➡ AWAAM ME MASH'HOOR GALAT FEHMIYON KI ISLAAH..
▫▫▫▫▫▫▫▫▫
SAWAAL..
1⃣ Kai jaghon par log nabaaligh Hafizon ke peechhe jayez kehkar taraweeh padht lete hain.ye mas'ala kahan tak sahi hai..?
✒. Ye mas'ala galat hai. Saheeh mas'ala ye hai ke jis tarah dusri Namazen Nabaaligh ke peechhe jayez nahi usi tarah taraweeh ki namaz bhi nabaligh ke peechhe jayez nahi.
📖: Hidaya jild1/124
2⃣ Ba'az logon ko dekha hai ke Sajda Tilawat ada karke dono tarf salaam pherte hain?
✒.Sajda Tilawat ke baad dono Taraf Salaam pherna be Asl hai isliye ke sajda Tilawat ke liye na Takbeere Tahrima hai na Tash'hud na Salaam hai.
📖: Dure Mukhtaar Jild 2/580
3⃣ Awaam me Mash'hoor hai ke Subhe Namaaz ke baad Suraj Tuloo( nikalne) hone tak aur Asr ki Namaz ke baad se Aftaab Zard hone tak koi Namaaz jayez nahi.?
✒.ye Mas'ala galat Mash'hoor hai sahih Mas'ala ye hai ke Subhe Sadiq ke baad se Suraj Tuloo hone tak aur Asr ki Namaz ke baad se Aaftaab(Suraj) Zard hone tak Nafil Namaz padhna mana hai. Lekin Qaza Namaz bagair kisi karahiyat ke jayez hai.
📖: Fatawa Hindiya jild 1/53
☝aur agar Haram shareef me khane kaaba ka tawaf se farig hua to Nama-e waajibutTawaaf bhi jayez hai kyu ke wo Namaz wajib hai nafil nahi.
4⃣ kya naya kapda👕👚👔 dhoy bagair istimaal karna aur is se Namaz padhna jayez nahi..?
✒. Jabtak napaak hona maloom na ho bagair dhoye istimaal karna aur is se Namaz padhna bilkul jayez hai.
📖: Fatawa Razviya jild 2/140
No comments:
Post a Comment