Sunday, August 31, 2025

Mirza Plumber Jahannami ki Kufriya Gustakhi – Tafseel aur Radd

Allah Ta‘ala farmata hai:

Jo log Allah aur uske Rasool ko takleef dete hain, Allah un par duniya aur aakhirat me laanat bhejta hai, aur unke liye ruswai ka azaab tayyar hai (Surah Ahzab: 57)

Duniya ke andar hamesha Fitne isi tarah uthte hain – koi shakhs deen ke naam par aata hai, baatein deeni banata hai, lekin asal maqsad Gustakhi, Kufr aur Fitna failana hota hai. Aaj ke zamane ka sabse bada misal hai Engineer Plumber Mirza Jahannami, jisne apne kufriya bayanat se na sirf Allah Ta‘ala pe jhoota ilzam lagaya, balki Nabi Kareem ﷺ ki Gustakhi ki, Ambiya aur Sahaba Aur Awliya ki tauheen ki aur phir apne jahannami students ke saath milkar us kufr ka defence bhi kiya.

Yaqeen janiye! Is post ko ghor se padhne ke baad kisi bhi aqalmand insaan ke liye Plumber Mirza ke kafir hone me zara bhi shak baqi nahi rahega.


Mirza Jahannami ki Gustakhi – Asal Waqiya

Us ne kaha ki:

“2 Arab Isaai (Christians) hamare Aaqa ﷺ ke bare me yeh (.....) samajhte hain, aur uske bawajood Allah Ta‘ala ne hume Isaai ladkiyon se nikah karne ka hukum diya hai.”

Astaghfirullah!

Is ek kalima me Gustakhi-e-Rasool ﷺ ke saath saath Allah Ta‘ala par jhoota ilzam, Qur’an Shareef ki khilaf warzi, aur pure ummat ko gumraah karne ka saazish chhupi hai.


Gustakhi aur Kufr ke 4 Asal Nuqaat

1. Allah Ta‘ala par Jhoota Ilzam

Mirza ne kaha ke Allah Ta‘ala ne Gustakh-e-Rasool ki beti se shadi ki ijaazat di.
Ye baat saaf jhooti hai. Qur’an me kahin bhi aisi baat nahi.
Allah Ta‘ala ne Ahle Kitaab (jo shirk ya Gustakhi par qaim na ho) se nikah ki ijaazat di, lekin Gustakh-e-Rasool to wajib-ul-qatl hai.

📖 Dalil:
Allah Ta‘ala farmata hai:

“Unhe azaab do jo Allah aur uske Rasool ko takleef dete hain, unke liye duniya aur aakhirat me ruswai ka azaab hai.”
(Surah Taubah: 61)

To phir Gustakh se shadi kaise jaiz ho sakta hai?
Allah Ta‘ala par jhoota ilzam lagana kufr hai.


2. Kufriya Aqeedah ko Batore Dalil Bayan Karna

Deen me koi bhi aisi baat jo Gustakhi par mabni ho, use agar koi radd ke liye na, balke daleel banakar bayan kare to wo khud Gustakh aur Kafir hai.

📖 Dalil:
Alahazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi rehmatullah alaih farmate hain:

“Jo Gustakhi ko daleel banaye, wo khud Gustakh hai. Gustakhi ka zikr sirf radd aur inkari lehje me hi jaiz hai.”
(Fatawa Ridawiyyah, Jild 14)


3. Do Arab Isaai par Ilzam Lagana

Mirza ne kaha ke “2 billion Isaai yeh samajhte hain.”
Ye baat bhi jhooti aur fitna hai.
Aaj tak kisi Isaai ke aqeede me aisi baat saabit nahi ki Nabi Kareem ﷺ par Gustakhi ko wo apna imaan samajhta hai.

Pure 2 billion par ilzam lagana aur phir us Gustakhi ko daleel banana — ye bhi fitna hai.
Aur jhooti baat ko Allah aur Rasool ke maqam me laana aur usay phelaana, saaf-saaf Gustakhi aur kufr hai.


4. Nabi Kareem ﷺ ki Shaan me Gustakhi

Sabse badi Gustakhi yehi hai ke Allah ke Mehboob ﷺ ki izzat aur shan ko ghata kar aise lafz istemal kiye gaye.
Ye kufriya baat hai jiska inkar karna wajib hai.

📖 Dalil:
Rasool Allah ﷺ ne farmaya:

“Jo meri tauheen kare uska qatl wajib hai.”
(Sharh-us-Sunnah, Imam Baghawi)

To Gustakh-e-Rasool ki taraf dawat dena, ya usay jaiz kehna — khud kufr hai.


Mirza ka Doosra Fitna

Is par baat khatam nahi hoti. Apne is kufriya aqeede ko sahi sabit karne ke liye Mirza ne:

  • Sayyiduna Isa Alaihissalam ki Gustakhi ki,
  • Hazrat Maryam RadiAllahu Anha par bohtan lagaya,
  • Aur yahood ki baat ko daleel banakar saare Anbiya ki tauheen ki.

Yahan bhi usne wahi kaam kiya — Gustakhi ko daleel banaya.
Ye khud ek khuli hui dalalat hai ke wo Gustakh, Kafir aur Jahannami hai.


Nateeja

Mirza Plumber Jahannami ki Gustakhi aur Kufr ki bunyaadi nuqaat yehi hain:

  1. Allah Ta‘ala par jhoota ilzam
  2. Gustakhi ko daleel banana
  3. Nabi Kareem ﷺ ki tauheen
  4. Do billion Isaai par fitna
  5. Hazrat Isa aur Hazrat Maryam ki Gustakhi

In sab ki bunyaad par ye saabit hai ke:
Mirza Gustakh hai, Kafir hai aur Jahannami hai.

Aur Yaad Rakhiye ye Mirza Jahannami ki Pahli Gustakhi Nahi hai Har baar ye Apne Aap ko Charcha me Rahne ke liye Aisa Aisa bayaan Deta hi rahta hai Aur Asal me ye Yahoodiyon ka Agent hai.


Ahle Imaan ke liye Paighaam

Aye Sunni Musalmano 
Fitnon ka zamana hai. Gustakh log deen ke naam par aate hain aur phir Nabi Kareem ﷺ ki shan me kharaabi dalne ki koshish karte hain.
Humein chahiye ke unka radd ilm aur daleel se karein, aur apne iman ki hifazat karein.

