 Yaad rakho: camera band ho jayega, paisa yahin reh jayega,
lekin fahashi ka gunah qabr tak saath jayega, aur agar video chalti rahi to gunah-e-jaariya banta rahega.
Abhi bhi waqt hai — haraam chhod do, galat content delete karo aur Allah ki taraf sachhi tauba kar lo.

 Faisla aaj karna hai, kal nahi 
kyunki kal ka koi bharosa nahi.
Allah Ta’ala hum sab ko fahashi aur behayai se mehfooz farmaye aur sachi tauba ki taufeeq ata kare. Aameen.