Wednesday, August 27, 2025

Mirza Engineer Plumber ki Kufriya Gustakhi

Fitna Kaise Shuru Hota Hai?

Sabse pehle ye samajhna zaroori hai ki fitna kabhi bhi seedha gustakhi aur kufr se shuru nahi hota.

Fitnebaaz hamesha pehle deen ki baatein karta hai, Qur’an o Hadis ka zikr karta hai, taake aam Musalman ke dil mein apni jagah bana le.
Phir dheere dheere apna asal chehra saamne laata hai.

Aur yaad rakho!
Koi bhi fitnebaaz kabhi 100 me se 100 baat kufr ki nahi karta. Agar karta to log turant usse door ho jaate.

Uska tareeqa yeh hota hai:

  • Bohot si baatein Qur’an o Hadis ki karega.
  • Lekin beech mein kuchh aisi baatein bolega jo gustakhi, kufr aur gumrahi hongi.

Usko maloom hai:
“Agar ek shakhs 99 baat Qur’an o Hadis ki maane, lekin sirf ek aqeeda ghalat rakh le, to uska Islam chala jaata hai – chahe wo roz namaz padhta ho, rozay rakhta ho, hajj kare, zakat de.”


Mirza Engineer Plumber ki Gustakhiyan

Ye shakhs deen ki baaton ka libaas pehn kar awaam ko gumraah karta hai. Lekin asal mein:

  • Ulama-e-Ahle Sunnat ki tauheen ki.
  • Awliya Allah ki gustakhi ki.
  • Sahaba-e-Kiram ki shaan mein gustakhi ki, jabke Qur’an ne unke liye farmaya:

“RadiAllahu ‘anhum wa radu ‘anhu.” (Surah Taubah, 100)

  • Phir RasoolAllah ﷺ ki shaan mein aisi gustakhi ki jo zubaan par lana bhi imkaan nahi. Aur apni gustakhi ka ilzaam Isaaiyon par daala. (Ma’azAllah)
  • Hazrat Isa Alaihissalam ki tauheen ki.
  • Hazrat Maryam RadiAllahu Anha par bohtan lagaya aur iska ilzaam Yahoodiyon par daal diya.

Gustakhi Ko Kaise Pehchaanein?

Yaad rakho! Gustakhi ka koi singh ya nishan nahi hota jo saamne dikh jaye.

Aasan tareeqa ye hai:
Jo baat tumhe apne maa-baap ki shaan ke liye bhi nagawar lage, wo Ambiya, Sahaba aur Awliya ke liye to aur bhi badi gustakhi hai.

Aur aqeeda yaad rakho:

  • Ambiya ki tauheen kufr hai.
  • Chahe koi uski safai de ya dalil banaye – kufr kufr hi rehta hai.

Yahi tareeqa Mirza Ghulam Qadiyani ke logon ne apnaya, jo aaj tak safaiyan dete hain.
Deobandi ne bhi Allah ke liye “jhoot bolna” ka kaha, aur Qur’an ki aayat pesh ki – lekin Kufr ko Kufr hi kaha gaya.


Qur’an o Hadis Se Daleel

Allah Ta’ala farmata hai:

“Ae Imaan waalon! Apne aap ko aur apne ghar walon ko aag se bachaao, jis ka indhan insaan aur pathar hain.”
(Surah Tahrim, 66:6)

Aur Nabi Kareem ﷺ ne farmaya:

“Jo shakhs hamare upar jhoot bandhe, uski jagah Jahannum mein hai.”
(Sahih Bukhari, Hadith 1291)

Aur ek aur hadees me Irshad farmaya:

“Aakhri zamane me aise fitne uthenge jaise andheri raat ke tukde. Banda subah Musalman hoga aur shaam ko kafir ho jaayega.”
(Sahih Muslim)


Akhir Ki Naseehat

Muslmano!
Samajh lo – yeh sab log deen ki baatein karke tumhare dil mein jagah banate hain.
Phir dheere dheere tumhara aqeeda bigaad dete hain.

Apne imaan ki hifazat karo!
Sirf Ahle Sunnat ke ulama ki kitaabein aur bayanat suno!
Har fitnebaaz se bacho! 
Aaj mirza plumber Agar mar bhi jaaye to uske khabasaat Aur gustakhi baaki rahegi Aur iske Alawa bhi bahut se fitne hai is Dour me Aur Aane Wale waqt me naa jaane kitne fitne niklenge to 

Daro Allah se Aur Imaan ki hifazat ki dua karo

Ya Allah!

Humein Nabi ﷺ ki sachi muhabbat ata farma.
Sahaba aur Awliya ka adab naseeb farma.
Humein har fitnebaaz aur gumraah se mehfooz rakh.

Ameen Ya Rabbal Aalameen.


No comments: