async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD

Monday, November 2, 2015

Post 4

Post #4
Aayat#4:

Tarjuma: " Tum Apne RAB k Fazal se Majnoon nahin". (PARAH#29, SURAH#68 (Surah Qalam), AAYAT#2)

Tafseer-E-ROOH UR BAYAAN main isi Aayat k Ma Tehet hai.

Tarjuma: " Yaani Aap se woh Baaten chuip huwi nahin hain, jo Azal main thin, aur jo Abad tak hongi, Q K jin k Maaenay (Meaning) hain chupna, Aap us ko jaantay hain jo ho chuka, aur KHABARDAAR hain us k jo hoga".

Is Aayat ki is Tafseer se Saaf Saaf ILM-E-GAIB k baaray main Maaloom hota hai..

Aayat#5:

Tarjuma: " Aur Ae MEHBOOB agar tum in se puchoge, to kahenge k hum to Yun hi Hansi Khel main the". (PARAH#10, SURAH#9 Surah Tawbah, AAYAT#65)

Tafseer Dar Mansoor O Tarbi main isi Aayat k Ma Tehet:

Tarjuma: " HAZRAT MUJAHID (Razi ALLAH Anho) se riwayat hai, is Aayat k Nuzool k Baaray main hai k Ek Munaafiq ne kaha k MUHAMMAD (Sallalaho Aleh Wassallam) Khabar dete hain, k Falaan ki Oontni (Camel) Falaan JANGAL main Hai, In ko GAIB ki kiya KHABAR". ( Al-Darar Al Masoorni Fi Tafseer, Al-Maasoor, SURAH TOBA, Aayat#65, Jild#3, PAGE#456, Matboo'a Darul Qutub Ul ILMIYA, Beroot)

Bad Aqeedah logon se Darkhuwast hai k Baar baar parhen, k Ek Munaafiq ne kaha tha k HUZOOR (ALEH SALAAM) ko GAIB ki Kiya khabar.. Arey hosh karo, GUSTAAKHON tum b Munaafiqon k Aqaid pe chalte ho.. hosh karo.. ALLAH ka KHOF karo..

IMAAM MUJAAHID Bin Jabar Al Makhzoomi At'Taba'i, 104 HIJRI main.. (Yaani Aaj se taqreeban 1300 saal pehle) likhte hain:

TARJUMA: " IMAAM MUJAAHID (REHMATULLAH ALEH) is Aayat ki Tafseer main Farmatay hain, k Ek MUNAAFIQ ne kaha MUHAMMAD (ALEH SALAAM) humen yeh HADEES sunaate hain k FALAAN SHAKHS ki Oontni (Camel) FALAAN Waadi main FALAAN FALAAN din hai, Yeh GAIB ko Kiya Jaanen". (Tafseer MUJAAHID, Tehet, Surah TOBA, Aayat#66, JILD#1,PAGE#283, Matboo'a Al Mansooraat, Ul ILMIYA, BEROOT)

IMAAM ABU JAAFAR BIN JAREER TIBRI 311 Hijri main IMAAM MUJAAHID (REHMATULLAH ALEH) se Riwayat nakal karte hain:

" Inhon ne farmaya k Munaafiqeen main se ek SHAKHS ne kaha k MUHAMMAD (ALEH SALAAM) hum se bayaan karte hain k FALAAN ki Oontni Falaan Falaan Waadi main hai, Bhala woh GAIB ki Baaten kiya jaanen". (Jaamay Ul Bayaan, Fi TAfseer Ul Qura'an, Al Maaroof Tafseer Tibri, Surah TOBA, Aayat#65, Jild#10, PAGE#196, Matboo'a Daarul Haya, Beroot)

Is Aayat aur Tafseer se Saaf Maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) k GAIB se Inkaar karna MUNAAFIQEEN ka Kaam tha, Jis ko QURA'AN ne Kufar qarar diya..

Aayat#6:

Tarjuma: " Tu Apne GAIB par kisi ko Musallat nahin karta siwae apne Pasandeedah Rasoolon k ".

Tafseer Azeezi main Isi Aayat k Ma Tehet, Page 173 pe hai:

Tarjuma: " Jo cheez Tamaam MAKHLOOQAAT se Gayab ho, Woh Gaib Matlaq hai, jeseQayaamat k Aane ka Waqt, aur Rozaana aur har cheez ki Pedaaishi aur Shar'ai Ehkaamaur Jese Parwardigaar ki Zaat-O-Siffaat Bar Tareeq tafseel, is Qisam ko RAB TA'ALA ka Khaas GAIB kehte hain. Pas Apne Khaas GAIB par woh kisi ko Matle'a nahin karta, Is k Siwa Jis ko pasand farma de, aur Woh RASOOL hote hain, chahey Farishtey ki Jins se hon ya INSAAN ki jins se, Jese HAZRAT MUHAMMAD (Sallalaho Alehe Wassallam) ko Apne Ba'az GAIB Zaahir farmata hai".

Tafseer-E-Khaazan main isi Aayat k ma Tehet hai:

Tarjuma: " Siwae is k Jis ko apni Nabuwat aur Risaalat k liye Chun liya, pas Zaahir farmata hai, jis par Chahta hai GAIB, Taa k inki Nabuwat par Daleel pakri Jaaway, in GAIB cheezon se jis ki woh Khabar dete hain, Pas yeh in ka Mojaza hota hai. ( Labaab ul Taaweel, Fi Maani U Tanzeel Ul Maaroof, Tafseer-E-Khazan, JILD#4, Page#319, Matboo'a Darul Ma'arfatah Beroot)

ROOH Ul BAYAAN se yahi Aayat:

Tarjuma: " Ibn-E-SHIEKH ne farmaya k RAB TA'ALA is GAIB par jo is se khaas hai, kisi koMatle'a nahin farmata siwae burgazeedah RASOOL k aur jo GAIB k RAB se KHAAS nahin,us par Ger RASOOL ko bhi Matle'a farma deta hai". (Tafseer ROOH Ul BAYAAN, JILD#10, Page#236, Matboo'a Darul Haya, Beroot)

Is Aayat aur In Tafaseer se Maaloom huwa k KHUDA TA'ALA apne Pasandeedah RASOOLON ko ILM-E-GAIB Ata karta hai.. Aur Sab se Ziyadah MEHBOOB ALLAH k Nazdeeq, HAZRAT MUHAMMAD (Sallalaho Alehe Wassallam) hain.. to jo Bad Aqeedah log, HUZOOR (ALEH SALAAM) ki Shaan kam karne ki koshish karte hain.. unko ALLAH TA'ALA k Azaab se darna chahiye..

Continue