async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD

Friday, June 26, 2015

Taraweeh ki 20 rakat ka bayan part 4 and full details

@01 Taraweeh Hamare Pyare Nabi Ki Sunnat Hy. Isky Suboot Me Ba'Kasrat Ahadis Mojud Hen Mah e Ramazan Me Namaz e Isha Ke Baad Parhi Jany Wali Namaz Ka Naam Taraweeh Hy Aur Iski 20 Rak'at Hen Ye Namaz Sunnat e Moakkada Hy Aur Iska Chorna Jaaiz Nahi. (Durre Mukhtar V#2 P#493)

TARAWEEH @02 Nabi Paak Sy Taraweeh Ka Jama'at Sy Parhna 3 Baar Saabit Hy. (Abu Dawod V1 P#190) (Nisai V1 P#238) (Tirmizi V1 P#99) (Ibne Maaja P#94) NABI Paak Alahissalam Ne Ye Farmaty Hue Ke Mujhe Khouff Hy Ke Taraweeh Tum Par Farz Na Kar Di Jaye, Jama'at Tark Kardi (Bukhari V1 P#269) (Muslim V1 P#259) TARAWEEH @03 Q.Kitni Rak'at Taraweeh Sunnat He? A. Hazrat Abdullah Ibn e Abbas RadiyALLAHu Anhu Raawi Hen Key Sarkar Alaihissalatu Wassalaam Ramazan Me Witar K Ilawa 20 Rak'at Ada Farmatey (Tibrani Ausat J1 P#444) (Behiqi P#42) (Musanif Ibn e Abi Shaiba J2 P#394) Hazarat e Umer, Usman O Ali Ridwanullahi Alaihim Ajmayin Ke Dour Me Bi Yahi Raaij Tha (Mo'ta Imam Maalik, Behiqi) Iske Elawa Imam Tirmizi Ne J1 P#139 Par Bhi Is Baat Ki Taayid Ki TARAWEEH @04 # 8 Ya 20 # 20 Rak'at Namaz e Taraweeh Huzoor Alaihissalam Ki Sunnat Hey (Behqi V2 P#496) (Qyam ul Lail P#91) (Tirmazi V1 P#112) "Hazrat Umar RadiyALLAHu Anhu Ke Zamaney Men Loug Ramadan Men 20 Rak'at Namaz e Taraweeh Aur 3 Witar Parhty Thy" (Behiqi V2 P#496) (Mou'ta Imam Maalik H#98) TARAWEEH @05 Dour e Farooqi Me Taraweeh Ki 20 Rak'aten Hi Parhi Jaatin (Behiqi V2 P#699 H#4617) Imam Qustalani Farmaty Hen; Dour e Umar e Farooq Ki Taraweeh (20 Rak'at) Misl e Ijmaa Ke Hy (Irshad Us Sari V4 P#578) TARAWEEH @06 Ibne Abi Sheba Ne Apny Musannaf Me Ibne Abbas Se Riwayat Kya; Nabi Alaihissalam Ramzan My 20 Rak'at Taraweeh o Witar Parha Krty. Is Hadees Ko Ibn e Humaid Ne Apne Musnad My, Tabrani Ne Moajam My, Behaqi Ne Sunan My Riwayat Kya Ye Hadees 20 Rak'at Taraveeh K Masnun Hone Pr Bayyan Suboot Hy TARAWEEH @07 Saaib Bin Yazeed; Hum Hazrat Umar Ke Zamany My 23 Rak'at Parhty (20 Taraweeh+3 Witar) (Bahiqi 4/61) Yazeed Bin Roman; Hum Hazrat Umar Ke Zamany My 20 Rak'at Parhty (Mou'ta Imam Malik) Aaj Bi Dunya Ke 98% Log 20 Rak'at Hi Taraweeh Parhty Hen 8 Rak'at Parhny Waly Aatty Me Namak K Brabar Hen TARAWEEH @08 Wahabi 8 Rakat ki Daleel Bukhari Etc Sy Ye Laaty Hen Ke Amma Ayesha Farmati Hen; Nabi Paak AlaihisSalam Ramzan o Gaire Ramzan