Imam Ahmed Raza Khan Barelvi rehmatullah alaih farmate hain:

“Rasool Allah ﷺ ki shan me khayaal bhar Gustakhi bhi insaan ko Islam se nikal deti hai.”
(Fatawa Ridawiyyah, Jild 14)


Allah Ta‘ala humein Nabi Kareem ﷺ ki mohabbat aur adab par qaim rakhe,

Aur humein Gustakhon ke fitno se mehfooz rakhe.

Imam Ahmad Raza Khan Fazile-Barelvi rahmatullah alaih ne Shariyat ka Huqm Bayan farma Diya hai

Gustakh-e-Rasool ﷺ kafir hai aur us se kisi bhi tarah ka talluq rakhna haram hai. Us se shadi karna, uska janaza padhna, uske peeche namaz padhna—sab najaiz aur haram hai. Balke ye sab imaan ke khilaf hai. Aise shakhs ka radd karna aur us se doori banana har Musalman par farz hai.

(Fatawa Razawiyya)


Wednesday, August 27, 2025

Mirza Engineer Plumber ki Kufriya Gustakhi

Fitna Kaise Shuru Hota Hai?

Sabse pehle ye samajhna zaroori hai ki fitna kabhi bhi seedha gustakhi aur kufr se shuru nahi hota.

Fitnebaaz hamesha pehle deen ki baatein karta hai, Qur’an o Hadis ka zikr karta hai, taake aam Musalman ke dil mein apni jagah bana le.
Phir dheere dheere apna asal chehra saamne laata hai.

Aur yaad rakho!
Koi bhi fitnebaaz kabhi 100 me se 100 baat kufr ki nahi karta. Agar karta to log turant usse door ho jaate.

Uska tareeqa yeh hota hai:

  • Bohot si baatein Qur’an o Hadis ki karega.
  • Lekin beech mein kuchh aisi baatein bolega jo gustakhi, kufr aur gumrahi hongi.

Usko maloom hai:
“Agar ek shakhs 99 baat Qur’an o Hadis ki maane, lekin sirf ek aqeeda ghalat rakh le, to uska Islam chala jaata hai – chahe wo roz namaz padhta ho, rozay rakhta ho, hajj kare, zakat de.”


Mirza Engineer Plumber ki Gustakhiyan

Ye shakhs deen ki baaton ka libaas pehn kar awaam ko gumraah karta hai. Lekin asal mein:

  • Ulama-e-Ahle Sunnat ki tauheen ki.
  • Awliya Allah ki gustakhi ki.
  • Sahaba-e-Kiram ki shaan mein gustakhi ki, jabke Qur’an ne unke liye farmaya:

“RadiAllahu ‘anhum wa radu ‘anhu.” (Surah Taubah, 100)

  • Phir RasoolAllah ﷺ ki shaan mein aisi gustakhi ki jo zubaan par lana bhi imkaan nahi. Aur apni gustakhi ka ilzaam Isaaiyon par daala. (Ma’azAllah)
  • Hazrat Isa Alaihissalam ki tauheen ki.
  • Hazrat Maryam RadiAllahu Anha par bohtan lagaya aur iska ilzaam Yahoodiyon par daal diya.

Gustakhi Ko Kaise Pehchaanein?

Yaad rakho! Gustakhi ka koi singh ya nishan nahi hota jo saamne dikh jaye.

Aasan tareeqa ye hai:
Jo baat tumhe apne maa-baap ki shaan ke liye bhi nagawar lage, wo Ambiya, Sahaba aur Awliya ke liye to aur bhi badi gustakhi hai.

Aur aqeeda yaad rakho:

  • Ambiya ki tauheen kufr hai.
  • Chahe koi uski safai de ya dalil banaye – kufr kufr hi rehta hai.

Yahi tareeqa Mirza Ghulam Qadiyani ke logon ne apnaya, jo aaj tak safaiyan dete hain.
Deobandi ne bhi Allah ke liye “jhoot bolna” ka kaha, aur Qur’an ki aayat pesh ki – lekin Kufr ko Kufr hi kaha gaya.


Qur’an o Hadis Se Daleel

Allah Ta’ala farmata hai:

“Ae Imaan waalon! Apne aap ko aur apne ghar walon ko aag se bachaao, jis ka indhan insaan aur pathar hain.”
(Surah Tahrim, 66:6)

Aur Nabi Kareem ﷺ ne farmaya:

“Jo shakhs hamare upar jhoot bandhe, uski jagah Jahannum mein hai.”
(Sahih Bukhari, Hadith 1291)

Aur ek aur hadees me Irshad farmaya:

“Aakhri zamane me aise fitne uthenge jaise andheri raat ke tukde. Banda subah Musalman hoga aur shaam ko kafir ho jaayega.”
(Sahih Muslim)


Akhir Ki Naseehat

Muslmano!
Samajh lo – yeh sab log deen ki baatein karke tumhare dil mein jagah banate hain.
Phir dheere dheere tumhara aqeeda bigaad dete hain.

Apne imaan ki hifazat karo!
Sirf Ahle Sunnat ke ulama ki kitaabein aur bayanat suno!
Har fitnebaaz se bacho! 
Aaj mirza plumber Agar mar bhi jaaye to uske khabasaat Aur gustakhi baaki rahegi Aur iske Alawa bhi bahut se fitne hai is Dour me Aur Aane Wale waqt me naa jaane kitne fitne niklenge to 

Daro Allah se Aur Imaan ki hifazat ki dua karo

Ya Allah!

Humein Nabi ﷺ ki sachi muhabbat ata farma.
Sahaba aur Awliya ka adab naseeb farma.
Humein har fitnebaaz aur gumraah se mehfooz rakh.

Ameen Ya Rabbal Aalameen.


Tuesday, August 26, 2025

नियाज़ फ़ातिहा का सुबूत


बिस्मिल्लाह हीर रहमा-नीर रहीम:

नियाज़, फ़ातिहा और इसाले सवाब का सुबूत — कुरआन, हदीस और इज्मा से

"जिस खाने पर अल्लाह का नाम लिया गया हो, भला वो हराम या शिर्क कैसे हो सकता है?"

कुरआन साफ़ कहता है:

فَكُلُوا مِمَّا ذُكِرَ ٱسْمُ ٱللَّهِ عَلَيْهِ
“तो खाओ उसमें से जिस पर अल्लाह का नाम लिया गया हो।”
(सूरह अल-अनआम – 6:118)

इस आयत में साफ फ़रमाया गया कि खाओ उसमें से जिसपे अल्लाह का नाम लिया गया हो और ये एक आयत काफी है फातेहा नियाज़ के दलील के लिए लेकिन आगे बढ़ते है.

