async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD

Monday, November 2, 2015

Post 6

Post #6

Aayat#9:

Tarjuma: " Aur isi Tarah hum IBRAAHIM ko Dikhate hain. Saari Baadshahi Aasmaanon ki aur Zameen ki".

(Parah#7, Surah#6 Surah An-‘aam, Aayat#75)

Tafseer-E-KHAAZAN main hai:

Tarjuma: " HAZRAT IBRAAHIM (Aleh Salaam) ko Sehra par khara kiya gaya, aur un k LiyeAasmaan khol diye gae, Yahaan tak k Unhon ne Arsh O Kursi aur jo kuch Aasmaanon main hai Dekh liya, aur Aap k Liye Zameen Khol di gai, Yahaan Tak k Inhon ne Zameenon k neeche zameen aur un k Ajaibaat ko dekh liya jo Zameenon main hai".

(La BAab Taaweel Fi Tanzeel, Al Ma'aroof, Tafsser-E-Khaazin, JILD#2, PAGE#126, Matboo'a Darul Qut8b Ilmiya, BEROOT)

Tafseer-E-MADARIK main isi Aayat k MA TEHET hai:

Tarjuma: " Mujaahid ne HAZRAT IBRAAHIM (ALEH SALAAM) k liye saaton (7), Aasmaan khol diye gae, aur Unhon ne dekh liya, jo Kuch Aasmaanon main hai, Yahaan tak k Un ki NAZAR ARSH tak puhanch gai, aur un k liye, Saat (7), Zameen kholi gain k Unhon ne Woh cheezen dekh lin, jo zameenon main hai".

Tafseer-E-MADARIK, JILD#1, PAGE#373, MATBOO'a, MAKTABUL QURA'AN,PESHAAWAR)

ROOH-UL-BAYAAN main is Aayat k Ma Tehet hai:

Tarjuma: " IBRAAHIM ko Aasman O Zameen ki Ajaebaat O Garaebaat dikha diye, aurARSH ki bulandi se Tehet-Suri tak khol diye".

(Tafseer-E-ROOH-UR-BAYAAN), JILD#3, PAGE#72, MATBOO'A Darul Haya, BEROOT)

TAFSEER-E-IBN-EJAREER-ABI-HAATIM main hai:

Tarjuma: " HAZRAT IBRAAHIM pe khuli posheedah tamaam cheezen khul gaen, Pas in par Makhlooq k Aamaal main se bhi kuch Posheedah na raha".

(Jam-E-Ul-Bayaann-Fi-TAFSEER-Ul-Qura'an, Al-Ma'aroof, Tafseer-E-Tibri, JIL#246, Matboo'a Darul Haya, BEROOT)

Tafseer-E-Kibri main hai:

Tarjuma: " ALLAH TA'ALA ne HAZRAT IBRAAHIM (Aleh Salaam0) k liye Aasmaanon ko Cheer diya, Yahaan tak k inhon ne, ARSH-O-QURSI aur jahaan tak Jismaani ILM ki Foqiyat Khatam hoti hai, Dekh liya. Aur Woh Ajeeb O Gareeeb cheezen bhi dekh lin, jo Aasmaanon min hain, aur woh Ajeeb-O-Gareeb cheezen bhi dekh lin, jo zameen k Pait main hai".

(Tafseer-E-Kabeer, JILD#5, PAGE#35, MATBOO'A Darul Haya, BEROOT)

IS Aayaat aur in Tafaaseer se maaloom huwa k ARSH se le k ar Zameen k Andarooni Hissay tak HAZRAT IBRAAHIM (ALEH SALAAM) ko dikhae gae, aur HUZOOR (ALEH SALAAM) ka ILM in se kahin ziyaada hai to Maanna parega, k HUZOOR (ALEH SALAAM) ko bhi yeh tamaaam ULOOM Ata huwe.

Khayaal rahe k ARSH k ILM main LOOH-E-MEHFOOZ bhi aagaya aur (LOOH-E-MEHFOOZ main tamaam ULOOM aur sab kuch likh diya gaya hai, DUNIYA O AAKHIRAT k tamaam Mu'aamlaat is main likhe gae hain), Lihaaza yeh ILM-E-IBRAAHIMI ki shaan hai to, aap khud sochen k NABI-E-PAK (Sallalaho Alehe Wassallam) ka kiya ILm hoga, Q k ILM-E-IBRAAHIm (ALEH SALAAM) aur ILM-E-AADAM (ALEH SALAAM) to HUZOOR (ALEH SALAAM) k ILM ka ek Qatra hai..

Aayat#10:

Tarjuma: "Ae Eemaan waalo, Aesi Baaten hamare Mehboob se na pucho, k Agar tum pe zaahir kardi jaawen, to tumhen naagawaar hon".

(Parah#7, Surah#5 Surah Maai’dah, Aayat#101)

Imaam Abu Abdullah Bin Ismail Bukhaari 256 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Ek Shakhs ne kaha Ae ALLAH k NABI (ALEH SALAAM) mera Baap kon hai?? ToAAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya Tera Baap Falaan hai, aur phir yeh Aayat-e-Kareema Naazil huwi, Ae Eemaan waalon Aesi baaten mat pucha karo, k agar tumhare aage, bayaan kardi jaen to tumhen bura lage".

