LAODSPEAKER PAR NAMAZ KA MAS'ALA
Al Quraan
ALLAH subhanahu ta'aalaa quran mein
irshad farmaataa hai
Tarjumah Kanzul Iman Urdu ::- “””Aur apni
NAMAZ na bahut aawaaz sey padho na
bilkul aahistah aur in dono k beech mey
raastah chaaho”””
(Surah No 17 Surah Bani Israayeel Aayat No
110 )
Ab is aayat ki tafseer b Mulahezah farmaaye
, is aayat k tahet TAFSEER E NA'EEMI mey
mufti naeemuddin alaihirrahema farmaatey
hai --------------------"""yaani mutawassit aawaaz
sey padho jis sey muqtadee ba aasaani sun
lein SHAN E NUZOOL rasool e kareem
sallALLAHu alaihi wasallam makka e
mukarrimah mein jab apney ashaab ki
imaamat farmaatey , mushrekeen suntey to
quran e paak ko , aur us key naazil
farmaaney waaley ko aur jin par naazil hua
un sab ko gaaliyaa detey , is par yeh aayat e
kareemah naazil hui"
Al Quran
ALLAH subhanahu ta'aalaa quran mein irshad
farmaataa hai
Tarjumah Kanzul Iman
"""Beshak muraad ko pahunchey iman waaley
, jo apni namaaz mein (Khushoo’ Aur Khuzoo’
sey) gidgidaatey hai , aur woh jo kisi
behudah baat ki taraf iltefaat nahi kertey aur
woh ki zakaat deney ka kaam kertey hai , aur
wo jo apni sharm gaaho ki hifaazat kertey
hai , magar apni beewiyo aur shara'ee
baandiyo per jo un key haath ki milk hai ki
un per koi malaamet nahi , to jo un do k
siwaa kucchh aur chaahey , WAHI HADD SEY
BADHNEY WAALEY HAI , aur woh jo apni
amaanato aur apney ahed ki riaa'yet kertey
hai , aur WOH JO APNI NAMAAZO KI
NIGEHBAANI(Hifazat) KERTEY HAI , yehi
loag waaris hai ki firdaus ki meeraas
paayengey , aur usmein hamesha rahengey
.""" (sureh al moomenoon , verse 1-11)
Huzoor Mufti E Aazam e Hind RadiALLAHuanh farmaatey hai ,
“””Mujtahid Fi Masaayel
mein ikhtelaaf e mujtahedeen zaroor rehmat
hai ki in mein haq daayer hotaa hai , har
fareeque apney ko haq par yaqeen kartaa
hai , magar who doosrey mazhab ko ghalat o
baatil nahi keh saktaa , apney mazhab ko
suwaab jaanegaa mohtamil e khataa …
doosrey mazhab ko mohtamil e suwaab , aur
hare k doosrey ko musaab maanegaa , Aisey
masaayel jis mein ek sahee aur doosra
yaqeenan ghalat o baatil YEH IKHTELAAF
REHMAT NAHI NIRAA ZEHMAT HAI ab loud
speaker k mas’aley mein kaun ghalti par hai
mulaahezah farmaaye , Sarkar mufti e
aazam e hind radiALLAHu anh farmaatey hai
"""Har Koi Jaanta hai ki jo amal, af'aal e
namaz sey nahi,jab kaseer hogaa to mufsid
e namaz hogaa, Microfone mein aawaaz
pahunchaatey rehna amal e kaseer namaz k
alaawah amal hai , aur kaseer lehaazah
mufsidh , isey kaun nahi maantaa , dehli
waalaa ho yaa laahore waalaa ya karachi
waalaa , yaa kaheen aur ka , aur ager ek
yaa chand aisey ho b to us ka khayaal
khaam , niraa naakaam , i'ndal khwaas wal
awaam ,
------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Loud Speaker ki aawaaz wahi imam ki
