async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD

Wednesday, July 1, 2015

Iman kya hai

Aaiye samajhte hain..Eiman ka laghvi tarjuma hai 'maanna', yani Kisi chiz ko maanne ka matlab hai uspar Eiman rakhna. Aur istelah me Zuban se Iqrar ke sath kisi chiz ki dil se tasdeeq karne ko Eiman laana kehte
hain...KALMA:Islam Qubul karne ke liye sabse pehle ye Kalima padha jata hai,'La Ilaha Illallah Muhammadur Rasoolullah'
,iska tarjama hai:
"Allah ke siwa koi Ibadat ke layaq nahi Hazrat Muhammad sallallaho alaihe wasallam uske Rasool hain'.
Is Kalme par Eiman rakhna hai,Ise padhne ke baad insan Islam me dakhil ho jata hai,,log ye sochte hain ki Muhammed sallallaho alaihe wasallam ko bas Rasool maan liya to hamara Eiman mukammal ho gaya,,hargiz nahi,Example: Agar koi Shaks ye kahe ki hum ALLAH ko to mante hain, Lekin ALLAH ki sifat, Uski Taqat ko nahi mante,to Asal me usne ALLAH hi ko nahi maana,Isi tarah agar koi Shaks ye kahe ki hum Muhammed alaihesalam ko Rasool to mante hain, Lekin Allah ki ata se unke Powers, Ilme Gaib, Authorities, Hazir Nazir, Noor, Hayat bad'al Wafat ko nahi mante,to Asal me usne Rasool ko hi nahi maana,.To jab is tarah Rasool ko hi nahi maana, to Kalma pdhne ke baad bhi aisa shaks Musalman nahi ho sakta,,Aaiye Quran ka ek Hawala dete hain,فَلاَ وَرَبِّكَ لاَ يُؤْمِنُونَ حَتَّىٰ يُحَكِّمُوكَ فِيمَا شَجَرَ بَيْنَهُمْ ثُمَّ لاَ يَجِدُواْ فِيۤ أَنْفُسِهِمْ حَرَجاً مِّمَّا قَضَيْتَ وَيُسَلِّمُواْ تَسْلِيماً(Sureh Nisa, Aayat 65).Tarjuma: Aur Aye Mehbub, apke Rab ki qasam, ye log Hargiz musalman nahi ho sakte, jab tak ki apko apne Har mamle me apna haakim na bana le, aur fir aap unme jo faisla farma de to usse apne Dil me kami na payen aur use apni Jee Jaan se qubul kar len.Sub'hanALLAH,,To Pata chala ki Rasoolullah alaihe alaihe salam ki azmato ko qubul kiye baai koi Musalman nahi ho sakta,,aur kuch log ye samajhte hain ki Eiman lane ke baad sabsepehle apne Amal, yani Namaz, Roza, Zakat, Hajj wagairahhamara kaam hai,,Nahi, aaiye ye bhi Quran se puchte hain ki Eiman lane ke baad ek Momin ke liye sabse pehle Kya zaruri hai??.Al-Quran: لِّتُؤْمِنُوا بِاللَّهِ وَرَسُولِهِ وَتُعَزِّرُوهُ وَتُوَقِّرُوهُ وَتُسَبِّحُوهُ بُكْرَةً وَأَصِيلًا(Sureh Fath, Ayat 9).Tarjuma: Aur jab tum Allah aur iske Rasool par Eiman le aao, to Rasool ki Tazim-o-Tauqir karo, aur subah-sham ALLAH ki paaki bolo..Is Aayat se pata chala ki Eiman lane ke baad ALLAH ne sabse pehla hukm bando ko diya ki mere Mehbub ki tazim-o-Tauqir karo,uske baad hi Allah ne apni Ibadat ka hukm diya, ki Allah kpaaki bolo,to jo shaks chahe ki Rasool ki Tazim ke bagair ALLAH ki ibadat karne se ALLAH khush ho jayega, to Hargiz nahi..Amal to Insan ke farz hote hain, Beshak Namaz, Roza apnijaga ahem hai, magar tazim-e-Rasool hamare amal ki Jaan hai, agar Jaan hi na rahi to amal bekar ho jayega..Eiman ke talluq se ek Hadees bhi pesh karte hain..HADEES: Rasool sallallaho alaihe wasallam ki mohabbat hi Eiman hai.(Bukhari, J-1, Kitabul Eiman, Baab-8).Ab Quran ke bare me kuch samajhte hain:.Quran Kareem ka sabse pehla harf hai Bismillah ka 'Ba'aue sabse akhir lafz hai ''Wan-naas'' ka 'Seen'agar in dono ko mila diya jaye to hoga 'Bas'Bas yani, 'Enough'to Quran ke ye dono harf hi bata rahe hain ki agar Quran ko shuru se lekar akhir tak samajhlo, to Bas, tumhare liye kaafi hai, Tumhe Tamam Zameen-o-Asman kikhabar aur Sare Jahan ki Khabar, maazi (guzra hua) aurMustaqbil(Future) ki khabar, sab isi Quran me mil jayegi..Jaisa ki ALLAH TA'ALA ne Quran me khud farmaya:وَكُلُّ صَغِيرٍ وَكَبِيرٍ مُّسْتَطَرٌ(Sureh Qamar, Aayat 53)Tarjuma: Har choti aur Badi shai isme maujud hai..To Quran par is Tarah ka Eiman hona chahiye ki isse koi chiz bhi baaqi nahi hai, balki Isme sab kuch maujud hai, Haan lekin kisi insan me wo salahiyat nahi ki Pure Quran ko khud apni aqal se sahi tarah se samajh le, isliye Isi Quran ke maslo ko Rasoolullah alaihe salam ne apni Ahadeesme bayan farma diya..Jab is Quran me ALLAH ne farma diya ki sab kuch maujudhai, to fir jo is baat ko na maane, wo Kafir hai,aur Sath hi me ye bhi farma diya kiAl-Quran: Arrehman. Allamal Quran.(Sureh Rehman, Ayat 2-3)Tarjuma: Rehman wo hai, Jisne Mehbub ko Quran sikha diya..Yahan Mufasserin ne Mehbub ko sikhana hi matlab nikala,Kyunki ALLAH ne Mehbub par hi Quran ko bayan kiya hai,.Ab tawajjoh farmaiye, Jab Allah ke Quran me sab kuch maujud hai, is baar par koi shak nahi, Aur ALLAH ne apne Mehbub ko khud hi Quran sikha diya, is par bhi shak nahi hona chahiye, kya ALLAH se sikhane me koi kami reh gayi??Hargiz nahi..To pata chala ki isi Quran ke zariye ALLAH ne apne Mehbub ko tamam Qainat ka Ilm ata farma diya, jo kuch Guzar gaya wo bhi, aur jo Qayamat tak guzrega, wo sab sikha diya, to ab jo Rasool alaihe salam ke Ilm me shak kare, to matlab use ALLAH ke Quran per yaqin nahi hai,.Aur iske sath sath Allah ki tamam makhluq k wajud, par bhi Eiman rakhna hai. Aur unme Tamam Ambiya-o-Rusul alaihimus salam, tamam asmani Kutub, Tamam Malaaika aur Allah ki likhui Taqdeer(Khair ho ya shar) pe eiman rakhna farz hai..