(Sahi Bukhari Kitaab Ul A'atasaam, JILD# 2, PAGE# 1083, MAtboo'a Qadeemi Kutub Khaana, Karachi)

Jab Mu'aanideen Haq ki Gustaakhiyaan haad se barh gaen, aur in ki Taraf Uthaae gae,sawaalaat ka silsila tool Pakar gaya, to HUZOOR (ALEH SALAAM) k Rookh Anwaar parNaaraazgi k Aasaar Namoodaar huwe, Riwaayat main aata hai k AAP (Sallalho Alehe Wassallam) JALAAL main akar mimbar par Jalwa Afroz huwe, aur yeh Aelaaan farmaya, jis ka Zikar HAZRAT ABU MOOSA (Razi ALLAH Anhu) ki riwaayat main yun kiya gaya hai:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) se kuch cheezon k baaray main pucha gaya Jinhen AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Na Pasand farmaya, Jab Sawaalaat ka silsila Tawaalat Aekhtiyaar kar gaya, To AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) naaraaz hogae, phir Logon se farmaya, tum mujh se jis Cheez k baaray main chaho sawaaal karo,

Ek Shakhs ne kaha MERA BAAP KON HAI???

AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya TERA BAAP HUZAAFA hai,

phir dusra shakhs khara huwa, aaur us ne Kaha YA RASOOL ALLAH! MERA BAAP KON HAI??

AAP (Sallalho Alehe Wassallam) ne farmaya tera baap Sheeba ka Ghulaam Saalim hai.

Jab HAZRAT UMAR (Razi ALLAH anhu) ne AAP k Chehray par Naaraazgi ki Kefiyat dekhi to kaha YA RASOOL ALLAH! Hum ALLAH ki baargah main Toba karte hain".

(Sahhi Bukhari, Kitaab Ul ILM, JILD#1, PAGE#19, Matboo'a Qadeemi, Kutub khana Karachi),

(Al Beher Az Khaar, Al Maaroof, Bamusnad al Bazaar, JILD#8, PAGE# 146, Raqam Ul Hadees 3165, Matboo'a Maktabul Uloom O Al Hakam, Ul Madina tul Munawwarah),

(Musnad Abi Ya'ALI, JILD#13, PAGE#288-289, Rakam Ul Hadees 7303),

(Muslim Shareef Baab Fil Fazail, Baaab Touqeer (Sallalaho Alehe Wassallam), JILD#4, PAGE#1834-1835, Rakamul Hadees, 2360)

Hazrat Anus (Razi ALLAH Anhu) se Marvi hai.

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) (Mimbar par) Tashreef lae, aur Khutba diya, ABDULLAH BIN HUZAAFA ne khare ho kar Arz kiya.. MERA BAAP KON HAI?? AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya TERA BAAP HUZAAFA HAI??.. Phir AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) baaar baar farmane lage, mujh se Pucho... HAZRAT UMAR (Razi ALLAH Anhu) ne Do (2) Zaanon beth kr Arz ki HUM ALLAH TA'ALA k RAB hone par, aur ISLAAM k Deen hone par, Aur MUHAMMAD (Sallaho Alehe Wassallam) k NABI hone par Raazi huwe, Aap ne yeh Kalimaat Teen (3) Martabaa Dohrae, Phit HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Sakoot Ekhtuyaar farmaya".

(Sahi Bukhari Kitaab Ul ILM, JILD#1, PAGE#20, Matboo'a Qadeemi, Kutub Khaana Karachi)

Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri mai Riwayat karte hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya tm mjh se jis cheez k Muta'aliq Sawaal Karoge, main tmhen us cheez k Muta'aliq bayaan karunga".

(Musnad Ahmed, JILD#3, PAGE#177, Raqam Ul Hadees 12843,Misar)

Is Aayat aur in Tafaaseer se ILM-E-GAIB ka saboot milta hai, k agar koi yeh Aqeedah rakhta tha, k NABI (ALEH SALAAM) ko ILM nahin hai, to NABI (ALEH SALAAM) k Chehrey Mubarak pe Naaraazgi k Aasaar aa jate the, aur HUZOOR (ALEH SALAAM) ka Mimbar pe khare ho k Aelaan karna k Jo puchna hai, jisne Puchna hai, Puch le... AAP (ALEH SALAAM) jawaab denge, Jis Par phir yeh Aayat Naazil huwi...

Bad Aqeeedah Logon ko Chahiye k woh Apne Aqaid ILM-E-GAIB k Muta'aliq durust karlen, Q kHAQ aur Baatil un k Saamne hai, jis Raah pe chalna chahen chalay jaen.. Bas itna Zarur yaad rakhna.. HUZOOR (ALEH SALAAM) main ILM-E-GAIB na maanna Munaafiqon ka kaam tha..

Continue