Qaseedah E Noor
Subha Taibah Me Hui Bat'ta Hain Baada Noor Ka
Sadqa Lene Noor Ka Aaya Hain Taara Noor Ka
Baaghe Taibah Me Suhana Phool Phoola Noor Ka
Mast Bu Hain Bul Buley Padhti Hain Kalmah Noor Ka
Baarhvi Ke Chaand Ka Mujra Hai Sajdah Noor Ka
Baarah Burjo Se Jhuka Ik Ik Sitara Noor Ka
Unke Kasre Kadr Se Khuld Ek Kamra Noor Ka
Sidra Paayi Baagh Me Nanha Sa Pauda Noor Ka
Arsh Bhi Firdaus Bhi Us Shahe Waala Noor Ka
Yeh Musagman Burj Wo Muskuye A'ala Noor Ka
Aayi Bida'at Chayi Zulmat Rang Badla Noor Ka
Maahe Sunnat Mehre Tala'at Le Le Badla Noor Ka
Tere Hi Maathe Raha Ay Jaan Sehra Noor ka
Bakht Jaaga Noor Ka Chamka Sitara Noor Ka
Main Gada Tu Baadshah Bharde Piyala Noor Ka
Noor Din Duna Tera De Daal Sadqa Noor Ka
Teri Hi Jaanib Hai Paanchi Waqt Sajdah Noor Ka
Rukh Hain Qibla Noor Ka Abru Hai Qa'aba Noor Ka
Pusht Par Dhalka Sar-E-Anwar Se Shimla Noor Ka,
Dekhein Moosa Tur Se Utra Sahifah Noor Ka
Pech Karta Hai Fida Hone Ko Lamha Noor ka,
Gird-E Sar Phirne Ko Banta Hai Imamah Noor Ka
Kya Bana Naam-E Khuda Asra Ka Dulha Noor Ka,
Sar Pe Sehra Noor Ka Bur Main Shahana Noor Ka
Wasf-E Rukh Main Gati Hain Hoorein Tarana Noor Ka,
Qudrati Binau Mai Bajta Hai Lehra Noor Ka
Taaj Waale Dekh Kar Tera Imama Noor Ka
Sar Jhukate Hai Ilahi Bol Baala Noor Ka
Sham'a Dil Mishkaat Tan Seena Zujaja Noor Ka
Teri Surat Ke Liye Aaya Hain Sura Noor Ka
Tere Aage Khaaq Par Jhukta Hai Maatha Noor Ka
Noor Ne Paaya Tere Sajde Se Seema Noor Ka
Tu Hain Saaya Noor Ka Har Azwa Tukda Noor Ka
Saaye Ka Na Saaya Hota Hain Na Saaya Noor Ka
Kya Bana Naame Khuda Asra Ka Dulha Noor Ka
Sar Pe Sehra Noor Ka Bar Me Shahana Noor Ka
Naariyon Ka Daur Tha Dil Jal Raha Tha Noor Ka
(Ay Umar)Tumko Dekha Ho Gaya Thanda Kaleja Noor Ka
Jo Gada Dekho Liye Jaata Hai Toda Noor Ka
Noor Ki Sarkaar Hai Kya Isme Toda Noor Ka
Bheek Le Sarkaar Se La Jald Kaasa Noor Ka
Maahe Nau Taiba Me Bat'ta Hai Mahina Noor Ka
Teri Nasl-E-Paak Me Hain Bachha Bachha Noor Ka
Tu Hain Aine Noor Tera Sab Gharana Noor Ka
Noor Ki Sarkaar Se Paaya Do-shala Noor Ka
Ho Mubarak Tumko Zunnurain Joda Noor Ka
Tab Mehr Hashr Se Chaunke Na Kushtah Noor Ka,
Bhundiya Rehmat Ki Dene Ayei Chinta Noor Ka
Tab-E Sum Se Chaundhiya Kar Chand Unhee Qadmo Phira,
Hans Ke Bijli Ne Kaha Dekha Chalawa Noor Ka
Aankh Mil Sakti Nahi Dar Par Hai Pehra Noor Ka
Taab Hain Be-Hukm Par Maare Parinda Noor Ka
Chaand Jhuk Jaata Jidhar Ungli Utha De Mahd Me
Kya Hi Chalta Tha Isharo Par Khilona Noor Ka
Ek Seene Tak Mushabeh, Ik Wahan Se Pa’oon Tak,
Husn-E Sibtayn Unke Jamaun Main Hai Nima Noor Ka
Kaaf Gesu Haa Dahan Ya Abru Aankhein Ain Swaad
Kaaf Haa Ya Ain Swaad Unka Hain Chehra Noor Ka
Ay Raza Ye Ahmed E Noori Ka Faize Noor Hain
Ho Gayi Meri Ghazal Badh Kar Qaseedah Noor Ka