async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Noor o bashar ka bayan part 5

Thursday, July 2, 2015

Noor o bashar ka bayan part 5

Noor o BAshar Part 5

Hadees Hazrat Jabir RaddiAllah hu tala Anho say marvi hai keh SARKAR E AZAM Alaihisslam nay irshad farmaya ay Jabir (RaddiAllah huta’ala Anho) be shaq Allah Ta’ala nay sub Ashiya (things) say pehly tere Nabi Alaihisslam ka NOOR apnay NOOR (keh faiz) say paida farmaya.
Bahawala= Mawahib eLudonya, Zarqani Sharif Jild 1 page no 42
Hadees Hazrat Ibne Abbas RaddiAllah tala Anho bayan kerty hain aik raat main apni Khala Syeda Maimona RaddiAllah Tala Anha keh therah (stay) gaya (Imam Muslimfarmaty hain) is keh baad poora qissa hai. Ta hum is main chehry (face) aur bazo (Arm) dhonay (wash) ka ziker nahe hai bal keh yeh mazkoor hai keh Aap Alaihisslam mashkeezy keh pas tashirf laye is ka muh (Mouth) kholaaur darmiyany drjy ka wazu kiya phir App Alaihisslam bister per ja ker so gaye. Phr dobara baidar hue, mashkeezy ke pas aye aur mukamilwazu kiya (Muslim farmatyhain is riwayat main dua ke alfaz main) mujy NOOR bana dy, ke bajae “mery NOOR mai izafa ker dy” key alfaz hain.
Bahawala = Muslim Sharif Jild 1 Book Salah wal Musafireen w Qasar ha, Raqam al Hadis1693 Page 596 Matbua Shabeer Brothers Lahore Faeda (benefit). Huzoor Alaihisslam ka dua farmana keh mery Mola Azzwajal mery NOOR mai izafa ker dey, is baat ke taraf ishara hai keh mery AQA Alaihisslam NOOR to thyhe is lea to apnay NOOR mai izafa ke dua ke. Aqeeda. Sub say pehly martabah e Nabawut Huzoor Alaihisslam ko mila. Roze Misaaq tamaam Ambia Alaihisslam sya Huzoor Alaihisslam per eman lany aur Huzoor Alaihisslam ke nusrat kerny ka ahad liya gaya aur issi shart per yeh mansab e AZAM Huzoor Alaihisslam ko diya gaya. Huzoor Alaihisslam Nabi ul Ambia hain aur tamaam Ambia Huzoor Alaihisslam key ummati sub nay apnay apnay ahad e Karim mai Huzoor Alaihisslam ke niyabat mai kam kiya. Allah Azzwajal nay Huzoor Alaihisslam ko apni zaat ka mazhar banaya ur Huzoor Alaihisslam keh NOOR say tamaam alam ko munawar farmayar.
Bahar e Shariyat, Hissa awal
Aqeeda aik Musalman ka yahe honachahea ke SARKAR E AZAM Alaihisslam bazahar bashr hain magar bai misaal bashr bashriyat mai bhi aap ka koi sani nahe lakin apke Haqeeqat noor he hai. In tamaam Ahadees e Mubaraka say yeh bat sabit hue ke SARKAR E AZAM Alaihisslam NOOR ul AALA NOOR hain balkeh Aap Alaihisslam keh noor say hai Kayenaat (Whole World) mai NOOR hai. Bashriyat ka falsafa. Al Quran. Turjuma. Aap farmao keh zahri soorat bashri main to mai tum jesa hoon.
Sorah Qahaf, Ayat 110 Parah 15-16
Is Ayat e Karima may SARKAR E AZAM Alaihisslam say Alla Ta’ala nay Bashr kehlwaya yaha lafz e bashr kehna Aap Alaihisslam ke inkesari hai jaisy koi Hakim e WAqat apni riaya say kahay keh mai to ap ka khadim honn. Khadim kehna Hakim e Waqat ke ajizi o inkesari hai kehny say wo khadim hargiz na ho ga SARKAR E AZAM Alaihisslam say Allah Ta’ala nay bashr kehalwaya, khud Rabbe Karim nay basher na kaha. Ba’az mufaseerin nay is ayat ka yahe matlab bayan kiya hai keh kissi insane ko yeh haq hasil nahe hai keh Nabi ko aam insano jaisa bashr kahay Ambia e Kiram Alaihisslam ko apnay jaisa bashr samjna Iblis aur kufar ka tareeqa hai. Sub say pehly Nabi ko hiqarat say bashrkehny wala Shaita tha, Hazrat Adam Alaihisslam keh baray mai shaitan nay kaha. Al Quran. Turjuma. Bola mjhy zeba nahe keh mai bashr ko sajda karu.
Sorah Hijrat Ayat 33 Parah 26
Maloom huwa keh Ambia e Kiram Alaihisslam ko hiqarat say bashr kenay ka agaz Shaitan say huwa phr is ky chaily kuffar o mushriqeen bhi Ambia e Kiram Alaihisslam ko apnay jaisa basher kehty thy. Chunachy Hazrat Nooh , Hazrat Saleh , Hazrat Hood Alaihisslam ke qoom key kafir nay in say kaha.
Al Quran.
Turjuma. Tum to hum he jaisy bashr ho.
Sorah Ibraheem , Ayat 10 Parah 13
Hazrat Shoaib Alaihisslam ke qoom keh kafiroo nay kaha.
Al Quran.
Turjuma. Tum to nahe magar hum jaisy basher.
Sorah Sho’ra’a Ayat 186 Parah 20
In tamaam Ayaat say amloom huwa keh Ambia e Kiram Alaihisslam ko apnay jaisa bashr kehna Shaitan aur is keh pair o kar kuffar o mushriqeen ka amal hai Mominoo ka tareeqa nahe hai.
Question. SARKAR E AZAM Alaihisslam Bashri libaday mai kiv tashreef laye…??
Answer. Is ka jawab Barasgeer (subcontinent) keh Muhaddis Muhaqiq Shah Abdul Haq Muhadis e Dehlvi Aleherahma apni Book Madaraj al Nabuwat Jild Awal keh page 109 , 110 per dety hue farmatyhain ke SARKAR E AZAM Alaihisslam sar say lai ker Qadam tak saray ke saray NOOR he NOOR thy, SARKAR E AZAM Alaihisslam Chand (moon) aur soraj (sun) ke tarha roshan thy agar SARKAR E AZAM Alaihisslam bashriyat ka parda pehnay hue na hoty to kissi ko dekhny ke taqat he na hoti

No comments:

Post a Comment