async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Manqabat e ghous e Aazam
Showing posts with label Manqabat e ghous e Aazam. Show all posts
Showing posts with label Manqabat e ghous e Aazam. Show all posts

Tuesday, January 19, 2016

Peeron ke aap peer hain ya ghouse almadad

Peeron Ke Aap Peer Hain Ya ghouse Almadad .
Ahl e Safa Ke Meer Hain Ya ghouse Almadad.

Ranj o Alam Kaseer Hain Ya  ghouse Almadad
Ham Aazizon Aseer Hain Ya ghouse Almadad.

Ham Kaise Jee Rahe Hain Ye Tum Se Kya Kahein
Ham Hain Alam Ke Teer Hain Ya Ghouse Almadad.

Teer e Nazar Se Pher Do Saare Alam Ke Teer
Kya Ye Alam Ke Teer Hain Ya Ghouse Almadad.

Tere Hi Haath Laaz Hai Ya Peer Dastageer
Ham Tujhse Dastageer Hain Ya Ghouse Almadad.

(Idfa Sharara Sharran Ya Gousanal Abarr
Shark e Sharall Khateer Hain Ya Ghouse Almadad.

ادفع شرارا شرّاً يا غوثن الابر
شرك شرالخطير ہیں یا غوث المدد. )

Kis Dil Se Bayan e Bedad e Zaalima
Zalim Bade Shareer Hain Ya Ghouse Almadad.

Ahl e Safa Ne Payi Tumse Rahe Safa
Sab Tum Se Mustaneer Hain Ya Ghouse Almadad.

Sadqa Rasool e Paak ﷺ Jholi Me Dal Do
Ham Quadri Faqeer Hain Ya Ghouse Almada.

Dil Ki Sunaaye 👉🌷Akhtar🌷 Dil Ki Juban Me
Kahte Ye Behtaneer Hain Ya Ghouse Almadad

Friday, January 1, 2016

Khila Mere Dil Ki Gali Ghous E Aazam

Khila Mere Dil Ki Gali Ghous E Aazam

Khila Mere Dil Ki Gali Ghous E Aazam
Mita Qalb Ki Be Kali Ghous E Aazam

Mere Chand Mai Sadqe Aaja Idhar Bhi
Chamak Uthhe Dil Ki Gali Ghous E Aazam

Tere Rab Ne Maalik Kiya Tere Jad Ko
Tere Ghar Se Duniya Pali Ghous E Aazam

Wo Hai Kaun Aisa Nahi Jisne Paaya
Tere Darr Pe Duniya Dhali Ghous E Aazam

Kaha Jisne Ya Ghous Aghisni To Damm Me
Bar-Aayi Musibat Tali Ghous E Aazam

Nahi Koi Bhi Aisa Fariyadi Aaqa
Khabar Jiski Tumne Na Li Ghous E Aazam

Meri Rouzi Mujhko Ataa Kar De Aaqa
Tere Darr Se Duniya Ne Li Ghous E Aazam

Na Maangu Me Tujhse To Fir Kis Se Maangu
Kahi Aur Bhi Hai Chali Ghous E Aazam

Sadaa Gar Yaha Mai Na Du To Kaha Du
Koi Aur Bhi Hai Gali Ghous E Aazam

Jo Qismat Ho Meri Buri Achhi Kar De
Jo A'adat Ho Badd Kar Bhali Ghous E Aazam

Tera Martaba A'ala Kyo Ho Na Maula
Tu Hai Ibn E Maula Ali Ghous E Aazam

Qadam Gardan E Awliya Par Hai Tera
Hai Tu Rabb Ka Aisa Wali Ghous E Aazam

Jo Doobi Thi Kashti Wo Damm Me Nikali
Tujhe Aisi Qudrat Mili Ghous E Aazam

Hamara Bhi Beda Laga Do Kinare
Tumhe Nakhudayi Mili Ghous E Aazam

Tabahi Se Naav Hamari Bachaa Do
Hawa E Mukhalif Chali Ghous E Aazam

Fida Tumpe Ho Jaaye Noori E Muztar
Ye Hai Uski Khwaish Dili Ghous E Aazam