وَمَا لَكُمْ أَلَّا تَأْكُلُوا مِمَّا ذُكِرَ ٱسْمُ ٱللَّهِ عَلَيْهِ
“और तुम्हें क्या हुआ कि उसमें से न खाओ जिस पर अल्लाह का नाम लिया गया हो।”
(सूरह अल-अनआम – 6:119)

भला कोई मुसलमान उस खाने को क्यों न खाए जिसपे अल्लाह का नाम लिया गया हो बेशक ये काम किसी मुसलामान का तो हरगिज़ नहीं हां शैतान है जो नहीं खाता कुरआन पढ़ा हुआ खाने को इसलिए हम हर खाने के चीज़ को बिस्मिल्लाह पढ़ के खाते हैं ताकि शैतान उस खाने में शरीक न हो तो अब मतलब साफ है जो नहीं खाते वो असल में शैतान के पैरोकार है

अब आइए इज़मा ए उम्मत क्या है देखते हैं


फातिहा और इसाले सवाब का इज्मा 

इसाले सवाब का मतलब है अपने किसी भी नेकी के अमल का सवाब किसी दूसरे मुसलमान को तोहफ़ा करना — चाहे वो तिलावत हो, नमाज़ हो, रोज़ा हो, या सदक़ा-खैरात।

फिक़ह-ए-हनाफ़ी की मशहूर किताब हिदायह में है:

"आदमी अपने अमल का सवाब दूसरे को बख्श सकता है – चाहे वो बदनी इबादत हो या माली।"

शरह फिक्ह-ए-अकबर में है कि:

"इमाम ए आज़म अबू हनीफा और इमाम अहमद बिन हंबल समेत सल्फ़-ए-सालिहीन का अक़ीदा है कि इबादत का सवाब मुर्दों को पहुँचता है।"


हदीस से दलाइल:

बुखारी और मुस्लिम में बहुत सी रिवायतें हैं कि रसूलअल्लाह ﷺ ने खाना सामने रख कर दुआ फ़रमाया करते

हज़रत सअद ने अपनी वालिदा के लिये कुआं खुदवाया, फरमाया:

"इस कुएं का पानी सअद की माँ के इसाले सवाब के लिए है।"

अब रही बात सामने रख कर दुआ मांगना या कुछ पढ़ना तो कुर्बानी के जानवर पे जो दुआ पढ़ी जाती है इससे बड़ी क्या दलील होगी 

क़ुरबानी के जानवर पर दुआ:

"اللهم تقبل هذه الأضحية من فلان"
"या अल्लाह! ये क़ुर्बानी फलाँ की तरफ़ से क़ुबूल फ़रमा।"
– इस दुआ में "हाज़िहि" (यह) लफ़्ज़ इस बात की दलील है कि जिस चीज़ पर सवाब भेजना हो, वह सामने रखी जाती है।

और फिर जनाज़े को भी सामने रख कर उसके सामने कुरआन शरीफ भी पढ़ते हैं और दुआ भी करते हैं मैय्यत के लिए और दुरुद शरीफ भी पढ़ते हैं


फातिहा क्या है?

फातिहा का मतलब है:

  • हलाल खाने का इन्तेज़ाम,
  • कुरआन शरीफ़ की तिलावत करना,
  • और फिर उसका सवाब तमाम नेक बंदों को पहुँचाना। 

जो लोग शिर्क कहते हैं वो लोग भी खाना सामने ही रख के बिस्मिल्लाह पढ़ते हैं और फिर खाना खाते हैं 
या हो सकता है कि ये शैतान के पैरोकार बिस्मिल्लाह भी न पढ़ते हो खाना खाते वक्त

क्या कुरआन पढ़ना और अल्लाह का नाम लेना कभी शिर्क हो सकता है?

अलहम्दुलिल्लाह अहले सुन्नत का हर अकीदह और अमल कुरआन और हदीस से साबित है।

चैलेंज है हर बातिल फिरके को अगर सच्चे हो तो कुरआन और हदीस से कोई एक आयत या एक हदीस पेश करो जिसमें लिखा हो सुन्नी जो नियाज़ फातेहा करते हैं ये नाजायज है या शिर्क़ है या हराम है 

और मैं अभी ही कह देता हूं तुम कभी भी कोई आयत या हदीस पेश नहीं कर सकते।

 और अब भी कहते हो कि खाना सामने रख के फातेहा पढ़ना शिर्क़ बीदअत है तो फिर खाना खाते वक्त बिस्मिल्लाह न पढ़ो 

Tuesday, August 19, 2025

Namaz Ka Tariqa

 Niyyat

Niyyat ki: Maine do rak‘at Fajr ki Farz, waste Allah Ta‘ala ke, muh mera Kaaba Shareef ki taraf.

(Ye niyyat Fajr ki Farz ki hai. Aap jo bhi namaz padhein uski niyyat karen aur jitni rakat padhni ho utni ki niyyat karen.)


1. Takbeer-e-Tahreema

اللّٰهُ أَكْبَرُ
Allahu Akbar keh kar dono haath uthayein aur apne dono anguthon ko kaanon ki lou se touch karein.
Phir haath naaf ke neeche baandh lein.


2. Sana Padhen.

سُبْحَانَكَ اللَّهُمَّ وَبِحَمْدِكَ، وَتَبَارَكَ اسْمُكَ، وَتَعَالٰى جَدُّكَ، وَلَا إِلٰهَ غَيْرُكَ
Sub'hanakallahumma wa bihamdika, wa tabaarakasmuka, wa ta‘aala jadduka, wa la ilaaha ghairuka.


