async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD

Monday, November 2, 2015

Post 9

Post #9

HADEES # 2:

Mishkaat Baab Ul Mojizaat main muslim se Bariwaayat Umar-O-IBN-E-KHATA isi tarah manqool hai magar is main itna aur hai:

Tarujuma: "Hum ko tamaam un Waaqiyaat ki khabar de di, jo Qayaamat tak hone waale hain, Pas hum main bara AALIM woh hai, jo in baaton ka Ziyaadah Haafiz hai".

(Sahi Muslim, JILD#2, PAGE#390, Matboo'a Qadeemi Kutub Khaana Karachi)

HADEES # 3:

Mishkaat Baab Ul Fitan main Bukhaari O Muslim se Bariwaayat Hazrat Huzefa (Razi ALLAH Anhu) hai.

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne us jagah QAYAAMAT tak koi cheez na chori, magar uski khabar de di, jis ne yaad rakha, yaad rakha, jo bhool gaya woh Bhool gaya".

(Sahi Bukhari, JILD#2, PAGE#977, Matboo'a Karachi)

(Dalaelun Nabuwwah, IMAAM BEHKI, JILD#6, PAGE#313, Matbo'a Daar Ul Qutub Ul Ilmiya, BEROOT)

Haafiz Shaha Buddeen 862 Hijri main likhte hain:

TARJUMA: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ka ek hi Majlis main ROZ-E-QAYAAMAT tak k Ehwaal O Waaqiyaat ka Bayaan farmana, aap ka Azeem mojiza hai, aur AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ki SHAAN Taweel Kalaam ko chand jumlon main bayaan karna is ka Aaenadaar hai. aur is ki Misaal ek dusri Jahat se ABDULLAH BIN UMAR O AAS (Razi ALLAH Anhu) ki Hadees main hai Jisay IMAAM TARMIZI (REHMATULLAH ALEH) ne Riwaayat kiya hai, KHUZOOR (ALEH SALAAM) hamaray pass tashreef lae, AAP k haath main 2 kitaaben thin.. Seedhay Haath waali Kitaab k baaray main farmaya yeh Kitaab RABBUL AALAMEEN ki taraf se hai, is main Ahl-E-Jannat aur in k Aaba'a aur in k Kabeelon k naam hain, in par kabhi bhi na koi naam Ziyaadah ho sakta hai aur na ko naam kam ho sakta hai.. Phir AAP (SALLALAHO ALEHE WASSALLAM) ne Baayen Haath waali Kitaab k Baaray main AHLE DOZAKH ki Nisbat isi Misal Bayaan Farmaya".

(Fatah-Ul-Baari, Sharah Sahi Bukhari, JILD#6, PAGE#291, Matboo'a Dar-un-nashar,Kitaab Ul Islaamiya, Lahore)

IMAAM BADARUDDEEN Aeni Hanfi 855 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ka ek hi Majlis main Roz-E-Qayaamat tak k Ehwaal O Waqiyaat ka bayaan farmana AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) k Mojizaat main se ek Azeem mojiza hai, aur aesa q na ho k AAP (ALEH SALAAM) ko is k Saath jo Taweel kalaam ko thoray waqt main bayan karne ka Mojiza bhi ata kiya".

(Umdah Qaari , JILD#15, PAGE#110, Matboo'a Darul Fikar Beroot)

ALLAMA AHMED QAStLAANI bhi 911 Hijri main yahi likhte hain:

(Bahawala: Irshaad Us Saari, JILD#5, PAGE#250)

HADEES # 4:

Mishkaat Baab Fazael Syed Ul Mursaleen main Muslim se Ba Riwaayat Sobaan (Razi ALLAH Anhu) hai:

Tarjuma: " ALLAH ne mere Liye, Zameen samait di, pas main ne Zameen k Mashriqon aur Magribon ko dekh liya".

(Sahi Muslim Kitaab Ul Fitan O Sharaet O Sa'at, JILD#2, PAGE#390, Matboo'a E Qadeemi, Kutub Khaana Karachi)

(Sahi Muslim, JILD#4, PAGE#2216, RaqamUl Hadees#2889, Matboo'a DarUl Kutub Ilmiya, Beroot)

MirQaat Sharah Mishkaat aur sharah Shifa Ul Mulla Qaari O Zarqaani Sharah Muwaahib, Naseem Ur Riyaaz, Sharah Shifa main Hadees # 4 main hai..

Tarjuma: "Is Hadees ka khulasa yeh hai k HUZOOR (ALE SALAAM) k liye zameen samait di gai, aur is ko aesa jama farma diya gaya, jese ek haath main aaenay ko dekhta hai aur zameen ko is tarah sameta k Door waali ko Qareeb kar diya is k Qareeb ki taraf, yahaan tak k hum ne dekh liya un tamaam cheezon ko jo Zameen main hain"..

Continue