async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD

Friday, January 1, 2016

Wah Kya Judoo Karam Hain (complete)


Wah Kya Judoo Karam Hain (complete)

Wah Kya Joodo Karam Hain Shahe Bat-Ha Tera
Nahi Sunta Hi Nahi Maangne Waala Tera

Dhaare Chalte Hain Ataa Ke Wo Hain Qatra Tera
Tare Khilte Hain Sakhaa Ke Wo Hain Zar-ra Tera

Faiz Hain Ya Shahe Tasneem Nirala Tera
Aap Pyaso Ke Tajas-sus Me Hain Dariya Tera

Agniya(n) Palte Hain Dar Se Wo Hain Bada Tera
Asfiya Chalte Hain Sar Se Wo Hain Rasta Tera

Farsh Waale Teri Shaukat Ka Uloo Kya Jaane
Khusrava Arsh Pe Udta Hain Pharera Tera

Aasmaa(n) Khwan, Zamee(n) Khwan Zamana Mehmaan
Sahibe Khana Laqab Kiska Hain Tera Tera

Main To Maalik Hi Kahunga Ke Ho Maalik E Habeeb
Ya’ani Mehboobo Muheeb Me Nahi Mera Tera

Tere Qadmo Me Jo Hain Ghair Ka Muh Kya Dekhe
Kaun Nazro Pe Chadhe Dekh Ke Talwa Tera

Bahre Sa-il Ka Hu Sa-il Na Kuwe Ka Pyasa
Khud Bujha Jaye Kaleja Mera Cheeta Tera

Chor Haakim Se Chupa Karta Hain Ya Uske Khilaf
Tere Daamam Me Chupe Chor Anokha Tera

Aankhein Thandi Ho Jigar Taze Ho Jaan-E-Sairaab
Sachhe Suraj Wo Dil-Aara Hai Ujala Tera

Aik Main Kya Mere Isyaa(n) Ki Haqeeqat Kitni
Mujhse Sau Laakh Ko Kaafi Hain Ishara Tera

Muft Paala Tha Kabhi Kaam Ki Aadat Na Padee
Ab Amal Poochte Hain Haaye Nikamma Tera

Tere Tukdo Se Pale Ghair Ki Thokar Pe Na Daal
Jhidkiya Khaaye Kaha Chor Ke Sadqa Tera

Khwaro Bimaro Khatavaro Gunahgaar Hu Main
Rafe’ao Nafe’ao Shafe’a Lakab Aaqa Tera

Meri Taqdeer Buri Ho To Bhali Karde Ki Hain
Mahwo Isbaat Ke Daftar Me Kadoda Tera

Tu Jo Chahe To Abhi Mayl Mere Dil Ke Dhule
Ke Khuda Dil Nahi Karta Kabhi Mayla Tera

Kiska Muh Takiye Kaha Jaiye Kis Se Kahiye
Tere Hi Qadmo  Pe Mitt Jaye Yeh Paala Tera

Tu Ne Islam Diya Aaqa Tu Ne Jama’at Me Liye
Tu Kareem Ab Koi Phirta Hain Atiyya Tera

Maut Sunta  Hu Sitam Talkh Hain Jahraaba-e Nab
Kaun La De Mujhe Talwo Ka Ghusala Tera

Dur Kya Janiye Bad-kaar Pe Kaise Guzre
Tere Hi Dar Pe Mare Be-kaso Tanha Tera

Tere Sadqe Mujhe Ik Boond Bohat Hain Teri
Jis Din Achho Ko Mila Jam Chalakta Tera

Haram-O-Taibah Wa Baghdad Jidhar Kije Nigah
Jyot Padti Hain Teri Noor Hain Chanta Tera

Teri Sarkaar Me Laata Hain Raza Usko Shafe’a
Jo Mera Ghous Hain Aur Laadla Beta Tera