Kalam e alahazrat
Phir ke galli galli taybah thokare sab ki khayen kyoon
Phir ke galli galli taybah thokare sab ki khayen kyoon
Dil ko jo akal de Khuda teri gali se jayen kyoon
Rukhsate qaafila ka shor gashse hame uthae kyoon
Sote hain Unke Sayen mein koyi hamme jagaaye kyoon
Yaade Huzoor ki qasam gaflate aish he sitam
Khoob hai qaide ghum mein hum koyee hamme chhurae kyoon
Dekh ke Hazrate Gani phel pare Faqeer bhi
Chaayi he ab to chauni Hashr hi aana jae kyoon
Jaan he Ishq e Mustafa roz fizoo kare Khuda
Jis ko ho dard ka mazaa naaze dawa uthae kyoon
Woh jo nathe to kuch natha woh jo naho to kuch naho
Jaan hai woh jahan ki, jaan hai to jahaan hai
Hai to Raza nira Sitam jurm pe gar lajaaye hum
Koyee bajaaye soze gam saze tarab bajaaye kyoon
No comments:
Post a Comment