3. Ta‘awwuz Padhen

أَعُوذُ بِاللّٰهِ مِنَ الشَّيْطٰانِ الرَّجِيمِ
A‘uzubillahi minash-shaitaanir-rajeem


4. Tasmiyah Padhen 

بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيمِ
Bismillahir-Rahmanir-Raheem


5. Ab Surah Fatihah Padhen

اَلْـحَمْدُ لِلّٰہِ رَبِّ الْعٰلَمِیْنَ ۞ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِ ۞ مٰلِكِ یَوْمِ الدِّیْنِ ۞ اِیَّاكَ نَعْبُدُ وَ اِیَّاكَ نَسْتَعِیْنُ ۞ اِهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِیْمَ ۞ صِرَاطَ الَّذِیْنَ اَنْعَمْتَ عَلَیْهِمْ ۞ غَیْرِ الْمَغْضُوْبِ عَلَیْهِمْ وَ لَا الضَّآلِّیْنَ


6. Ab Surah ya Teen Aayat Padhen

Misal ke taur par Surah Kafiroon:
قُلْ یٰۤاَیُّهَا الْكٰفِرُوْنَ ۞ لَاۤ اَعْبُدُ مَا تَعْبُدُوْنَ ۞ وَ لَاۤ اَنْتُمْ عٰبِدُوْنَ مَاۤ اَعْبُدُ ۞ وَ لَاۤ اَنَا عَابِدٌ مَّا عَبَدْتُّمْ ۞ وَ لَاۤ اَنْتُمْ عٰبِدُوْنَ مَاۤ اَعْبُدُ ۞ لَكُمْ دِیْنُكُمْ وَ لِیَ دِیْنِ


7. Ab Ruku me Jayen

“Allahu Akbar” kehkar ruku me jayein.
Ruku me kam se kam teen martaba padhein:
سُبْحَانَ رَبِّيَ الْعَظِيمِ
Subhaana Rabbiyal-Azeem


8. Qawmah

Ruku se uthte waqt kehna:
سَمِعَ اللّٰهُ لِمَنْ حَمِدَهُ
Samiallahu liman hamidah

Seedha khade ho ke Padhen.
رَبَّنَا لَكَ الْحَمْدُ
Rabbana lakal-hamd


9. Sajdah

“Allahu Akbar” kehkar sajde me jayein.
Sajde me kam se kam teen martaba padhein:
سُبْحَانَ رَبِّيَ الأَعْلٰى
Subhaana Rabbiyal-A‘laa


10. Jalsa

Sajde se uthkar “Allahu Akbar” kehna aur baithna.
Phir doosra sajda karna aur wahi tasbeeh padhna.


11. Doosri Rakat

Phir Allahu Akbar kahte huwe khade ho jayein aur Surah Fatiha padhein.
Uske baad koi aur Surah, jaise Surah Ikhlas padhen. 

قُلْ هُوَ اللّٰهُ اَحَدٌ ۞ اَللّٰهُ الصَّمَدُ ۞ لَمْ یَلِدْ وَ لَمْ یُوْلَدْ ۞ وَ لَمْ یَكُنْ لَّهٗ كُفُوًا اَحَدٌ

Ab Phir wahi ruku, qawmah, sajde jaise pehle kiya tha 


12. Qa‘da (Attahiyat)

Doosri rakat ke 2 sajdon ke baad baith kar padhen

اَلتَّحِيَّاتُ لِلّٰهِ وَالصَّلَوَاتُ وَالطَّيِّبَاتُ، اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ أَيُّهَا النَّبِيُّ وَرَحْمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ، اَلسَّلَامُ عَلَيْنَا وَعَلٰى عِبَادِ اللّٰهِ الصَّالِحِينَ، أَشْهَدُ أَنْ لَا إِلٰهَ إِلَّا اللّٰهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُوْلُهُ


13. Zyada Rakat Wali Namaz

Agar 3 ya 4 rakat ki niyyat ki hai to phir se “Allahu Akbar” kehkar khade ho jayein aur 3rd/4th rakat padhein.

  • Sunnat ya Nafl me har rakat me Surah Fatiha + koi aur Surah padhein.
  • Farz me 3rd aur 4th rakat me sirf Surah Fatiha padhein, koi Surah na milayein.

14. Durood Sharif (Aakhri Qa‘da me)

اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَّعَلٰى اٰلِ سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ كَمَا صَلَّیْتَ عَلٰى سَیِّدِنَا اِبْرٰهِیْمَ وَعَلٰى اٰلِ سَیِّدِنَا اِبْرٰهِیْمَ اِنَّكَ حَمِیْدٌ مَّجِیْدٌ۔ اَللّٰهُمَّ بَارِكْ عَلٰى سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَّعَلٰى اٰلِ سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ كَمَا بَارَكْتَ عَلٰى سَیِّدِنَا اِبْرٰهِیْمَ وَعَلٰى اٰلِ سَیِّدِنَا اِبْرٰهِیْمَ اِنَّكَ حَمِیْدٌ مَّجِیْدٌ


15. Masnoon Dua

اللَّهُمَّ إِنِّي ظَلَمْتُ نَفْسِي ظُلْمًا كَثِيرًا، وَلَا يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلَّا أَنْتَ، فَاغْفِرْ لِي مَغْفِرَةً مِنْ عِنْدِكَ، وَارْحَمْنِي إِنَّكَ أَنْتَ الْغَفُورُ الرَّحِيمُ


16. Salaam

Pahle Right Phir Left me salaam phairen:
السَّلَامُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللّٰهِ

(Ab Agar kuchh bhi sawal Ho Aap ke Man Me to Comment kijiye. Ya Phir site ke right me sawal ya Sujhao ka box hai Usme Apna Gmail Daliye Aur Sawal Likhiye Aur Direct mujhe bhej Dijiye Jaise Hi Main Gmail check karunga Aap Ka jAwab Aap ko mil Jayega

Saturday, August 16, 2025

Imam Mahdi | Hazrat Isaa | Yajuj majuj

Qayamat Se Pehle Ki Bari Alamaat

Ahle Sunnat Ki Roshni Mein Tafseeli Bayan

Allah Ta’ala ne Qur’an o Sunnat me Qayamat ke qareeb aane ki kuch badi alamat (نشانیات) bayan farmayi hain. Ye alamat aise waqiat hain jo insani tareekh me pehli dafa us scale par honge.


1. Yajuj Majuj (Gog and Magog)

Qur’an Ka Bayan

Allah Ta’ala farmata hai:

"Yajuj aur Majuj khol diye jayenge aur wo har buland jagah se lapakte hue aayenge."
(Kanzul Imaan: Surah Al-Anbiya, Ayat 96)

Ye do bade quom hain jo Hazrat Zulqarnain علیہ السلام ke zamane me ek bade deewar (سد) ke peeche bandh kiye gaye the.

  • Yajuj Majuj ki asal nasal Hazrat Nuh علیہ السلام ke bete Yafis ki aulad se hai.
  • Ye bohot zyada aabadi wale, bahut tez raftaar, aur nafrat aur fasaad me mashhoor honge.

Band Karna

Hazrat Zulqarnain علیہ السلام ne unke aur logon ke darmiyan ek mazboot deewar banayi jo lohe aur pighle tambay se tayyar hui.
Wo deewar aaj tak in quomon ko rok rahi hai.

