async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Taraweeh ki 20 rakat ka bayan part 2

Thursday, June 25, 2015

Taraweeh ki 20 rakat ka bayan part 2

Taraweeh ki 20 rakat ka bayan part 2

Refutation of Wahabis Claim Regarding Taraweeh of Muwatta Imam Malik
PART 02 : GAIR MUKALLIDEEN KI PESH KARTA DALIL AUR USKA JAWAB
Aitraaz 01: Muwatta Imam Malik Par Wahabi k Aitraaz Ka Aur Dalail Ka Jawab
Yahya رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne hume khabar di Malik رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se riwayat kiya unhone MUHAMMAD BIN YUSUF se riwayat kiya ki Saaib bin Yazeed رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  ne kaha ki Umar Farooque رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne Ubay bin Ka’ab رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ko hukm diya ki wo 11 rakat namaz padhaye.
Qari 100-100 rakat wali Sureh padhaye hatta ki hum log lakdiyon ke sahare khade hone lagen. Aur hum na chhoden yahan tak ki fajr ho jaye”
Reference :
(Al Muwatta Imam Malik, Vol : 01, Book No 06 Salati Fi Ramadan, Hadees : 250, ‘English Version : Book 06 Hadees 02’)

Is Hadees ko Kaum e Wahabiya Bataur e Dalil Pesh Karti hai aur dawa karti hai dekho Hadees me aaya hai K Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم 11 Rakaat padhte the 08 taraweeh hogyi baaki witr par ye sirf unko bata sakte hai jo inki kabaliyat se wakif nahi hai.
Pehli baat ye dalil Khud Gair Mukallid Wahabi k Amal aur uske usool k khilaf hai.
Uski bahot  Wajah hai aur bhi hum aage Is hadees ki haisiyat iske status ka khulasa  karenge
I) Ye Hadees Usool e Wahabiya k Khilaf Hai Ji Haa Aaye Dekhe Kyu ?
Gair Mukkalideen is hadees ko bataur e dalil pesh nahi kar sakte kyuki unke yaha Sahabi ka Kaul Huzzat hi nahi hai unke yaha Sirf ALLAH aur RASOOL ka Kaul hi hujjat hai.
Proof 01 :
Ghair Muqallideen ke Shaikhul kul Fi Kul Shaykh Nazeer Hussain Dehelwi Likhte hai ke “Sahabi ka Qaul Hujjat Nahi Hai.”
(Fatawa E Naziriya Vol : 01, Pg : 340)
Scan Pages

Proof 02 : Gair Mukkalid k ALLAMA SHAWKANI likhte hai
وَأَفْعَالُ الصَّحَابَةِ وَأَقْوَالُهُمْ لَا حُجَّةَ فِيهَا
ke Sahaba e Ikraam Radiallaho anhuma azmain  Ke Af’aal aur unke Aqwal Hujjat nahi hai.
(Nail ul Autaar Vol : 07, Pg :  365)
Scan page is below

Proof 03 :
Gair Muqalideen ke Ustaad ul Ulama Muhaddis Yahiya Gondalwi Likhte hai “Tabain ke Aqwaal Balke  Sahaba Ke Aqwal Ikhtelaafi Umoor me Hujjat Nahi Hote.
(Khair ul Kalaam , Pg :  249)
Scan page

aur bhi bahot hai itne se pata chala k tumhare nazdik Sahaba ka Kaul huzzat hi nahi maante balki biddat qarar dete hai to phir tumhare liye ye aqwaal kaise huzzat k taur pesh kar sakte hai.

II) Inke yaha bada masla hai WITR ki rakaat ko leke wo ye k ye KAUM WITR bhi 1 Rakat padhti hai ji haa ye WITR 01 Rakaat padhte hai ab is hadees ko pesh kiye hai jo khud unke khilaf hai.

01) Is Hadees me Aaya 11 Rakaat 4 + 4 = 8 Taraweeh hogayi baaki bachi 03 wo witr to ab tum to 03 witr k munkir ho agar is hadees ko sach me sahi maante ho to 08 Taraweeh aur 03 Witr padho witr kyu khaa gaye ? agr tumhare akeede se mel khati to 09 Rakat hona Tha 11 kyu huwi ?
Kyu Hadees k ek part ko maano baaki chod do ye MUNAFIKAT hai wahabio.
Dekhte hai hum tum 03 kab pdhte ho ye padhke aap samajh gye honge ktna dhoka dete hai ye wahabi ye ek basic baat hai wo is baat ka hi jawab nhi de paaynge haa bhagenge yaha waha par jawab nhi aayga.
Apni munafikat tum un bholi bhali awaam k saamne to kar sakte ho jo tumhare Nautanki waale chehra dekh muttasir hojaye jo Jirah Tadeel Aur Asma Ur Rizal naa janti ho par ahle ilm k aage nhi.

