Ahle Siraat Ruhe Amee(n) Ko Khabar Kare(n)
Ahle Siraat Ruhe Amee(n) Ko Khabar Kare(n)
Jaati Hai Ummate Nabavi Farsh Parr Kare(n)
Inn Fitanhaye Hashr Se Kahdo Hazar Kare(n)
Naazo Ke Paale Aate Hai Rah Se Guzar Kare(n)
Badd Hai To Aapke Hai Bhale Hai To Aapke
Tukdo Se To Yaha(n) Ke Pale Rukh Kidhar Kare(n)
Sarkaar Hum Kameeno Ke Atvaar Par Na Jaye
Aaqa Huzoor Apne Karam Par Nazar Kare(n)
Unki Haram Ke Khaar Kashida Hai Kis Liye
Aankho Me Aaye Sar Pe Rahe Dil Me Ghar Kare(n)
Jaalo Pe Jaal Padd Gaye Lillah Waqt Hai
Mushkil Kushayi Aap ke Nakhun Agar Kare(n)
Manzil Kadee Hai Shane Tabassum Karam Kare
Taaro(n) Ki Chaanv Noor Ke Tadke Safar Kare(n)
Kilke Raza Hai Khanjare Khu-Khwar Barq-baar
A'ada Se Kehdo Khair Manaye Na Shar Kare(n)