Qayamat Ke Qareeb

  • Allah Ta’ala ke Huqm se deewar gir jayega.
  • Ye log poori duniya me phail kar khoon kharaba karenge, pani pi jayenge, zameen ki ni’maat khatam karenge.
  • Ye itne zyada honge ke unka guzarna ek lashkar ke lashkar ki tarah hoga.

2. Dajjal

Dajjal Ka Matlab

Dajjal ka matlab hai “bahut bada jhooth bolne wala, dhokebaaz”.
Ye ek insaan hoga jo Qayamat se pehle niklega aur apne aap ko “Khuda” kehne lagega.

Hadees Ka Bayan

Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
"Duniya me Adam علیہ السلام ke paida hone se lekar Qayamat tak Dajjal se zyada bada fitna koi nahi."
(Muslim Shareef)

Dajjal Ki Pehchan

  • Ek aankh andhi hogi (jise Qur’an me “Masih-ud-Dajjal” kaha gaya).
  • Maatha par “ک ف ر” (Kafir) likha hoga, jo har mo’min padh lega.
  • Uske paas zahiri tor par bohot daulat, barish barsane ki quwwat, aur zameen ko hari karne ki quwwat hogi — lekin sab Allah ke imtihaan ke liye.

Dajjal Ka Fitna

  • Logon ko apne “khuda hone” ka da’wa karega.
  • Aam insaan uske jadugarana asar dekh kar ghumrah ho jayenge.
  • Wo jannat-jahannum ka dhong rachaayega — uski jannat asal me jahannum hogi.

3. Hazrat Isa علیہ السلام Ka Nuzool

Qur’an Ka Bayan

Allah Ta’ala farmata hai:

"Aur wo (Isa علیہ السلام) Qayamat ki nishani hain, to isme shakk na karo."
(Kanzul Imaan: Surah Az-Zukhruf, Ayat 61)

Aqeedah-e-Ahle Sunnat

  • Hazrat Isa علیہ السلام zinda hain, aasmaan par uthaye gaye.
  • Qayamat ke qareeb Damishq ke ek safed minar par farishte ke saath utarenge.
  • Unka rang gora, baal me halka tel, aur aise lagte honge jaise abhi ghusl karke aaye ho.

Nuzool Ka Maqsad

  • Dajjal ko qatl karna (Babul Lud ke maqam par).
  • Jhootay aqeedon ko khatam karna.
  • Islam ko poori duniya me ghalib karna.
  • 40 saal zameen par rahna, phir wafat.

4. Imam Mahdi علیہ الرحمہ

Aqeedah-e-Ahle Sunnat

  • Imam Mahdi ka asal naam Muhammad bin Abdullah hoga, nasab Hazrat Fatimah رضی اللہ عنہا se milega.
  • Unka chehra chamakdar, maatha chowda, naak unchi, aur badan mazboot hoga.
  • Unki aamad Qayamat ke qareeb hogi jab zameen zulm se bhar chuki hogi.

Unka Kaam

  • Islam ko dobara izzat aur quwwat dena.
  • Duniya me adl o insaaf qaim karna.
  • 7 saal tak hukumat karna.
  • Hazrat Isa علیہ السلام unke piche namaz parhenge (Imam Mahdi imam honge, Hazrat Isa musalli).

Waqiat Ki Tarteeb

  1. Imam Mahdi ka zahoor.
  2. Dajjal ka nikalna.
  3. Hazrat Isa علیہ السلام ka nuzool aur Dajjal ka qatl.
  4. Yajuj Majuj ka khulna aur tabahi.
  5. Ye tamam waqiat Qayamat ki taraf le jayenge.

Naseehat

Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
"Jisne Dajjal ke fitne se bachne ke liye Surah Kahf ki pehli 10 ayat yaad kar li, wo mehfooz rahega."
(Muslim Shareef)

Aye Imaan Walo! Aakhirat ki tayyari karo, ye alamat hamein hoshiyar kar rahi hain.



Wednesday, August 13, 2025

Qayamat kya hai ( Jab Dunya khatm hogi )

Qayamat Ka Matlab Aur Ahmiyat

Qayamat lafz Arabic zuban ka hai, jiska matlab hai "Uthane ka din" ya "Aakhri din" – wo din jab duniya ka tamam nizam khatam ho jayega.
Is din sab makhlooq — insaan, jinn, aur sab kuch — apni maut ka samna karega. Phir Allah Ta’ala apne hukm se sabko dobara zinda karega taake har kisi ka hisaab kitab ho sake.


Quran Shareef Mein Qayamat Ka Zikr

Qayamat ko Quran mein mukhtalif lafzon se bayan kiya gaya hai, jin mein sab se zyada istamal hone wala lafz "As-Sa’ah" hai, jo 70 se zyada martaba aaya hai.

Iske alawa, "Yawm al-Qiyamah" (Qayamat ka din), "Yawm ad-Deen" (Din-e-Hisaab), aur "Al-Hisab" jaise lafz bhi use huye hain.

Kuch mashhoor ayat jo Qayamat ki sachai aur uske ahmiyat ko wazeh karti hain:

  • Surah Al-Hajj (22:7)

"Aur yaqeenan Qayamat ka din aane wala hai, isme koi shak nahi, aur Allah ne jo kuch tum karte ho usse kuch chhupaya nahi."

  • Surah Al-Qiyamah (75:1-2)

"Main Qayamat ke din ki kasam khata hoon, aur us din insaan apne aamal ki mukammal yaad-dasht karega."

  • Surah Az-Zalzalah (99:1-8)

"Zameen apni bhari hui saari baatein samet kar halchal karegi, aur har insan apne har chhote bade amal ka hisaab dega."


Qayamat Imaan Ka Buniyadi Hissa

Iman ke arkan me Qayamat par imaan laazmi hai.

  • Jo shak kare ya inkaar kare Qayamat ke aane me, wo Islam se bahar chala jata hai.
  • Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan رحمتہ اللہ علیہ ne apni kitaabon me wazeh farmaya ke Qayamat par imaan, Islam ka buniyadi rukun hai.
  • Yeh iman insan ko apni zindagi ko sudharne ki taraf dhakelta hai, taake woh is aakhri din ke liye tayyar rahe.

