Haajiyo Aawo Shahenshah Ka Roza Dekho
Haajiyo aao Shahenshah ka Roza dekho
Kaaba to dekh chuke Kaabe ka Kaaba dekho
Rukn e Shaami se miti wah’shate shaame ghurbat
Ab Madine ko chalo subhe dil aaraa dekho
Aabe Zam-Zam to piyaa khoob bujhaa-ee pyaase
Aao joode Shahe Kowsar ka bi darya dekho
Zayre Mizaab mile khoob Karamke cheente
Abre Rehmat ka yaha zowr barasnaa dekho
Dhoom dekhi hai dare kaaba pe betaabo ki
unke mushtako me hasrat ka tadapna dekho
misle parwana phiri karte the jis sham'a ke gird
apni uss sham'a ko parwana yaha ka dekho
Khoob aankho se lagaaya he Gilaafe Kaaba
Qasre Mehboob ke parde ka bhi jalwa dekho
Wa(n) mutiyo ka jigar khauf se pani paaya
ya(n) siyahkaaro ka daaman pe machalna dekho
Awwali khana e haq ki to ziyaye dekhi
aakhri bait e nabi ka bhi tajalla dekho
aymane tur ka tha rukne yamani me farog
shola e tur yaha anjuman-aara dekho
mehre madar ka maza deti hai aagosh e hateem
jin pe maa baap fida ya(n) karam unka dekho
Arz E Haajat Me Raha Ka'aba Kafeel E Injaah
Aao Ab Daad-Rasi E Shahe Taibah Dekho
Dho chuka zulmate dil bosaa-e Sunge Aswad
Khaak bosi-e-Madina ka bhi Rutbaa dekho
Kar chuki rif'ate kaaba pe nazar par-vaze
topi ab thaam ke khaaq e dar e wala dekho
be-niyazi se waha kaapti payi ta'at
joshe rehmat pe yaha naaz gunah ka dekho
Juma E Makka Tha Ird Ahle Ibadat Ke Liye
Mujrimo! Aao Yaha Ird E Doshamba Dekho
Multazim se to gale lag ke nikale armaan
adab o shouq ka yaha baham ulajhna dekho
Khoob mas'a me b-ummide safa daud liye
rahe jana(n) ki safaka bhi tamasha dekho
Raqs E Bismil Ki Bahaare To Meena Me Dekhi
Dil E Khu-Naaba Fisha Ka Bhi Tadapna Dekho
Zeenate Kaaba me tha laakh arooso ka banaw
Jalwa farma yaha kownain ka doolhaa dekho
Gowr se sun to Raza Kaaba se aati he sadaa
Meri aankho se mere Pyaare ka Rozaa dekho