Me 11 Rak'at Parhty Thy Lihaza Is Sy Sabit Hua 3 Witar o 8 Taraweeh Hui. Jawab; Ye Hadees Tahajjud Ke Lye Hy, Kyunke Alfaz "Ramzan o Gair e Ramzan" Is Baat Ko Sabit Karte Hen Ke Namaz Ramzan Ke Elawa Bhi Parhi Jaati Thi Jabke Taraweeh Ramzan Me Hi Parhi Jaati Hy. Aur Tahajjud K Lye Sona Shart, Taraweeh Ke Lye Nahi. TARAWEEH @09 #Dusra Jawab# Wahabi Is Hadees Me Bila Daleel Apni Taraf Sy Lafz Namaz Ke Sath 'Taraweeh' Ka Lafz Barhaty Hen Jo Hadis Me Tehreef Ke Saath Iska Mazaq Bi Hy KyunKe Wahabi Tarjuma Ki Waja Sy Amma Ayesha Ke Qoul Ka Matlab Ye Hua Ke Sarkar Pure Saal 8 Taraveeh+3 Witar Parhty Thy Jo Ke Galat Hy TARAWEEH @10 #Teesra Jawab# Is Hadees Ke Aakhir My Vitar Parhny Sy Pehly So Jaty Ke Saath Ye Alfaz Bi Hen Ke "Aye Ayesha! Meri Aankhen Soti Hen, Magar Mera Dil Jaagta Hy" Ye Jumla Bi Is Namaz Ke Tahajjud Hone Ki Taraf Ishara Hy. (Bukhari V1 P#154) (Muslim V1 P#254) (Abu Dawood) (Nisai) (Tirmizi) TARAWEEH @11 Gair Muqallideen Wahabiyon Ke Imam Ibne Timiya Ne Apni Kitaab (Minhajus Sunnah V4 P#220) Me Likha "Behaqi Ne Sahi Asnad Ke Saath Riwayat Kya Ke Sahaba Hazrat Umar Ke Dour Me 20 Rak'at Taraweeh Parha Karty Isi Tarhan Hazraat e Usman o Ali Ridwanullahi Alaihim Ajmain Ke Ehad My Parha Karty TARAWEEH @12 Wahabiyo Ke Ek Aur Peshwa Nazeer Hussain Dehalvi Ke Baarey Me Mash'hur Hy Ke Wo 1 Khatm e Qur'an Taraweeh My Suntey Aur 1 Namaz e Tahajjud My Sunty Thy Lihaza Agar Taraweeh Aur Tahajjud 1 Namaz Hy To Molvi Nazeer Hussain Alag Alag Parh Kar Bid'at Fiddeen Ke Murtakib Huey Ya Nahi? TARAWEEH @13 #CHALLANGE# "Najd" Se Lekar "Mureed Key" Tak Ke Tamam Wahbi Hazraat Ko!! Ke Ek Sahee Hadees Dikhayen Jis Me Ye Alfaz Hon Ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam 8 Rak'at "Taraweeh" Parhty They Ya Uska Hukm Farmaty They Ya Sahaba Karam Ne 8 Rak'at Taraweeh Daayimi Tour Par Qayim Farmayi TARAWEEH @14 #GHOUR TALAB BAAT# 6,10,15,20 Roza Taraweeh Parhna Kya Dour e Nubuwwat Ya Doure Sahaba My Tha Nahi.. To Aaj Wahabi Deobandi Kyun Parhty Hen? Inke Hisab Sy To Ye Bid'at He Na?? Jabke Hum Sunni To Is Hadis Par Amal Karty Hen Ke Jo Islam Me Acha Tariqa Nikaly To Us Par Sawab Hy (Muslim) TARAWEEH @15 Q.Taraweeh Me Jaldi Jaldi Qur'an Parhna Kesa Hy? Ans. Aaj Kal Aksar Huffaaz Is Tarah Parhty Hen Ke Madd Ka Adaa Hona To Bari Baat Hy "Yalamuna", "Talamuna" Ke Siwa Kisi Lafz Ka Pata Bhi Nahi Chalta, Halaanke Is Tarah Qur'an Parhna Sakht Haram Hy (Bahare Shariat Part#3 P#115)