aawaaz nahi mumaasil e aawaaz e imam
loud speaker ki aawaaz misl e aawaaz e
gunbad o chaah (kunwwaa)hai , ain aawaaz
e imam nahi , aur muqtadee namaz mein
ghair ki iqtedaa karey yeh mufsid , isey dehli
ka tasleem nahi kartaa yaa laahore ka yaa
karachi ka , agar koi is aawaaz e loud
speaker ko imam ki aawaaz khayaal kartaa
hai to us ka khayaal mahez ghalat hai""" Aur
ek doosrey fatwey mey irshad farmaatey hai
"""Aalahazrat quddus sarrahu ki koi ibaarat
aisee nahi hai , jis sey yeh samjhaa jaaye ki
aalahazrat quddus sarrahu k nazdeek mahez
loud speaker ki aawaaz par inteqaalaat
karney waaley ki namaz durust hai"""
kaseer jamaat mein mukabbereen rakhna
SUNNAT E MUTAWAASIRAH MAASOORAH
hai ,jis rasooluALLAH sallALLAHu alaihi
wasallam k zamaaney mey amal kiya gayaa ,
khulafa e raashedeen ney amal kiya , a’imma
e mujtahedeen ney amal kiya aur 1400 saalo
sey tamaam ummat amal karti aayee hai,
---------------------------------
loud speaker ka namaz mein iste’maal
mukabbereen jaisee sunnat ko khatm kartaa
hai , isliye BID’AT E SHANEE’AH QABEEHAH
hai , in akaabereen ki list neechey dekhein ,
jis mey khaas taur par
khaleefa e aalahazrat huzoor burhan e millat
mufti burhanul haq wad deen radiALLAHu
anh jinhey aalahazrat ney “qurrato ainee
durrati zainee’((Meri aankho ki
thandak,khubsurat moti jesa)) ka farmaayaa
khaleefa o shehzaada e aalahazrat huzoor
mufti e aaza e hind radiALLAHu anh
Khaleefa e aalahazrat mufti naeemuddin
muraadaabaadi radiALLAHu anh
Khaleefa E aalahazrat Sadrushariyah mufti
amjad ali radiALLAHu anh
Khaleefa E aalahazrat Sher Besha E Ahl e
sunnat Mufti hashmat ali radiALLAHu anh
Khaleefa E aalahazrat Sarkar muhaddis e
aazam e hind kichauchawee radiALLAHu
anh
Naayeb Mufti e Aazam e Hind Mufti Shareef
Ul haq saaheb alaihirrahema
Hakeem Ul Ummat Mufti Ahmad Yaar Khan
Nayeemi alaihirrahema Musannif Ja’alhaqo
HADEES SHREEF
Bukhari shareef mein Ummul Mumeneen
Hazrat Aayeshah radiALLAHu anh sey
hadees shareef hai mafhoom
"""raasooluALLAH sallALLAHu alaihi
wasallam8iney apni marz ki haalat ,mein abu
bakr siddique radiALLAHu anh ko hukm
farmaayaa ki woh namaaz padhaayein aur
logo ki imaamat karein , hazrat abu bakr
siddique radiALLAHu anh jamaat ki imaamat
ker rahey they , hazrat urwah radiALLAHu
anh kehtey hai huzoor sallALLAHu alaihi
wasallam ney marz ki haalat mein kucchh
takhfeef paayee , to hujrah e aqdas sey
baraamad huey , yehaa hazrat abu bakar
siddique radiALLAHu anh logoan ki imaamat
ker rahey they , jab siddique e akbar
radiALLAHu anh ney mehsoos kiya ki huzoor
e karam sallALLAHu alaihi wasallam
tashreef laa rahey hai , to aap peecchhey
hatney lagey , huzoor sallALLAHu alaihi
wasallam ney irshad farmaayaa , aisey hi
reho jaisey ho , phir huzoor sallALLAHu
alaihi wasallam siddique e akbar radiALLAHu
