Post #5
Aayat#7:
Tarjuma: " Aur yeh NABI, GAIB batane main Bukheel nahin".(Surah Taqveer)
Yeh jab hi hosakta hai, Jab HUZOOR (ALEH SALAAM) ko ILM-E-GAIB ho, aur HUZOOR (ALEH SALAAM) logon ko is se Matle'a farma dete hon.
Mu'aalim U Tanzeel main isi Aayat k Ma tehet hai:
Tarjuma: "HUZOOR (ALEH SALAAM) GAIB aur Aasmani Khabron par aur in Khabron aur Qisson par Bukheel nahin hain. Muraad yeh hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) k Pass GAIB aata hai, pas woh is main tum par Bukhal nahin karte, Balkey tumhen Sikhate hain, aur Tum koKHABAR dete hain, Jese k Kaahin chupate hain, wese nahin Chupaate".
(Mu'aalim U Tanzeel, JILD#4, PAGE#422, Matboo'a Darul Kitaab Ul Ilmiya, Beroot)
Tafseer-E-Khazan main hai:
Tarjuma: "Muraad yeh hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) k pass ILM-E-GAIB aata hai, to tum par is main Bukhal nahin farmate, Balkay tum ko Sikhate hain".
( Lubaab U Taaweel , Al Tanzeel Ul Ma'aroof, Tafseer-E-Khazan, JILD#4, PAGE#357, Matboo'a Darul Ma'arfatah, Beroot)
Is Aayat o Ibaarat se Maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) logon ko ILM-E-GAIB sikhate hain. Aur Sikhae ga wohi, jo khud jaanta hoga..
Aayat#8:
Tarjuma: " Aur inko apna ILM-E-LADNI Ata kiya, (Yaani HAZRAT KHIZAR ko)".
(Parah#15, Surah#18 Surah Kahf, Aayat#65)
Be Zaawi main hai:
Tarjuma: " HAZRAT KHIZAR (ALEH SALAAM) ko woh ILM sikhae jo, hamare saath Khaas hain, bager hamare batae koi nahin jaanta aur woh ILM-E-GAIB hai".
(Tafseer-E-Be Zaawi, JILD#3, PAGE#510, Matboo'a Darul fikar, Beroot)
Tafseer IBN-E-JAREER main ABDULLAH IBN-E-ABBAS se Riwayat hai:
Tarjuma: "HAZRAT KHIZAR (ALEH SALAAM) ne farmaya tha, HAZRAT MOOSA (ALEH SALAAM) se k tum mere saath Sabar na kar sako ge, Woh KHIZAR, ILM-E-GAIB jaante the, k Unhon ne Jaan liya".
(Jaame Ul Bayaan, Fi Tafseer Ul Qura'an, Al Ma'aroof, Tafseer Tibri, JILD#15, PAGE#323, Matboo'a Darul Haya, Beroot)
ROOH UL BAYAAN main hai:
Tarjuma: " HAZRAT KHIZAR ko jo Ladni ILM sikhaya gaya, woh ILM-E-GAIB hai aur is GAIB k Muta'alliq Khabar dena hai, KHUDA k Hukum se, jese us taraf IBN-E-ABBAS (RAZI ALLAH ANHU) gae hain".
(Tafseer-e-ROOH Ul Bayaan, JILD#5, PAGE#321, Matboo'a Darul Haya, Beroot)
Tafseer-E-Madarik main hai:
Tarjuma: " Yaani HAZRAT KHIZAR ko GAIB ki khabren din, aur kaha gaya hai, k ILM-E-LADNI woh hota hai, jo banday ko ILHAAM k Tareeqay par haasil ho".
(Tafseer-E-Madaarik, JILD#2, Page#22, Matboo'a Maktab Ul Qura'an, Peshaawar)
Tafseer-E-KHAAZAN main isi Aayat k tehet hai:
Tarjuma: " Yaani HAZRAT KHIZAR ko ILM-E-BAATIN ILHAAM k Tareeqay par Ata farmaya".
Is Aayat O Tafseeri Ibaarton se Maaloom huwa k RAB TA'ALA ne HAZRAT KHIZAR ko bhi ILM-E-GAIB Ata farmaya tha, jis se Laazim Aya k HUZOOR (ALEH SALAAM) ko bhi ILM-E-GAIB Ata huwa, Q k Aap Tamaam Makhlooqaat-E-ILAHI main sab se ziyaada Afzal aur AALIM (Yaani ILM waalay) hain, aur HAZRAT KHIZAR (ALEH SALAAM) bhi Makhlooq hain..
Continue