02) Hadees me Ek Raavi hai jo jinka naam
محمد بن يوسف عن السائب بن يزيد أنه قال أمر عمر بن الخطاب
NOTE: : "MUHAMMAD BIN YUSUF AN SAIB IBN YAZID"
Ab inhi MUHAMMAD BIN YUSUF se rivayat dusri hadees padho usme kya hai
Musannaf Abdur Razzaq me bhi same Hadees isi Sanad se hai lekin uske alfaz hain
محمد بن يوسف عن السائب بن يزيد أن عمر جمع الناس في رمضان على أبي بن كعب وعلى تميم الداري على إحدى وعشرين ركعة
MUHAMMAD BIN YUSUF se riwayat hai unhone saaib bin Yazeed se riwayat kiya ki Umar Farooque رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  ne ramzan me logon ko Ubay bin Ka’ab ke piche jama kiya aur unhone logon ko 21 Rakat Padhai.
References :
[Musannaf Abdur Razzaq, Volume No. 4, Page No. 260, Hadith No. 7730]Ussi tarah ek Rivayat Imam Muhammad Ibn Nasar Maruzi رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se inki 13 Rakaat Taraweeh ki Rivata Nakl Hai.
Pata Chala K MUHAMMAD BIN YUSUF jo raavi hai inki rivayato me Sakht Iztiraab Hai lihaja inki rivayat motebar nahi agar tum Muwatta Imam Malik ko apni nafs se follow karte ho to Musanif ibn Abdur Razzak ki hadees aur Ibn Nasar ki rivayat karta hadees kyu chod bethe ?
Jab baat apne matlab ki aayi to hazam kar bethe jab baat dusre ki aaye to fauran tumhare yaha k Paan Chai bechne waale bhi keh denge Hadees Zaif hai aakhir kab tak Dhoka doge kaum ko hadeeso k naam pe ? 
Magar Ussi Muwatta Imam Malik me 20 Rakaat Ki Saaf Hadees uske baad hi mauzood hai wo bina Dakar k hazam kar bethe kyu ? ye kab dikhaoge awaam ko ?
Hadees :
رواه مالك والفريابي والبيهقي. وقال الفريابي : إسناده ورجاله موثقون
وقال ابن قدامة في المغني : وهذا كالإجماع.
“Hazrat Yazeed Bin Rumaan Ne Bayan Kiya Ki Hazrat Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ke Daur Me Log (Ba-Shumool-Witr) 23 Rak’aat Padhte They.”
References :
(Al Muwatta Imam Malik, Vol : 01, Book No 06 Salati Fi Ramadan, Hadees : 251, ‘English Version : Book 06 Hadees 05’)
Hadees :
“Hazrat Maalik Ne Daaud Bin Husain Se Riwayat Kiya, Unhone Hazrat A’raj Ko Farmate Huwe Suna Ki Mein Ne Logon Ko Is Haal Me Paaya Ki Woh Ramdan Me Kafiron Par Laanat Kiya Karte They Unhone Farmaya (Namaz-E-Tarawih Me) Qaari Soorah Baqrah Ko Aanth-08 Rak’aton Me Padhta Aur Ab Baaqi Baarah-12 Rak’atein Padhi Jaati To Log Dekhte Ki Imam Inhein Halki (Mukhtasar) Kar Deta.”
Reference :
(Al Muwatta Imam Malik, Vol : 01, Book No 06 Salati Fi Ramadan, Hadees : 252, ‘English Version : Book 06 Hadees 06’)
To Muwatta Imam Malik ki wo hadees bhi taraweeh ki 8 rakat ko sabit nahi karti jabki 20 rakat upar ki hadees se sabit hai.
Ab Salafiyon naam nihad ahle hadees firka e Victoria jo awaam ko gumraah kar amal se rokte hai unke paas ek bhi Hadees Khulafa-e-rashideen ki nahi hai jisme 8 rakat taraweeh ho, aur Muwatta Imam Malik me maujud wo wahid hadees muztarib hai, aur MUZTARIB hadees kabhi dalil ke liye pesh nahi ki jati.
Khud Ibn taymiyya ne bhi kaha:
ثبت أن أبي بن كعب كان يقوم بالناس عشرين ركعة في قيام رمضان، ويوتر بثلاث. فرأي كثير من العلماء أن ذلك هو السنة؛ لأنه أقامه بين المهاجرين والأنصار، ولم ينكره منكر
Translation: ye sabit ho chuka hai ki Ubay bin Ka’ab ne ramzan me sahaba ko 20 rakat aur 3 witr padhai. Is tarah ye Kaseer Ulama ka maslak hai ki ye sunnat hai. Kyunki Ubay bin Ka’ab Muhajirin ke samne bhi aur Ansar ke samne bhi 20 rakat padhte the. Aur kisi bhi ek sahabi ne ispar aitraz na kiya. !"
(Ibn Taymiyyah: Majmua al Fatawa Vol : 1, Pg : 191)
khud inke Shaykul Islam Ibn Taimya ne maana hai Taraweeh k 20 Hone ko jiske fatwe k bina wahabi chalte nahi hai.
Next Post Will Be Regarding Hadees of Umool Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha Which Wahabi Claim to be Taraweeh

Pray for us Sher Ali Hanfi

http://786sho.blogspot.com/2015/06/refutation-of-wahabis-claim-regarding.html?m=1

No comments:

Post a Comment