Qayamat Ki Nishaniyan (Alamaat)

Nabi ﷺ ne Qayamat ke pehle aane wali nishaniyan batayi hain, jinhe do hisso me taqseem kiya gaya hai:

1. Nishaniyan-e-Sughra (Chhoti Nishaniyan)

Yeh nishaniyan qareeb pesh aane wali aur kuch to aaj bhi poori ho chuki hain:

  • Ilm ka uthna aur jahalat ka phailna: Aaj ke dor me ilm honay ke bawajood haqeeqi ilm kam ho raha hai, aur jhoot, ghuloo, aur fitna bohat barh gaya hai.
  • Namaz aur ibadat ka kam ho jana: Aaj bohat se log namaz par nahi chalte, aur ibadat me sarmaya daari barh gayi hai.
  • Zina, sharab, jhoot aur badkaari ka aam ho jana: Aaj ke zamane me ye sab gunah itne aam hain ke log unhe normal samajhne lage hain.
  • Qatl-o-gharat ka badhna: Aaj ki duniya mein jang, khun-khari, aur na-insafi phail gayi hai.
  • Mo’min ki tadaad kam hona aur bad logon ka zyada hona: Aaj sachche iman walon ki tadaad kam ho rahi hai jabke badlog aur munafiq barh rahe hain.

2. Nishaniyan-e-Kubra (Bari Nishaniyan)

Yeh bari aur aakhri nishaniyan hain jo Qayamat ke bahut qareeb aayengi:

  • Hazrat Imam Mahdi Alaihis Salam ka zahoor
  • Dajjal ka nuzool
  • Hazrat Isa Alaihis Salam ka aasmaan se wapsi
  • Yajuj Majuj ka nikalna
  • Dhoowan (dhuaan) ka zameen par phail jana
  • Suraj ka maghrib se tulu hona
  • Teeno zameen ke dhans jana (Mashriq, Maghrib, Jaziratul Arab)
  • Aag ka nikalna jo logon ko mahshar ki taraf dhakelti hai

Qayamat Ka Waqia Aur Manzar

  • Hazrat Israfeel علیہ السلام soor (sur) phoonkenge, jo Qayamat ka sab se bada ashara hoga.
  • Pehli nafkha (phoonk) me sab makhlooq ki maut hogi.
  • Doosri nafkha me sab dobara zinda honge.
  • Log Maidan-e-Hashr me jama honge apne amal ka hisaab dene ke liye.
  • Pul-e-Siraat se guzarna hoga, jo ek patla aur tez pul hai jo jahannum ke upar banega.
  • Jo apne amal me nek honge, wo asaani se is pul ko paar karenge, aur jo gunaahgar (Munafiq Aur Kafir) honge wo isme gir jayenge.
  • Uske baad Jannat aur Jahannum ka faisla hoga.

Qayamat ka waqia haqeeqat hai, aur iske tamam ahkamaat Quran o Hadith se sabit hain.

  • Qayamat ka inkaar karna kufr hai.
  • Ahle Sunnat ke buzurg, khas kar Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan رحمۃ اللہ علیہ, ne apni kitabon me bohat tafseel se Qayamat aur uske ahmiyat par roshni dali hai.

Aye doston, Qayamat ka din zaroor aayega, chahe duniya is baat se kitna hi muh Morey 
Har insan ko apni zindagi is nazar se dekhni chahiye ke kal Qayamat ka din hai.

Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
“Main aur Qayamat aise hain jaise ye do ungliyan.” (Shahadat ki ungli Aur bich ki Ungli ko mila kar Aap ne Bataya )

Matlab Qayamat bohat qareeb hai. Apni namaz, roza, zakat aur nek amal ka khayal karo. Apne gunaahon ki tauba karo aur Allah ki rahmat ki talab karo. Aur is purfeetan Dour me Apne Imaan ki Achhe se Hifazat karo sabse Aham Aur Keemti Cheez Imaan Isko Bacha liya to Qamyab ho gaye 
Aur Aaj ke Dour me Khaas kar Social media pe Hazaro Fitne hai jisme par Gaye to Imaan barbad 

Allah TaAla Hum Tamam Sunni Bhaiyo Aur Bahno ke Imaan ki Hifazat Farmaye.

Aur Humara Khatma Bil Khair farmaye Imaan pe Aur Tamam Fitno se Bachne ki Toufiq Ata Farmaye.

 Aur Tamam Tar Gunahon se Bachne ki Toufiq Ata Farmaye.

Apne Pyare Habib Sallallahu alaihi wasallam ke Sadke Ameen Ya Rabbul Alameen 


Saturday, August 9, 2025

But-Parasti Ki Shuruaat Kaise Hui

Tawheed Ka Aaghaz

Duniya ka pehla insaan aur pehla Nabi — Hazrat Adam عليه السلام — jab zameen par aaye, to unka pegham sirf Allah ki ibadat tha.
Puri aulad-e-Adam pehle pehle sirf ek Allah ko Ma’bood samajhti thi.

Allah Ta’ala ne farmaya:

"Aur humne har ummat me ek Rasool bheja ke Allah ki ibadat karo aur taghut se bacho."
(Kanzul Imaan – Surah An-Nahl, 16:36)

Is daur me shirk ka tasavvur bhi nahi tha.


Shaytan Ka Irada

Iblees, jo Hazrat Adam عليه السلام ka dushman bana, Allah se wada karke aya tha:

"Main unhe gumrah karunga, siwa unke jo tere mukhlis banday hon."
(Kanzul Imaan – Surah Al-Hijr, 15:39-40)

Usne shirk ka beej lagane ka plan banaya — lekin sidha Allah ki ibadat chhudwana mushkil tha, is liye usne dheere dheere chal chalna shuru kiya.


Shirk Ki Pehli Seedh

Ahle Sunnat ki tafasir ke mutabiq, Hazrat Adam عليه السلام ke baad das naslon tak sirf Tawheed tha.
Phir waqt ke sath insaan ghaflat me aane laga.

Us waqt kuch bohot buzurg, nek aur Allah ke bande the: Wadd, Suwa‘, Yaghuth, Ya‘uq, Nasr.
Ye log apne waqt ke Wali the, jinhe log bohot mohabbat karte the.


Pehla Qadam – Yaadgar Banana

Jab ye buzurg wafat huye, to log gham me roye aur unki yaad me tasveer banayi.
Maqsad sirf yaad rakhna tha, ibadat nahi.
Shaytan ne unse kaha:

"Ye tumhare buzurg Allah ke qareeb the, tum inki tasveer apne majlis me rakho, taaki unke yaad se tumhara iman taza rahe."

Logon ne yeh baat maan li.


Doosra Qadam – Barkat Ka Tasavvur

Agli nasal ayi, jise asal waqia ka ilm nahi tha.
Shaytan ne kaha:

"Tumhare buzurg in tasveeron ki wajah se Allah se maqbool hue, tum bhi in tasveeron se barkat lo."

