T.V. KI TEHQEEQ PAR BAHES ???
Shaikh-ul-Islam Maulana Madni Miyan Kichochwi Ne Jab T.V. Ko Aaina ki Misl keh kar Jaiz Qaraar dene ki Koshish Ki To Ummat-e-Muslima ko T.V. Ke Azeem Fitna se Bachaane ke liye Huzoor Tajush Shariah Hazrat Allama Mufti Muhammad Akhtar Raza Khan Azhari Maddazillahul Aali ne Madni Miyan ki Tehqeeq ko Galat Saabit kiya aur 25 Sawalaat Qaaim farma Kar Ye Waazeh Kar diya k T.V. Ke Sheehshe Par Nazar Aane Waali Tasweer yaqeenan Tasweer hi he Jo Ahaadees Ke Hukm ke Mutabiq Haraam o Na-Jaiz he. 25 Sawalaat mey se chand ye he :-
(1) Video-Cassette Mey uske Saamne waale Chehro ki Shuaa'o ko kis liye Tape kiya Jaata he ?
(2) Wo Maqsad k Un Shuaa'o ko Soorat mey Badalna He, Shar'an Jaiz he ya Na-jaiz ?
(3) Bar-Taqdeer-e-Awwal iske Jawaaz par Shar'a Mutahhar se Kya Daleel he Aur bar-taqdeer-e-Saani Ye Mubda Hukm Mey Apne Maqsad Ka Taab'e Hokar Na-jaiz Hoga k nahi,Nahi to Kyu Nahi ?
(4) Shuaa'o ka Soorat mey Badalna Fe'l-e-Insaan he ya Wo Khud Soorat mey Badal jaati he ?
Is Tarah Kul 25 Sawalaat Ke Madni Miyan ne Kya Jawabaat diye Usey Kitab mey Dekhna hi Behtar Hoga. Ahaadees mey Tasweer~Saazi ko Haraam Qaraar diya gaya he. Madni Miyan Ne Hadees ke Is Hukm ko Jaamid-o-Saakin(Tehri hui) Tasweero ke Saath khaas kiya aur Mutaharrikh o Naa-paaidaar Tasweero ko Is Hukm se Alag kar diya. Is par Huzoor Tajush Shari'ah Ne un se baar-baar sawaal kiya k Hadees ke Matlab mey ye Farq aap ne Kaha se paida kiya ? Iski Koi Daleel Ho to Pesh Kijiye Huzoor Madni Miyan Daleel na de sake aur Ta'ajjub ye k Phir Bhi Jaamid o Mutahrrik aur Paaidaar aur Naa-paaidaar ke usi Gair Saabit-shuda Tafarqa Par Apni Buniyaad Rakhi. Haa Al-batta ek Jagah Iqraar kiya K Ye Tafarqa Hadees se nahi balke Unke Apne "Andaaza" Se he. Madni Miyan ne Ek Jagah likha k "Ahed-e-Sayyiduna Aadam Alaihis-Salaam Se Aaj tak Naa-paaidaar Ukoos par Na to Tasaaweer O Tamaseel Aur Asnaam o Aosaan ke Aehkaam Mute'liq Kiye gaye aur na Unhe But mey Rakha gaya" Is Par Huzoor Tajush Shari'ah ne Farmaya k "Ji Badi Door ki Khabar Laaye.Mujh se Suniye Agli Shari'at mey Siray Se Tasweer o Tamaseel Banaana Haraam hi na tha Aur Ahed Sayyiduna Aadam Ala Nabiyyina Wa Alaihia-Salaat-o-Was-Salaam mey to But-parasti hi nahi. Phir Baagwaaye Shaitan But-parasti Usi Raah se Shuru hui." isi Tarah Ek Jagah Madni Miyan Ke Qalam se Nikla "Jin Af'aal mey Lahav o La'ab Gaalib rahe Unhe Mutlaqan Mamnu Qaraar diya jaayega" aur ek Jagah Likha "Har wo Kaam Haraam he jis mey Sirf Lahaw o La'ab Maqsood ho ya Jiska Bada Hissa Lahav o La'ab par Mushtamil ho." Is Par Huzoor Tajush Shari'ah Ne farmaya k "Ye Dono Jumle Aan-Janaab ki taraf se T.V. Aur Video ke Istemal ki Hurmat Mutlaqa ka Iqraar hey k isme Shak nahi k Video aur T.V. Ka Aglab Istemal Lahav o La'ab hi ke liye hota he aur Aapne Iqraar farmaya k Jin Af'aal mey Lahav o La'ab Gaalib ho Unhe Mutlaqan Mamnu Qaraar diya jaayega.aur Aadmi Apne Iqraar se pakda Jaata he. المرأ يو خذ باقراره
To Janaab hi ke Iqraar se T.V. Ki Hurmat Mutlaqa ka Hukm ho gaya aur Hukm-e-Jawaaz jo Janaab ne Is Fatwa mey diya.Khud Rukhsat ho gaya." aur Farmaya "To Qat'e Nazar iske k Video aur T.V. Mey Soorat hoti hey k nahi, unki Hurmat ke liye Aap hi ke Qalam se Nikle huwe ye 2 Jumle hi Kaafi the Jinhe Likh kar Aap ne Apne Fatwa ka Khud Radd kiya.walillahil-Hamd,Ach-cha hota k Aap Inhi 2 Jumlo ko likh kar Video aur T.V. Ki Hurmat ka Fatwa dete aur Jawaaz ka Fatwa Saadir na Farmate".
"T.V. Aur Video ka Operation" mey Ye Saari Baate yani Madni Miyan ki Tehqeeq,Huzoor Tajush Shari'ah ke Sawalaat Aur Akheer mey Huzoor Tajush Shari'ah ke Qalam se T.V. Aur Video ka Shar'ee Hukm Taaleemaat-e-A'ala Hazrat ki Roshni mey Darj he jiski Tasdeeq Akaabir-Ulama o Mashaikh-e-Uzaam Ne Farmaayi he. Is kitab ko Zaroor padhe aur Mulk ke Tamaam Dar-ul-Ifta,Madraso aur Ulama aur Aimma tak Pahunchaane ki apni Hesiyat ke Mutabiq Koshish Kare.
No comments:
Post a Comment