async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Allah ta'ala ka ilm aur irada

Friday, July 3, 2015

Allah ta'ala ka ilm aur irada

Post 3

Aqeeda - koi chij Allah ta'ala ke ilm ke bagar nahi
Mouzud ho ya madum 
Mumkin ho ya muhal
Kulli ho ya juzwi (bhag)
Sabko azal me janta tha aur janta hai
Aur abad tak janega
Chije badalti hai lekin uska ilm nahi badalta

Dilon ke khatron aur waswason ki usko khabar hai uske ilm ki koi inteha nahi

Aqeeda- Allah ta'ala ki mashiyat aur irada bagair kuchh nahi ho sakta
Magar achhe par khush hota hai aur bure par naraz

Allah ta'ala ki kudrat

Aqeeda - Allah ta'alah har mumkin par qadir hai
Koi mumkin uski kudrat se bahar nahi aur muhal tahte kudrat nahi
Muhal par kudrat manna uluhiyat ka inkar karna hai

Aqeeda- khair aur shar kufr aur imaan ta'at aur isyan Allah hi ki taqdir aur takhlik se hai

Aqeeda- haqiqatan rozi pahochane wahi hai farishte wagairah waseela aur wasta hai

Allah ta'ala par kuchh wajib nahi

Aqeeda- Allah ta'ala ke zimme
Kuchh wajib nahi na sahab dena na azab karna na woh karna jo jo bande ke haq me mufid hi isliye ki woh maalik alal itlaq hai jo chahe kare jo chahe hukm de
Sawab de to fazl azab kare to adal
Haan uski ye meharbani ki wahi huqm deta hai jo banda kar sake
Zarur musalmano ko apne fazl se jannat dega aur kafiro ko apne adal se jahannat me dalega isliye ki usne wada farma liya hai ki kufr ke siwa jis gunah ko chahega muaf kar dega aur uske wade waid badalte nahi
Isliye azab aur sahab zarur hoga

Allah ta'ala ka istigana

Aqeeda-Allah ta'ala aalam se beparwah hai usko koi nafa nuksan nahi pahocha sakta
Woh jo kuchh karta hai usme uska apna koi faida ya garz nahi
Dunya ko paida karne me na koi uska faida
aur na paida karne me koi nuksan

Allah ta'ala ne aalam ko kyu paida kiya?

Apna fazl aur adal kudrat aur kamaal zahir karne ke liye makhluq ko paida kiya

Aqeeda- Allah ta'ala ke har kam me bahut hikmaten hain
Hamari samjh me aaye ya na aaye
yah uski hikmat hai dunya me
Ek chij ko dusre chij ka sabab thaheraya
Aag ko garmi pahochane ka sabab paani ko sardi pahochane ka sabab banaya
Aankh ko dekhne ke liye kaan ko sunne ke liye banaya agar wah chahe to aag sardi  paani garmi de aur aankh sune kaan dekhe

Qanoon e shariyat page 9 aur10 aur 11

No comments:

Post a Comment