Log tasveer ke saamne baith kar dua karne lage, samajhne lage ke yeh unke liye Allah ke paas sifarish karenge.


Teesra Qadam – Tasveer Se Moorti

Agle zamane me tasveeron ko moorti bana diya gaya.
Moorti ko izzat ke saath rakha jane laga, kapde pehnaye gaye, phool chadhaye gaye.
Ab unka maqam insano ke dil me Allah ke bande se barh kar ilah ka ban gaya.


Chautha Qadam – Sajda Aur Ibadat

Jab shaytan ne dekha ke logon ka dil puri tarah phir gaya hai, to usne kaha:

"Ye tumhare ma’bood hain, inhe sajda karo, inke saamne qurbani do."

Yun pehla shirk insani tareekh me zahir hua.


Qur’ani Daleel

Allah Ta’ala farmata hai:

"Aur unhone kaha: Apne maaboodon ko na chhodo, Wadd, Suwa‘, Yaghuth, Ya‘uq aur Nasr ko na chhodo."
(Kanzul Imaan – Surah Nooh, 71:23)

Ala Hazrat رحمۃ اللہ علیہ ne iski tafsir me likha:

"Ye sab asal me buzurg insan the jo wafat ke baad unki qaum ne ibadat ka darja diya."

  • Pehla shirk Hazrat Nooh عليه السلام ki qaum me hua.
  • Buzurgon ka izzat aur ta’zeem jaiz hai jab tak ibadat na ho.

Shirk Se Bachne Ke 4 Ahm Usool

  1. Sirf Allah ko Ma’bood samajhna

    • Allah ke sath kisi ko ilah ka darja na dena, na uske ikhtiyar me sharik samajhna
  2. Niyat ka Tasfiyah

    • Har amal me niyat saaf rakho, ta’zeem aur ibadat me farq samjho.
  3. Ilm Seekhna

    • Qur’an-o-Hadees ka Ahle Sunnat ke ulama se ilm lena, taaki shaytani waswason se bacha ja sake.
  4. Fitnon Se Door Rehna

    • Aise majlis, kitab, ya media se bacho jo aqeede me shak paida karein.

Ya Allah Tu Hum Sunniyo ke Imaan Izzat Aabru Maal Aulad ki hifazat farma. Jismani Ruhaani Shafia e Kaamil Ata Farma.


Tuesday, August 5, 2025

Quran Shareef ko kin kin sahaba ne likha



📜 Qur’an Shareef Ko Kis Kis Sahabi Ne Likha? — Ek Wazeh Aur Hujjat Bhari Tahqiqat

Bismillah-hir-Rahman-nir-Raheem
Alhamdulillah! Qur’an Majeed Allah ka laafani kalam hai, jise apne mahfooz nizaam ke tehat, khud Allah ne mehfooz farmaya:

"Beshak humne hi is zikr (Qur’an) ko naazil farmaya, aur hum hi uske hifazat karne wale hain."
(Surah Al-Hijr, Ayat 9 — Kanzul Imaan)

Lekin ek sawal kai logon ke zehan mein uthta hai:
“Qur’an ko kis kis ne likha tha? Aur kis tarah isay mehfooz kiya gaya?”

Is post mein hum is sawal ka wazeh, daleelon ke sath, mukammal jawab dene wale hain — taake na shak rahe, na ghalat fahmi.


🟩 1. Qur’an ka likha jana Rasoolullah ﷺ ke zamane mein hi shuru ho gaya tha

Nabi Kareem ﷺ par jab wahi nazil hoti, to aap ﷺ foran kisi khaas Sahabi ko bulwate aur farmate:

“Is aayat ko falan surat mein falan jagah likho.”

Ye Sahaba-e-Kiraam, jinhe "Kuttab-e-Wahi" (Wahee ke likhne wale) kaha jata hai, Allah ke kalam ko hadees aur hukm ke mutabiq parchiyon, chaadiyon, haddi, pathar ya leather par likhte the.

👤 Mashhoor Kuttab-e-Wahi kaun kaun the?

  1. Hazrat Zaid bin Thabit رضی اللہ عنہ
  2. Hazrat Ali ibn Abi Talib رضی اللہ عنہ
  3. Hazrat Ubayy ibn Ka'b رضی اللہ عنہ
  4. Hazrat Abdullah ibn Mas'ud رضی اللہ عنہ
  5. Hazrat Mu'awiyah ibn Abi Sufyan رضی اللہ عنہ
  6. Hazrat Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ
  7. Hazrat Umar Farooq رضی اللہ عنہ
  8. Hazrat Khalid bin Waleed رضی اللہ عنہ
  9. Hazrat Ameer Usman Ghani رضی اللہ عنہ

➡️ Taqreeban 40 ke qareeb Sahaba رضی اللہ عنہم Qur’an ko likhte the, lekin unme se chand mashhoor naam upar zikar hue.

📚 Dalil:
Imam Suyuti rahmatullah alaih ne Al-Itqan fi Uloomil Qur’an mein 40 Kuttab-e-Wahi ka tazkira kiya hai.


🟩 2. Hazrat Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ ke daur mein Qur’an ki jama’at

Nabi ﷺ ke wafat ke baad, Jang-e-Yamama mein kai Huffaz-e-Qur’an shaheed ho gaye.
Hazrat Umar رضی اللہ عنہ ne mashwara diya:

“Agar Huffaz is tarah shaheed hote rahe to Qur’an ka hissa khona jaayega. Isay ek kitaab ki shakal mein jama karna zaroori hai.”

Hazrat Abu Bakr Siddiq رضی اللہ عنہ ne Hazrat Zaid bin Thabit کو hukm diya:

“Tum Qur’an ke tamam hisson ko har jagah se jama karo — yaad karne walon se, likhe hue parchon se, aur gawaahon ke sath.”
(Bukhari Shareef, Kitab Faza’il-ul-Qur’an)

Ye pura kaam ek committee ne kiya, lekin zimmedar aur sargaram sahabi Zaid bin Thabit رضی اللہ عنہ the. Unho ne har aayat ko do gawahon ke sath likhwa kar tay kiya.