anh k pehloo mein tashreef farmaa huey ,
,aur imaamat farmaayee , to siddique e
akbar radiALLAHu anh huzoor sallALLAHu
alaihi wasallam ki namaz per namaz adaa
ker rahey they , aur tamaam jamaat k loag
siddique e akbar radiALLAHu anh ki namaaz
k saath namaz adaa kar rahey they , yaani
huzoor e akram sallALLAHu alaihi wasallam ,
ki takbeer tasmee'a o salaam par siddique e
akbar radiALLAHu anh ney takbeer tasmee'a
o salaam kahaa aur logo ney siddique e
akbar ki aawaaz par naamz adaa ki"""
Allama Ainee ney "umdatul qaari" mein isi
hadees shareef k tahet farmaayaa , yaani is
hadees mein is amr ki taraf dalaalat hai ki
jab imam itni door ho ki inkey peecchhey
namaz padhney waalaa inhey naa dekh
saktaa ho to jaayez hai ki muqtadee
mukabbir k rukoo per rukoo karey
Lehaazah imam ki takbeeraat o inteqaalaat ko
muballigh aur mukabbir k zariye jo khud b
imam k saath namaz mein shaamil ho aur us ka
muqtadee ho , tamaam muqtadiyo aur jamaat
tak pahunchaanaa sunnat e rasooluALLAH
sallALLAHu alaihi wasallam aur sunnat e
khaleefa e awwal siddique e akbar radiALLAHu
anh hai
HADEES SHAREEF ka irshad hai mafhhom
"yaani tum per laazim hai meri sunnat per
amal karoaur mere baad khulafaa e
raashedeen ki sunnat per amal karo""" isi
hadees ka ek hissa yeh hai """yaani meri aur
khulfaa e raashedeen ki sunnat aur tareeqah
ko ikhteyaar karo , aur is tareeqey ko
mazbooti sey thaam lo aur khabardaar nayee
nayee baato sey bachtey reho is liye ki har
nayee cheez bid'at hai aur har aisee bid'at
gumrahi hai""" (Musnad Imam Ahmad Bin
Hanbal, Jild 5 Page 110 Aboo Daaood,
Tirmizi, Ibn E Maajah)
"Algharz namaz mein loud speaker ka
istemaal ek bid'at e qabeeha o shanee'a hai
jo nabi e akram sallALLAHu alaihi wasallam
aur siddique e akbar radiALLAHu anh aur
khulfaa e raashedeen o sahaabaa e kiraam o
a'imma e uzzam alaihirrahemurrizwaan ki
sunnat e maasoorah o mutawaarisah k
amaant o ikhtetaam kaa baais hai , haalaanki
imam ki takbeeraat o inteqaalaat k liye usee
imam ki iqtedaa mein namaz adaa kerney
waaley ka imam ki niyaabat mein imam ki
takbeeraat o inteqaalaat ko kaseer jamaat
mein muqtadiyo tak pahunchaanaa ek
nihaayet azeem mansab aur ahem mas'alah
hai"""
(siyaanatussalaat-an-hiyalul-bidaat-
ma-tasdeeqaat-mufti-burhan-ul-haq-
alaihirrahe page no 16)
"aisey daur e bid'aat aur is zamaaney
shyoo'a mafaasid k liye aalam maakaana wa
yakoon minALLAH alaihi wasallam ki hadees
e shareef ""mishkwaat"" mey ""behaqee"" sey
marwee hai, """"""jisney meri sunnat ko aisey
waqt mein qaayem rakhaa jabki ummat
fasaad mein mubtelaa ho us key liye 100
shaheedo ka sawaab
hai""""""
(siyaanatussalaat-an-hiyalul-bidaat-
ma-tasdeeqaat-mufti-burhan-ul-haq-
alaihirrahema page 19)
https://www.scribd.com/document/452546659/Loudspeaker-vs-Our-Prayers
ReplyDelete