Khuda ta'ala ki tanzih
Post 2
Aqeeda- Allah ta'ala jism aur jismaniyat se paak hai
Yaani woh na jism hai na usme woh baate paai jati hain jo Jism se talluk balki yeh uske haqq me muhal hai
Lihaza woh zaman aur makan taraf aur jehat shakl aur surat
Wajan aur mikdar zyada aur nuqsan (yani kami aur beshi) hulul (sama jana) ya awatrit hona aur ittehad (yani do chijon ek ho jana ) tawalud tanasul harkat aur intekal tagayyur tabddul wagairah tamam ausaph aur ahawale jism se munzzan aur bari hai
Aur quran aur hadees me jo baaz aise alfaz aaye hain maslan (yad) hanth wajAhihi (chahera) rujal (pair) zehak (hansna) wagairah jinka zahir jismiyat par dalalat karta hai
Uske zahiri mayene lena gumrahi aur badmazahabi hai
Is kism ke alfaz me tawil ki jati hai kyu ki iska zahir murad nahi ku uske haqq me muhal hai
Maslan yad ki tawil qudrat se aur wajahihi ki zaat sd istewa ki galba aur tawjjoh se ki jati hai
Lekin bahter aur Asalam yeh hai ki bila zarurat tawil bhi na ki jaye balke haqw hone ka yakin rakhe aur murad ko Allah ke supurd kare
Ki wahi jane apni murad
Hamara to Allah aur rasool ke qoul par imaan hai ki istEwa haq hai yad haq hai aur istewa makhluq sa istewa nahi uska yad makhluq sa yad nahi
Uska kalam dekhna sunna makhluq sa nahi
Aqeeda- Allah ta'ala ki zaat aur sifaat na makhluq hai na maqdur
Kya chijen hadees hai aur qadeem
Aqeeda- zaat aur sifaat e ilaahi ke alawa jitni chijen hai sab hadees hai yani pahle na thi fir moujud hui
Aqeeda-sifaat e ilaahiya ko makhluq kahna ya hadees batana gumrahi aur bad deeni hai
Aqeeda- jo shakhs Allah ta'ala ki zaat aur sifaat ke alawa kisi aur chij ko qadeem mane ya aalam ke hadees hone me shak kare woh kafir hai
Aqeeda- jis tarah Allah ta'ala aalam aur aalam ki har chij ka khaliq hai usi tarah hamare aamal aur af'aal ka bhi wahi khaliq hai
ALLAH TA'ALA KI KHALQIYAT AUR WAJUD AUR WAJUD KE MAYNE
Allah ta'ala wajubul wajud hai yani uska wajud Zaruri hai
Aur adam mural hai (namumkin)
Qanoon e shariyat page 8 aur 9
No comments:
Post a Comment