📚 Dalil:
Sahih Bukhari, Hadees No. 4986
(Mukhtasar: Kitab Fada’il al-Qur’an)


🟩 3. Hazrat Usman Ghani رضی اللہ عنہ ka ‘Mus’haf-e-Usmani’

Islam ke phelne ke sath jab log mukhtalif lehjon mein Qur’an padhne lage, to ikhtilaf hone laga.
Hazrat Usman رضی اللہ عنہ ne mashwara le kar:

  1. Hazrat Zaid bin Thabit رضی اللہ عنہ aur 3 Quraishi Sahaba ke sath ek jama’at banayi
  2. Qur’an ke standard nuskhe likhwaye
  3. Unki 7 copies mukhtalif shehron (Basra, Kufa, Makkah, etc.) mein bhej di gayi
  4. Mukhtalif aur ghalat nuskho ko jalaa dene ka hukm diya, taake ummat mein ikhtilaf na ho

📚 Dalil:
Sahih Bukhari, Hadees No. 4987
(Musnad Usman bin Affan رضی اللہ عنہ ke tazkire mein)


✅ Natija (Conclusion):

  • Qur’an Shareef Nabi ﷺ ke zamane mein hi likha ja chuka tha
  • Hazrat Abu Bakr رضی اللہ عنہ ne pehli martaba Qur’an ko ek kitaabi shakl mein ikattha karwaya
  • Hazrat Usman رضی اللہ عنہ ne standard Qur’an (Mus’haf-e-Usmani) tayar karwaya taake ikhtilaf mit jaye
  • Isme kayi Sahaba ka hissa tha, lekin sabse ahem naam Zaid bin Thabit رضی اللہ عنہ ka hai

🕌 Ahle Sunnat ka Imaan:

"Qur’an Shareef jo humare paas hai, woh wahi Qur’an hai jo Rasoolullah ﷺ par nazil hua — na ismein kami hui, na izafa."

Is baray mein Alahazrat Imam Ahmed Raza Khan Barelvi رحمۃ اللہ علیہ farmate hain:

"Qur’an Shareef jis tarah Rasoolullah ﷺ ne diya, waisa hi ba-dastoor mehfooz hai."
(Fatawa Rizvia, Vol 6, p. 74)


Aur Saath hi main Aap ko Mashwara (suggest) karta hun ki  Mufti Salman Azhari Sahab ka ye Video Lazmi dekhiye  Hazrat ne Puri tafseel se Har baat saaf Aur wajeh tour pe bayan farmaya hai video dekhne ke baad Aap kisi ke bhi bahkawe me nahi Aa payenge Meri guarantee hai Mufti Salman Azhari Quran Shareef kaise Nazil hua Aur kaise likha gaya Aur kaise mahfooz kiya gaya Aur un saare sawalon ke jawab jo kuchh log Aitraaz ke tour pe puchhte hain

Saturday, August 2, 2025

ALLAH ki di hui DHEEL – Inaam nahi, Imtihaan hai!

Agar Aaj "Zameen nahi phat rahi, Aasmaan nahi gir raha — To kya waqai hum kamyab hain?"

Aaj ka insaan gunah mein dooba hua hai... Uske baad bhi Na zameen phat rahi hai,

Na aasmaan gir raha hai,
Na koi sitara toot raha hai,
Na kisi ke jism se uske amaal ki badbu mehsoos ho rahi hai,
Na peshaani par gunahon ki siyahi likhi nazar aati hai…

To kya ye samjha jaye ke ALLAH Ta'ala razi hai?
Kya ye khamoshi kamyabi ki nishani hai?

Nahi!
Ye to woh DHEEL hai jo ALLAH Ta'ala apne bandon ko deta hai…
Taa-ke wo tauba karein, hidaayat ki taraf laut aayein.

"Aur ALLAH Ta’ala zaalim logon ko dheel deta hai, lekin uski pakad bohot sakht hoti hai."
(Surah Ibrahim – Ayat 42, Tarjuma: Kanzul Imaan)


Guroor ka Fareb

Insaan jab gunah kar ke bhi salamat rahta hai,
Jab har taraf se usko ne’matein milti hain,
To wo samajhta hai ke wo ALLAH ka mehboob ban gaya hai…
Lekin asal mein wo apne khilaf faisla sun chuka hota hai.

"Jab log khula gunah karne lagen aur roknay wala koi na ho, to ALLAH ka azaab us poori qaum par aata hai."
(Hadees: Muslim Sharif)


Dheel = Imtihaan, na ke Inaam

ALLAH Ta'ala jab kisi ko gunahon ke bawajood foran saza nahi deta,
To ye us ke liye imtihan hota hai —
Jese kisi ko rassi de di jaye...
Wo rassi aakhir me uske gardan ka fanda ban jati hai.

"Jis din sachai samajh aati hai, us din amal ka daftar band ho chuka hota hai."


Jism se badbu nahi, lekin dil mar chuke hain

Aaj humare amaal badbu nahi karte —
Kyun?
Kyunke dil mar chuke hain.

Jab dil zinda hote hain to insaan gunah par kaanpta hai,
Rota hai,
Tauba karta hai,
ALLAH ke samne sharminda hota hai...

Lekin jab dil sakht ho jaayein,
To gunah lazzat ban jata hai —
Aur shaitaan usay kamyabi ka naam de deta hai.

"ALLAH jab kisi ko tauba ki taufeeq na de — to samajh lo wo ALLAH ki nazar se gir chuka hai."


Roz-e-Qayamat yahi amaal banenge gardan ka fanda

Aaj jin amaal par hum fakhar kar rahe hain,
Qayamat ke din wahi hamare liye balaye jaan banenge.

"Aur us din zaalim apne haath chabayega..."
(Surah Furqan, Ayat 27)

"Aaj har shakhs ko uske amaal ka poora-poora badla diya jaayega."
(Surah Yaseen, Ayat 54)


Hidaayat unhi ko milti hai jo hidaayat maangte hain

Hidaayat zabardasti nahi di jaati.
ALLAH sirf usi ko hidaayat deta hai jo dil se chahta hai,
Jo raaton mein ro kar dua karta hai:
"Ya ALLAH! Mujhe raasta dikha, mujhe apna kar le!"

"ALLAH hidaayat deta hai jise chahta hai, aur jo hidaayat chahta hai."
(Kanzul Imaan ka tarjuma)


Ab bhi waqt hai — Laut aao!

  • ALLAH ki khamoshi ko uski razaamandi na samjho.
  • Uski di hui dheel ko kamyabi ka certificate na samjho.
  • Gunah par muskurana band karo, aur rona shuru karo.

Tauba ka darwaza khula hai — lekin hamesha nahi rahega.


Dua

"Ya ALLAH!
Tu humein hamari ghaltiyon par sharmindagi ki taufeeq de,
Sachi tauba naseeb kar,
Aur humein apni raza ke mutabiq zindagi guzaarne ki hidaayat de.
Aameen, Ya Rabbal Aalameen!"