Chal Qalam Ab Hamd E Rabb Maqsood Hai
Chal Qalam Ab Hamd E Rabb Maqsood Hai
Tera Mera Sab Ka Jo Ma'bood Hai
Hai Wahi Shahid Wahi Mash-hud Hai
Noor Uska Har Jagah Maujood hai
Usne Hi Humko Bakshe Hay Humko Mustafa
Ye Na Ho To Zindagi Be Sud Hai
Yu To Hai Quraa(n) Hidayat Ki Kitaab
Par Kisi Ka Tazkera Maksood Hai
Wad-duha Wash-shams Jiski Shaan Hai
Haan Wahi Ahmed Wahi Mehmood Hai
Unn Ka Charcha Har Jabaa(n) Par Hai Rawaa(n)
Unki Khushbu Har Jagah Maujood Hai
Azmat E Ahmad Me Jisko Hai Shuba
Haan Wahi Shaitaa(n) Wahi Mardood Hai
Aur Jo Karta Hai Unn Par Jaa(n) Fida
Wo Mubarak Hai Wahi Mas-ud Hai
Noor Ki Barsaat Hoti Hai Waha
Jis Jagah Par Mehfil E Maulood Hai
Padhte Rahiye Nazmi Naat E Mustafa
Haan Isi Me Rooh Ki Beh-bud Hai