Khwaja E Hind Wo Darbaar Hai Aala Tera
Khwaja E Hind Wo Darbaar Hai Aala Tera
Khwaja E Hind Wo Darbaar Hai Aala Tera
Kabhi Mehroom Nahi Maangne Waala Tera
Khuftgane Shabe Ghaflat Ko Jaga Deta Hai
Saalhasaal Wo Raato Ka Na Sona Tera
Hai Teri Zaat Ajab Bahre Haqeeqat Pyare
Kisi Tairaak Ne Paaya Na Kinara Tera
Gulshan E Hind Se Shadaab Kaleje Thande
Wah Ay Abre Karam Zor Barasna Tera
Kya Mahak Hai Ki Mu'attar Hai Dimaag E Aalam
Takhta E Gulshan E Firdaus Hai Rouza Tera
Tujhme Hai Tarbiyate Khizr Ke Paida Aasaar
Bahro Bar Me Hume Milta Hai Sahara Tera
Zille Haq Ghous Pe Hai Ghous Ka Saaya Tujh Par
Saaya Gustar Sare Khuddam Pe Saaya Tera
Tujhko Baghdad Se Haasil Hui Wo Shaan E Rafe'a
Dang Rah Jaate Hai Sab Dekh Ke Rutba Tera
Kyo Na Baghdad Me Jaari Ho Tera Chashma E Faiz
Bahre Baghdad Hi Ki Nahar Hai Dariya Tera
Jabse Tune Qadme Ghous Liya Hai Sarr Par
Awliyah Sar Pe Qadam Lete Hai Shaha Tera
Muhiyyudi(n) Ghous Hai Aur Khwaja Mueenuddi(n) Hai
Ay Hasan Kyu Na Ho Mehfooz Aqeeda Tera